|
Post by Mohammed wasim on Jan 17, 2014 20:26:43 GMT 5.5
Eid-Milad Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke din sirf Khushi manana chahiye, wisaal par Gham nahi: . Imam Suyuti farmate hain: Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki wiladat hamare liye bahot badi nemat hai aur apka wisaal hume udas karne wala bhi hai. Aur Shariat ne hume nematon par khushi manane ka hukm diya hai par Gham aur musibat ko chhupane aur sabr ka hukm diya hai. Isiliye shariat ne Paidaish par Aqiqa karne ka hukm diya jo ki ALLAH ki shukr guzari ka tariqa hai. jabki kisi ki maut par janwar zibah karna ya matam ka hukm nahi hai. Isliye shariat ki roshni me Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki Milad par khushi manani chahiye.
[Husn al-Maqsad fi Amal al-Mawlid Page No. 54-55] .
12 Rabiul Awwal Par Wilaadat Ki Khushi Kyu?Wisaal Ka Gham Kyu Nahi? AlJawaab« Imaam Jalaluddin Suyuti rehmatullh aley )849 hijri( Imaam Jalaluddin Suyuti Se Jab ye Suwaal Kiya Gaya Toh Aap ne Farmaya Beshak Aap sallallahu alaihi wa aalihi wasallam Ki Wiladat Hamare Liye Naamat e Uzma Hai Aur Aap sallallahu alaihi wa aalihi wa sallam ki Wafaat Hamare Liye Sabse Badi Musibat Hai Ta'ham Shariat Ne Naamat Par Izhaar e Shukr Ka Hukm Diya hai aur Musibat Par Sabar W Sukoon Aur Ise Chupane Ka Hukm Diya Hai Isi Liye Shariat Ne Wiladat Ke Mauqe Par Aqiqa Ka Hukm Diya Hai Aur Ye Aqiqa Allah Ka Shukr Aur Khushi Ke Izhaar Ki Ek Surat Hai Jabke Maut Ke Waqt Nauha Waghaira Se Mana Farmaya Gaya Hai Lihaza Shariat Ke Qawaid Ka Taqaza Hai Ke Mahe RabiulAwwal Mei Wiladate Ba Sa'adat Par Khushi Ka Izhaar Kiya Jaye Na ke Wisaal Ki Wajah Se Gham Ka}
[Suyuti-Alhaawi lil Fatawa page206]
[As-Suyuti – Rahimuhullah in Al Hawi lil Fatawi, Volume 1, Page No. 298, Published by Maktaba al Asriya, Beirut, Lebanon]
|
|