Post by Mohammed wasim on Jan 18, 2014 20:00:12 GMT 5.5
(GAIR ALLAH SE MADAD
MANGNA KAISA?) Aaj bade zor shor aur
mansubaband pabandi se ek
sawal utha ker bhole bhale
muslmano ko behkaya ja
raha hai aur un k akide ko
mutjaljal kiya ja raha hai.wo ahem sawal ye hai"gair
ALLAH se madad mangna
kaisa?"yaha isi sawal k
jawab mai KURAN AUR
AHADIS ki roshni me dena
chahunga aur ye sabit kerne ki koshish kerunga ki gair
ALLAH se madad mangna
jayazomustehsin hai lihaza
aap niche diye hue sawalat k
jawabat ko gour se padhe
aur apne akide ko durust kare,apne IMAN ki hifazat
kare: sawal-kya ALLAH k hote
huwe gair ALLAH se madad
mangna jayaz hai?
jawab-ha ALLAH TAALA k
hote huwe gair ALLAH se
madad mangna jayaz hai,lekin humara ye akida
hona chahiye k hakikatan
madad kerne wala to ALLAH
hai magar anbiya auliya aur
salhin se madad mangna
majazan hai,yani hum unko ek tarh ka waseela bana ker
KHUDA ki bargah me duwa
mangte hai. sawal-kya gair ALLAH se
madad mangna QURAN AUR
AHADIS se sabit hai?
jawab-beshaq
anbiya,auliya,salhin se
madad mangna KURAN,AHADIS se sabit
hai.jaisa ki ALLAH TAALA ne
KURAN MAJID me irshad
farmaya; 'Ae iman walo ALLAH se daro
aur us ki janib waseela
dhundo aur us ki raah me
jihad karo taki tum falah
pao(para 9 ruku 6 aayat 35) Is aayat karima k ander
khud ALLAH TAALA ne
waseela dhundne ka hukm
farmaya.ager waseela
banana najayaz hota to kya
ALLAH TAALA is ka hukm deta? aur waseele ka hukm
de ker kya(maazullah
rabbulaalmin)ALLAH TAALA
apne bando ko shirk aur
gumarahi ka hukm de raha
hai?nahi balki is se khuda tak pahonchne k zariya-v-
waseela ki nishandahi ho
rahi hai. Dusri jagh irshad fermata
hai;
Sabr aur Namaz se madad
chaho beshaq ALLAH sebr
kerne walo ke saath hai
(para 2 ruku 3 aayat 153) is aayat me bhi ALLAH TAALA
ne sabr aur namaz se madad
mangne ka hukm fermaya
to kya namaz aur sabr ye
gair ALLAH nahi hai?ager hai
to ye manna padega k beshaq gair ALLAH se madad
mangna jayez-o-mustehsin
hai.sunnte ilahiya is taur hai
k ALLAH TAALA ne her cheez
k liye hathiyar aur fauj
ko,mulk k nizam ko sambhalne k liye palice
ko,hawa ko saaf rakhne k
liye darakht ko,bareesh
bersane,rooh nikalne aur
digar cheezo k liye farishto
ko waseela banaya. arz k ALLAH TAALA ne her
cheez per kadeer hone k
bawjood her cheez k liye
waseela ko pasand fermaya
lihaza is se sabit huwa k gair
ALLAH se madad mangna ye sunnat ilahiya hai. Ek duniyavi misal se is terh
samjhek anbiya,auliya ko
ALLAH TAALA ne hum per
supervisor mukarar kiya hai
maslan ek insaan kisi cheez
ki factory chalata hai to us factory me kaam kerne wale
mazdur per ek supervisor
mukarar ker deta hai taaki
wo mazduro ki nigehdasht
kare aur wahi unko mahine
ki tankha de. Aur jo(maz
Allah)Ambiyan,Aulyiah ko
mara hua kehte he un ko
chahe ke woh sab se pehle
pachas(50) waqt ki namaz
padhe,Is liye ke Huzur ( salalaho alahi wa salam)
par aur ap ki umat par
pachas(50) waqt ki namaz
farz hui thi. (jaise ki hadis se sabit he) jis
ko hazrat musa(alahi salam )
ne kam karaya tha lihaja jab
un ke nazdik hazrat musa
(alahi salam) jinda hi na the
(maz Allah) to namaz kaise kam karatey lihaza ambiya
ko murda mane walo ko cha
hiye ke wo pachas(50) waqt
ki namaz pade jis tarah
ambiya se madad mang na
jahiz he bas isi tarah Auliya se bhi madad mang na jahiz
he is liye ke wo apni kabron
ke andar jinda he tarikh ke
mutala karne par bhi kai
aise waqqyat bhi milte he jin
se ye sabit hota he ke Auliya ne jahiri jindagi se parda
farmane ke bad madad
farmayi. Auliya ke wasile se madad is
liye mang te he chu ke Allah
tala ke mehboob bande
he,Allah unki dua'a ko
qabool farmata he jisa ke
hadise mubaraka he, Hazrat anas bi malik(razi
Allah anhu) se riwayat he ke
Rasool
(salalaho alahi wa salam) ne
farmaya Allah tala farmata
he ke jab mera banda meri ibadat kar ke meri qurbat
hasil kar leta he to me us ki
ankh ban jata hu,jis se woh
dekhta he us ka haat ban
jata hu jis se wo pakad ta
he,us ka pair ban jata hu jis se wo chalta he,aur wo jo
bhi mangta he maio use atta
kar deta hu. Is hadise mubaraka ki roshni
me malum hua ke Allah tala
Auliya ki dua'a ko rad nahi
farmata aur hum jante he ke
hum gunah gar he,hum
gunah gar hai siya kar he aur hum ko apne ap par yakin
nahi he ke Allah hum gunah
garo ki dua'ao ko qabool
farmayega ke lekin ye umid
jarur rakhte he ke jab Auliya
ke wasile se dua'a mangi jayegi to Allah usko jarur
kabool farmayega ke, chu ke
us ka wada he ke mere nek
bande jo mujh se mang te he
mai us ko atta kar ta hu
isiliye hum bhi un ke wasile se mangte he take hamari
dua;a kabool ho jaye aur
hamri umide bar aye. sawal:Hum Ambiyan Auliah
ki bargah me hazir ho kar
bahut duayen mangte he
magar wo qabool nahi hoti
agar wo madad karne par
kadir hote to hamri madad karte? Jawab:Agar yahi baat he to
mai sab se pehle yesawal
karuga ke tumhara Allah
tala ke bare me kiya Aqqeda
he chu ke hum us ki bargah
me bhi dua'a karte he magar woh fauran hamari uda'a ko
qabool nahi karta to kiya
( maz Allah) us ke bare me
bhi ye kaha jayega ke wo
madad karne par qadir nahi?
Nahi! balke hamri dua'a fauran na qabool hoone par
us ki koi na koi hikmat hoti
he jis ki wajah se wo hamari
dua'a qabool nai karta aur
kuch hamari bhi khami bhi
rehti hai ke hum aisi chiz ka us ki bargah me sawal karte
he jko hamre layak nahi
hoti,Magar Allah us ke badle
me us se behtar chiz hum ko
ata farmata he jo hamare
layak nai hoti. jab Quran aur hadis ki roshni
me ye baat sabit hogai ke
Ambiyan aur Auliyah jinda
he hamari madad karne par
kadir he toh har momin ka
ye akida hona cha hiye ke Ambiyan Auliyah aur
swalehin se Madad mang na
aur un ko Allah ki bargah me
wasila bana na ye jahiz wa
mustahsan aur sunnatein
Alhaiya he_Allah tala hum sab ko aqeed durust rakhne
ki taufik ata farmaye aur
hum sab ka khatima bil
khair farmaye.
*AMMEN BAJAH ALNABI
ALKARIM ALAHIH AFZAL ASLATO WA TASLIM*. Tankha bhi de- Bas isi tarah
Allah tala ne Ambiyan,Auliah
aur salehin ko hum par
supervisor mukarar kiya
he,hakiki madad karne wala
to Allah hi he magar ye wasila he,lihaza agar koi
mazdoor ye sawal kar baithe
ke malik ke hote hue hum
supervisor se kiu tankha le
direct malik se kiu na le to
yakinan aise mazdoor se malik naraz ho jayega,aur
use factory se nikal bhi de ga
thik isi tarah wo log jo kehte
he ke hum Ambiyan wa
Auliyah se kiu mange aur
direct Allah se kiu na mange? to yeh un ki galti he,aur ho
sakta he ke aisi galti karne
ki wajah se Allah un se naraz
ho jaye aur unko jahanum
me dal de. *AHADIS KARIMA SE DALAIL* Ahadees karima me bhi
milta he ke sahaba karam ne
Allah ke Rasool( sallalaho
alahi wa salam) se madad
mangi aur ap ne us se mana
nahi farmaya aur nahi ap ki hayate tayaba me koi aisa
waqya milta he ke ap ne
sahaba karam se farmaya ho
ke tum log mujh se kiu
mangte ho?direct Allah ki
baragah me sawal kiu nai karte? lihaza jab ye jahiz tha
tabhi to mere AQA ne sahaba
ko us se mana nahi farmaya
aur nahi khuda ne Quran me
ye farmaya ke aye Mehboob
mere bando se kehdo ke bagair kisi wasile ke mujh se
mange aur jo log ap ki
bargah me sawal karte hahi
un se keh do ke wo tauba
kare ke is liye ke ye shirk
he,sahab ki jindagi ke kahi aise waqyat milte he jin me
sahaba ne Huzur( salalaho
alahi wa salam) se sawal
kiya aur ao ne un ko ata
farmaya. maslan jab madina
munawara me barish nahi
ho rahi thi to sahaba ne AP
( salalaho alahi wa salam) ki
bargah me arz kiya ke
sarkar dua'a farmaye ke barish ho jaye sarkar
( salalaho alahi wa salam) ne
dua'a faramayi abhi haat bhi
niche na kiye the ke barish
shuru ho gai.
isi tarah sahabi rasool hazrat Abdullah ke jab ka pair tut
(break) gaya us waqt AP
( salalaho alahi wa salam)ki
bargah me hazir hue to ap
ne apna loabe dehen lagaya
jis ki wajah se un ka paaon sahi ho gaya.
HAZRAT ALI(RAZI ALAH AZHU)
ko jab ankh ayi us waqt bhi
ap ne loabe dehen dala jis se
ap ko shifa mil gayi is tarah
ke kahi waqyat he jo hadith- e-sahiya me milte he.jis se
ye sabit hota he ke sahaba
ne sawal kiya aur apne
bagair kuch kahe ata
farmaya, lihaza is se pata
chala ke AMbiyan se madad mangna jahiz he. sawal:ye to unki jindagi me
tha magar unki wisal ke bad
bhi log un ko waisla banate
hai,kiya ye jahiz he,aur
Quran wa Ahadith me kahi
aisa milta he? jawab:HAAN1 marne ke bad
bhi unko wasila banana
jahiz he isliye ke wo apni
kabroon me jinda he aur jo
ye aqeeda na rakhe aur
Ambiyan ko murda kahe wo kafir wa mustahik naar he.
Haids se bhi is ka saboot
milta he ke Ambiyan apne-
apne kabroon me jinda
he,jaisa ke( INALLAH HARAM
ALAL ARD AN TAKUL AJSAD AL AMBIYAN FI NABI ALLAH HAI
YARZAKUN). BESHAK aLLAH NE HARAM KAR
DIYA JAMIN PAR KE WOH
AMBIYAN KE JISMO KO KHAYE
TO ALLAH KE NABI APNI
KARON ME JINDA HE AUR RIZQ
DIYE JATE HE(SAHA SATTA). IS HADIS SE PATA CHALA KE
AMBIYAN JINDAH HE LIHAZA
UN SE MADAD MANGNA JAHIZ
KIU KE WOH JINDA HE.