Post by Mohammed wasim on Jan 18, 2014 20:10:29 GMT 5.5
?WAHABIYO DEOBANDIYO MUHAJIR MAKKI SAHAB PAR BHI BID'AT KA FATWA LAGAAO...
⛔ Wahabiyo Ke Mutabiq Eid-e-MeeladunNabi Sallallahu Ta'ala Alaihe wasallam Jesa Mubarak Bid"at he aur Bareilvi Shirk bid'at karte hein.
(Ma'az Allah).
⛔ Deobandiyo ke Molvi Mahir-ul-Qadri Ne Meelad aur Qayaam ko khurafaat aur mushrikaana Aqaaid likha he.
?(Saheefa Ahle-Hadees Safha-22,16 Jamadi-ul-Awwal 1386 hijri)
⛔ Deobandi Wahabi Mahir ul Qadri Ne likha he k Mehfil e Meelad mein Salat o salaam ke liye khade ho jana ye khaalis bid'at he.
Aur bid'at Sahib e Eimaan ko gumrahi ki taraf Le jaati he.
?(Saheefa Ahle-Hadees Karachi safha-16,Sha'baan 1386 hijri)
⛔Eid-e-Meelad Bid'at he.
(Fataawa Ahle-Hadees Safha-45,jild-3)
⛔Al-Jawab :-
? Deobandi aur Gair Muqallid Molviyo ki ye Aadat he k Fatwa dete huwe ye nahi sochte k is fatwa mein Hamare akaabeer bhi aa jate hein.
⛔ Mahir-ul-Padri ke is saraapa jahaalat fatwa ki zad mein aa kar
Qasim Nanotwi,
Rasheed gangohi,
AUR DEO BANDIYO KA COMEDY KING
Ashraf Ali thanvi,
⛔Khaleel Ahmad ambethwi
ke peer o Murshid
⛔Haji Imadadullah Muhajir Makki bhi aa jate hein.
⛔ Kyunki Unhone haft Mas'ala Mein apna Amal aur tareeqa likha he -
"MASHRAB FAQEER KA YE HE K MEHFIL E MAWLUD MEIN SHAREEK HOTA HE. BALKI ZARIYA E BARKAAT SAMAJH KAR MUN'AQID KARTA HU. AUR QAYAAM MEIN LUTF O LAZZAT PAATA HU.
?(Faisla Haft Mas'ala,Safha-5,Matbu'a Deoband)
⛔Molvi Ashraf Ali thanvi ne Haji Imdadullah Sahab Muhaajir Makki ke Mut'eliq Likha he jis se Haji sahab ka Aqeedah Waazeh hota he. Wo bayan ye he-
"Hazrat(Haji Imadullah Sahab) Se kisi ne pucha ke Qayaam e Mawlud kesa he...
Farmaya mujhe to Lutf aata he.
?(Arwaah e Salaasa,safha-220,Hikayat-161)
⛔ Qara'een e Kiram!! WAHABIYO DEOBANDIYO ko apna muhasaba karna chahiye aur hamara in se mutalaba he k agar Mawlud sharif Bid'at he to Haji muhajir makki sahab jo tumhare guru-ghantaalo ke bhi peer he.
Un par bid'ati hone ka fatwa lagaao...
Agar nahi lagaa sakte to tum bhi bid'ati ho....
Aamna Ke Pyaare Ka,Sabz Gunbad Waale ka
*
Jashn Hum Manaate hein, jalne waale jalte hein...