Post by Mohammed IbRaHim on Jan 23, 2014 16:50:42 GMT 5.5
Hazrate Shiakh Abdul Qadir Jeelani radiallahu ta’ala anhu
Alqab : Muhyuddeen, Sayyedul Auliya, Peerane peer, Gause aazam, Shaikhe la-saani, Qutb Rabbani, Mehboobe Subhani.
Aap ki wiladat 1 Ramzan 470 (18 March 1077 A.D.) ko Amol, Jeelan (Iran) hui.Aap ke walid ka naam Hazrate Sayyed Abu Saleh Moosa Jangi-dost ibne Hazrat Abdullah Jeelani rehmatullahi alaihi aur walida ka naam Hazrate Ummul Khair Fatima binte Sayyed Abdullah Sawmai az-Zaid rehmatullahi alaihi hai.
Aap ke walid Hazrat Imam Hasan Musanna ibne Hazrat Imam Hasan Mujtaba Hazrat Ali radiallahu ta’ala anhu ki nasl se hain ya’ni Hasani saadat hain.
Aap ki walida Hazrat Imam Zain-ul Aabideen ibne Hazrat Imam Husain ibne Hazrat Ali radiallahu tala anhu ki nasl hain ya’ni Husaini saadat hain.
************Aap apni walida ke batan me rahe tab unki umr 60 baras thi. Is umr me hamal rehna bahut mushkil hai.
Aap ki wiladat se pehle Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ne aap ke walid ko khwab me basharat di ke ‘Tumhare liye khushkhabari hai ke tumhare yaha mera beta aane wala hai.’
Aap ki wiladat ki raat Baghdad me jitne bache paida hue wo sab ladke the aur tamam Auliya Allah bane.
Ramzan me paida hone par aap paidaish se sirf raat me hi apni walida ka doodh pite the aur din me nahi pite the.Dusre saal baadal hone ki wajah se Ramzan ka chand nahi dikhai diya tha. Jab kuchh logo ne aap ke ghar par aakar ye baat batai to aap ki walida ne farmaya ke ‘Mera bacha din me doodh nahi pee raha hai, sirf raat me hi doodh pita hai. Is liye Ramzan ka chand ho gaya hai.’
************Aap ke walid ke inteqal ke baad, aap ki walida ne ilme deen ki taalim ke liye aap ko Hamadan ja rahe ek kaafile ke saath bheja aur aap ke kameez ke andar 40 dinar rakhkar upar se sil diye aur aap ko har haal me se sach bolne ki salah di.Raste me dakaito ke giroh ne kaafile ko gherkar loot liya. Aur jab aap se puchha ke ‘Tumhare paas kuchh maal hai?’ To aap ne farmaya ke ‘Mere paas 40 dinar hai jo kameez ke andar sile hue hain.’ Dakoo ke sardar ne kaha ke ‘Aye bache, Agar tu hame sach nahi batata to hame pata bahi chalta.’ Aap ne farmaya ke ‘Meri maa ne mujhe har haal me sach bolne ke liye kaha hai. Is liye main jhut nahi bol sakta.’Aap ki baat sunkar dakoo ke giroh ne foran tauba kar li.
************488 Hijri (1095 A.D.) me aap Baghdad tashrif le gaye aur waha Hambali mazhab ka ilm hasil kiya.Hazrat Abu Ali al-Mukharrimi se aap ne Fiqh ki taalim hasil ki.Abu Bakr ibn Muzaffar se aap ne Hadees ki taalim hasil ki.Abu Muhammad Jaafar se aap ne Tafsir ki taalim hasil ki.Abul Khair Hammad ibn Muslim al-Dabbas aap ne Tasawwuf ki taalim hasil ki.Taalim mukammal karne ke baad aap Baghdad chhodkar Sehara me chale gaye aur 25 baras tak ibadat wa riyazat me guzare.
521 Hijri (1127 A.D.) me aap Baghdad wapas aaye aur logo me Islam ki isha’at karna shuru kiya aur madrasa me talba ko ilme deen sikhana shuru kiya.
Aap ke bayan aur karamat dekhkar beshumar logo ne Islam apnaya.Aap ne apne shagirdo ko jama’at banakar Islam ki isha’at ke liye dusre mulko me bhejna shuru kiya.
************Aap Hazrat Abu Ali al-Mukharrimi rehmatullahi alaihi ke mureed hue.Aap se Tareeqat ka ‘Qadri’ silsila jaari hai.
************Aap Sayyedul Auliya hain ya’ni Tamam Auliya Allah ke Sardar aur Peerane Peer hain.Aap ne jab kaha ke ‘Mera kadam tamam Auliya Allah ki gardano par hai’ tab tamam Auliya Allah ne taslim kiya.Khwaja Moinuddeen Chishti ne farmaya ‘Aye peerane peer, Aap ka kadam mubarak meri gardan par hi nahi, mere sar par hai.’
************Aap ko ‘Gausiyate kubra’ ka martaba mila hai.Aap se pehle Imam Hasan Aksari radiallahu ta’ala anhu ko ye martaba mila hai Aur Gause aazam Shaikh Abdul Qadir Jeelani tak ye Imam Hasan Aksari radiallahu ta’ala anhu ke paas raha aur phir Gause aazam ko mila.Aur aap ke baad ye Imam Mahdi radiallahu ta’ala anhu ko ye milega aur tab tak Gause aazam ki Gausiyate kubra ka zamana rahega.
************Aap ko ‘Mohyuddeen’ ka laqab mila hai ya’ni Deen ko zinda karne wala.Huzoor Sayyedul Ambiya Asharful ambiya sallallahu alaihi wasallam ne har taklif bardasht karke jis deene islam ki bunyad qaaim ki aur Aap ke ashaba ne beshumar qurbaniya dekar Islam ki hifazat ki aur Karbala me Imame Husain radiallahu ta’ala anhu aur Aap ke wafadar saathiyo ne islam ko taaza kiya. Uske bad aimma ne islam ko aur mazboot kiya.Aur phir jab zaroorat pesh aai tab ALLAH ta’ala ne Gause aazam Abdul Qadir Jeelani ‘Mohyuddeen’ radiallah ta’ala anhu ko bhejkar deene islam ko phir se zinda kar diya.
************ALLAH ta’ala ne aap ko aise kamaalat ata farmae aur aap ne aise karamat zaahir kiye ke Kaafiro ne islam apna liya aur Musalman ke eimaan aur mazboot hue.
Jin me Murde ko zinda karna aur barso pehle doobi kashti ko kinare par laana aur be-aulad ko aulad dilana bhi samil hai.Aur paidaish se pehle jab apni ma ke pet me the tab saanp se apni ma ko bachana bhi samil hai.
************Ek roz aap ek mohalle se guzar rahe the to dekha ke ek musalman aur ek nasrani aapas me bahes kar rahe the. Aap ne wajah puchhi to musalman ne kaha ‘Ye nasrani kehta hai ke Hazrate Eisa alaihissalam tumhare Nabi e kareem Mohammad sallallahu alaihi wasallam se afzal hain. Aap ne nasrani se puchha ke ‘Tum kis darje se Hazrate Eisa alaihissalam ko afzal kehte ho?’ Us ne kaha ke ‘Hazrate Eisa alaihissalam murdo ko zinda kiya karte the.’ Aap ne farmaya ke ‘Main Khatimul ambiya sarware kaainat sallallahu alaihi wasallam ka ummati hu. Agar main murdo ko kar du to tu Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ki afzaliyat ko taslim kar lega?’ Us ne kaha ‘Zaroor.’Phir aap sab ke saath qabrastan gaye. Aap ne farmaya ke ‘Bata, Kis qabr ke murde ko zinda karwana chahta hai?’ Us nasrani ne ek purani qabr ki taraf ishara kiya. Aap ne farmaya ‘Ye murda dunya me jo kaam karta tha use batata hua uthata hu.’Aap ne farmaya ‘Kum bi iznillah.’ To qabr khul gai aur murda zinda hokar gaata hua bahar nikla. Aap ne us se uska naam aur kaam puchha. Phir us ne puchha ke ‘Ye kaun sa zamana hai?’ Aap ne farmaya Khatimul ambiya sarware kaainat Mohammad sallallahu alaihi wasallam ka zamana hai. Kya tu dunya me wapas rehna chahta hai.’ Us ne kaha ‘Nahi.’
Ye sab dekhkar wo eisai musalman ho gaya.
************Ek baar ek aurat apne bete ko Hazrate Gause aazam Jeelani radiallah ta’ala anhu ki baargah me khidmat aur taalim ke liye rakhkar gai.Kuchh din baad wo waha aai to dekha ke Sarkar Gause aazam murgi kha rahe hain aur uska beta roti aur saada khana kha raha hai. Us ne kaha ke ‘Huzoor, Main apne bete ko aap ki khidmat me chhod gai thi. Aap to khane me bhi iske saath ye farq kar rahe hain.’Aap ne khana khane ke baad murgi ki haddiya jama karke haath fera to murgi zinda hokar bahar chali gai.Aap ne farmaya ke ‘Jab tumhara beta is darje par pahunch jaaega, tab wo bhi aisa khana kha sakega.’
************Ek baar Hazrate Gause aazam Abdul Qadir Jeelani radiallah ta’ala anhu ki baargah me ek sayyeda khatun aai aur kaha ke ‘Huzoor mere yaha bahut saal se aulad nahi hai. Aap dua kare ke ALLAH ta’ala mujhe aulad ata farmaye.’Aap ne farmaya ke ‘Insha allah tumhare yaha aulad hogi. Main dua karta hu.’
9 mahine baad wo aurat aap ke yaha aai aur kaha ke ‘Huzoor aap ki dua se mere yaha ladki hui hai.’Aap ne bache ko dekhkar farmaya ke ‘Maine to ladke ki dua ki hai. Ye ladki nahi ho sakti, balke ladka hoga.’Jab phir se dekha gaya to ‘Wo bacha ladka hi ho gaya tha.’Aap ne uska naam ‘Shahabuddeen’ rakha aur uske liye dua ki.Wo ladka bada hokar wali e kamil hua aur Hazrat Shahabuddeen Suharwardi rehmatullahi alaihi ke naam se mashhoor hua, jin se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai.
************Ek wali ki wilayat chhin li gai. Wo bahut pareshan ho gae.
Unho ne 70 Auliya Allah se iske liye dua karwai.Lekin koi faida na hua.
Phir wo Gause aazam Abdul Qadir Jeelani radiallah ta'ala ki bargah me gae.
Unko dekhkar Gause aazam ne kaha ‘Main tumhare liye dua karta hu.’
Jab aap ne dua ki to gaib se aawaz aai ke ‘Aye Abdul Qadir, tumhe maloom hai ke ye ajali mardood ho chuka hai.’
Ye sunkar aap ne farmaya ke ‘Aye Rabb, agar aisa hi tha to tune mujh se iske liye dua kyun karwai?’
Gaib se phir aawaz aai ke ‘Aye Abdul Qadir, Main tunhare liye is ko phir se wilayat ata karta hu.’
************Ek baar Gause aazam Hazrat Abdul Qadir Jeelani radiallah ta’ala anhu ki khidmat me Asfahaan ka rehne wala ek Shaks haazir hua aur arz karne laga ke ‘Meri biwi ek muddat se beemari me mubtala hai aur koi dawa ya dua asar nahi karti.’
Hazrat Abdul Qadir Jeelani Radiallah ta’ala anhu ne farmaya ke‘Ye Waadi e Sarandeep ke ‘Haanis’ naam ke ek sarkash jinn ki harkat hain. Jab teri biwi ko Sara ka daura ho, to uske kaan me keh dena ke ‘Aye Haanis! Hazrat Shaikh Abdul Qaadir Jeelani Radiallah ta’ala anhu farmate hain, Tu apni sarkashi se baaz aa warna maar diya jaaega.Uske baad wo shaks Asfahaan chala gaya.
10 saal ke baad aaya to kehne laga ke ‘Ya Sayyedi! Jaisa aap ne farmaya tha maine waisa hi kiya, us din ke baad phir kabhi daura nahi pada.’
************Aap ne bahut saari kitaabe likhi hain, jin me ye kitaabe mashhoor hain :(1) Qaseedatul-Gausia(2) Ghunya li-talibeen tariq al-haqq wa al-deen(3) Fath ur-Rabbani(4) Malfuzat(5) Fatuh ul-Ghaib (6) Jala' al-Khatir Sir Al-Asrar (Secret of secrets) (English translation) (7) Bashair al-Khairat
************Aap ki 4 biwiya, 27 sahabzade aur 22 sahabzadiya hain.Jin me se Shaikh Abdul Wahhab, Shaikh Abdur Razzaq, Shaikh Abdul Azeez, Shaikh Eisa, Shaikh Moosa, Shaikh Yaahya, Shaikh Abdullah, Shaikh Muhammad, Shaikh Ibrahim mashhoor hain.
************Aap ka wisal 17 Rabi-us saani 561 Hijri (20 February 1166 A.D.) ko 91 baras ki umr me hui.Aap ka mazar Baghdad (Iraq) ke Resafa ilake me hai.
************Ek baar Hazrat Khwaja Bahauddeen Bukhari rehmtullahi alaihi jab Gause aazam Abdul Qadir Jeelani radiallah ta’ala anhu ke mazaar par haazir hue to unke dil me ye khayal aaya ke ‘Kaash main Gause aazam ki zaahiri zindagi me aap ki ziyarat kar pata to unko apna peer banata.’
Tab Qabr mubarak se aawaz aai ke ‘Aye dastgeer aalame-dastam chuna bageer, dastam chuna bageer ke goyand dastgeer,Aye naqshband aalme-naqshe chuna baband, naqshe chuna baband ke goyand naqshband.’
Is tarah Hazrat Khwaja Bahauddeen Bukhari rehmtullahi alaihi se Naqshbandi silsila jaari hua.
************ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe meAur Hazrat Gause aazam Abdul Qadir Jeelani radiallahu ta’ala anhu aur Ahle bait ke waseele seSab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.Aameen