Post by Mohammed IbRaHim on Jan 24, 2014 22:44:47 GMT 5.5
Hazrat Khwaja Moinuddeen Hasan Chishti rehmatullahi alaihi
Alqab : Khwaja Gareeb Nawaz, Ata e RASOOL ( sallallahu alaihi wasallam ), Sultan-ul Hind.
***********************
Aap ki wiladat Sajistan (Sistan), Khorasan (Afghanistan) me 536 Hijri (1141 A.D.) me hui.
Aap ke Waalid ka naam Khwaja Sayyed Ghayasuddeen bin Ahmad Hasan rehmatullahi alaihi hai (Jo Husaini saadat hain) aur waalida ka naam Bibi Ummal wara (Bibi Maahe Noor) binte Hazrat Sayyed Dawood rehmatullahi alaihi hai (Jo Hasani saadat hain).
8 baras ki umr me aap ke waalid ka inteqal hua aur 16 baras ki aap ke waalida ka inteqal hua.
***************************
544 Hijri me Ek baar aap apne phalo ke bagiche me kaam kar rahe the, tab Hazrat Ibraheem Qandoozi naam ke ek durwesh waha aae aur bethe. Aap ne unko apne bagiche me se angoor ka guchha pesh kiya aur Unho ne use khaya aur mehman nawazi se khush hokar apne thele me kuch nikala aur use chabakar Khwaja ko khane ke liye diya. Aap ne khushi ke saath use khaya to unke fayuzo barkaat se aap ke liye ilmo hikmat ke darwaze khul gaye. Aur aap ne apna sab kuchh bech diya aur us rakam ko gareebo aur mohtajo ko khairat kar diya aur phir aap Samarkand and Bukhara ki taraf ilme deen sikhne ke liye rawana ho gaye.
544 se 550 Hijri tak aap waha Hazrat maulana Hisaamuddeen aur Hazrat Moulana Sharfuddeen ke paas ilme deen sikhte rahe.
550 Hijri me aap ki mulaqat Huzoor Gause aazam radiallahu ta’ala anhu se hui.
***********************
Aap ek kaamil peer ki talash kar rahe the ke aap ne Khwaja Usman Haarooni rehmatullahi alaihi ke baare me suna. 552 Hijri me Aap unke paas gaye aur unke mureed hue. Aur Ibadate ilahi aur Khidmate murshid karte rahe.
Ek baar Khwaja Usman Harooni ne aap se kaha ke ‘Moinuddeen niche dekho, kya dikhta hai?’ Aap ne niche dekhkar kaha ke ‘Main zameen ke andar dekh sakta hu.’ Peer ne phir kaha ke ‘Ab upar dekho, Kya dikhta hai?’ Aap ne upar dekhkar kaha ke ‘Main aasman ke andar dekh sakta hu.’ Peer ne farmaya ke ‘Main tumhe is se bhi aage pahunchana chahta hu.’
Phir 22 saal peer ki khidmat me guzarne ke baad, ek din peer ne phir bulakar apni do ungliya aap ki dono aankho ke bich me rakhi aur phir farmaya ‘Moinuddeen, niche dekho, kya dikhta hai?’ Aap ne niche dekhkar kaha ‘Main tehtussara tak dekh sakta hu.’ Phir peer ne kaha ‘Ab upar dekho, Kya dikhta hai?’ Aap ne upar dekhkar kaha ‘Main arshe aazam tak dekh sakta hu.’
Khwaja Usman Harooni ne khush hokar aap ko khilafat ata farmai.
************************
Ek baar aap ke peer Khwaja Usman Harooni rehmatullahi alaihi ne apne sab mureedo ko jama karke kaha ke ‘Maine tumhe jo ilm sikhaya hai us se kuch karamat pesh karo.’ Sab mureedo ne bari bari karamat se koi chiz pesh ki. Kisi ne sona, kisi ne chandi, kisi ne hire jawaharat, kisi ne dinaro dirham pesh kiye. Khwaja Moinuddeen ne roti ke tukde pesh kiye. Sab mureed hansane lage.
Itne me darwaje par ek sa’il ne aawaz di ke ‘Main kai din se bhuka hu. Mujhe khane ke liye kuchh de do.’ Sab ne apni apni chize usko dena chaha. Magar us sa’il ne kaha ke ‘Main is sona -chandi, hire jawaharat, dinaro dirham ka kya karun? Mujhe to khane ke liye kuchh do.’
Phir Khwaja ne apne roti ke tukde us ko de diye. Us ne use lekar bahut saari duaen di.
Is ke baad Khwaja Usman Harooni ne farmaya ke ‘Aye Moinuddeen, tum ‘Gareeb nawaz’ ho’.
*************************
555 Hijri me Hazrat Shaikh Ziyauddeen Abu Najib Abdul Qadir Suharwardi rehmatullahi alaihi se mulaqat hui.
561 Hijri me Daata Ganj Bakhsh rehmatullahi alaihi ke mazaar par Chilla-kashi ki.
**************************
563 Hijri me Khwaja Usman Harooni ne aap ko jhubba mubarak ata kiya aur apne saath hajj ko lekar gaye.
Ek baar aap Makka shareef me Masjide Haram me ibadat me mashgool the. Itne me gaib se aawaz aai ‘Aye Moinuddeen, Tera Rabb tujh se raazi hai, jo chaho mang lo.’ Aap ne farmaya ‘Aye mere Rabb, silsila e chishtiya me daakhil hone walo ko bakhsh de.’ Phir aawaz aai ke ‘ Maine tumhari dua qubool farmai hai aur Qayamat tak ke silsila e chishtiya me dakhil hone wale ummate mohammadi ko bakhsh diya hai.’
Is ke baad jab Madina shareef pahunche aur Huzoor Sarware kaunain sallallahu alaihi wasallam ko Salaam pesh kiya ‘Assalatu Wassalaamu Alayka Ya Rehmatullil Alamin’ to Roza mubarak me se jawab aaya ‘Wa Alaikum Salaam Ya Qutbul Mashaikhe Bahro Bar’ (Aur tum par bhi salaamati ho, Aye zameen aur samundar ke buzurgo ke Qutub’.
***********************
580 Hijri me Huzoor Gause aazam radiallahu ta’ala anhu se dobara mulaqat hui.
582 Hijri me Isfahaan me Khwaja Qutbuddeen Bhakhtiyar Kaki ko mureed banaya aur 585 Hijri me Samarkand me unko khilafat ata farmai.
***********************
585 Hijri me aap Khwaja Qutbuddeen Bhakhtiyar Kaki ke saath Harmain shareefain gaye to Sarkare Madina Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne khwab me tashreef laakar farmaya ke ‘Aye Moinuddeen, Tum deen ke madadgar ho. Tum ab Hindustan jaao aur waha jaahiliyat ko door karke logo ko deene islam ka sahi rasta dikhao.’
***********************
Raaste me bahut saare sufi auliya se fayuzo barkaat haasil karte hue aur hazaro logo ko apna faiz ata karte aur deen ki sahi raah dikhate hue aap Hindustan me Lahore me kuchh arse ke liye rooke aur phir waha se 587 hijri (1190 A.D.) me 52 baras ki umr me Rajputana (Rajasthan) ilake ke Ajmer me pahunche. Jaha PrithviRaj Chauhan ki hukoomat thi.
Ek baar Khwaja apne saathiyo ke saath ek darakht ke niche bethe the. Itne me Raja ke sipahiyo ne aakar kaha ke ‘Tum sab yaha se khade ho jaao. Ye raja ke oonto ke bethne ki jagah hai.’ Aap ne kaha ke ‘Ye oont doosri koi jagah par bhi beth sakte hain.’ To unho ne kaha ke ‘Nahi, Ye oont roz yahi par bethte hain.’ To aap waha se khade ho gae aur farmaya ke ‘Theek hai. Ab ye oont yahi par bethenge.’ Aur aap door chale gaye.
Phir kuchh waqt ke baad sipahiyo ne oonto ko khade karne ki koshish ki to wo waha se khade na hue. Bahut koshish karne ke baad nakaam hokar wo sab raja ke darbar me haazir he aur saari baaten bayan ki. To usne kaha ke ‘Tum us faqeer ke paas jaao aur us se muafi maango.’
Wo sipahi khwaja ko dhundhte hue waha pahunche aur muafi maangi. Khwaja ne farmaya ke ‘Jaao, tumhare oont khade ho gaye hain.’ Unho ne waha jaakar dekha to wo oont khade ho gaye the.
************************
Is ke baad aap ne bahut saari karamate dikhai. Jis me Anna sagar ko apne kaanse me sama lena aur Ajaypal jadoogar ke fenke gaye patthar ko aasman me hi rok dena aur usko musalman banana mashhoor hai.
Aap ne apne Roohani faiz aur Karamaat aur Husne akhlak se Hinadustan me Islam ki bunyad mazboot ki aur bulandi aur waqar ata farmaya.
************************
Ek baar aap Ana sagar ke paas se guzar rahe the ki aap ne ek aurat ki rone ki aawaz suni. Puchhne par pata chala ke wo aurat bahut gareeb thi aur uski gay mar gai thi. Aap us ke saath us gaae ke paas gaye aur dua ki to wo gaae zinda ho gai. Ye dekhkar wo aurat aap ke kadmo me gir gai.
************************
589 Hijri me Ajmer me Shahabuddeen Ghori aap ke mureed bane.
611 Hijri me aap Delhi tashreef le gaye.
***********************
Aap 7wi sadi ke Mujaddid hain.
Aap ne bahut saari kitaabe likhi hain,
Jin me Anees al-Arwaa aur Daleel-ul Aarifeen mashhoor hain.
***********************
Aap farmate hain :
(1) Kisi ka dil na dukhao,
Ho sakta hai ki wo aansu tumhari saza ban jaaye.
Dukhiyo ki madad karna aur un ki fariyaad sunna afzal Ibaadat hai.
(2) Jhuti Qasam khane se ghar me se Barkat chali jaati hai.
Hamesha sach baat kaha karo.
***********************
Aap ki 2 biwiya hain aur 3 bete aur 1 beti hain.
Bibi Ummatullah se (Nikah 590 Hijri)
(1) Khwaja Fakhruddeen rehmatullahi alaihi
(2) Khwaja Hisamuddeen rehmatullahi alaihi
(3) Bibi Hafeeza Jamaal rehmatullahi alaihi.
Bibi Asmatullah se (Nikah 620 Hijri)
Hazrat Khwaja Ziyauddeen Abu Saeed rehmatullahi alaihi.
************************
Aap Khwaja Usman Harooni rehmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se Hindustan me Chishtiya silsila jaari hai.
Aap ke bahut saare mureedo ne Hindustan me deene islam ki isha’at ka kaam jaari rakha.
Aap ke 2 khalifa mashhoor hain :
(1) Hazrat Khwaja Qutbuddeen Bakhtiar Kaki rehmatullahi alaihi (Delhi)
(2) Hazrat Khwaja Hameeduddeen Naagori rehmatullahi alaihi (Delhi).
In ke ilawa aap ke silsile (khalifa ke khalifa) me bahut saare auliya Allah mashhoor hain :
Hazrat Khwaja Fareeduddeen Ganje shakar rehmatullahi alaihi (Pak Pattan),
Hazrat Khwaja Alauddeen Ali Ahmad Saabir Kaliyari rehmatullahi alaihi,
Hazrat Khawaja Shamsuddeen Turk rehmatullahi alaihi Panipati,
Hazrat Khwaja Nizamuddeen Awliya rehmatullahi alaihi (Delhi),
Hazrat Khwaja Nasiruddeen Chirage Delhi rehmatullahi alaihi (Delhi), Hazrat Ameer Khusro (Delhi), Hazrat Burhanuddeen Ghareeb (Khuldabad [Maharashtra]), Hazrat Jalaluddeen Bhandari (Fatehabad [Maharashtra]), Hazrat Muhammad Hussaini Gesudaraz Banda-nawaz rehmatullahi alaihi (Gulbarga [Karnataka]), Hazrat Sayyed Ahmad Badepaa (Lancer [Hyderabad]), Hazrat Sirajuddeen Aqi Siraj (Aaina-e-Hind) rehmatullahi alaihi (Gaur [West Bengal]), Sayyed Mahmood Kashkinakar rehmatullahi alaihi,
Hazrat Shah Niyaz Ahmad rehmatullahi alaihi (Bareilly),
Hazrat Shaikh Ala-ul Haq Pandawi rehmatullahi alaihi,
Hazrat Auhaduddeen Makhdoom Ashraf Simnani rehmatullahi alaihi (Kichauchha),
Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul ain rehmatullahi alaihi.
**********************
Aap ka wisal 6 Rajab 633 hijri (March 16, 1236) ko 97 baras ki umr me hua.
Aap ko aap ka mazaar Ajmer (Rajasthan) me hai.
***********************
Wisal ke baad bhi aap ka faiz aur karamaat jari hai.
Aap ke mazaar par haazir hone walo aur aap ke waseele se dua maangne walo ko
ALLAH ta’ala har nek jaiz murad ata farmata hai.
Jis me ye qissa bahut mashhoor hai.
Ek baar Baadshah Aurangzaib rehmatullah alaihi Khwaja Gareeb nawaz rehmatullah alaihi ke mazaar ki ziyarat ke liye Ajmer gaye. Ajmer pahunchkar aap ne kaha ke 'Main maanta hu ke Khwaja Gareeb nawaz rehmatullah alaihi ALLAH ke wali hain magar main jab mazaar par unko salaam pesh karu to mujhe jawab milna chahiye, warna main mazar ko tod dunga.'
Aap jab a par pahunche to waha ek andha shakhs bethkar ilteja kar raha tha.
Aap ne puchha ke ‘Aye shakhs, kya muamala hai?' Us shakhs ne kaha ke ‘Main bahut arse se Khawaja ke waseele se dua kar raha hu ke mujhe aankho ki roshni mil jaaye. Lekin koi faida nahi hua.’
Aap ne us se kaha ke ‘Main mazaar me salaam karke aata hu, agar tujhe aankh ki roshni nahi mili to talwar se teri gardan kaat dalunga.’
Wo andha shakhs pareshan ho gaya ke ab to aankh ke saath jaan par baat aa gai hai. Wo aur zor se Khwaja ke waseele se dua maangne laga.
Jab Aurangzaib ne Khwaja ko salaam kiya to uska jawab na mila, dobara salaam kiya to jawab na mila, phir jab teesri bar salaam kiya to aahista se jawab mila.
Phir Khwaja ne mazaar me se farmaya ke ‘Aye Aurangzaib, Aainda kabhi aisi zidh mat karna. Tumhari zidh ki wajah se us andhe shakhs ki aankho ki roshni laane ke liye main arshe ilahi par gaya tha. Aur is liye salaam ka jawab dene me thodi der ho gai.’
************************
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Aur Khwaja Gareeb nawaz Ata e RASOOL(sallallahu alaihi wasallam) rehmtullahi alaihi aur Ahle bait aur Auliya ALLAH ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam ata farmae aur sab ke Eiman ki hifazat farmae aur sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Aameen