Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 7, 2014 16:50:43 GMT 5.5
KIYA SHEIKH ABDUL QADIR JEELANI(R.A)KO GHAUSE AZAM KAHNA SHIRK HAI?
Musalman Sultanul Awliya,Peerane Peer,dastagheer Sheikh Abdul Qadir Jeelani Rahmatullah Alaihe ko kai alqabon se pukarte hain usi me ek laqab hai "Ghause Azam" jiska matlab hota hai bada madadgar.
Kuch log bhole bhale musalmano ko ye kah kar bahkate hain aur unme zahni intashar paida karte hain ke madadgar to sirf Allah tala ki zaat hai fir sheikh abdul qadir jeelani(r.a)ko kaise bada madadgar kah sakte hain?Ye to shirk hai fir wo quran ki ye ayat bhi pesh karte hain.
"Yeh is liye ke Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai"
(Surah e Muhammad, Aayat 11).
Fir kahte hain ke dekho jab Allah madadgar hai to koi aur madadgar kaise ho sakta hai ye to shirk hai?
Kash ye jahil kism ke log quran ko mukammal taur par padhte aur samajhte to khud ka bhi iman mahfooz rahta aur dusron ko yun bhatkate na firte.
Beshak Allah quran me kahta hai ke
MADADGAAR ALLAH TA'ALA HAI

Magar Allah Tala Quran me ye bhi kahta hai ke
JIBRAEL (ALAIHE SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN:
فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلٰىهُ وَجِبْرِيلُ وَصٰلِحُ الْمُؤْمِنِينَ ۖ وَالْمَلٰٓئِكَةُ بَعْدَ ذٰلِكَ ظَهِير.
"Beshak Allah unka madadgar hai aur jibraeel aur nek Iman wale aur iske bad farishte madad karte hain"(Tahreem ayat 4)
Pehli Aayat par Ghaur karen to yeh Sawaal paida hoga ke Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa???
Kiya Allah Tala khud quran me shirk ki taleem de raha hai?(Nauzubillah)
Is main Tatbee yun qayam hogi ke ALLAH Tala Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Alaihe Salaam), aur Aliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma raha hai us main Aur jis ko Ata kiya ja raha hai un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya ja sakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga???
Isi liye Shaikh Abdul Qadir jeelani(r.a)ko Ghaus e Azam kahna hargiz shirk nahi ho sakta ke ye Allah ki ata se madad karte hain.
Hum Quran se kuch aur misalen pesh karte hain take zahan saaf ho jaye aur wahabiyon ke makro fareb se bacha ja sake
Allah Ta'ala Quran paak me irshad farmata hai ke.
وَمَنْ أَصْدَقُ مِنَ اللَّهِ حَدِيثًا
Aur Allah se ziyadah kiski baat sachi.
(Quran 4:87)
Lekin hum jante hain ke Hazrat Abu Bakar Siddique Radi Allaho anho ko Rasool paak Sal Allaho Alaihe Wasallam ne As-siddiq ke laqab se nawaza aur unhe Siddique Akbar bhi kaha jata hai.
To kiya inhe siddique Akbar kahna shirk ho gaya?
kiyunki Siddique Akbar ka matlab hua sabse bada sacha aur Allah Quran me irshad farma raha hai ke Allah se ziyadah kiski baat sachi.
Agar ye shirk nahi to fir Sheikh Abdul Qadir jeelani(r.a) ko Ghause Azam kahna kaise shirk hoga?
Ek aur misal pesh hai.
Allah Ta'ala quran paak me irshad farmata hai.
إِنَّ اللَّهَ بِالنَّاسِ لَرَءُوفٌ رَّحِيمٌ
Beshak Allah admiyon par bahot meharban raham wala hai.
(Quran 2:143).
is ayat se malum hua ke Allah Tala Rauf wa Raheem hai.
Par isi quran me Allah Ta'ala irshad farmata hai ke.
لَقَدْ جَآءَكُمْ رَسُولٌ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِيصٌ عَلَيْكُم بِالْمُؤْمِنِينَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ
"Beshak tumhare pas tashreef laye tum mein se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain".
(Quran 9:128)
Is ayat me Allah Ta'ala ne khud Nabi e Akram SalAllaho Alaihe wasallam ko Rauf wa raheem kaha to kiya Allah tala ne shirk kiya?(Nauzubillah).
Is mein Tatbee yun Qayam hogi ke ALLAH TA'ALA haqeeqi tor par RAOUF aur RAHEEM hai, jab k Huzoor (Sal Allaho Alaihe Qasallam) ALLAH TA'ALA ki Ata se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojaye, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.
Kisi bhi musalman se pucha jaye ke tumhara Rabb kon hai to wo bila jhijhak kahega Allah Taala.
Aur ye sahi bhi hai beshak, hamara haqeeqi Rabb Allah Tala hi hai.
Par kiya ap jante hain Yusuf alaihe salam ne Badshah aziz ko Rabb kaha?
قَالَ مَعَاذَ اللَّهِ ۖ إِنَّهُۥ رَبِّىٓ أَحْسَنَ مَثْوَاىَ ۖ
Kaha Allah ki panah wo(aziz)to mera Rabb(yani parwarish karne wala hai)usne mujhe achi tarah rakha.
(Quran 12:23).
Wahabiyo jawab do,kiya Yusuf Alaihe salam ne shirk kiya?(Nauzubillah).
Aisa khyal bhi kisi ko kaafir bana dega.Yahan Yusuf Alaihe salam ne mizazi taur par badshah ko Rabb kaha ke usne inki parwarish ki ache se rakha na ke Haqeeqi Rabb.
Aur bhi misalen pesh ki ja sakti hain par article lamba na ho jaye is liye is sher ke sath ise band karta hun ke
Toofane Nooh lane se aye chashm kiya fayeda,
Do Ashk hi bahot hai agar kuch asar kare.