Post by Mohammed IbRaHim on Apr 11, 2014 18:01:24 GMT 5.5
Imaam Bukhari [Rha] Muqallid The Ya Gair Muqallid ?
Dosto! Ghair Muqallideen Aksar Kaha Karte Hain Ke Imaam Bukhari (Rha) Muqallid Nahi The Balke Ghair Muqallid The….
…
Jo Inki Naa Waqfi Aur Mutaalia Ki Kami Ki Baat Hai Kyunki In He Ke Badon Ne Imaam Bukhaari (Rha) Ko Muqallid Likha Hai….
.
Nawaab Siddique Hasan Khaan Ne Imaam Bukhari Ko Shaafai Batlaaya Hai..
.
Dekhiye : (Abjad Ul Uloom Jild 3 Safha 126-127)
.
Scane:
Hazrat Qastalaani (Rha) Ne Bukhari Ki Sharah
IRSHAADAS-SAARI Me Imaam Bukhaari (Rha) Ko Shaafai Naqal Kiya Hai..
.
Dekho: Jild 1 Safha 33
.
Scane:
Hazrat Shaah Waliyullah Dehlawi (Rha) Ne Bhi Inko
Shaafai Qaraar Diya Hai.
.
Dekhiye: (Insaaf Safha 50)
.
Scane
Tabqaatush-Shaafiya Me Bhi Imaam Subki (Rha) Ne Imaam Bukhari (Rha) Ko Shaafai Likha Hai.
.
Dekhiye :Safha 214)
.
Scane
Kuch Log Imaam Bukhaari (Rha) Ko Hanbli Qaraar Dete Hain……Shaikh Ul Islam Ibne Taimiya (Rha) Ka Yahi Rujhaan Hai…Chunaanche Farmaate Hain:
.
”Aimma Hadees Jaise Bukhari.. Muslim..Tirmizi..Nasai..Aur Inke Alaawah Kuch Dosre Muhaddiseen Bhi Imaam Ahmad Aur Imaam Ishaaq Ibne
Raahwiya Ke Muttabaeen Me Inka Shumaar Bhi Unhin Logo Me Se Hai Jinhone Un Dono Se Fiqah Aur Hadees Ka ilm Haasil Kiya”
.
(Faatwa..jild 25 Safha 232)
.
Scane
Imaam ibne Qayyim (Rha) Ne Bhi Imaam Bukhari (Rha) Ko Hanbali Batlaaya Hai..
.
Dekho: (A’laam Ul Muqaeen, Jild 3 Safha 543)
.
Scane
Baher Haal Imaam Bukhari (Rha) Khwaah Imaam
Shafai (Rha) Ke Muttabe Wa Muqallid Hon…Khwaah Imaam Ahmad (Rha) Ke Muttabe Aur Muqallid Hon…Woh The Muqallid He…Kisi Ne Unko Ghair Muqallid Nahi Qaraar Diya Hai…Isliye Imaam Bukhaari (Rha) Ke Baare Me Ye Kehna Ke Woh Ghair Muqallid The Bila Tehqeeq Baat Hogi..
.
Aur Agar Unko Muqallid Nahi Balke Mujtahid Mutlaq Qaraar Diya Jaaye To Woh Aise Mujtahid The Ke Unki Fiqhi Maslak Ko Ummat Ne Qubool
Nahi Kiya Aur Na Islam Ki Taareekh Me Imaam Bukhari (Rha) Ka Koi Muttabe…Muqallid Nazar Aata Hai..
.
Imam Tirmizi (Rha) Imaam Bukhari (Rha) Ke Khaas Shagird The Woh Hadees Ke Silsila Me To Imaam Bukhari (Rha) Ki Raaye Aur Unka Qaul Naqal
Karte Hain Magar Fiqhi Mazhab Ke Bayaan Me Unka Kahin Zikr Nahi Karte…
.
Ya’Ni Khud Imaam Tirmizi (Rha) Ki Nigaah Me Bukhari (Rha) Sirf Muhaddis The Fiqah Me Unka Alag Se Koi Mazhab Nahi Tha…Balke Woh Yaa To
Imaam Shaafai (Rha) Ka Qaul Ikhtiyaar Karte Hain Ya Imaam Ahmad Bin Hanbal (Rha) Ka. Albatta ilm-E-Hadees Me Woh Mujtahid The…Aur Aimma
Hadees Me Unka Muqaam Buland Tha…
.
Aur Ab Aakhir Me Batur Lateefa Ye Bhi Sun Lijiye Ke Agar Aap Unko (Imaam Bukhaari [Rha] Ko) Ghair
Muqallid Bhi Qaraar Denge To Woh Is Zamaane Wale Ghair Muqallid Nahi The..
.
Is Liye Ke Is Zamaana Ke Ghair Muqallido Ka Mazhab Ye Hai Ke
Ek Majlis Ki 3 Talaaq 1 Hogi Aur Imaam Bukhari Ke Yahan Ek Majlis Ki 3 Talaaq 3 He Shumaar Hogi…
.
Aaj Ke Ghair Muqallidon Ka Mazhab Ye Hai Ke Haalat E Haiz Me Jo Talaaq Di Jaayegi Woh Waaqe Na Hogi..Imaam Bukhari (Rha) Ke Yahaan Waaqe Ho Jaayegi…
.
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Ek Haath Se Musafah Karte Hain..Imaam Bukhari (Rha) Dono Haath Se Musaafah Ke Qaayel The…
.
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Tahajjud Aur Taraaweeh Ko Ek Batlaate Hain…Imaam Bukhari
(Rha) Ke Yahaan Tahajjud Alag Aur Taraaweeh Alag Namaz Thi
.
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen 8 Rakaat Taraaweeh Padhte Hain….Imaam Bukhari 8 Rakaat Taraaweeh Ke Qaayel Nahi The.
.
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Qabron Se Tabarruk Haasil Karne Ko Haraam Kehte Hain Aur Imaam Bukhari (Rha) Qabro Se Tabarruk Haasil Karne Ke Qaayel The…
.
Chunaanche Unhone Apni Taareekh Likhne Ki Ibtida Aan Huzoor Sallallahu Alaihi
Wasallam Ki Qabr Mubarak Ke Paas Baith Kar Ki…
.
Imaam Bukhari (Rha) Khud Farmaate Hain:
.
”Maine Apni Taareekh Ki Tasneef Ki Ibtida Madeena Munwwara Me Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr [Mubarak] Ke Paas Ki”
.
(Muqaddamafath Ul Bari Safha 479)
.
Scane
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Buzurgon Ke Tabarrukaat Se Faayeda Uthhane Ko Haraam
Samjhte Hain…Imaam Bukhari (Rha) Ke Yahaan Buzurgo Ke Tabarrukaat Se Barkat Haasil Karna Jaayez Tha….
.
Haafiz ibne Hajar (Rha) Likhte Hain:
.
”Unke Paas (Ya’Ni Imaam Bukhaari Ke Saas) Nabi
Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Kuch Baal Tha Wo Use Apne Libaas Me Rakhte The”
.
Dekhiye: (Muqaddama Fathul Baari Safha 482)
.
Scane
Gharz Imaam Bukhaari (Rha) Ghair Muqallid Bhi Honge To Woh Aaj Wale Ghair Muqallid Nahi The…
.
Unka Mazhab Aaj Ke Ghair Muqallidon Se Bilkul Alag Tha.
.
Lehaza ALLAH Ta’laa Se Dua Hai Ke Woh Hamen Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Aur Unke Fitno Se Mahfooz Farmaaye…
Aameen Summa Aameen