Post by Mohammed IbRaHim on Jul 6, 2014 11:03:47 GMT 5.5
GHAIR–MUQALLID FIRQON KE NAAM KI HAQEEQAT:
Hindustan ki Taareekh me Angrezon ke Daur se pehle Ahl-e-Qur'an wa Ahl-e- Hadees, ye dono Alfaz Ahl-e-Sunnat Wal Jama't (Hanafi, Shaafa’I, Hanbali, Maaliki) ke 2 Ilmi Tibqon par istemal hotey the.. Aur Aaj bhi yehi Alfaaz hote hain.
1. Ahl-e-Qur'an: se asal muraad Huffaaz wa Mufassireen ki Jama’t hai.
2. Ahl-e-Hadees: se asal muraad Hazraate Muhaddiseen ki Jama’t hai.
Aur waqt ke sath Ye dono Alfaaz Qur’an wa Ahaadees ka Dars dene walon ke liye iste’mal hone lagey. Ya’ni Un Hazraat ke liye iste’maal hone lagey Jo Qur’an wa Ahaadees ke HAAFIZ hain aur inka DARS dete hain. Har Aam Aadmi ke liye ye Lafz iste’maal nahi hote the.
Aur Aaj ka Firqa-e-Jadeed Naam Nihaad Ahl-e-Hadees, Haqeeqi Ahl-e- Hadees Nahi hain. Na to inka Rishta kisi Muhaddis se judta hai Na ye Ahaadees ke Haafiz hain. Haqeeqat to Ye hai ke Is firqa-e-Jadeed Naam Nihaad Ahl-e-Hadees ke maanne wale log to Tark-e-Taqleed (Taqleed ko chhor) kar ke Apne Aap ko Naam Nihaad Ahle-Hadees se Jod liya hai.
(Aap logon ko Aksar ye sunne me aata hoga ke Ghair-Muqallid kehta hai ke Main bhi Pehle Hanafi tha, Ab TAQLEED chhor kar Ahl-e-Hadees ban gaya hu waghera).Aur phir logon me SHOR machaate hain ke Ye to HAQEEQI Ahl-e- Hadees hain Chaahe Usey Qur’an ya Hadees ka ek Lafz bhi padhna na aata ho (Anpadh hone ki wajah se).
Inke haan! Shart bas yehi hai ke bas TAQLEED chhoro aur (Naam Nihaad) MUHADDIS ban jao aur Ulema’-e-Deen ko JAHANNAMI kaho.
Phir Ahl-e- Qur'an, Jama'tul Muslimeen ke log bhi hain. Aur aise bohat saare Ghair-Muqallid firqe’ hain Jo Apne Naam ka iste’maal kar ke Logon ko Gumraah karne ki Saazishein rachte hain.
3. Jama'tul Muslimeen: se asal muraad Musalmano ki jama't hai Jisme har Kalimah go shamil hai.
Jab Angrezon ka daur Hindustan me aaya tab yun hua ke.. Jo La-Mazhab Munkareen-e-Hadees the Unko Ahl-e-Qur'an kaha jaane laga aur Jo La-Mazhab, Munkareen-e-Fiqh aur NAFS-PARAST the, Unko Ahl-e-Hadees kaha jaane laga jabke Asal me toh inka amal Ahl-e-Hadis Nafsi ka hai kyonke Ye NAFS ke mutabiq wali Ahaadees per amal karte hain aur NAFS ke khilaf wali Ahaadees ko SHAHEED karte hain.
Aur Jama’tul Muslimeen, Ghurba’ Ahl-e- Hadees ek aur ghair-Muqallid firqe’ se pada hua ek firqa’ hai Jo Khud ko Muslim samajhta hai aur baqyon ko Ghair-Muslim.
1. Ahl-e-Qur'an: Ye asal me toh Ahadis ke hi munkar hain. Kehte hain Ahadees ki kitabein, Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki wafat ke 200 saal ba'd likhi gayi hain, isliye in par aitmad Nahi. [Surah Ahzab:21] me Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki zindagi ko Qayamat tak tamam Insano ke liye Behtareen Namuna qarar diya hai.
Ab bechare Ek toh hain Ghair Muqallid oopar se Ahadees ke Munkar to Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki Mubarak Zindagi kaise ma'loom karengey.? Becharon ka Amal Qur’an per bhi nahi ho raha hai.
Waise Meri mulaqaat 2 Ghair Muqallid firqon se hui hai Ek toh Ahl-e-Hadis aur Doosre Jama'tul Muslimeen.
Naam Nihaad Ahl-e-Qur’an se to Kabhi aamna-saamna nahi hua hai. To Mai In do firqe’ (Naam Nihaad Ahl-e- Hadees wa Jama’tul Muslimeen) ke dhoke Aap ke saamne rakhne ki koshish karta hu.
2. Jama'tul Muslimeen: Ye log Hadees pesh karte hain [Bukhari wa Muslim] ke hawale se Huzaifa (raz.) se marvi, Hadees ka maf’hoom hai: “Jamatul Muslimeen aur iske Imam ko lazim pakad lo aur Tamam firqe (Ahle Hadis, Ahle Quran, Shia, Qadyani, Hanafi, Shafi'i, Maliki etc.) se alag ho jao.”Aur ek Hadees Haakim ke hawale se bhi pesh karte hain Mafhoom hadis hai ke: “...Jisne apne aap ko Jamatul Muslimeen se alag kar liya goya usne apne Galey se Islam ka patta utaar diya.” Ya’ni Is firqe’ se Jo bhi ab tak Nahi Judey hue hain (Ahl-e-Hadees, Hanafi, Shaafa’I, Hanbali waghera) goya Wo Sab ke Sab MUSHRIK hain. (Na’oozu billah)
Firqae Ahl-e-Hadees ki tarah Ye bhi apne ilawa kisi ko Musalman nahi jaantey. Abhi decide nahi kiya hai ke Mazaaheb-e-SALAF ke maanne walon ko BID’ATI kahein ya MUSHRIK. Inme ba’z kehte hain TAQLEED Shirk hai aur ba’z BID’AT.
Algharz, Jab ke asal me Hadees ka maf'hoom hai: “Agar Musalmano ki koi Jama't aur inka Imam ho to Usko lazim pakad lo aur Musalmano ki koi jama't na ho to tamam firqon se alag ho kar Jungle me chale jao yahan tak ke wahin par maut aa jaye.” Ye log Tamam Hadees ke lafz ka Urdu me Tarjumah karte hain sivaye lafz “Jama’tul Muslimeen” ke.. Jabke Jamatul Muslimeen se murad Musalmano ki kisi bhi muttahid Jama't ko lazim pakadne ka hai.
Hafiz Ibne Hajar (rah.) [Fatahul Baari] me likhte hain: “Imam se murad Khalifa ya Ameerul Mu'mineen hai. Isi tarah hadees me Firqon se muraad wo tamam firqe hain jo Ahle Sunnat se hatey hue hain.”
Mullah Ali Qari Hanafi (rah.) Likhte hain ke: “Tamam firqo se alag ho jao ya’ni Un Gumrah firqon se Jo Ahle Sunnat wal Jama't ke tareeqe ke khilaf hain.” (Mirqat 10/10)
Aur Qur’an wa Hadees ke maahir Ulema’ ka Qur'an wa Hadees ki roshni me is par ittefaq hai ke Hanafi, Shafia'i, Maliki, Hanbali Haqeeqi Ahle Sunnat hain. Harmeen Shareefain me bhi in 4 Mazaheb ke ilawa kisi aur firqe’ ka Musallah nahi hua. Ahl-e-Hadees Naam ka koi Musallah maujood hi na tha kyonke Is firqe’ ka Wujood to ANGREZON ke daur me aaya.
Aur jab Saudi Arabia me NAJADI Hukumat Qayem hui toh, Un logon ne 3 Musallon ko wahan se nikaal diya. Per ab bhi wahan Ahle Sunnat, Hanablah ka Musallah baqi hai.
3. Ahl-e-Hadis: Ab La Mazhab, Ahl-e-Hadees bhi Jama'tul Muslimeen se peeche nahi hain. Inko Jahan kahin bhi Ahl-e- Hadees lafz mil jaye Chaahe Qur’an wa Ahaadees se ho ya phir Ulema’-e-Deen ke Aqwaal se ho Usey SEENE se laga lete hain aur har tarah se Logon ko dhoka dete hue is Lafz ‘Ahl-e-Hadees’ ko Apne se Jod lete hain Jabke Unhein Ye Khoob pata hai ke ya to Unhone Ya unke Waalid ne ya Daada ne Tark-e-Taqleed karke firqa Ahle-Hadees se apna rishta qayem kiya hai. Is tarah Rishta jodne se kya koi Haqeeqi Ahl-e-Hadis ho jayega.? Agar koi Khud ko Musalman kahta hai aur Shirk karta hai to, Kya Wo Musalman baaqi rahega.? Hargiz nahi. Naam se Kuch nahi hota hai balke Sab kuch Amal se hota hai.
Ye log ARABIYON ko Dhoka dene ke liye Khud ko SALAFI kehlaate hain kyonke ARABIYON ke paas Ahl-e- Hadees ka lafz iste’maal karega to Pakra jo Jaayega kyonke Wo to Ahl-e- hadees Lafz ke Saheeh Matlab wa Ma’ne se achhi tarah waaqif hote hain. SALAF ke Mazaheb ke Munkareen hain aur in MAZAAHEB ko 72 Jahannami Firqon me shumaar karne waale JAAHIL Khud ko SALAFI kehalwaate dekh Ta’jjub hota hai.
Inko Na to SHIYON se Koi Baer hai na QADYANIO se. Bas Hanafiyon ko hi Gumraah sabit karna inka MEHBOOB Mashghala’ ban gaya hai. Isiliye to Inke Mullaon ki likhi 98% Kitabein AHNAAF ke khilaaf hain. Kuch Naam Nihaad, Ahl-e-Hadees kehte hain ke Imam Abu Haneefah (rah.) bhi Ghair Muqallid the aur Hum bhi Ghair Muqallid hain, Kuch kehte hain ke Imam Bukhari wa Muslim (rah.) etc. Ahl-e-Hadis the aur Hum bhi Ahl-e- Hadis hain.
Aur kuch kehte hain ke Sahaba raz., Taba'een waghera Salaf the, Hum bhi Salafi hain.
Aur Kuch kehte hain ke Hum to sirf Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki ittiba' karte hain, isliye Hum Muhammadi hain.
Is firqe ne toh itne Naam chun kar apne oopar chuspa kar liye hain ke koi kam Aql, Jaahil, ye Naam sun kar Tark-e- Taqlid karne tayyaar ho jayega.
Aur kuch Ghair Muqallideen Ahadees se ye sabit karne ki Koshish karte hain ke fala' fala' Sahabi Ahl-e-Hadees the.
Aur kuch Ghair Muqallid, Qur'an se sabit karne ki koshish kartey hain. kehte hain ke hamari Jama't ka naam fala' jagah Hadees me aaya hai fala' jagah Qur'an me aaya hai fala' Muhaddis wa Aalim ne zikr kiya hai aur humey Firqa- e-Najiyah me shumaar kiya hai.
Ye mahaz ek dhoka hai. Jab ke Ye sab Haqeeqi Ahl-e-Hadeeson ke liye hai Na ke Nafs-Paraston ke liye. Kabhi Aimma-e-Araba’ ke Mazaheb ki Taqleed karne waalo ne aisa Lafzon ka Khel Nahi khela hai..
4. Ye Sab kuch bilkul aisa hi hai Jaisa ke Mirza Ghulam AHMED QADYANI Mal’oon ka apna Naam AHMED Qur'an se kam Aql logon ko dikha kar Nabuwwat ka da'wa karna..
Sun lo! Ahl-e-Hadees, Jama'tul Muslimeen, Ahl-e-Qur'an aur Ahmedi, Naam Qur'an wa Ahadees me dikhaane se kya ye tamam firqe Haqq par ho jayengey.?
Ye to 4 firqe’ hain phir Firqa’-e-Naajiyah to Ek hi hai.?
Aye Ghair Muqallido! Apne firqe ka naam Qur'an wa Ahadis se dikhane se Tum Ahle Sunnat Wal Jama't me shumar nahi ho jaogey na Tum Firqa-e-Najiyah me shumaar ho jaogey.. Balke Tumhara Aqidah wa Amal durust hona chahiye.
Allah ta'la Jama't ke naam dekh kar humey Jannat ya jahannum me Nahi daaqil karega balke hamare A'maal dekh kar..
(Wallaahu Aa’lam bis Sawaab)
***** AHLE JANNAT *****
Apni Jamaat ka Naam SALAFI rakh lene se koi Salaf-Sualiheen ka maan'ne wala nahi ho jata.
Apni Jamaat ka naam AHLE QURAN rakh lene se koi Quran ka Aalim nahi ho jata.
Apni Jamaat ka naam AHLE HADEES rakh lene se koi Muhaddis nahi ho jata.
Agar Aysa hota to Log Apni Jamaat ka naam AHLE JANNAT rakh lete... Taa'ke muft me Jannat ke Waris ban jate.
GHAIR-MUQALLID USTAAD AUR SHAAGIRD KI KAHAANI
• Taqleed ka Nuqsaan ya Germuqallid Lamazhaboon ki Pareshaani{LOLZ}
•Aik Lamazhab Molvi aur uska aik shagird dono ka sath aik jagah Interview tha Dono 1 sath Interview denay gaye Rastay may Molvi sahab nay apnay shagird say kaha Jo sawal mujh say hongay wo tum say bhi kiye jaye gay Isliye may jo jawab dunga woh tum bhi Achchi tarha se Rat lena aur Phir tum bhi Apnay sawaloon ka wohi jawab dena jo may dunga Shagird nay Raza Mandi Zahir ki k theek hay ¤
• woh 2onoon jub waha pohnchay to subsay pehlay GM Molvi ki baari aayi = is say Sawalaat shuru huwe ¤
•{01}Pakistan kub wajood may aaya ?
• Wesay to 1930 say koshis jaari thi lekin 1947 may aakar wajood may aaya ¤
•{02}Hindustan kay wazeer e Aazam {Prime Minister}kon hay ?
• Wesay to badaltay rehtay hay Lekin Fil'haal Manmohan Singh hay ¤
•{03}Mars per Aabaadi hay ya nahi ?
• Saayinsdaan{Scientist}research to karay lekin sabit nahi karsaktay ¤
• Interview lenay walay nay ab janay ki ijaazat di.
• Ab Shagird ki baari.
• [01] Tum kab paida huwe ?
• Wesay to hum Naam nihaad {Ahlehadees}Malikah Victoria ki marhoon e minnat 1888 may paida huwe is liye hum apni pedayish Shuro islam say sabit nahi karsaktay
•{inbatoon say pardah na hatao to behtar rahay ga}¤
• [02] Tumhara naam kiya hay ?
• Wesay to Angrez kay dour say badaltay rahay jesay
• Muaahid
• Muhammadi
• Wahabi
• Germuqallid ye laqub{Jo hamay 476 Arab o Ajam kay ulama nay diya# unka shukuriya}or ab sirf name kay
• Ahlehadees{AFSOOS hum apna khud AHLEHADEES hona sabit nahi kar saktay #ma'azrat}
• [03] Interview lenay walay nay {Gussay may pucha}kiya tum pagal ho ?
• Nahi janab may pagal nahi nahi bus ye hamaray naam nihaad ulama'a ki Na'Aehli ka mou'nh bolta saboot hay kay jub say hamara ye firqa'h bana hay
Namaz to sabit na karsaka aur na karsakta aur na INSHALLAH karsakay gay . . . . .wo isliye kay hamaray kisi bhi TIL may Tail nahi
yahi waja hay kay ab Awaam Germuqallid bhi khud pareshan o muztarib hay k kub hamaray ye batooni molvi NAMAZ sabit karay gay
jo hum pardhtay hay
ha lekin yaad rahay k 1 hamaray GM molvi guzray hay Jin ka name hay Sadiq Sialkoti jinho nay 1945 may 1 kitab likhi
•"Salaat ur Rasool"yani kay RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ki Namaz per is kitab may saal ha saal say is Takhreeeeeej hoti rahi Allah behtar janay kiya wajah thi k her edition may Tabdeliyaan hoti rahi or ab kahi jaker
• Tarteeb# Doctor Shafiq ur rehman or
• Tehqeeq or Takhreej# Abu Tahir Hafiz Zubair ali zai nay ki hay ¤ or sitam zareefi is kitab per ye hay kay1 Mukhlis Deobandi Aalim nay hamari aasani kay liye is
•"Salat ur Rasool"name ki kitab may say Zaeef Ahadees ikhatti ki hay{unka shukirya us kitab ka name
•{"GERMUQALLID BNAAM GERMUQALLID"}hay jin Deobandi Aalim nay is kitab may ye Zaeef Ahadees yakja ki hay wo unho nay hamaray hi 1 GM Molvi ki Insaaf pasandi ko daad yani Kharaaj e Tehseen detay huwe kitabi shikal di un GM Molvi ka name
•"Abdul Rauf Gaznavi"hay
• yahi wajah hay k hamay her jagah khifat Authani pardhti hay ¤
• Hay koi Gm jo Mukammal Namaz ki tarteeb o tafseel Quran or Hadees kay Sareeh SareehGer Mua'ariz Tarjumay say dikhaaye ?
• Tanqeed sirf Geroon pe karna bja nahi
• Ye Aayina bhi aap zara dekhtay chalay
Maujooda Zamaane Me Ahle Hadeeth Say Woh Ghair Muqallideen Muraad Hote Hayn Jo Shariat Ke Usool Me Say Sirf Pahli 2 Qismo Ko Hujjat Maante Hayn1 Kitabullah2 HadeethYeh Log Ijma'e Sahaaba Ko Hujjat Nhi MaanteHaan Albattah Jahan Inka Apna Matlab Aa Parta Hay To Maan Bhi Lete Hayn Jaisa Ke Namaaz Me Safo Me Khde Hone Ke Baare Me Qadam Say Qadam Milaane Ki Baat Huzoor S.A.W Ke Qaul Me NhiHay Balke Sahaaba Ka Amal HayIs Par Bazid Rahte HaynOr Jahan Apna Matlab Nhi Parta Wahaan Nhi Maante Jaisa Ke 20 Rak'at Taraveeh Ka Mas'ala HayGoya Ke Inka Nafs Hi Inka Imam Inki Shariat Hay Isliye Is Jama'at Ko Bhi Agar Gumraah Or Faasiq Kaha Jaye To Shaayad Ghalat Na Hoga.
Ahle-Khabees GROUPS IN THE WORLD
There are over 150 Ahle-Khabees Groups in the world. Each Ahle- Khabees Group has many sub Ahle- Khabees groups. Every Ahle-Khabees Group claim that it is on the right path and accuse other Ahle-Khabees Groups as Kafirs. Prominent among them are as follows. Information on these groups is available on internet and other resources.
(1) Madkhali, or Super Salafis,
(2) Conventional or Najdi or Saudi Salafis,
(3) Jihadi Takfiri Salafis,
(4) Qutubi Salafis,
(5) Sururi Salafis,
(6) Al-Bani Salafis,
(7) Academic Salafis,
(8) GSPC Algerian Salafis,
(9) Modernist or Neo Salafis
(10) Murji Salafis,
(11) Talafi Salafis,
(12) Maribi Salafis,
(13) Hizbi Salafis,
(14) Khariji Salafis,
(15) Takfiri Salafis,
(16) Nasibi Salafis,
SOUTH ASIA MAIN GAIR-MUQALLIDEE N (Ahle-Khabees) K 22 FIRKAY HAIN**************
1.JAMIAT AHLE-HADITH(1949)
2.SANAYA AHLE-HADITH(1939)
3.GAZNAVI AHLE-HADITH(1932)
4.CONFERENCE AHLE-HADITH(1907)
5. AMEER E SHIRIAT BIHAR(1918)
6.ATAYA AHLE-HADITH(1929)
7.SHAREEFIYA AHLE-HADITH(1908)
8.INTEKHAB MOLVI MOHIDEEN(1957)
9.JAMAT U DAWA AHLE-HADITH
10. GURBA E AHLE-HADITH
11.ULAMA E AHLE-HADITH
12. YOUTH FORCE AHLE-HADITH
13. SALAFI AHLE-HADITH
14. ROPDI AHLE-HADITH
15. AMRATSARI AHLE-HADITH
16. BANARSI AHLE-HADITH
17. TAWHEEDI AHLE-HADITH
18. MUHAMMADI AHLE-HADITH
19. GONDHLAVI AHLE-HADITH
20. NAZEERIYA AHLE-HADITH
21.JAMAAT E MUSLAMEEN.
22. SHABBAN AHLE-HADITH
Gair Muqallidin 1 Aasaan se Sawal ka Jawab de Aur Mujhe bhi Gair Muqallid bana kar Sawab e Darain ke Mustahiq bane.
Jab 2 Jahil Ya kam ILM (Quran o Hadees se Na-bald) Muqallidin me kisi baat par ikhtelaf ho jata hai to Wo ULAMA se Rujoo hote hain. ULAMA jo bhi iska Hal Quran o Hadees ki Roshni me batate hain Wo isey bila chun chara bina daleel maange maan Lete hain kyun ke Jahil ya Kam Parha Likha (Quran o Hadees se Na-bald) hone ki wajah se wo Tahqeeq nahi kar sakte...
Agar 2 Jahil ya Kam ILM (Quran o Hadees se Na-bald) Gair Muqallideen me kisi baat par ikhtelaf ho jaye to wo kya kare ge? kis tarah apne Mas'ale ko Hal karenge..?
GAIR MUQALLIDEEN KE ULAMA
Gair Muqallidin ke Moatabar Tarin ULMA ke Kaale Kaarname jab Gair Muqallidin ke saamne Bayan kiye jate hain to La-Jawab ho kar inka Rang Zard pard jata hai.Jab koi Jawab inse nahi ban pardta to char-o-nachar ye keh kar jaan chudate hain ke Hum in Ulama, inki Kitabon aur in Masa'il ko nahi maante. Hum to sirf Quran o Hadees ko maante hain.
Halan ke inke ULAMA ki saari zindagi Ahnaf ke khilaf Zaher Ugalte huwe guzari aur inho ne ULAMA E AHNAAF par Kufr, Shirk aur Gumrahi ke Fatwe Sadir kiye (Nauzubillah).
Ye ULMA bhi khud ko Ahle Hadees kehte the aur inka bhi yahi Da'wa tha ke hum sirf Quran o Hadees ko maante hain.
HUM GAIR MUQALLIDEEN SE PUCHTE HAIN KE...
* Aap in Ulama ki baat nahi mante To ye Ulama Aapki baat nahi mante. Kya wajah hai ke 1 Gair Muqallid Aalim Fatwa deta hai doosra kehta hai Main nahi manta. 1 Gair Muqallid Aalim Kitab Likhta hai To doosra Gair Murallid Aalim isey nahi maanta. Kya ye is baat ka saboot nahi ke har Gair Muqallid apne Nafs ki Taqleed kar raha hai aur aur khud me har fard ek alag firqa hai sirf Naam Quran o Hadees ka Leta hai.
* Agar Aap in Ulama ko nahi mante To phir Aap Logon ki La'nat wa Malamat ka Nishana in Gair Muqallid Ulama ki taraf hona Chahiye tha Na ke Hamare Ulama Ahnaf ki taraf.
*Kya Gair Muqallideen ke ilawa bhi Duniya me koi FIRQA guzra hai jiske Akabireen (ULAMA) Gumrah aus Asagireen (Gair Muqallideen) Raah e Raast par hon.
GAIR MUQALLIDIYAT KA TA'ARUF
1400 saal bad hindustan may aik firqa bana victoria k zamany may aur kis moo say yeh gair muqallid nam nehad aehle hadees apnay aapko islam ka thekedar kehtay hay?
1. MOLVI ABDUL HAQ BANARSI SAY PEHLAY HINDUSTAN MAY WOH KONSA MOLVI THA JO KISI FIQQA KA MUQALLID NAHI THA AUR FIQQAH K MUQALLID KO MUSHRIK KEHTA THA??
2. KOI AIK BHI AISA GAIR MUQALLID HO TO SAMNAY AAYE JO YEH KEHTA HO K WOH NASAL DAR NASAL SAY GAIR MUQALLID (MATLAB NA MUJTAHID NA MUQALLID) HO?
3. AAP KISI BHI GAIR MUQALLID SAY POCHAY K BATAO AAP KAB SAY GAIR MUQALLID HAY WOH JAWAB MAY KAHAY GA K MAY PEHLAY MUQALLID THA YA ZADA SAY ZADA WOH YEH BOLAY GA K USKA BAP YA DADA SAY GAIR MUQALLIDIAT KA AAGAZ HUWA UN SAY PEHLAY KI NASAL SARI KI SARI YA TO GAIR MUSLIM THI YA AGAR MUSLIM THAY TO WOH SAB K SAB MUQALLID THAY
4. JAB SAY VICTORIA KI HAKOMAT YAHA HINDUSTAN MAY AAI HAY US SAY PEHLAY HINDUSTAN MAY KOI RAFA YADAIN AAMEEN BIL JAHAR WAGERA JESAY FROEE MASAIL PAR KOI MUNAZRA NAHI HOTA THA NA KOI IS MAMLAY MAY JHAGARTA THA
TO PATA CHALA K YEH GAIR MUQALLID HINDUSTAN KA AIK AISA FIRQA HAY JIS KA WAJOOD VICTORIA KI AAMAD K SATH MAKHSOOS HAY
IS SAY PEHLAY IS FITNAY KA WAJOOD NAHI THA PORAY HINDUSTAN MAY
AUR YEH SABIT HUWA K JO MUTTHI BHAR ANASIR GAIR MUQALLID HUWAY UNHI MAY SAY JO AUR GUMRAH HUWAY WOH QADIYANI, CHAKRALVI, PERVEZI WAGERA FITNO KA SHIKAR HUWAY
TO SAHIH MANO MAY ISLAM K MANNAY WALAY WOH HAY JO PEHLAY SAY THAY YANI MUQALLID AUR FITNA WOH HAY JO 1400 SAL BAD AIK FIRQAY KI SORAT MAY HINDUSTAN MAY NAMOODAR HUWAY AUR INHO NAY DHOKA DAINAY K LIYEH APNAY FIRQAY KA NAAM"AEHLE HADEES"RAKHA
TO NAAM RAKH LAINAY SAY HADEES K MAHIR YA HADEES K HAFIZ NAHI BAN JATAY
AGAR AISA HAY TO AIK FIRQA AEHLE QURAAN K NAM SAY BHI BANA
NAM RAKHNAY SAY HAQ WALA NAHI KAHA JASAKTA AGAR AISA HAY TO AGAR KOI AIK NAYA FIRQA KHARA HOJAYE AUR WOH APNA NAM AEHLE JANNAT RAKH LAY
TO KIA NAM RAKHNAY SAY WOH JANNATI BAN JAIGA?
IS BAT KI HAQEEQAT KHUD GAIR MUQLIDO KO BHI PATA HAY K YEH FIRQA NAM NEHAD AEHLE HADEES HINDUSTAN MAY AIK JADEED FIRQA HAY JIS KI NASAL MOLVI ABDUL HAQ BANARSI YA NAZEER HUSAIN DEHLVI SAY SHROO HOTI HAY
US SAY PEHLAY K HINDUSTAN MAY REHNAY WALAY MUSALMAN SAB K SAB MUQALLID HI THAY
TO JAB KISI CHIZ KA AAGHAZ HOTA HAY TO WOH TADAD MAY THORAY HOTAY HAY
AUR JO CHIZ AIK ARSAY SAY CHALAY AARAHAY HOTAY HAY WOH UN KAY MUQABLAY MAY TADAD MAY ZADA HOTAY HAY
KOI YEH NAHI KEH SAKTA K PEHLAY GAIR MUQALLID KI TADAD ZADA THI AB KUM HOGAI HAY MUQALLID K MUQABLAY MAY
GAIR MUQALLID KI TADAD KI MISAL AISI HAY K SAMANDUR K MUQABLAY MAY KHINZEER K PEESHAB SAY BHI KUM TADAD MAY HAY YEH GAIR MUQALLID
Q?
ISKI WJA YEH HAY K YEH AIK JADEED FIRQA HAY
1400 SAL BAD HINDUSTAN MAY PAIDA HUWA