Post by Mohammed IbRaHim on Jul 6, 2014 11:13:54 GMT 5.5
Ghair-Muqallideen Hazraat (Maujuda Firqa e Ahle Hadees ) Ki Apne Qadeem Ulema' Se Baghawat
Mohtaram Baraadaraan-E-Islaam..! Firqa (Naam Nihaad) Ahl-E-Hadees Me Shaamil Maujoodah Daur Ke Afraad, Mujtahideen Wa Fuqaha-E-Kiraam (Rahmatullahi Alaihim) Ke Sath Sath Apne Pichhle Buzrugo'n Aur Apni Hi Jama't Ke Bade Aur Qadeem Ulema' Se Bhi Baghavat Aur Unki Mukhalifat Par Utar Aaye Hain. Jiski Chand Misaalein Darj-E-Zail Hain.
(I)
1. Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Wa Ma'roof Fitnah Parwar Aalim Muhammad Yusuf Jaipuri Sahab, Qiyaas Wa Ijtihaad Ki Buraayi Aur Shadeed Mazammat Karte Hue Tehreer Karte Hain: "Ibne Sireen (Rahmatullahi Alaih) Kehte Hain Ke Qiyaas Nahoosat Hai, Awwal-Awwal Jisne Qiyaas Kiya Wo Iblees Tha To Wo Halaak Hua." [Haqeeqatul Fiqh Page No. 89]
Is Kitab [Haqeeqatul Fiqh] Me Is Ghair-Muqallid Maulana Ne Qiyaas Ki Buraayi Par 10 Safahaat Siyaah Kiye Hain Aur Qiyaas Karne Walo'n Se Sakht Nafrat Ka Izhaar Kiya Hai.
2. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Doosre Aalim Muhammad Joonagarhi Sahab Likhte Hain: "Har Wo Cheez Jo Qur'an Wa Hadees Ke Siva Ho Aur Phir Koi Uski Pairvi Ko, Uske Tasleem Aur Ta'meel Karne Ko Shara'i Amr Samjhe, Usko Hukm Allah Samjhe, Usey Daleel-E-Shara'i Jaane, Wo Baatil Parast Hai." [Tareeq-E-Muhammadi Page No. 173]
Ek Aur Jagah Likhte Hain: "Suniye Janab.! Buzrugo'n Ki, Mujtahido'n Ki Aur Imamo'n Ki Raa'i, Qiyaas, Ijtihaad Wa Istinbaat Aur Unke Aqwaal To Kahan.? Shari'at-E-Islam Me To Khud Paighambar (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Bhi Apni Taraf Se Baghair Wahi Ke Kuch Farmayein To Wo Hujjat Nahi." [Tareeq-E-Muhammadi Page No. 59, Tiba' Lahore] (Naoozubillah Min Zaalik)
3. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Ek Aur Aalim Muhammad Abul Hasan Likhte Hain: "Qiyaas Na Kiya Karo Kyonke Sab Se Pehle Shaitan Ne Qiyaas Kiya."[Al-Zafar Al-Mubeen Page No. 14]
4. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Aalim Nawab Siddeeq Hasan Sahab Likhte Hain: "Haqq Baat Ye Hai Ke Ijma' Hujjat Nahi Hai." [Ifaadat Ash-Shuyookh Page No. 121] Aur Doosri Jagah Likhte Hain: "Sahaba (Raziallahu Anhum) Ki Tafseer Hujjat Nahi." [Badrul Ahillah Page No. 139]
5. Nawab Siddeeq Hasan Ke Saahab-Zaade Noorul Hasan Sahab Likhte Hain: "Aqwaal-E-Sahaba (Raziallahu Anhum) Hujjat Nahi." [Arful Jaadi Page No. 101]
Lekin Apne In Akaabireen Ke Bar-Khilaf Jamaa't Ahl-E-Hadees Hyderabad Wa Secunderabad Ke Maujoodah Ameer Abul Hasan Pratapgarhi Sahab Tehreer Farmate Hain: "Sach Ye Hai Ke Hum Fiqh Ke Tamam Maakhaz Ko Tasleem Karte Hain, Iski Tafseel Darj-E-Zail Me Hum Mukhtasar Bayan Kar Rahe Hain...... Qur'an, Sunnat....... Ijma', Aqwaal-E-Sahaba, Qiyaas, Istihsaan, Istishaab, Musaalihah Mursilah, Sadd-E-Zaraa'i, Urf, Pehli Shari'ato'n Ke Ahkaam. Alhamdulillah.! Ahl-E-Hadees Mazkoorah Baala Tamam Bato'n Ko Ma-Aa Unki Sharaa'it Ke Qubool Karte Hain." [Salafiyat Hi Jama't-E-Haqqa: 34]
Hairat Angeiz Baat Hai Ke Yusuf Jaipuri Aur Abul Hasan Sahab..! Qiyaas Karne Waale Ko Shaitan, Iblees Qaraar De Rahe Hain, Joonagarhi Sahab..! Qur'an Wa Hadees Ke Siva Kisi Cheez Ko Maanne Waale Ko Batil Parast Keh Rahe Hain Aur Itna Hi Nahi Balke Khud Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Shari'at-E-Islam Me Baghair Wahi Ke Kuch Kahein To Hujjat Na Hone Ka Ailaan Kar Rahe Hain. Nawab Sahab Aur Unke Saahab Zaade.! Ijma' Aur Aqwaal-E-Sahaba (Raziallahu Anhum) Ka Saaf Inkaar Kar Rahe Hain Lekin Maujoodah Ameer Jama't Ghair-Muqallideen Pratap Garhi Sahab..! Qur'an Wa Hadees Ke Alawah 9 Cheezo'n Ko Fiqh-E-Hanafi Se Haasil Kar Ke Alhamdulillah Kehte Hue Qubool Kar Rahe Hain.
Ab Pata Nahi, Ek Hi Jama't Ke In Aalimo'n Me Se Kaun Shaitan Aur Kaun Baatil Parast Hai ?
(Ii) Ghair-Muqallid Professor Ashfaq Zafar Lodhi Sahab Likhte Hain: Firqah Najiyah Ahl-E-Hadees Ke Siva Koi Aur Nahi...... Inka Aqeedah Hai Ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ko Chhor Kar Kisi Aur Ko Imam Banana Muhammad Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Se Ghaddari Hai. [Maqaam-E-Hadees Aur Asli Ahl-E-Sunnat Page 277]
Lekin Professor Sahab Ki Is Eimaan-Daari Ke Bar-Khilaf Aaj Jama't Ghair-Muqallideen Ke Afraad Bukhari, Muslim, Tirmizi, Nisaa'i, Abu Dawood, Ibne Majah Waghera Ke Alawah Apne Masjid Me Namaz Parhaane Waale Ko Bhi Imaam Maan Kar Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Sath Ghaddaari Kar Rahe Hain, Aur Sath Hi Khud Ko Firqah Najiyah Wa Ahl-E-Hadees Keh Kar Bhi Firqah Najiyah Wa Ahl-E-Hadees Na Rahe.
(iii) Jama't Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Aalim Maulana Ibraheem Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Hanafiyo'n Aur Ahl-E-Hadees Me Ikhtilaf Sirf Fro' (Ya'ni Ijtihadiyah Masaa'il) Me Hai, Aqaa'id Me Nahi. Pas Hanafiyo'n Ko Ahl-E-Hadees Se Inaad, Bughz Nahi Rakhna Chahiye." [Tareekh Ahl-E-Hadees Page 141]
Lekin Itne Bade Ghair-Muqallid Aalim Ki Shahadat Ke Bar-Khilaf Aaj Ke Ghair-Muqallideen Bhaiyo'n Ko Ahnaaf Ke Aqaa'id Me Kufr-O-Shirk Nazar Aa Raha Hai, Jab Ke Ahl-E-Haqq Ahnaf Ke Aqaa'id Kal Bhi Wohi The Aur Aaj Bhi Wohi Hain. Ma'loom Hota Hai Ke Maujoodah Daur Ke Ghair-Muqallideen Ne Apne Aqaa'id Me Tabdeeli Karli Hai. Ab Na Ma'loom Ke Kis Ke Aqaa'id Ghalat Hain, Un Puraane Ghair Muqallideen Ulema' Ke Ya Maujoodah Daur Ke Ghair Muqallideen Hazraat Ke..?
(iv)
1. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Sheikhul Islam, Maulana Sanaullah Amritsari Sahab, Ek Sawal Ke Jawab Me Likhte Hain: "Iska Jawab Ye Hai Ke Jis Ko Uloom Mazkoorah Baala (Lughat, Saraf, Nahoo, Mu'ani, Bayaan, Tafseer, Hadees, Fiqh, Usool Waghera) Se Waqfiyat Hogi Wo Batla Dega, Jin Awaam Kal-An'aam Ko Khabar Nahi, Wo Apne Waqt Ke Maujoodah Ulema' Se Daryaft Kar Ke Amal Kar Lenge Kyonke Unko Yehi Hukm Hai.......... To Akhir Sab Kuch Ulema'-E-Waqt Ke Batlaane Par Mauqoof Raha Isiliye Fuqaha' Ne Likha Hai....... Awaam Ka Apna Koi Mustaqil Mazhab Nahi Balke Unka Mazhab Wohi Hai Jo Unke Fatwa Dene Waale Ka Hai." [Ahl-E-Hadees Ka Mazhab Page 60]
2. Doosre Ghair-Muqallid, Aalim Hakeem Sadiq Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Aami, Be-Ilm Aur Jaahil Shaqs Ko Kehte Hain, Aise Shaqs Ko Jab Kisi Masla'h Ki Zaroorat Padegi To Laa Muhaalah (Zaroor) Usey Poochna Padega. Phir Wo Kisi Aalim E Rabbani Se Pooch Le." [Sabeelur Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Page 188]
Lekin Maujoodah Daur Ke Ghair-Muqallideen Apni Jama't Ke Itne Bade Ulema' Ke Bar-Khilaf Keh Rahe Hain Ke Ulema' Se Poochne Ki Zaroorat Nahi Hai, Khud Tehqeeq Karlo Aur Qur'an Wa Hadees Parh Kar Khud Samajh Lo, Ulema' Gumraah Kar Dete Hain.
(V) Ghair-Muqallideen Ke Khateeb Al-Hind Muhammad Joonagarhi Sahab Likhte Hain, "Musalmano.! Ghair Ma'soom Hasti Se Hat Kar Ma'soom Hasti Ki Taraf Aa Jao Ya'ni Fiqh Se Hato, Hadees Ki Taraf Aao." [Tareeq-E-Muhammadi Pg 80]
Ghair Muqallideen Ke Khateeb Al-Hind Joonagarhi Sahab..! Fiqh Se Hat Kar Hadees Ki Taraf Aane Ka Mashwarah De Rahe Hain Lekin Ghair Muqallideen Log Fiqh Muhammadiyah, Fataawa Sanaa'iya, Fataawa Nazeeriyah, Fataawa Sattariyah, Fataawa Ulema-E-Hadees Waghera Kitabein Likh Kar Fiqh Ko Apne Galey Se Laga Rahe Hain Aur Muqallideen Ke Banaaye Gaye Fiqh Ke Tamam Maakhaz Ko Alhamdulillah Kehte Hue Tasleem Bhi Kar Rahe Hain.
(Vi)
1. Jama't Ghair-Muqallideen Ke Zabardast Aalim Nazeer Hussain Dehalvi Likhte Hain: "Baaqi Rahi Taqleed, Waqte La Ilmi, So Ye 4 Qism Hai, Qism-E-Awwal Wajib Hai Aur Wo Mutlaq Taqleed Hai, Kisi Mujtahid Ki........,., Ba-Qoul Shah Waliullah (Rah.) Ye Taqleed Wajib Hai Aur Sahih Hai Ba-Ittafaq Ummat." [Mi'yaarul Haq Pg 75]
2. Isi Taqleed Ke Muta'lliq Sadiq Siyaal Koti Sahab Likhte Hain: "Taqleed-E-Sharti Durust Hai.......... Ye Hai Ba-Waqte La Ilmi Taqleed-E-Sharti Aami Ki, Jis Se Kisi Ko Inkar Nahi." [Sabeelur Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Page 188]
Ghair Muqallideen Ke 2 Maaya Naaz Ulema' To Taqleed Ki Ek Qism Ko Wajib Aur Na-Qabil Inkar Qaraar De Rahe Hain. Lekin Afsos Hai Aaj Ke Ghair Muqallideen Par, Jo Taqleed Ka Sirey Se Hi Inkaar Kar Rahe Hain Aur Isko Kufr-O-Shirk Qaraar De Rahe Hain, Aur Is Jama't Ke Be-Shumaar Na-Ahal Logo Taqleed Karne Ke Ba-Wajood Bhi Sirf Alfaaz Ki Bina Par Is Dhoke Me Pade Hue Hain Ke Wo Kisi Ki Taqleed Nahi Karte.
(Vii)
Mash'hoor Ghair Muqallid, Ibraheem Siyaal Koti Tehreer Karte Hain: "Imam Sahab (Imam Abu Hanifah Rh. ) Ahl-E-Sunnat Aur Ahl-E-Hadees Ke Peishwa The." [Taareekh Ahle Hadees Page 271]
Ye Sahab To Apna Matlab Nikaalne Ke Liye Hi Sahi Imam Abu Hanifah (Rah.) Ko Ahl-E-Hadeeso'n Ka Imam Keh Rahe Hain, Lekin Aaj Ke Ba'z Ghair Muqallid, Inki Shaan Me Gustaaqi Kar Rahe Hain Aur Kuch Log Kehte Hain Ke Imam Abu Hanifah Ko 3 Hadeesein Yaad Thi Aur Koi Meharbani Kar De To 17 Hadeese In Yaad Thi'n Kehta Hai. Aur Kuch Kehte Hain Ke Aap Ki Namaz Qur'an Wa Sunnat Ke Khilaf Hai. Aur Koi Aap Ko Murjiyah Kehta Hai To Koi Mu'tazilah. (Naoozubillah)
(Viii) Kuffaar Jis Tarah Ahadees Me Haiz, Taharat, Zina Ke Ta'lluq Se Marwi Ahadees Ko Dikha Kar Kehte Hain Ke Islam Me Kitne Gande Gande Masaa'il Ka Zikr Kiya Hai. Bilkul Isi Tarah Fiqh Me Mazkoor Aise Masaa'il Ko Suna Kar Dhoka Dene Ki Koshish Karte Hain Ke Fiqh Gande Masaail Ka Majmua'h Hai.
Jab Ke Khud Ghair-Muqallideen Ke Ulema' Ki Kitabein Maslan. Hadyatul Mehdi, Badrul Ahillah, Kanzul Haqaaiq, Arful Jaadi, Nuzlul Abraar Waghera Jinko Fiqh Muhammadiya Ka Naam Diya Gaya Hai Isme To Fiqh Hanafi Se Zyadah Kharab Wa Gande Masaail Ko Likha Gaya Hai.
Jab Ghair Muqallideen Ke Saamne Ye Kitabein Rakhi Jaati Hain To Wo Aag Bagolah Ho Kar In Kitabo'n Ka Inkar Kar Dete Hain Ke Hum In Kitabo'n Ko Nahi Maante.
Sawaal Ye Hai Ke Agar Ye Kitabein Ghalat Hain To Aap Ke Publishers Aur Kutub Khaane In Kitabo'n Ko Kyon Chhaap Rahe The.?
Imam Ahle Sunnat Maulana Ashraf Ali Thanvi Rh. , Imam E Ahle Hadees Maulna Zakarriya Sahaab Rh. Ki Kitabo Ki Muqaalifat Ki Tarah In Kitabo Aur Unke Likhne Waale Ghair Muqallid Ulama Ke Khilaaf Bhi Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehne Waale Hazraat Koi Propoganda Kyon Nahi Kar Rahe Hai ? Aur Upar Likhi Huwi Ghair Muqallide Ulama Ki Kitaabe Agar Ghalat Hai Toh Unke Khilaaf Koi Bayan Ya Jalsah Kyon Nahi Kiyaa Jaa Raha Hai Taake Awaam Ko Inki Gumraahi Se Bachaaya Jaaye..?
Quraan E Paak Samajne Aur Is Par Amal Karneke Liye Rasoolullah SAW Ki Hadeese Ko Maanne Laazim Wa Zaroori Hai.Puri Ummat Ka Is Baat Par Ittefaaq Hai Ke Quraan E Paak Ki Tarah Rasool Ikram SAW Ki Hadeese Bhi Aaj Tak Mehfooz Hai Aur Qiyaamat Tak Mehfooz Rahegi.Jo Shaks Ahadees E Rasool SAW Ko Na Maano Wo Quraan E Majeed Aur Puri Shariyat Se Door Hojata Hai.Isi Waje Se Ahle Quraan Firqa Jo Hadeeso Ka Inkaar Karta Hai Aur Sirf Quraan Ko Mane Aur Usi Par Amal Ka Dawa Karte Hai Wo Gumraah Aur Deen E Islaam Se Baahir Hai Aur Ek Nayee Deen Ka Pairookaar Hai , Isse Bache Aur Dusro Ko Bhi Bachaane Ki Koshish Kare.
Maujoodah Daur Ke Ghair Muqallideen Ke Tamaam Muhaqqiqeen (Ulema' Wa Awaam ) Se Ek Sawaal:
Sahaba-E-Kiraam (Raz.) Ke Mubarak Daur Se Le Kar Hindustan Par Angrezo'n Ke Qabze Tak, Hind Ka Koi Ek Shaqs Batayein Jo Likhna Parhna Nahi Jaanta Tha, Qur'an Wa Hadees Ka Maahir Na Tha. Arabi Zuban Bhi Nahi Jaanta Tha, Phir Bhi Wo Ghair-Muqallid Muhaqqiq Tha. Kisi Imam Ki Taqleed Na Karta Tha Aur Apne Aap Ko Ahl-E-Hadees Kehta Tha Aur Apne Naam Ke Sath Salafi, Asrii Likhta Tha..?
........
Qadiyani Jo Khud Ko Ahmadi Kehte Hain Aur Firqah E Deendaar Anjuman (Asif Nagar) Kafir Aur Deen E Islam Se Baahar Hain. Inko Salaam Karna, Inse Nikah Karna, Kafir Wa Mushrik Se Nikah Karne Ke Barabar Hai.
........
Firqa Jama'tul Muslimeen, Firqah Ghurba Ahle Hadees Me Se Nikla Ek Gumrah Tareen Firqah Hai Jo Qadyanio Aur Shi'on Ki Tarah Quran Wa Hadees Ke Ghalat Ma'na Wa Matlab Bayan Kar Ke Kam Ilm Musalmano Ke Eimaan Wa Islam Ko Lut Raha Hai. Is Gumrah Firqah Se Khud Bhi Bachein Aur Tamam Musalmano Ko Bachaane Ki Fikr Karein.Is Bhatke Huwe Firqe Ke Bare Me Tafseeli Malumaat Ke Liye Padhe.( Firqa E Jamaat E Muslimeen Paak Wa Hind Ka Tehqiqi Jayeza , Tajalliyaat E Safdar).
........
Shaykh Abdul Qadir Jeelani (Rah.) Likhte Hain: "Imam Ahle Sunnat, Imam Ahmed Bin Hanbal (Rah.) Ka Irshaad Hai, Faqeehah Aadmi Ke Liye Jayez Nahi Ke Doosre Imamo'n Ki Pairokaar Ko Apne Mazhab Me Laane Ke Liye Un Par Sakhti Kare." [Ghunyatut Talibeen Mutarjam Page 149]