Post by Mohammed IbRaHim on Nov 2, 2014 14:28:43 GMT 5.5
MOHARRAM ME HONE WALE GALAT RASMO RIWAZ
[Maslah]
TAAZIYA Mamnua hai sharah mE
Iski kuch Asl NAHI aur jo BIDAT
UnkE saath kijati hai sakht
HARAAM hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:490
.
[ZARURI-Maslah]
“TAZIYA Banana, dEKHNA
Jaiz NAHI aur Iski tazeem aur Is’se AQEEDAT rakhna saqt HARAAM hai”
[Fatawa-RAZVIYA
Vol-24 p:489
.
TAAZIYE mE kisi qism ki Imdaad JAIZ NAHI-
[Al-QURAN]- “Gunaah aur ziYadati kE Muamulat mE Aik-dUSRE ki MADAD NA karo”
(surah:Maeedah a.2)
.
DHOL-taashe Bajana, Gali-Gali
GHUMNA, Uchalte koodte
Maatam karna!!! Ye sab jaahiliYat
aur RAAFZIYO (shiYo) ki rasmein
hain- Inse Bachein
@[1486652458258363:]
.
TAAZIYA kYa hai-
“shiYo
kE Juloos mE MAQBRA Ya
qabr Banate aur saath hEE
dHol-taashe Bajate hain
IseY TAAZIYA kaha jata
hai
(sakht-HARAAM)
.
[Maslah]-
Musalmano kO chahiYe kE
Ashrah’E MUHARRAM mE 3 rango kO pahanne’se Bache! siYaah, sabz aur surkh -[Fatawa-E-RAZAVIYA; V-24 p:496]
.
“AYYAM-E-MUHARRAM” Yani 1’se 12 MUHARRAM tak kaala rang NA pahna jaYe!
Ye RAFZIYO (shiYo) ka TAREEQA hai -[SUNNI'Bahishti-ZEWAR; V-5 p:578]
.
MUHARRAM mE NIKAH karna kaisa?
“Maah’E Muharram mE NIKAH karna
Jaaiz hai, NIKAH kisi MAHINE mE Mana NAHI” -[Fatawa-E-RAZAWIYYA; V-11 p:265]
.
imam Husain Ki Yaad Shariat Ke Dayre Me Manayen.
Unki Azeem Qurabni Ko Khel Kood Ka Zarya Na Banayen.
Balki Esale Sawab Ka Ehtemam Karen
Taziya Banana Usy Tazim Se
Uthana Gali
Kuchon Me Ghumana Ussy
Minnate Mangna Aur Us Par Chadhawe Chadhana Najaiz-O-Haram Hai.
Issy Bachiye
AALAHAZRAT Ka Risala Taziyadri Padhiye. Jisme Aap Ne Moharram Ki Bid’aton Ka Radd Kiya Hai.
Taziya Daari Ki Shariat Me Koi Asal Nahi
.
[Maslah]-
TAAZIYE, gasht, charavah, dHol-taashe, MARSIYE
wagairah Ye sab sakht “HARAAM” hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:498]
.
ALLAH HAMEN
IN TAMAAM GALAT KAAMO
SE
MAHFUZ FARMAYE
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen
Matam karna gham manana kaisa
Hadees: Nabi-e-Paak
(Sallallahu Alayhi Wasallam)
Ne Farmaya,
“Kisi Emaan Wale Ke Liye
Halaal Nahi Ke (3) Teen Din
Se Jiyadah gham
Kare
.
Sirf Beva Aurat Ke Siva, Ke
Uske Gham Ki
Muddat Char (4) Mahine Das
(10) Din Hai.
.
-:(Bukhari Sharif, Tirmizi
Sharif,
Tohfa-e-Najat
Part-11 Page-49)
.
» Hadees: Abdullah Bin
Abbas (Radiyallahu Ta’ala
Anhu) Se Rivayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu
Alaihi Wa Sallam) Ne
Farmaya:
“Jo Mooh Par Tamache
Mare, Kapde Fade, Aur Jaahil
Logo Ki Tarah Chilla Kar
Roye
Wo Hum Me Se Nahi”.
.
-:(Bukhari Sharif, Muslim
Sharif,
Tohfa-e-Najat
Part-11 Page-50)
.
» Hadees: Agar Aashura Ke
Din Maatam Karna Jayez
Hota Toh Sahaba-e-Kiram
Aur Tabayeein-e-Kiram Bhi
Aisa Karte, Lekin Unhone
Maatam Nahi Kiya Balke
Aashura Ke Din Unhone
Apne Ghar Walon Par
Khaane Pine Me Farakhi
Karte Aur Roza Rakhtey.
.
-:(Guniyatuttalibin Part-16
Page-482)
.
Note:Yahan gham se
Tajiyah
Ka Koi Tallukat nahi
Farmaya gaya , Balke Pata
Chala ki AASHURA Ke Din
Kapde Fadna, Baal Nochna,
Sar Par Mitti Dalna, Seena
pitna, Dhol, Nagade, Tashe
Bajana, Taziya Nikalna
Wagaira Jahalat Ke Kaam
Hai.
Keh Do Ghame E Husain Manane Walo
Se
Momin Kabhi Shohada Ka Matam Nahi
Karte
Hai Ishq Apni Jaan Se zyada AaLe
Rasool Se
Yu Sare Aam Hum Unka Tamasha Nahi
Karte
Roye Wo Jo Munkir Hai Shadat e
Husain radhiallahu ta’ala anhu
ke
Hum zinda O Jawad Ka Matam Nahi
Karte..
.
Shaheedo Ki Shahadat Par
Matam Na Karo ….
.
Beshak Shaheedo Ki
Shahadat Par Matam Karna
Sakht Haraam Hai,
Jab Shaheed Marta Hi Nahi
Ye Elan-e-Quran Hai Toh
Usme Maatam Kyun?
Al-Quraan : Bismillah-Hirra
hman-Nirrahim !!!
“Aur Jo KHUDA Ki Raah Me
Maare Jaye Unhe Murda Na
Kaho Balke Woh ZINDA Hai
Haan Tumhe Khabar Nahi”.
.
-(Surah: Al Baqarah – 154,)
.
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa
Farmaye aur in sab buraiyo se hamen bachaye
Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
Matam Karne Se Mana Farmaya
Mayyat Ka Shog(Gham) : Matam Karne Se Mana Farmaya « » Hazrat Zainab Bint Hajash (Raziallah Anhu) Ke Bhai Ka
Inteqal Ho Gaya. Teen Din Ke
Baad Unhone Khushbu
Mangwaee Aur Usko Lagaya. Phir
Kaha Mujhe Khushbu Ki Zaroorat
Nahi Thi Magar Maine “Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi
Wasallam) Se Suna Ke Jo Aurat
Aur Mard Allah Tta’ala Aur
Qayamat Par Emaan Rakhta Ho
Uske Liye Halaal Nahi Ke Teen Din
Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Kare’ Siwaye Shohar Ke Jiska Sog
4 Mah(Month) 10 Din Hai.”
-: (Bukhari ‘ Al’janaez Baab Al’shiyaab Al’baid Ul Kafan’
Hadees : 1264 ‘ 1271′ 1272′ 1273′
1287)
.
» Agar Mayyat Ko Dekh Kar Rona Aaye Aur Aansu Jaari Hon Toh
Mana Nahi, Isliye Ke Yeh Be-
Ikhtiyar Rona Hai Jo Jayez Hai.
.
» Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya,
“Allah Ta’ala Aankh Ke Rone Rone
Aur Dil Ke Pareshan Hone Ki
Wajah Se Azaab Nahi Hota Balki
Zuban Ke Chillane Aur Wa’waila Karne Se Azaab Hota Hai”.
-: (Bukhari’ Al’janez’ Baab Al’baka’a Indal Mareeda’
Hadees :1304′ Wa Muslim’
Al’janaez’ Baab Al’baka’a Alal
May’yati’ Hadees :924) »
.
Hadees : Hazrat Abdullah Bin Masood (Razi Allah Anhu)
Riwayat Karte Hain Ke
Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi
Wasallam) Ne Farmaya,
“Woh Ham Me Se Nahi Hai Jo
Rukhsaar Peete’ Girebaan Phadhe Aur Jahiliyat Ki Pukaar Pukare”.
(Yaani Noha Aur Wa’waila Kare).
-: ( Bukhari’ Al’janaez ‘ Baab Lais Mana’min Shqaul’joyub’
Hadees :1294′ 1297′ 1298′)
.
» Hadees : Hazrat Abu Malik Ashari (Radi Allahu Anhu) Se
Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah
(Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya,
“Noha (Matam) Karna Jahiliyat Ka
Kaam Hai, Aur Noha Karne Waali Agar Bina Tauba Ke Mar Jaye To
Allah Ta’ala Usko Tarkol Ka Libas
Aur Dozakh Ke Sholo Ka Kurta
Pahnayega”.
– (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 Hasan)
.
» Hadees : Jarir Ne Farmaya Ki Sahabi Muawiyah (Radi Allahu
Anhu) Ne Apne Khutbe Me Kaha
Ki, “Rasool’Aallah (Sallallaho
Alaihi Wasallam) Ne Noha Karne
Se Mana Farmaya Hai”.
– (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 Sahih)
.
» Hadees : Umma Atiyyah (Razi Allah Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
“Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi
Wasallam) Ne Hume Noha
(Matam) Karne Se Mana Farmaya
Hai”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 Sahih)
.
» Sabab : Huzur (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Noha’ Maatam Aur
Baen Karna(Aawaz Ke Saath
Chilla Kar Rona) Mamnu Yani
Mana Farmaya Hai Aur Ba’ase
Azaab Hai
.
» Dua : Aye Allah! Qayenat Ke Har Musalmano Ko Deen-e-Islaam
Ki Samajh Ata Farma Aur Nabi-e-
Paak ﷺ (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ki Sunnaton Par Amal
ki Toufik Ata farma (Aameen Ya
Rabbul Aalameen)
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa
Farmaye aur in sab buraiyo se hamen bachaye
Aameen
ZIKR_E_HUSAIN KYU .
ALLAH NE QURAN ME LOGO KI IBRAT K LIE NEK LOGO K
HAAL BAYAN KIE HAI =ISILIE
HUM IMAAM HUSAIN KA ZIKR-E-HAAL BAYAN KARTE
HAIN AAP BHI KIJIYE,
.
aur is ktab Quran me Mryam ka haal logoSe Byankro jab wo apne ghrwalo-se alag hoke 1 aise makaan me gai jo mashriQ ki janib tha
>surah-maryam 16
.
IMAM HUSAIN KA ZIKR KYU
KIA JATA Hai ALLAH ne QURAN mE NEK LOGO KA ZIKR KHUD KIA
& KRNE KA HUKM DIA
HAZRAT maryam ibrahim moosa yusuf(alyhisslam)
..
Majalis_e_Muharram ke fayde:
Hadis me hai ki “Suwaaliheen ke zikr ke waqt rahmat_e_ILaahi ka nuzool hota hai”
Hasnain suwalihin k sardar hain
.
Dusra fayda ye hai ki Suwaliheen ka zikr sunkar ALLAH ke Mahboob Alyhisslam ki muhabbat or unki itaa’at o farmabardari ka jazba paida hota hai.
Imam_e_Aali Maqam ka tazkira,hame deen_o_mazhab ki hurmat qa’im rakhna, kalma_e_HAQ ke liye har musibat bardasht karna or sabr sikhata hai..
Shuhada ka zikr hme sikhata hy ki bhuka pyasa rahne,chote chote bacho ke rone biLakne,azizo ki lash dekhne k bawajud HAQ ki himayat kaise
kre
Zikr sunne sy dil me Imam ki azmat paida hoti hy,
deenOmazhab ki izzatOhurmat baqi rakhne kelye jaanOmaal ki Qurbani ka jazba paida hota hy.
Kufiyo
ka Ahel_e_Bait_e_Risalat ki taoheen krna,unhe satana
fir tarh tarh ki musibato me giraftar hona,
ye sab sunkar ibratOnasihat milti hy
Qatl_e_Husain ke badle zaalimo ke mare jane ke waqiat sunne sy ALLAH walo ki shaan me gustakhi O be-adabi karne sy bachne ki taofiq hoti hai
yaad rahe kisiki bhi wafaat ka
3 din se zyada gham manana
haraam hai
>BUKhari sharif
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
IMAAM HUSAIN KI SHAHADAT KI KHABAR PEHLE HI SE .
Hazrat umme fazal kehti he
k mene puchha ae allah k nabi
mere maa baap
aap par qurban hon
apko kya hua
aapne farmaya abhi mere pass
jibrail alyhsslam aye the
unhone mujhe bataya h k
meri ummat k (yani musalmano hi se kuchlogo ki jama’at) mere us bete yani (imaam husain) ko
qatal kar degi
mujhe us khak zamin ki
mitti mese kuchh mitti di jo
surkh rang ki thi
(mishkatul masabih baab manaqib ahlebait)
.
HAZRAT UMME SALMA KO MITTE A’TAA FARMANA
hazrat imaam husain abhi bachche the
k nabiepaak ne
hazrat umme salma
ko us jagah
ki mitti ataa frmayi
jahan
imaam husain
ko shahadat pani thi hazrt umme salma
frmati h k
hasan aur husain dono mere
ghar me nabiepak k samne
khel rahe the
jibrail alyhsslam huzur ki khidmat me hazir hue
aur kaha beshak apki ummat mese ek jamat
apke us bete husain
ko apke baad Qatal
kr degi
aur apko bahan ki
thodi mitti di
huzurepak ne us mitti ko
apne seene se chimta lia
aur roe fir farmaya ae umme salma
jab ye mitti khoon me
badal jae
to jaan lena k mera ye beta
qatl ho gaya umme salma ne us mitti ko
botal me rakh dia
tha
aur wo har roz usko
dekhti aur
farmati ae mitti jis din
tu khoon ho jaegi
wo din azeem
hoga
KHAAS BAAT
nabi sallallahu alyhi wasallam, ne
na ki pehle hi
khabar di thi
balke jis muqaam
par
wo shahadat pane wale
the us jagah ki pehchan bi pehle se
hi
batla di thi
ummul momineen
hazrat ayesha siddiqa
frmati h
k huzur ne
frmaya:
“mujh ko jibrail ne
khabar di k mera
beta
husain mere bad zamin
taff (karbala k naam se mashhur he)
me qatl krdia jaega
aur jibrail alyhsslam
mere pas
us zamin ki
ye mitti ki ye mitti
lae h
aur unhone mujhe btadia k yahi mitti husain ka madfan he
(sirrush’shahadatain 24)
HAZRAT IMAAM HUSAIN ki shahadat
k kayi saal pehle
sahaba e kiram
k darmiyan
ye bat shohrat pa chuki thi
k
aap ki shahadat
karbala k muqaam par hogi,
huzure akram
ek din imaam husain ko god me lekar
chumne lage
to farishto ne arz ki
kya aap isko
mehbub rakhte he
aapne kaha han
farishto ne kaha
beshak
apki ummat isko qatl
kar degi
aur aap chahe to
me apko wo jagah
dikha du
jahan ye qatl kie jaenge
bas usne apna hath mara
aur apko surkh mitti dikha di
wo mitti umme salma
ne li
aur rawi
farmate h hum
suna krte the k
husain karbala me
shaheed honge,
(khasaisul kubra 2/125
sirrush’shahadatain 25)
Hazrat abu ubaidah se riwayat h k
nabie pak ne farmaya
meri ummat
ki hukumat adal k sath
qaim rahegi yahan tak
k
pehla shakhs jo ise tabah karega wo
bani umaiyya mese
hoga
jisko yazid kaha jaega
(Al bidaya balnihaya ibne kaseer 8/231)
.
EK LATEEF NUKTA
ye
baat qabile ghor he
k
hazrat ayesha siddiqa jo k
huzur ko apni biwiyo me sabse
mehbub thi unko mitti ataa na frmayi
aur na hi
ksi aur biwi ko balki
hazrt umme salma
k hi hawale frmai
aur kaha k
ae umme salma jab
ye
mitti khoon me badal jae
to ye samajh lena
k mera beta
shaheed ho gaya
uski waja ye thi
k aap apni nigahe
nabuwat se
dekh rahe the k
mere bete ki shahadat k waqt
sirf meri biwi umme salma
hi zinda hongi islie apne sirf
unhi ko mitti ataa farmai
imaam husain ki
shahadat k waqt sirf wo hi zinda thi
nabi sallallahu alyhi wassallam
ka
imaam husain ko apna
beta kehna
quran & hadees
se
sabit he
“ae nabi najraan k padriyo se kehdo
k hum aur tum
bulaye
apne beto aur apni aurton ko
apni apni jaano ko
fir dono fareeq
dua kare jhuto par
allah
la’anat kare
(Al-imran 61)
.
is ayat k
nuzool k baad
nabiepak ne
hazrt fatima
hazrt ali
hzrt imaam hasan aur husain
ko sath lekar najran
k
padriyo k muqable k lie tashrif
lae the aur us waqt
aapne farmaya tha
“ae allah
ye meri ahle-bait
hai,
(Muslim kitabul fazail)
to sabit hua k husain karimain huzur k
bete hai
quran k farman k
mutabiq nawase ko
bete ka
muqaam hasil hota
he
yahi waja h k
hazrt isaa alyhsslam
bani israeel me
shumar kie jate
h
yani hzrt yaqoob alyhsslam k beto
me
gine gae h halanki
aap bager baap
k
paida hua the
apko apki maa ki
nisbat se
bani israeel me shumar kia jata h
isi trha imam husain
ko
biwi fatima
ki nisbat se farzandane rasul
hone ka azeem sharf rakhte hain
.
HADEES:
nabiepak ye dono mere aur meri beti k bete he
ae allah mein inko mehboob rakhta hu
tu bhi inko mehbub
rakh aur inko jo bhi
mehbub
rakhe tu usko bhi mehbub rakh,
.
(Tirmizi baabul manaqib)
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
SHAHEED MARKAR BHI ZINDA KAISE HOTA HAI .
JAB SHAHEED ki rooh ko allah ko pesh
kia jata hE to
allah uspar aisi tajallie noor
karta he k uski rooh ko chamak
tasir aur quwwat ata kr deti hai
aur ye rooh bawajud apne jism se
bahut dur
muqame illi-een me
hoti hai
magar jism ko qabr me sahih salamat rakhti he
jaise suraj
pode(tree) se karodo meel fasle par
hone k bawajud apni tapish aur asar se zamin me pode ko zinda salamat rakhta hai
jab banda
allah k lie
mar jata he to
allah apne deedaro wasaal
aur raza k lie apni jaan
ka
nazrana pesh karne wale us
bande ki rooh ko wo noor,
chamak, tasheer
aur quwwat ataa
farmata
h k karodo suraj bhi uske samne
kam ho jate hai
allah k bando k jism
zamin par rehkar bhi rooh
k faizan se taro tazah
aur salamat rehte hai
yahan
ye baat bhi yaad rakhne
ki h k
jis tarah suraj
ka pode ko roshni pahunchane k lie
pode k andar
hona zaruri nahi h balki
pode ko to sirf
tapish aur roshni ki
zarurat hoti hai suraj
ki nahi,
(falsafa-e-shahadat imaam husain page.27)
.
ALLAH k darbar me jo
koi ek neki
lata he to uske lie
uska 10 guna sawab hai
(Al-anaam 160)
jab allah ne ye usool muqarrar farma
dia k jo ek
neki krta h usey us jaisi
10 nekion ka ajar
ataa kia jata h to
jo shakhs ek jaan
ka nazrana allah ta’ala
ki
bargah me pesh
karta
he to usse behtar 10 jaane
ataa ki jani chahiye aur ek jaan
rakhne wale
agar zinda h to
ek jaan dekar 10 jaane
pane wale
kis tarha murda ho
sakte he
isi lie allah ta’ala ne
farmaya:
“Aur un logo ko jo
allah ki raah
me mare gaye tum(apne gumaan me) murda na
samjho balki wo zinda
he
apne rab k pass aur khate peete hai
(al-imran 169)
.
allah ki raah me jo shaheed
ho gae he unhe murda
kehna
to dur murda gumaan bhi
na karo kabhi bhool kar
bhi na sochna
k wo mar gae hai
balki
wo zinda hai aur allah ki baagah me rizq(khana) die jate hain,
.
SHAHADAT ME MOAT KI TAKLEEF CHYUNTI K KATNE K BARABR
allah ta’ala ki
shaheed ko moat k waqt
itni hi taklif hoti he
jitni tum me
kisi ek ko
chyunti k katne se hoti
hai,
(TIRMIZI baabul jihaad)
.
QURAN me h k jab
yusuf alyhisslam
ka jalwa aurto ne dekha
to phal ki
jagah apne hath kaat lie
(surah yusuf 31)
.
jab husne
yusuf ka alam ye h k
unhe
apne hath tak katne ki
khabar na hui
to jo banda
us allah ka deedar kar rha ho to
bhla use gardan katne
ka
kya pata chale
shaheed ko
allah ta’ala ki raah me
jaan
dete hue taklif mehsus
na hone
ki wajah ye k banda
waqte shahadat
allah k husn k jalwe
aur
mushahide me garq hota
h uspar ek to kya
hazaro
talwaren chal jae
to bhi use taklif
ka koi ahsas tak na ho,
Jo koi allah aur rasool ki ita’at karta hai
wahi un logo k sath hoga
jinpar allah ne in’aam kia hai
jo ki ambia siddiqeen shaheed aur nek log hai
#Surah Nisaa 69
.
is ayate karima me
shaheed ko allah k in’aami yafta
bandon me
shamil kiya gaya he aur shohda ko sualeheen par
fazilat di gayi hai
HADIS:
“Shaheed Ka Khoon Girte Hi Bakhsh
Diya Jata Hai, Rooh Nikaalne K Waqt hi JANNAT me Uska Thikana Dikha Diya Jata Hai”
>MISHKAT SHARIF
Allah Ta’ala Hum
sabhi imaan
walo ko Imaam husain
se sachchi pakki mohabbat karne
aur unki baton par amal
karne ki toufiq Ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
ZIKR-E-HUSAIN .
Qatle Husain Asal Me Marge Yazid Hai
ISLAM Zinda Hota He Har Karbala K Baad
Jo KHUDA ki raah me maare jae’n
unhe murda na kaho,balke wo zinda hain
ha’n tumhe khabar nahi-
#Quran al-baqara-:154
.
FARMAAN-E-NABI:
“A LOGO!
MAINE TUM ME 2 Cheeze
CHHODI HAI KI JAB TAK
UNKO
THAME RAHOGE
GUMRAAH NA HOGE
1-QURAAN
2-AHLE-BAIT”
*tirmizi,jild.2,page.735
Farman-e-Rasool:
Jisne Hasan-Husain Ko Mahboob Rakha Usne Mujhe Mahboob Rakha,
Aur Jisne unse Bugz Rakha Usne Mujhse Bugz Rakha
–
Ibne-Majah
ShahAst Husain Badshah Ast Husain
DeenAst Husain Deen Pana Ast Husain
SarDaad Na Daad Dast Dar DasteYazid
Haqqa K Binae La Ilaaha Ast Husain
HUZURePAAK ne farmaya
“jisne HASAN or HUSSAIN se muhabbat ki usne mujhse Muhabbat ki or jisne Inse adavat ki usne mujhse adavat ki”
-Tirmizi
.
Nana k deen pe har cheez vaar di
kuch na apne paas bachaya HUSSAIN ne
Q AaQA ko apne nawase pe naaz ho
har Qaul MUSTAFA (sallallahu alyhi wasallam) ka nibhaya HUSSAIN
Is Raaz Se
Waqif Hai ZamaneWale Zinda Rehte He Haq Par Shahed HoneWale NaMita Hai NaMitega Tumhara Naam
Ya
HUSAIN Mit Jate He Tumhara Naam MitaneWale
Sajde Se Karbala Ko Bandagi Mil Gai,
Sabar Se Saari Ummat Ko Zindagi
Mil Gai,
Ek Chaman
HaZRaT FATIMA Ka Ujda,
Magar Sare ISLAM Ko Zindagi Mil Gai
Wo JisNe
NANA Ka Wada Wafa KrDiya
Ghar Ka Ghar
Suparde-KHUDA
Kr Diya
Nosh Kar Liya JisNe Shahadat Ka Jam
Us HUSAIN
IbnE-ALI Par Lakho Salam
hazrat ALI radhiallahu anhu’
k pasine se
Phool bante hai
hazrat.ALI k Nakshe Qadam se Usool bante hai
Log kya jane
HASAN aur HUSAIN Ki Azmat jin NAWASON ki sawari RASOOL Bante hain
.
FARMANE-NABI
HAZRAT FATIMA jannati aurton ki
sardar hai
aur
hazrat HASAN
AUR HUSAIN
jannati naujawano
k
sardaar hai
(tirmizi baabul manaqib)
.
Huzoor Ka Irshad Pak Hai. Husain
Mujh Say Aur Mai Husain Sy Hun. Allah Ussy
Mohabbat Krta H Jo Husain
Sy Mohabbat Krta H
.
FARMANE NABI-sallallahu alyhi wasallam
beshak:
hazrat HASAN AUR HUSAIN
duniya
me mere 2 phool
hain,
#mishkatul masabih
kitabul manaqib)
.
HADEES:
MOHAMMAD(sallallahu alyhi wasallam) AUR AALE MOHAMMAD Ki Mohabbat Me
Marne Wale Ki Qabr Me Jannat K Darwaze Khol Diye Jaate Hain
TAFSIRE IBNE ARBI V:2,P:212
.
Agar aap Hidayat Chahte Hai Aur Gumraahi Aur Zalalat Se Apne AapKo Door Rakhna Chahte Hai Tou Ahle-Bait Ka Daman Thamna Zaruri Aur Aham Hai
Wahabi-Deobandi Ka Aqida:Muharram Me Imaam Husain Ka Zikr Karna Doodh,Sharbat Pilana Sab
Haraam Hain
>Fatawa Rasheediya Page:139
.
Unki Nisbat Ka Taaj Rakhte He
Har Marz Ka ilaaj Rakhte Hai
Khauf Kya Ho Hame Yazidiyon Se
Hum HUSAINI Mizaaj Rakhte Hai
Naame-Hussain Hashr Tak Aabad Rahega
Barbad
Tha Yazid Wo Barbad Rahega
Hussain Tere Khoon K Har Ek Khatre se
Gulshan Mere IMAN Ka Aabad Rahega
Agar Aap IMAM HUSAIN Ki Khushi Chahte Hain To Unki khushi Shariat Par Chalne Me Or Haram Kaam Taziya,Dhool,Tashe, Matam Se Bachne Me Hi Hai,
Phir aaj haq k liye jan fida kre koi
Wafaa bhi JHuM Uthe wo wafa kre koi
NaMAz 1400 salon se intzar me h k
HUSSAIN ki tarha sajda kare koi
.
ALLAH ka farman
Quran:
jo log ALLAH aur uske RASOOL ko
taklif pahonchate hai uspar duniya aur aakhirat men ALLAH ki laanat hai
(sura ahzaab.57)
.
Farman-e-Rasool
Hazrat.Hasan aur Husain Jannati Naujawano k Sardar hain
(Tirmizi)
.
Sachcha Sunni Wo Hai Jo Imame Hussain
Ki Yaad Shariat K Dayre Me
Manaye.Taziya Dhool Tashe Baje Gaje Ye Sab Shaitan K
Hatiyar Hain
InseBacho
Sunni Musalman Aese Maqamaat Par Na Jaayen
Allah Ta’ala in saare
masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
(YAZEED KI HAQEEQAT)
YAZID NE HAZRAT IMAAM HUSAIN aur AAPKE GHARWALO aur SATHIYO KO QATL KARAAYA
MADINA MUNAWWARA KI HURMATKO PAAMAL KIYA
aur
APNE LASHKAR KE WAASTE MADINA MUNAWWARA KI PAKBAZ AURTO KE SAATH ZINA 3 DIN K LIYE JAIZ KAR DIYA
IBNE ZIYAAD NE NAWASA e RASOOL KO SHAHID KIYA
aur
IBNE ZIYAAD NE JO KHUCHH BHI KIYA YAZID KE HUKM aur USKI RAZA SE KIYA
-ASH’ATUL LAMAAT
Jild-2,Safa-623
-*-
IMAAM AHMAD BIN HAMBAL
(RadhiAllahu Ta’ala Anhu)
&
HAZRAT GAUSeAAZAM
(RadhiAllahu Ta’ala Anhu)
FARMATE HAI:
NAPAAK YAZID KAAFIR HAI
aur
US PAR LAANAT BHEJNA JAIZ HAI
-ASSWAEQUL
MUHARRIQA
SAFA-220
****
HADEES:
RIWAYATe
HAZRAT KAAB BIN UJARAH:
MAI TUJKO BE AQLO KI HUKUMAT SE ALLAH KI PANAH ME DETA HU
MAINE ARZ KIYA BE AQLO KI HUKUMAT KYA HAI?
FARMAYA:
ANKARIB AISE-AISE UMRA(HAAQIM) HONGE KI BAAT KARENGE TO JUTH BOLENGE aur AMAL KARENGE TO JULM KARENGE
PAS JO UNKE PAAS AAKAR UNKE JUTH KI TASDIQ KAREGA aur UNKE JULM PAR UNKI MADAD KAREGA TOWOH SHAKHS MUJHSE NAHI aur MAI USSE NAHI
aur
NA WOH QIYAMAT KE DIN MERE HAUZE KAUSAR PAR AA SAKEGA
-KANZUL UMMAL
Jild-5,Safa-477
HADEES:
RIWAYATe
ABU HURAIRAH
(RadhiAllahu Anhu)60 HIJRI KE SAAL aur LADKO KI IMARAT wa HUKUMAT SE ALLAH KI PANAH MAANGO
-AL BADAYA
Jild-8-Safa-231
AYE IMANWALO!
UN BAD AQL aur ZALIM LADKO KI HUKUMAT wa IMARAT 60 HIJRI MESHURU HOGI
UN AAWARA LADKO KI HUKUMAT wa IMARAT KA YE AALAM HOGA KI JO SHAKHS UNKI ITA’AT wa FARMABARDARI KAREGA USKA DEEN TABAH wa BARBAD HO JAEGA
aur
JO SHAKHS UNKI ITA’AT NAHI KAREGA TO USKE JAAN wa MAAL KITABAHI HOGI
AAWARA LADKO ME PAHLA YAZID HAI
Q KI YAZID BUZURGO KO SHAHRO KI HUKUMAT SE HATA KAR UNKI JAGAH NAU UMR KE LADKO KO OHADO PAR MUKARRAR KARTA THA
HADEES SHARIF ME JO AAWARA LADKO KI HUKUMAT FARMAYA GAYA HAI KI USSE MURAD YAZID BIN MUAAWIYA HAI
-FAT’HUL BAARI
13-8
-BUKHARI:180
-HASHIYA BUKHARI
SHIFA SHARIF
HADEES:
HAZRAT ABU HURAIRA:
MERI UMMAT KI HALAQAT QURAISH KE CHAND AAWARA LADKO KE HAATHO SE HOGI
MAI CHAHU TO BATA DU KI FALAA IBNE FALAA HAI
-BUKHARI
J-2,S-1046
60 HIJRI ME AAWARA LADKO KI HUKUMAT SE PANAH MAANGNE KA HUKM HUZOOR NE DIYA THA
&
HAZRAT ABU HURAIRAH KO MALUM THA ISLIYE WO DUA KIYA KARTE THE
YA ALLAH MAI 60 HIJRI KI IBTIDA& AWARA LADKO KI HUKUMAT SE TERI PANAH MANGTA HU
ALLAH NE UNKI DUA QUBUL FARMAYI
&
59 HIJRI ME AAPKA WISAL HUA
YAHI HUA
SAN 60 HIJRI ME AMEER MUAWIYA KA WISAL HUA
&
AAWARA YAZID KI HUKUMAT AAYI
&
WO 64 HIJRI TAK BAQI RAHA FIR MAR GAYA
-FAT’HUL BAARI
J-13,S-8
HADEES:
RIWAYATe
HAZRAT ABU OBEDA
(RadhiAllahuAnhu)
HUZOOR e AQDAS (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA:
MERI UMMAT KA AMR(HUKUMAT) ADAL KE SATH QAAYAM RAHEGA
YAHA TAK KI PAHLA SHAKHS JO TABAH KAREGA WO BANI UMAYYA ME SE HOGA JISKO YAZID KAHA JAYEGA
-*-*-
HADEES:
RIWAYATe
HAZRAT ABU DARDA
(RadhiAllahuAnhu)
PAHLA WOH SHAKHS JO MERI SUNNAT KO BADLEGA WO BANI UMMAYYA ME SE HOGA JISKO YAZIDKAHA JAYEGA
-AL BIDAYA
Jild-8-Safa-231
-*-
HAZRAT ABU HURAIRA (RadhiAllahu Anhu)
ARZ KIYA KARTE THE
AYE ALLAH MUJHE 60 HIJRI KA SAAL aur AWARA LADKO KI HUKUMAT SE PAHLE MUJE MAUT DEDE
-FAT’HUL BAARI
Jild-13, Safa-8
YAZID HAR WAQT SHARAB KE NASHE ME MAST REHTA THA
KUTTO KA SHIKAR KARTA
aur
BANDARO KE SARO PAR SONE KI TOPIYA PEHNATA
-ALBADAYA
J-8,S-335
-*-
YAZID PAR LAANAT BHEJNA JAIZ HAI
IS LIYE KI IMAAM HUSAIN (RADHIALLAHU ANHU) KE QATL KA HUKM DeKAR USNE KUFR KIYA
-SHARAH AQAIDe NASFIYA
SAFA-117
JAB IMAAM HUSAIN SHAHEED HUYE
TAB JINNAT RO RAHE THE
aur
YAZIDIYO PAR LAANAT KAR RAHE THE
-IMAAM AHMAD BIN HAMBAL
@[1486652458258363:]
YAZID KO JANNATI
KEHNE WALO
KI DALEEL AUR USKI POORI HAQIQAT
:::
HADEES:
MERI UMMAT KA PAHLA LASHKAR JO KAISAR KE SHAHAR ME JANG KAREGA WO BAKHSHA HUA HAI
-BUKHARI
JILD-1,SAFA-410
NABIePAAK NE MAGFIRAT WA BAKHSHISH KA INAAM UNKE LIYE RAKHA JO US PAHLE LASHKAR ME JO LOG SHARIK HONGE
UNKE LIYE KHAAS FARMA DIYA
aur
US LASHKAR ME YAZID SHARIK HI NAHI THA
HAZRAT AMIRE MUAWIYA (radhiallahu anhu) NE APNE BETE YAZID KO GAJWA ME SHARIK HONE KA HUKM DIYA TO YAZID BAITHA RAHA
aur
HILE BAHANE SHURU KIYE TO AAP USKE BHEJNE SE RUK GAYE
-IBNE ASEER
J-3,S-189
IBNE ASEER KI IS RIWAYAT SE SAAFTAUR PAR ZAHIR aur SABIT HO GAYA KI HAZRAT MUAAWIYA NE JOPAHLA LASHKAR QAISARE RUM PARBHEJA US ME YAZID SHAMIL HI NAHI THA,
::
YAZID NE IMAAM HUSAIN aur AAPKE SATHIYO KO 3 DIN TAK BHUKA-PYASA RAKHKAR ZULM O SITAM KAR KE ZIBAH KIYA
aur UN SHAHEEDO PAR SHAHADAT K BAAD GHODE DAUDAE
HAZRAT IMAAM HUSAIN KE SARE-ANWAR KO KAAT KAR NEZE PAR CHADHAYA aur JAGAH JAGAH FIRAYA
NABIePAK KI BETIYO KO QAID KIYAGAYA aur BE ADBI KE SATH US KHABIS , YAZID NAPAK KE DARBAR ME LAYA GAYA
ISSE BADHKAR KATAH RAHAM aur ZAMEEN ME FASAAD KYA HOGA,
MALUN HAI WO JO UN MAL’OON HARKAAT KO FISKO FUZUR NA JAANE WO
KHUD GUNAHGAR HAI,
::
BESHAK YAZID NE WALIYE MULK HOKAR ZAMEEN ME FASAAD FAILAYA
HARMAIN TAYYEBAIN aur KHUD KAABA MU’AZZAMA aur ROZA e TAYYABA KI SAKHT BE HURMATIYA KI
MASJID e KAREEM ME GHODE BAANDHE aur UNKI LEED aur PESHAB MIMBAR e ATHAR PAR PADE
3 DIN TAK MASJID e NABWI ME AZAAN wa NAMAZ NAHI HONE DI
MAKKA wa MADINA wa HIJAAZ ME HAZARO SAHABA wa TAABAIN KO BE GUNAH SHAHID KIYA
KAABA MUAZZAMA PAR PATTHAR BARSAAE aur GILAAF e KAABA KO FAADA aur JALAYA
IMAAM IBNE HOMAAM FARMATE HAI:
BAAZ NE YAZID NAPAAK KAFIR KAHA HAI
ISLIYE KI USSE AISI BAATE ZAHIR HUYI JO YAZID K KUFR PAR DALAALAT KARTI HAI
JAISE SHARAB KO HALAAL KARNA
&
HAZRAT IMAAM HUSAIN & AAPKE SATHIYO KE QATL KE BAAD YE KEHNA KH MAINE UNSE BADLA LIYAHAI APNE BUZURGO & SARDARO KA
#SHARAH FIQHE AKBAR
SAFA-88
SHAH WALIULLAH:
YAZID NAPAAK GUMRAH & GUMRAHGAR THA
aur
GUMRAHI KI TARAF BULANEWALA SHAAM ME YAZID THA & IRAQ ME MUKHTAR THA
HUJJATULLAHIL BAALEGA
JILD-2,SAFA-507
NABI e KAREEM
(SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM)
SAHABA e KIRAM
AIMMA e KIRAM
wa
MUHADDISINE IMAAM KE FARMUDAAT JO KITABO ME MAUJUD HAI
USSE SABIT HO GAYA KI YAZID NAPAAK
SUNNAT KO BADALNE WALA
BE AQL,
JUTA,
FAASIK O FAAJIR,
SHARABI
aur ZAALIM THA
–
MAJID ITMINAAN wa YAQIN KE LIYE HAWALA MULAAHZA FARMAYE
SHARAH BUKHARI
SAFA-80
SHIFA SHARIF
JILD-1 SAFA-694
FIQAH AKBAR
SAFA-88
JAAM e SAGEER
JILD-3 SAFA-296
SHARAH AQAAID
SAFA-102
SAAVI
JILD-5 SAFA-101
TARIKHUL KHULAFA
SAFA-80
HAYATUL HAIWAN
JILD-2 SAFA-225
ASH’ATUL LAMAAT
JILD-2 SAFA-623
MAKTUBAAT SHARIF
SAFA-54
SIRRUSH’SHAHADATAIN
SAFA-12
FATAWA AZIZIYA
JILD-1 SAFA-252
MASNAWI
SAFA-6
.
YAZID NE IMAAM HUSAIN KO QATL KARAYA
MADINA KI HURMAT KO PAAMAL KIYA
&
APNE LASHKAR KE WASTE PAKBAZ AURTO KE SATH ZINA 3 DIN K LIYE JAIZ KAR DIYA
IBNE JIYAAD NE NAWASA e RASOOL KO SHAHEED KIYA
&
IBNE JIYAAD NE JO KHUCHH BHI KIYA YAZID KE HUKM aur USKI RAZA SE KIYA
ASH’ATUL LAMAAT
Jild-2,Safa-623
IMAAM AHMAD BIN HAMBAL
&
HAZRAT GAUSe AAZAM
FARMATE HAI
NAPAK YAZID KAFIR HAI
&
US PAR LAANAT BHEJNA JAIZ HAI
-ASSWAEQUL
MUHARRIQA
SAFA-220
HAZRAT IMAAM AHMAD BIN HAMBAL
KOI SHAKHS ALLAH TA’ALA PAR IMAAN RAKHNE WALA AISA HOGA
JO YAZID SE DOSTI RAKHE aur MAI US PAR KYU NA LAANAT KARU?
IMAAM H KI RAHMAT SE NA UMMID
.
HADEES:
KAAN KHOLKAR SUNLO!
JO SHAKHS AALE RASOO KE BUGZ wa ADAWAT PAR MARA WO JANNAT KI KHUSHBU SE MAHRUM HOGA
KHATUNE JANNAT SAYYADA
FATIMA
HAZRAT MAULA ALI
IMAAM HASAN wa IMAAM HUSAIN
aur UNKI AULAD JO QIYAMAT TAK HOGI, AHLE BAIT HAI
aur
AHLE BAIT HI AALE RASOOL HAI
TAFSIRE KABEER
JILD-7,SAFA-390
.
INSAAF KE BAADSHAH HAZRAT IMAAM HUSAIN NE GHAR, QUNBA, AHBAAB SABKO QURBAN KAR DIYAaur KHUD BHI QURBAN HO GAYE LEKIN UMMAT KA SAUDA NAHI KIYA
BALKI YAZAHMAD BIN HAMBAL KE QAUL SE ZAHIR HO GAYA KI KOI MOMIN YAZID SE DOSTI NAHI RAKHEGA
BALKI US KHABIS ,PALID YAZID NAPAK PAR LAANAT BHEJEGA
YAZID NAPAAK, SUNNAT KO BADALNE WALA BE AQL, JUTA, ZALIM THA
SAHIH BUKHARI
JILD-2, SAFA-1046
AL BADAYA
JILD-8 SAFA-231
FAT’HUL BAARI
J-13,S-7
KANZUL UMMAL
J-6,S-45
YAZID NE HAZRAT IMAAM HUSAIN aur AAPKE GHARWALO aur SATHIYO KO QATL KARAAYA
MADINA MUNAWWARA KI HURMATKO PAAMAL KIYA
aur
APNE LASHKAR KE WAASTE MADINA MUNAWWARA KI PAKBAZ AURTO KE SAATH ZINA 3 DIN K LIYE JAIZ KAR DIYA
IBNE ZIYAAD NE NAWASA e RASOOL KO SHAHEED KIYA
aur
IBNE ZIYAAD NE JO KHUCHH BHI KIYA YAZID KE HUKM aur USKI RAZA SE KIYA
-ASH’ATUL LAMAAT
Jild-2,Safa-623
-*-
IMAAM AHMAD BIN HAMBAL
(RadhiAllahu Ta’ala Anhu)
&
HAZRAT GAUSeAAZAM
(RadiyAllahu Ta’ala Anhu)
FARMATE HAI:
NAPAAK YAZID KAAFIR HAI
aur
US PAR LAANAT BHEJNA JAIZ HAI
-ASSWAEQUL
MUHARRIQA
SAFA-220
-*-
YAZID KO HAQ PARAST KAHNE WALE aur UNKO CHAHNE WALE LOGO SE KYA AAP DOSTI RAKHNA PASAND KAROGE..
Allah Ta’ala in hamen aise logo se mahfooz farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
YOUME AASHURA
.
[HADITH]- ASHURA ka ROZA
rakho aur Is’mE YahudiYo ki Mukhalifat karo
Is’se qabl Ya Baad 1 diN ka
ROZA rakho
[Musnad-Imam-AHMED; V-1 p:518
.
HADEES:
“Mujhe Allah Par Guman Hai Ki
AASHURA(10vi Muharram) Ka Roza Ek Saal Qabl (pehle)Ke Gunah Mita Deta Hai”
{muslim Hadis-1162}
.
Guzarish:
9, 10 Muharram Ko Ziyada Se Ziyada Nek Kaam Karke Imame Hasan O Husain Radhiallahu anhu
Ko khiraje
Aqidat Pesh Karen
Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Aashura Ka Roza Rakho Aur Iske Saath 9 Ya 11 Tareekh Ka Roza Rakhlo Aur Yahood Se Mushabihat Na Karo (muslim)
.
Huzoore Pak ne farmaya jisne Ashura (10 Muharram) k din roza rakha usey
dojakh ki aag mas na karegi
(Anisul Waizin 221)
.
Jo Aashura K Din Gusl Karega Insha Allah Wo Tamam Saal Bimariyon Se Mahfuz Rahega (Ruhul Bayan)
@[1486652458258363:]
.
Note:10 Muharram Ko Aashura Kehte Hain,
10 Muharramu Aashura K Din
AYYUB ALAYHIS SALAM Ki Taklif Raf’a Ki Gai
aur
YUSUF ALAYHIS SALAM Gehre Kunwe”Se Nikale Gaye
>MUQASHAFATUL QULUB
.
10 Muharram Aashura Ke Din
YUNUS ALAYHIS SALAM Machhli K Pet”Se Nikale Gaye
Aur
YAQOOB ALAIHIS SALAAM Ki Binaai Ka Zu’af Door Hua
>M.QULUB
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
SULEMAAN ALYHISSALAM Ko Mulke Azim Ata Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
NOOH ALAYHIS SALAM Ki Kashti Kuhe Judi Par Thahri.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
MOOSA ALAYHIS SALAM Or Aap Ki Ummat Ko Najat Mili Or Fir’on Apni Qaom Samet Garaq Hua
>MUQASHAFATUL Q. S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
ISAA ALAYHIS SALAM Paida Kiye Gaye,
Isi Din Unhe Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura K Roz AADAM ALAYHIS SALAM Ko Paida Kiya Gaya,
Isi Din Unhe Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
Allah Ta’ala in saari
baton ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
Aashura ki Fazeelat :
Is mubarak din me ALLAH ta’ala ki qudrat aur ne’amat ki bahut si badi badi nishaniya zaahir hui.
(1) Isi din arsh wa qurshi, lauh wa qalam, aasman wa zameen, chaand wa sooraj, aur sitaare aur jannat banaye gaye.
(2) Isi din sab se pehli aasman se zameen par baarish hui.
(3) Isi din Hazrat Aadam alaihis salaam ki tauba qabool hui.
(4) Isi din Hazrat Idrees alaihis salaam aasman par uthaye gaye.
(5) Isi din Hazrat Nooh alaihis salaam ki kashti toofaan ke baad salaamati ke saath zoodi pahaad par pahunchi.
(6) Isi din Hazrat Ibraheem alaihis salaam ki wilaadat hui.
(7) Isi din Hazrat Ya’aqoob alaihis salaam ki apne bete Hazrat Yousuf alayhis salam se mulaqaat hui.
(8) Isi din Hazrat Yunus alaihis salaam machli ke pait se najaat mili.
(9) Isi din Hazrat Ayyub alaihis salaam ki takleef door ki gai.
(10) Isi din Hazrat Yousuf alaihis salaam gahere kuwe se nikale gaye.
(11) Isi din Hazrat Moosa alaihis salaam ko Fir’aun se najaat mili aur Fir’aun apne laskar samet dariya me garq ho gaya.
(12) Isi din Hazrat Daawood alaihis salaam ki lagzish muaf hui.
(13) Isi din Hazrat Sulaimaan alaihis salaam ko jinn wa insaan par huqoomat ata hui.
(14) Isi din Hazrat Eisa alaihis salaam ki wiladat hui aur isi din aasman par uthaye gaye.
(15) Isi din Hazrat Imaam Husain ibn Ali radiAllahu ta’ala anhu aur Aap ke Roofqa-e-Kiram ne maidane qarbala me 3 din ke bhooke pyaase reh kar Islaam ki baqa wa tahaffuj ke liye jaame shahaadat nosh farmaya.
(16) Isi din qayamat aayegi.
@[1486652458258363:]
Is mubarak din me mo’min ki Ibaadat qubool hoti hai, Tauba qubool hoti hai, Dua qubool hoti hai.
Is liye hame chahiye ke is din ko sahi tareeqe se ibaadate ilaahi karne me guzare aur sachi tauba karen aur tamam mo’mino ke liye dua e khair karen.
*************** *******
Hadeese Nabawi :
(1) Jo shakhs Aashoora ke roz Ghusl kare to kisi Marz me mubtala na hoga siwa e marz e Maut ke .
(2) Jo shakhs Aashoora ke roz Asmad ka Surma aankho me lagaye to us ki aankhen kabhi nahi dukhengi.
(3) Jo koi Aashoora ke din apne Ahlo ayaal par Nafqa me wus’at karega to ALLAH ta’ala us par pura saal wus’at farmayega.
(4) Jo Shakhs Aashoora ke din Yateem ke sar par haath pherega to ALLAH ta’ala us ke liye Yateem ke sar ke har baal ke Badle ek ek darja Jannat me Buland farmayega .
♦ Aashoora ke din Ghusl karna, aankho me surma lagana aur achha khaana pakakar khaana aur kasrat se Khiraat karna aur miskino aur yateemo khayal rakhna Sunnat hai.
*************** *******
♦ Shabe Aashoora ki Ibaadat :
(1) 2 Rak’at namaaz padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
In shaa Allah ALLAH ta’ala is namaaz ko padhne wale ki qabr ko qayamat tak roshan farmaega.
(2) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 50 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
(3) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1 martaba Aayatul Kursi aur 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Namaaz ke baad baithkar 100 martaba Surah al-Iklaas padhen.
(4) 8 Rak’at namaaz 2-2 karke padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 25 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Phir baithkar 70 baar ‘Astagfaar’ aur 70 baar Durood shareef padhen.
♦ Yaume Aashoora ki Ibaadat :
(1) 2 Rak’at nafl Tahyyatul Wuzu padhen.
Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 baar Surah al-Kaafirun aur Dusri rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 baar Surah Ikhlaas padhen.
(2) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah ad-Duha padhen, dusri rak’at me Surah Alam nashrah padhen, teesri rak’at me Surah al-Zilzaal padhen aur chothi me Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ko isaale sawaab karen.
Is ke baad wahi par baithkar 41 martaba Aayate Kareema padhen.
‘La ilaaha illa anta subhaanaka inni kuntu minaz zaalimeen.’
Phir sajde me sar rakhkar ALLAH ta’ala se Eimaan ki salaamati ki dua karen.
(3) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah al-Kaafirun padhen,
dusri rak’at me Surah al-Ikhlaas padhen, teesri rak’at me Surah al-Falaq padhen aur chothi me Surah al-Naas padhen.
Ise chaaro Khulfa e raashideen radiAllahu ta’ala anhuma ko isaale sawaab karen.
Phir baithkar 70 martaba ‘HasbunAllahu wa niamal wakeel wa niamal maula wa niaman naseer’ padhen.
(4) 2 Rak’at namaaz padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise Sayyeda Faatima Zahra radiAllahu ta’ala anha ko isaale sawaab karen.
(5) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Aayatul Kursi padhen, dusri rak’at me Surah al-Takaasur padhen, teesri rak’at me Surah al- Kaafirun padhen aur chothi me Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise Imaame Hasan aur Imaame Husain radiAllahu ta’ala anhuma ki arwaahe paak ko isaale sawaab karen.
(6) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise Shohada e Karbala radiAllahu ta’ala anhuma ki arwaahe paak ko isaale sawaab karen.
(7) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1 baar Aayatul Kursi aur 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise apne waalidain ko isaale sawaab karen.
Is ke baad 100 baar Astagfaar aur 100 baar Durood shareef padhen.
Phir 3 martaba ye dua padhen :
Allahumma inni asaluk bihaqqil hasani wa akheehi wa ummihi wa abeehi wa jadadihee wa baneehi farrij hammee maa ana feehi bi rahmatik ya arhamar rahimeen.
(8) 2 Rak’at namaaz padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Ise khud apni rooh ko isaale sawaab karen.
▪▪► In namaaz me agar dusri Surah yaad na ho to uske badle Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Iklaas ya aur koi Surah yaad ho wo padhen.
▪▪► Kisi wajah se tamam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilawate Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.
▪▪► Aur apne liye aur tamam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdad aur tamam marhoomin ke liye Due e magfirat karen.
▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaz padhen take bariuz zimma ho jaaye.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aainda sab namaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke fayuzo barkaat haasil karte rahenge.
*************** *******
Is ke baad Dua e Aashura zaroor padhen.
Is dua ko padhne wala In shaa Allah pura saal maut se mehfooz rahega.
Ye dua post ke saath Photo me di gai hai.
*************** *******
Aashoora ka Roza :
Hadeese Nabawi :
Jo musalman aashoora ke din Roza rakhega uske pure saal ke gunah ALLAH ta’ala muaf farmaega.
♦ Behtar hai ke 2 din roze rakhen, 9 aur 10 ya 10 aur 11.
*************** *******
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Imaame Husain radiAllahu ta’ala anhu aur Shohada e Karbala aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Aashura me sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq
ata farmaye aur har buri bid’at aur gunah se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur
Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
ताजिया और मुहर्रम:-
सवाल ! ताजियादारी, ढोल ताशे, नाच गाने, आलम सवारी, मेहँदी वगैरा क्या जाइज़ है ?
-आला हज़रत इमाम अहमद रज़ा खान अलैहे रहमा का फतवा –
जवाब ! ताजिया निकालना, ढोल बजाना, औरतो का सीना पीटना, काले कपड़े पहनना, अपने जिस्म को जानबूझकर तकलीफ देना (तलवार, सुइये और दीगर लोहे के औजार से जिस्म को जख्मी करना) ये सब काम नाजाइज़ है ।
Allah ta’ala in saari
baton ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.net
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN