Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jan 31, 2015 0:39:06 GMT 5.5
MUNKAREEN-E-TAQLEED SE CHAND SAWAALAAT:
1. Kya Aap Mushrikeen ko A’imma-e-Araba’h ki tarah Mujtahideen maante hain..? Agar maante hain to Mushrikeen ki Fiqh aur Fiqhi Usool ka Naam bataayei’n..?
2. Kya Aap A’imma-e-Araba’h ko bhi Mushrikeen ki tarah Be-Ilm, Be-Aql Ya Be-Hidayate maante ho..? Agar Nahi to Mushrikeen ke baare me Nazil hui Aayaat ko A’imma-e-Araba’h ki Taqleed per Chaspa (Fit) karna Kitna Durust hai..?
3. Mushrikeen Apne Aabaa wa Ajdaad ki Taqleed Aqaa’id-e-Kufriyah me karte the Ya Phir Ijtihadiyah Masaa’il me..? Kya Aap maante hain ke Jis tarah Mujtahid ko Khata’ per 1 Ajar milta hai Usi tarah Mushrikeen ke Aaba wa Ajdaad ko bhi 1 Ajar milta tha..?
4. Agar Mushrikeen Taqleed-e-Shaqsi karte the to, Jis tarah Hamari Nisbatei’n hain Hanafi, Shafa’i, Hanbali wa Maliki to Isi tarah Un MUSHRIKEEN ki bhi Nisbatei’n honi Chahiye. Kya Aap Qur’an wa Hadees se sabit karenge ke Mushrikeen ki Nisbatei’n Kis Imam Mujtahid ki taraf thi.?
5. Ab bata’iye ke Mushrikeen Hamari tarah Taqleed-e-Shaqsi karne waale hue ke Aap ki tarah Taqleed-e-Ghair Shaqsi karne waale hue..?
EK SHUBAH AUR USKA JAWAB:
AITRAAZ: Munkareen-e-Taqleed Ye waswasah daalte hain ke, Agar Kisi Shaqs ko Mujtahid ke bataaye Masla’h ki Daleel ka Ilm ho Jaaye to Wo MUQALLID Na raha Kyonke Taqleed Bila-Daleel Amal karne ko kehte hain aur Daleel Ma’loom hote hi Taqleed na rahi.
AL-JAWAAB: Pehli baat to Ye hai ke Jis tarah FARZ, SUNNAT, MUSTAHAB, MUBAH, SAHIH HADEES, ZA’EEF HADEES waghera ki Ta’reefaat aur Muhaddiseen wa Mujtahideen ke banaaye hue USOOL waghera Qur’an wa Ahadees me nahi milte theek Isi tarah Taqleed ki Ye Ta’reef Jisme “Bila-Daleel” ka Lafz aaya hai Na to Qur’an me hai aur Na Hadees me hai balke Iski Ta’reef to Ummatiyo’n ne ki hai. La-Mazhabo’n ko Chahiye ke Pehle Ye Ta’reef Qur’an wa Hadees se Dikhaate aur Phir Aitraaz karte kyonke Ummati ki baat manna to TAQLEED hua aur Jis ko Tum maante hi Nahi ho Us se Hum per HUJJAT Qayem kaise Kar sakte ho.?
Doosri baat ye hai ke, Mukhtaleef Ulema’ ne Taqleed ki Ta’reef me MUKHTALEEF Ta’beeraat Apnaayi hain. Aur Is Ta’reef me Jisme Lafz “Bila-Daleel” aaya hai Is se muraad Ye hai ke Masla’h ki Daryafti ke sath Daleel maangna Koi SHART Nahi hai balke Mujtahid ke Qoul wa Fa’l ko Mehaz Husn-o-Zann aur Us se Aqeedat ki bina per Tasleem kar ke Amal kiya jaaye aur Daleel ki Fikr na kare. Aur aisa Karna Kayi Ahadees se bhi saabit hai ke Log Sahaba (raz.) se Masaa’il daryaft karte magar sath hi Daleel Nahi maangte the. Misaal ke taur per 3 Talaq ke Masla’h per Ek Shaqs Ibne Abbas (raz.) ke Paas aaya Jisne Apni Biwi ko Ikatthi 3 Talaqein di thi to Unhone 3 Talaaqo’n ko 3 hi Naafiz kar diya. [Abu Dawood – Kitab At-Talaaq, Sahih]. Us Shaqs ne Na Ibne Abbas (raz.) se Iski Daleel poochi aur Na hi Is Fatwe ke khilaf Koi Daleel Peish ki. Aisi Be-Shumaar Misalei’n Kutab Ahadees me milti hain Jiski Tafseel Yaha per Mumkin nahi hai.
Pas ma’loom hua ke Masla’h ki Daryafti ke sath sath Daleel maangna Koi SHART nahi hai. Ulema’ ne Taqleed ki Ta’reef me Yehi kuch bayan farmaya hai.
Aur Ye bhi Haqeeqat hai ke Muqallid ko ba’z dafa’h Daleel ka Ilm bhi ho jata hai. Lekin Is se Ye Nahi samjha Jaayega ke Daleel ka Ilm hona Taqleed ke khilaf hai balke Mujtahid ke Qoul wa Fa’l ko Jaan lene ke ba’d phir Us per Amal na kare to Phir Ye TAQLEED ke khilaf hai.
KHULASAH: Mujtahid ki Misaal ‘Ghouta Khor’ ki si hai Jo Samandar se Moti nikaal kar lata hai Ya’ni Mahir Quran-o-Hadees Masla’h Istinbaat karta hai. Muqallid Kinaare par hota hai aur Mahir-e-Fann se faydah uthaate hue Moti qubool kar leta hai ya’ni Shari’at per amal karta hai.
Kuch Log Jo Tairna hi Nahi Jaante Moti nikal kar laane ki koshish karte hain aur Khud ko halakat ke haatho’n daal kar Doob kar mar jate hain. Kyonke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Ek Hadees ka Maf’hoom hai Jab Koi Amr (Kaam) Na-Ahlo’n ke Suprad kar diya Jaaye to phir Qayamat ka Intezaar karna. [Sahih Bukhari – Kitab: Al-Ilm]
Allah Rabbul Izzat Is Fitnah La-Mazhabiyat se hamari Hifazat farmaaye aur Deen ki SAHIH samajh ata farmaye. Aameen Ya Rabbul Aalameen. Wa Lillahil Hamd..