Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 2, 2015 11:58:44 GMT 5.5
WASWASA’H
Jub Imam Abu Hanifa’h Rehmahullah nahi thay to Hanafi muqallid kaha thay ?
Charoon mazaahib k perokaar apnay Imamoon per jaker dam tordhtay hain
JAWAB = Is waswasa’h ka ilzaami jawab to ye hay k jub Aayimma’h Hadees
Imam Bukhari
Imam Muslim
Imam Tirmizi
Imam Abu Dawood
Imam Nisayi
Imam Ibne Maja’h
wagerahum nahi thay aur na in ki kitaabain theen – to us waqt ahle islam hadees ki kin kitaboon per amal kartay thay ?
Aur aaj kay naam nihaad ahle hadees kahaan thay ?
Kiyonkay Firqa’h naam nihaad ahlehadees 1888 may muarriz wajood may aaya – agercha’h baaz naam nihaad ahlehadees nay apna rishta nata’h haqeeqi [AHLEHADEES] yani Muhaddiseen kiraam kay sath jordhnay ki nakaam koshish ki hay – Muhaddiseen kiraam aur Aayimma’h islam ki kutub may jahaan kaheen bhi “AHLEHADEES” ka lafz dekha to apnay auper chaspaan kardiya – in jhootay dawa’h say 1 jahil na waaqif shukhsh ko to khush kiya jasakta hay – lekin ashaab ilm o nazer kay samnay in pur faraib dawa’h ki koi hesiyat nahi hay – lihaaza Firqa’h naam nihaad ahlehadees ka talluq [AHLEHADEES] yani haqeeqi Aayimmah hadees aur Muhaddiseen kiraam kay sath zarra baraaber bhi nahi hay – aur ager
Hanafi
Shafayi
Maalki
Hunbali
apnay Aayimma’h per jaaker dam tordhtay hain to ye koi nuqs o aeib ki baat nahi hay kiyonkay ye sub Aayimma’h kiraam Haq o Huda’a hain – aur Kherulquroon ki shakhsiyaat hain – jame’e ummat in Aayimma’h kiraam ki imaamat o sadaaqat o jalaalat o saqaahat per muttafiq hay – aur bilkhusoos Imam e Azam Abu Hanifa Rehmahullah bilittefaaq TAABIYAT kay azeem shurf say muttasif hain – aur baqoul Imam Siyooti Rehmahullah o diger Aayimmah k Aap Sallallahu Alahi Wasallam ki peshin goyi ka misdaaq hain – aur Alhumdulillah Deen may hamari sanad 2 waastay say Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam tak pohnchti hay – kiyon Imam e Azam Abu Hanifa’h Rehmahullah TABAYI hain aur Tabayi SAHABA ka shagird hota hay aur SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM HUZOOR SALLALLAHU ALAHI WASALLAH kay baraah e raast bilawasta’h shagird hain – Alhumdulillah hamain is nisbat aur sanad per fakhar hay – lekin dusri taraf Firqa’h naam nihaad ahlehadees jama’at jo k bilittefaaq hindustaan may angrezi dour may paida ki gayi – puri Tareekh e islam may kisi bhi jaga’h Firqa’h naam nihaad ahlehadees ka tazkirah kaheen nahi milta – aap Tareekh e islam ya Tareekh e farq per koi bhi kitaab authalain kaheen bhi in ka naam o nishaan nahi milta – inka silsilah Angreezi dour say chalta hay hatta’a k sirf Hindustaan ki Tareekh pardh lain k sekrdhoon saal tak zamaam e iqtedaar musalmanoon kay hath may raha maslan Musalmaan hukmuranoon may
Mughal
Ghori
Tughlaq
Lodhi
Khalji
wagera 1 Taweel zamanay tak hindustan per hukmuraani kartay rahay lekin in sub adwaar may Firqa’h naam nihaad Ahlehadees bilkul nazer nahi aata – aur jo hazraat is Firqa’h may Hadees ki sanad bhi rakhtay hain to wo bhi Mian Nazeer Hussain Dehlvi say aagay sirf aur sirf Firqa’h naam nihaad Ahlehadees aur Germuqallideen kay wasta’h say ASHAAB E SAHA SITTA’H tak nahi pohnchta – balkay Mian Nazeer Hussain Dehlvi kay ba’ad Imam Bukhari o Imam Muslim wagera’h tak inka silsilah sanad
Hanafi o Shafayi Muqallideen kay wasta’h say pohnchta hay
AB HAMARA SAWAL ye hay k Raat Din ye loog ye takraar kartay rehtay hain k Taqleed shirk o jahaalat hay aur Muqallid mushrik o jaahil hota hay – ager tum apnay is qoul may sachchay ho to Imam Bukhari ya kisi bhi Imam e Hadees tak apni 1 Zaeef sanad bhi aesi dikhadoon jis may Awwal ta Aakhir sub kay sub Germuqallid aur tumhari tarah nazriyaat kay haamil afraad shaamil hoon ?
Qiyaamat tak ye loog aesi sanad nahi dikhasaktay – bus Awaam ul Naas ko dhoka denay kay liye mukhtalif qisam kay heelay bahaanay taraashay huwe hain – MASHHOOR Germuqallid Aalim Moulana ibraheem meer sialkoti nay apni kitab
[ TAREEKH E AHLE HADEES Hissa 3 ]
per ye aunwaan qaayim kiya hay
HINDUSTAN MAY ILM O AMAL BIL HADEER AUR IS KAY TEHAT YE NAAM ZIKER KIYE HAIN
01 = Sheikh Razi ud Deen Lahori
02 = Ghulam Muttaqi Jonburi
03 = Ghulam Tahir Gujrati
04 = Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi
05 = Sheikh Ahmad Sirhindi
06 = Sheikh Noor ud Deen
07 = Sheikh Mubarak Balgiraami
08 = Sheikh Noor ud Deen Ahmad Abadi
09 = Meer Abdul Jaleel Balgiraami
10 = Haji Muhammad Afzal Sialkoti
11 = Sheikh Mirza Mazhar Jaan Janaan
12 = Sheikh Al Shah Waliullah
13 = Sheikh Al Shai Abdul Aziz
14 = Sheikh Al Shah Rafiuddeen
15 = Sheikh Al Shah Abdul Qadir
16 = Sheikh Al Shah Ismail Shaheed
17 = Sheikh Al Shah Muhammad Ishaque
[ PAGE NUM 387 TO 424 MULKHISAN ]
ZAALIKA FAZLULLAHI YOTIHI MAI YASHA’A
ALHUMDULILLAH ye sub kay sub hazraat HANAFI maslak say thay jin ki badolat baqoul Moulana Ibraheem Meer Sialkoti hindustaan may Hadees ka ilm o amal aur inhi hazraat Muhaddiseen ki itteba’a say logoon nay Hadees o Sunnat ka ilm haasil kiya – jesa k may nay auper arz kiya k ye loog awaam kay saamnay to raat din ye Raag alaaptay rehtay hain k Muqallid mushrik o jaahil hota hay lekin haqeeqat may Qiyaamat tak is ausool o mouqqaf ko apna nahi saktay kiyonkay duniya may koi aesi Hadees ki sanad inko nahi mil sakti jis may sub kay sub in ki tarah Germuqallid hoon – balkay tamaam asnaad ASHAAB E SAHAH SITTA’H wagerahum Aayimmah tak Muqallideen Ulama’a kay wasta’h say pohnchti hain – aur baqoul in kay Muqallid mushrik o jaahil hota hay to Hadees jo hamara Deen hay – ye loog mushrik o jaahil logoon kay waastoon say letay hain
[ MA’AZALLAH ]
ALLAH TA’ALA IN GERMUQALLIDEEN KO SAHEEH SAMAJH DAY
AAMEEN SUMMA’H AAMEEN