|
Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 2, 2015 12:39:08 GMT 5.5
Ahle Hadees aksar ye eiteraaz karte hain ke Imam Abu Hanifah Rahimahullah ko tamam Ahadis nahi pohnchi thi.?
Jawaab Ahadees nahi pohnchi thi, iska matlab toh Yehi huwa ke 150 Hijri tak bhi Deen Mukammal nahi hua tha.. Toh Koi Ghair Muqallid, Yebataye ke Phir Deen kab Mukammal hua.? Sihah Sittahke likhe Jaane ke ba’d Ya phir Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wa Sallam ki wafaat se pehle.? 150 Hijri tak jitne Musalman Guzrey hain, Kya wo Mukammal Musalman the bhi ya nahi.? Imam Malik rah. aur Imam Ahmad rah. Madani A’imma aur Jaleel-o-Qadar Muhaddis the. Unko bhi Ahadees Pohnchi thi Ya Nahi.? Agar pohnchi thi toh phir Unme Iqtilaf kyon paida hua.?
Imam Zahabi (Rahimahullah) ne apni Kitab TAZKIRATUL HUFFAAZ me Abu Haneefah (Rahimahullah) ka Zikr kiya hai. Aur Muhaddiseen ke nazdeek HAFIZ usey kehte hain Jisey Sanad wa Matan ke sath 1 Lakh Ahadees Munh Zubani Yaad ho..Aap (rah.) ne aur Aapke Shagirdon ne taqriban 70,000 Ahadees se muntakhab karke KITABUL AASAAR likhi hai. Agar maan bhi liya jaye ke Imam (rahimahullah) ko Ahadees Nahi Pohnchi bhi thi toh issey Hanafi Mazhab parKoi farq nahi padega kyonkebaad ke aane wale Ulema-e- Ahnaafko Ahadeespohnchi hain. Aur ba’d ke Ulema-e-Ahnaaf ne in Ahadees ka istedlaal karte hue Kayimasaa’il ke Jawabat ukhaz kiye hain.
|
|