|
Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 2, 2015 12:41:29 GMT 5.5
Ahle haddas ka eiteraaz Kya Taqleed ki ibtida’ 4 Sadi me hui Ya Taqlid Sahaba Razi Allahu Anhumke Zamane me bhi thi.?
Jawaab
Shah Waliullah Muhaddis Dehalvi Rahimahullah farmate hain: (Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wa Sallam ki wafat ke ba’d) SahabaRazi Allahu Anhum, DuniyakeMukhtaleef Ilaqo me phailgaye. HarSahabi raz. apne Ilaqe ke Imam aurMuqtada the. [Al-Insaaf pg3]
Jab bhi Koi Masla’h pesh aata toh Us ilaaqe ke Musalman Unhi Sahaba(Razi Allahu Anhum) se poochkar amalkarte the.
Maslan:
►Makkah ke Musalman, Ibne Abbas raz. ki Taqlid ya ittiba’ karte the. ►Madinah me- Zaid bin Sabit raz. ki Taqlid karte the. ►Koofa me- Ibne Mas’ood raz. ki Taqlid karte the. ►Yaman me- Mu’az bin Jabal raz. ki Taqlid karte the.
●Phir Shah WaliullahMuhaddis Rah. Farmate hain: Har Tabi’iAalim ka ek Mazhab Qarar paya aur har Shehar me ek ek Imam ho gaya. [AlInsaf pg6]
Maslan: ►Sahaba raz. ke daur ke ba’dMakkah ke Musalman Ata’ rah. Ki Taqleed karte the. ►Madinah- Nafe’ rah. ki Taqlid karte the. ►Koofa- Ibrahim Naqi’i rah. ki Taqlid karte the. ►Yaman-Taos rah. Ki Taqlid karte the waghera.
●Shah Waliullah Muhaddis DehalviRehmatullahi Alyhi [Iqdul Jaid pg29] par likhte…hain ke:”Sahaba raz. ke Zamane se Charon Maslakon ke zaahir hone tak Logo ka yahi Tariqa raha ke Unko Jo Mujtahid Aalim mil jata, Wo uski Taqleed kar lete, Ispar kisi bhi Qaabil e Aitbar Shaqs ne Aitraznahi kiya. Agar Taqleed Ghalat hoti toh Wo is parzaroor Aitraz karte.”
●►Taqleed, har Zamaane me, har Qoum me maujood thi aur maujood hai. Albatta farq, Jayez aur Na-Jayez Taqlid ka hai. Taqlid, Sahaba raz. ke zamane me bhithi, Tabi’een ke zamane me bhi thi. AurAitraz ki asal haqiqat toh ye hai ke Chauthi Sadi me 4 A’imma ke Mazaheb ki Taqlid par Ummat e Muslimah ka Ijma’ hua Chauthi SadiHijri me..
|
|