Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 2, 2015 13:35:18 GMT 5.5
Musalman Allah aur Rasool Sallallahu AlyhiWa Sallam ko Chhor kar Imamo ki Taqlid kyun karte hain.?
Jawaab
Bilkul Nahi.! Allah ta’la aur Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wa Sallam ko chhor kar kisi Imam ki Taqlid karne wala Musalman kaise ho sakta hai.?
Musalman, Kisi Imam ke banaye Mazhab ki Taqlid isliye karta hai taa ke Qur’an wa Hadis par Sahih amal ho aur Kitab o Sunnat ke naam par Ghair Muqallideen ki tarah Ittiba’ eNafs aur Gumrahi ka shikaarhone se Mehfooz rahein. Agar Imam ki koi baat Qur’an wa Hadis ke khilaf ho toh Imam ke Qoul ko Chhor diya jayega. Ye Tohmat/ Ilzaam, Ghair Muqallideen (Naamnihaad Ahle Hadis) ne RAAFZI SHIA’ se naqal ki hai. Jiska Jawab toh Hafiz Ibne Taymiyya rahimahullah ne Unko 800 saal pehle hi de diya tha..
●Wo likhte hain ke:”Jinnaat wa Insano me se har ek Par har haal me Wajib hai ke Wo Allah aur uske Rasool Sallallaho alaihi wa sallam hi ki ita’at karey….. Lekin chounke Allah wa Rasool Sallallaho alaihi wa sallam ke bohat se Ahkam aise hain jinhe bohat se log nahi jante isliye log is muamle me aise Aalim ke pasjate hain jo unko Allah wa Rasool Sallallaho alaihi wa sallam ke ahkam bata sake isliye ke Wo Nabi Sallallaho alaihi wa sallam ke irshadat aur unke sahih Matlab ko zyada janta hai. Lihaza Musalman jin Imamo (Ya’ni 4 A’imma) ki ittiba’ kartehain Wo Haqiqat me logo ke aur Nabi Sallallaho alaihi wa sallam ke darmyan Waseele, Raaste aurRahnuma ki haisiyat rakhte hain.” [Fatawa IbneTaymiyyah 2/239]
►Itni saaf baat ke ba’d koi Shareef,Ba hayaa aur Aqalmand Insan, Muqallideen par ye ilzaam nahi laga sakta ke Wo Qur’an wa Hadis ko Chhorkar Imamo ki Taqlid karte hain ya Unhone Imamo ko apna RABB bana liya hai. Naoozubillah minzaalik. Jo jo Tohmat Aaj Tum Ghair Muqallideen hum par laga rahe ho. Iska hisaab toh Allah ta’la ke haan hoga.. Agar Tum apni Tohmat me jhoote paaye gaye toh, ye Tohmat tumhari taraf hi lauta dijayegi. Insha’ Allah.!
Aur akhir me ye0batana chahunga ke Sahaba Razi AllahuAnhum ki ta’daad 1 Lakh se zaa’ed thi. Lekin inme se qarib 150 Sahaba Raz. ke Fataawe Kutab Ahadis jaise ke Musannaf Ibne Abi Shaibah, Musannaf Abdur Razzaq waghera me maujood hain. In kitabon me Masla’ bataya gaya hai aur Sahaba raz. neus Masla’ ke sath Koi Hadis ya Qur’ani ayat nahi bayan ki hain. Kya Ghair Muqallideen, Iska matlab ye lenge ke Sahaba raz. ne Qur’an wa Ahadis se masla’ nahi ukhaz kiya hai balke Apnazaati Qoul bayaan kiya hai.? Agar Sahaba raz. ke liye is baat ke Qayel nahi hain toh phir 4 A’imma ke liye hi Khaas kyun.? Kya ye Tumhara Bughz nahi hai.? Kya ye Tumhare me chhupi Raafzi alaamat nahi hai.? Kuch toh Khauff khao Allah ta’la ka..