Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 4, 2015 11:31:32 GMT 5.5
✳ NAMAZ KA TARIKA ✳
Namaz ke tarika shuru se aakhir tak.
Yeh post kisi Ghair Muqallid ne tayyar ki he ayye is ka jaiza lete hen
Rasoolullah sallahu alayhi wasallam ne farmaaya;
“Tum Namaaz aise parho jaisey tum ne mujhe Namaaz parhtey dekha.” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees # 361]
➡ yeh hukum sahaba ko tha Sahab ne Aise namaz padhi jaise nabi Sallallaho alaihi wa sallam ne padhi fir tabaeen ne Sahaba ko dekh kar namaz padhi isi tarah yeh silsila hum tak pahuncha namaz ki dalail sare ek sath awam ko kabhi yad nahi rehte balke woh puch puch kar amal karte hen aur isi ka naam Taqleed he
Aur baghair Taqleed k kaam chal hi nahi sakta he
Hadees ki kitabon me namaz ka pura tariqa nahi likha huwa he jis ko jo hadees mili us ne likh di he
Bukhari Muslim Abu Daud Tirmizi waghera me shuru se le kar akhir tak namaz ka tariqa nahi likha he sawal yeh he k kya yeh muhaddiseen namaz nahi padhte the agar padhte the to inho ne puri namaz ka tariqa kyun bayan nahi kiya? ??
۞ Rasoolullah sallahu alayhi wasallam jab Namaaz ke liye khadey hotey to Qibla ki taraf rukh karte aur apne haathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthaatey. Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allaah u Akbar’ kehte the. [Saheeh Muslim Kitab us Salaaat, Hadees No. 390-391]
➡ Namaz ek amal he aur amal ka Aghaz niyat se hota he
انما الاعمال بالنیات بخاری
Sawal yeh he k namaz ki niyat kaise karen? ?
Dil me karen ya zuban se? ?
Ya bilkul na karen? ??
Koi hadees dikhaen
➡ hadees me kano ya kandho tak hath uthane ka zikr he
Lekin agar koi bagher hath uthae hath bandh le namaz hogi ya nahi? ?? Hadees se dikhaen
Ya fir Mujtahid ki Taqleed karen
➡ hatheli qible ki janib hon lekin ungliyo ka kya karen hadees pesh karen? ??
۞ Phir Daayein Haath se baayein haath ko pakadtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 888]
➡ yeh pakadna wajib he ya sunnat ya mustahab? ??
Agar koi baen hath se daen ko pakadle to namaz hui ya nahi? ??
Hadees peah karen warna Taqleed karen
۞ Aur Dono Haatho ko seeney par baandh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 759, Ibn Khuzaymah, Kitab us Salaat, Hadees No. 243]
➡Abu daud ki hadees mursal he aur ibne khuzaima ki zaeef he Muammal bin Ismail ki wajah se Isi liye sare Ghair Muqallid Ulama se hum kehte hen k sirf sine par hath bandhne ki ek hadees dikha den jis par kisi muhaddis ne aitraz na kiya ho
➡ lekin agar is hadees ko sahih man bhi liya jae to sawal yeh he k sine par hath bandhna farz he sunnat he ya wajib? ??
Arab Ulama kabhi naf k niche hath bandhte hen to kabhi naf k uper unki namaz hoti he ya nahi? ??
Agar koi Shakhs hath kahin bhi na bandhe namaz hui ya nahi? ??
Hadees se dikhaen ya Taqleed karen
۞ Uske baad aap ek yeh dua parhte they. ‘Subhaanaka Allaahumma wa bihamdika wa tabaarakaasmuka…………………….’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 775-776]
➡ yeh dua padhna wajib he farz he ya sunnat? ?
Agar koi shakhs padhna bhul jae to? ??
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Phir Aap ‘Auzubillahi min ash shaitaan ir rajeem’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 764]
➡ yeh wajib he ya sunnat? ?
Agar koi jan bhuj kar ya bhule na padhe to? ?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Aur Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 399]
➡ yeh wajib he farz he ya sunnat? ?
Agar koi na padhe to namaz ho jaegi? ?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Phir Aap Surah Faatiha parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 498]
➡ yeh wajib he farz he ya sunnat? ??
Agar koi surah fatiha ki jagah pehle koi aur surat padhle fir bad me surah fatiha padhe
Namaz hogi ya nahi hadees den warna Taqleed karen
۞ Jab Surah Faatiha Khatam kartey to ‘Aameen’ kehte. [Sunan Nasai, Hadees No. 880]
➡yeh wajib he ya sirf sunnat he? ?
Agar koi sirf ahista kahe to namaz hogi? ?
Ya bilkul na kahe to namaz lotaega? ?
Hadees? Ya Taqleed
۞ Surah Faatiha ke baad Aap kabhi lambi kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Soorah parhtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 983]
➡ agar koi surat na milae sirf surah fatiha padhe ya surah padhte huwe zor padh de bhule se ya jan bujh kar
Namaz hogi ya nahi
Hadees ya fir Taqleed
۞ Fajr Ki Namaazon mein dusri Namaazo ki nisbat lambi qirat karte. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 771]
➡ agar is ka ulta kar de to? ??
Aur is tarah karna wajib he ya sunnat? ?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Aap Fajr Ki Namaaz mein aur Maghrib Aur Ishaa Ki Namaaz ki pehli do raka’aton mein buland awaaz se qirat karte the. Baaqi mein Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the.
[Fajr ki Daleel: Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 773.
Maghrib ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 763-764.
Ishaa ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 766-767]
➡ agar is ka ulta kar de to? ??
Ya isha ki akhri do rakato me adhi surah fatiha zor se padh de to? ?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Aapka ye ma’amool tha ke har Namaaz mein pehli Rakaat dusri rakat se lambi hoti. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 758-759]
➡ agar kisi se dono rakaten lambi ho jaen ya choti ho jaen to namaz hogi ya nahi?
Hadees? ?? Ya Taqleed
۞ Phir Aap usi tarha Rafayadein karte jis tarha Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur ‘Allaah u Akbar’ kehte hue Haalaat e Rukoo mein chale jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 736-737]
➡ agar koi shakhs puri namaz me kahin bhi rafe yadain na kare to namaz hogi ya nahi? ?
Ya sirf shuru me kar le bad me na kare to hogi ya nahi? ?
Ya sajdon k darmiyan bhi rafe yadain kar le to hogi ya nahi? ??
Hadees ya Taqleed
۞ Apne haathon ki ungliyaan khol kar ghuton ko ke upar yun rakhte jaisa ke unhein mazbooti se thaamey hue ho. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828]
➡ agar ungliyan band kar k ghutno par hath rakh le to namaz hogi ya nahi? ?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Apni Kamar ko hamwaar rakhtey aur sarr ko kamar ke baraabar iss tarha rakhtey ke won a unchaa hota aur na jhuka hua hota. [Saheeh Muslim, Kitab Us Salaat, Hadees No. 498]
➡ is tarah karna wajib he ya faraz?
Agar kisi shakhs ka sar kamar k barabar na ho sake to namaz hogi? ?
Taqleed ya hadees
۞ Aur Subhaana Rabbiyal Azeem kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871]
➡ agar koi aur Allah ka zikr kar de to? ?
Hogi ya nahi? ?
Maslan Subhana rabbiyal ala padh de ya bilkul na padhe to kya namaz fasid ho jaegi
Hadees ya Taqleed
۞ Phir Sami allaahu liman hamidah kehte hue [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 795]
➡ yeh kehna wajib he ya farz? ?
Agar koi bhul kar ya ghalti se samiallah ki jagah Allahu akbar keh de to namaz hogi ya nahi? ?
Hadees ya fir Taqleed
۞ Rukoo Se apna sarr uthaatey aur Rafayadein karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 736]
➡Abdullah bin masid farmate hen k nahi karte the
Nadiruddeen albani sab ne is hadees ko sahih kaha Imaam Tirmizi kehte hen k boht sare sahaba aur tabaeen rafe yadain nahi karte the
Un ki namaz ho jati thi ya nahi? ?
Agar ho jati thi to kyun? ? Hadees pesh karen ya Taqleed karen
۞ Jab Aap seedhey khadey ho jaatey to’ Rabbanaa wa lakal-hamd’ kehte [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 796].
➡ agar koi na kahe to? Ya rabbana ki jagah Allahu akbar keh de to namaz hui? ?
Hadees ya Taqleed? ??
۞ Phir Allaah u Akbar kehte aur sajdey par chaley jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789]
➡ yeh Allahu akbar kehna wajib he ya farz? ?
Ya sirf sunnat? Agar koi na kahe to namaz hui?
Hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Iss maukey par Aap Rafayadein na karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 735]
➡ agar koi kar le to? Namaz hogi? ?
۞ Aap peshaani, naak, dono haathon, dono ghutno aur duno qadmon ki ungliyo par sajdah karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 812]
➡ agar koi naak zameen par na rakh sake to? ?
Nazmzz ho jaegi agar ho jaegi to kyun hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Apne Haathon aur Paaon ki ungliyo ko Qiblah ki jaanib rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828]
➡ agar koi shakhs qible ki taraf na kare ya sajde me us k pair uth jaen ya sare sajde me ek hath rakhe dusra na rakhe to namaz hui ya nahi? Agar ho gai to hadees dikhaen ya fir Taqleed karen
۞ Haalaat e Sajdah mein Itidaal aur itminaan ka khaas khyaal rakhtey. Peshaani aur naak achi tarha zameen par tikaatey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 858]
➡agar peshani aur naak achi tarah na rakhe maslan peshani rakhe lekin uth jae to namaz hui? Agar ho gai to hadees dikhaen warna Taqleed karen
۞ Hatheliyon par bojh daaltey aur kehniyo ko zameen se uthaa kar rakhtey. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 494]
➡ agar koi shakhs kohniyan mila le to kya hukum he hadees dikhaen? ?
۞ Apne Baazoo badan se alag rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab us Salaat, Hadees No. 390]
➡agar koi bazu mila le to kya hukum he?
Hadees se dikhaen ya taqleed karen
۞ Pet ko Raanon se aur pindhiliyo se unchaa rakhte. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 496]
➡ agar koi mila kar rakhe to?
۞ Haalat e Sajdah mein Subhaana Rabbiyal Alaa kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871]
➡yeh kehna wajib he ya sirf sunnat he hadees pesh karen
۞ Phir Allaah u Akbar kehte hue apna sarr mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789]
➡ agar koi pehle Allahu akbar kahe fir sar uthae ya is ka ulta kare to kya hukum he? ? Namaz ho gi ya nahi hadees pesh karen
۞ Baayein paaon ko bichhaa kar uss pe baith jaatey aur daayein paaon ko khada kar rakhtey aur haathon ko raano par rakh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957]
➡ agar koi dono paun ko bichale jaise aj kal mote jism wale hazraat karte hen to namaz hogi ya nahi? Agar ho jaegi to kyun hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Aur yeh dua parhtey, ‘Allaahmma agh-firli warhamni wa ’ajburni wa ’ahdini wa ‘arzuqni’ [Jama Trimizi, Kitab us Salaat, Hadees No. 284]
➡is dua k padhne ka hukum kya he agar koi is dua ko na padhe us ki namaz hui ya nahi?
Agar ho gai to kyun hadees dikhaen ya Taqleed karen
۞ Phir Aap Allaah u Akbar keh kar sajdey mein chaley jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803].
➡ ye Allahu akbar kehna farz he? Ya wajib? Agar koi na kahe to namzz hogi hadees pesh karen ya Taqleed karen
۞ Aur usi tarha karte jis tarha pehle sajdey mein kiya tha. Phir Allaah u Akbar keh kar Sarr Mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803]
➡yahan bhi wahi sawal uthte hen
۞ Phir Aap dono haathon ko zameen par lagaa kar unke sahaarey khadey hotey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 824].
➡agar koi bagher hath k sahare k khada hi ho jae to kya hukum he hadees se dikhaen
۞ Jab Aap achi tarha khadey ho jaatey to Qirat shuru karte aur phir dusri rakat usi tarha parhtey jis tarha pehle rakaat parhtey they.
➡ yahan bhi wahi sawal uthte hen
۞ Phir Tash’hudd awwal ke liye yun baith’tey jis tarha do Sajdo ke darmiyaan baith’tey the. Daayaan haath daayein raan par aur baayaan haath baayein raan par rakhte. Daayein haath ke angoothey ko darmiyaan waali ungli ke saath milaa kar halqa (circle) ki shaql banaa letey the. Aur shahaadat ki ungli se ishaara karte the. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957]
➡ agar koi halqa na banae to?
۞ Aur uss par nazar rakhtey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 990]
➡ agar koi nazar sajde ki jagah rakh le to namaz hui?
۞ Phir yeh kalmaat parhtey, “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu………….” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 831, Saheeh Muslim, Kitab us Salaat Hadees No. 402]
➡in kalimaat ki jagah koi dusre kalimaat padh de to? ? Ya in me se 2 3 huruf kisi se choot jaen to namaz hui? ? Hadees dikhaen?
۞ Aap darmiyaane tash’hud ke liye thori der baith’tey
➡ agar koi ziyadah der beth jae
Maslan tashud k alfaz sahih yad na hone ki wajah se bar bar repeat kare aur der ho jae? ?
۞ Phir aap takbeer kehte hue khdaey ho jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitaab ul Azaan, Hadees No. 803].
Iss mauqey par aap Rafadein bhi karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No.I 739]
➡agar koi yahan rafe yadain na kare to jaise jbne masud nahi karte the namaz hui ya nahi agar ho gai to kyun?
۞ Aur teesri aur chauthi rakaat ada kartey. Yeh Rakaatein pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi. Kyunki aap inn mein sirf Surah Fatiha parha karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 776, Saheeh Muslim, Ktab us Salaat, Hadees No. 451]
➡ agar koi in me 2 2 bar surah fatiha padh de aur rakaten lambi ho jaen to namaz ho jaegi agar nahi to kyun nahi hadees dikhaen
۞ Phir aakhri tash’hud mein iss tarha baith’tey ke baayein paaon ko bichhaa kar daayein paaon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal letey, daayein paaon ko khada kar letey aur zameen par baith jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, 828]
➡ agar koi dono paun khada kar k beth jae to? ?
۞ Phir aakhri Tash’hud parhtey. Uss mein tash’hud ke ilaawa durood sheriff parhtey. “Allaahumma salli alaa Muhamadin wa alaa aali Muhammadin……………….” [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 406]
➡ agar koi sirf tashud padh k salam p her de ya adhe darud shareef par salam pher de to namaz hui ya nahi hadees dikhaen
۞ Phir aap aakhir mein Jahannum, azaab e qabr, zindagi aur maut ke fitno aur dajjaal ke fitney se Allaah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayein karte jo Kitab o Sunnat mein maujud aur mehfooz hai. Darj e zil Dua apko bahut pasand thi, balke aap ne isey parhne ka hukm diya.
۞ “Allaahumma innee auzu bika min azaabil qabri, wa min azaabi jahannama, wa min fitnatil-mahyaa wal-mamamaati, wa min sharri fitnail-maseehid dajjaal.” [Saheeh Muslim, Kitab ul Masaajid
➡, Hadeko yeh sari duen jo log nahin padhte hen unki namaz kis tarah ho jati he hadees dikhaen
۞ Phir aap daayein jaanib aur baayein jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ keh kar salaam phertey the. [Saheeh Muslim, Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 582]
➡ agar koi wa rahmatullah na kahe namaz hui? Ya 0ehle baen janib salam pher de ya chera na ghumae to namaz hui ya nahi agar ho gak to kyun hadees se dikhaen ya taqleed karen
۞ Kalmaat salaam ki ibtidaa Qibla ki taraf moonh kar ke karte aur aakhri kalmaa adaa karne tak chehra mukammal daayein ya baayein taraf pher letey the.
➡ agar koi na phere to namaz hogi? ya nahi? Hadees se dikhaen
۞ Jab Aap salaam pher letey to teen martaba ‘Astaghfirullah’ kehte aur phir yeh kalmaat kehte; ‘Allaahumma antas-salaamu wa minkas-salaamu, tabaarakta yaa Zal-Jalaali wal-ikraam’. [Saheeh Muslim Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 592]
➡agar koi shakhs kuch bhi na padhe aur uth k chala jae to kya hukum he namaz ka sawab mikega ya gunah gar hoga?
۞ Phir Aap wo duaayein parhtey jo kitub ahadees mehfooz aur maujud hai.
➡ yeh duan wajib hen ya farz hen ya sirf sunnat hen aur sahaba bhi mangte the ya nahi? Agar mangte the to ijtimai dua hui y nahi hadees pesh karen ya Taqleed karen
Uper jitni bhi ahadees zikr ki gai hain un me se ek 2 masle ko chaud kar jo ikhtilafi hen baqi sab par puri ummmat amal kar rahi he
Hum ne har hadees k niche sawal is liye kiye hen k ahadeees ko aise samjha jae jaise Sahaba Tabaeen aur tabe tabaeen aur puri ummat ne samjha he har bat jo hadees me ayi he woh farz aur zaruri nahi he balke ahadees aur Sahaba k amal ko samne rakh kar namaz k har amal ki darja bandi ki gai he kuch chizen wajib hen kuch sunnat hen aur kuch mustahab aur is par puri ummat ka ittifaq he
Agar kisi Ghair Muqallid ne yeh post is liye banai he take woh apni namaz sabit kare to woh sun le k in ahadees se ahle sunnat wal jamat (hanfi maliki shafi hanbali) ki namaz sabit hoti he Ghair Muqallid ka kuch bhi sabit nahi hota ghair muqallid to namaz ki niyat bhi hadees se sabit nahi kar sakta k dil me karni he ya zuban se