Post by Mohammed Aarif Waghoo on Mar 4, 2015 11:57:31 GMT 5.5
Firqa Ahl-e-Hadees ke Juhala’ Ye keh kar Logo’n ko Gumraah karne me lage hue hain ke Imaam-e-Ahle Hadees sirf Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) hain aur inke alaawah Unka Koi bhi Imaam nahi hai aur unke alaawah kisi ko bhi Imaam nahi kaha ja sakta.
Lekin Ye saraasar Jhoot aur Ghalat Bayaani hai.
(1):.. Ghair-Muqallid Aalim Ra’ees Nadwi likhte hain: “Imaam-e-Ahle Hadees Nawaab Waheeduz Zamaa’n……” [Majmua Maqaalaat Per SALAFI Tahqeeqi Jaayezah, Safhah: 635]
Scan:
Is se ma’loom hua ke Imaam-e-Ahle Hadees Waheeduz Zamaa’n hai na ke Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam)..
In ke alaawah Firqa Ahl-e-Hadees ke aur bhi Imaam guzre hain..
(2):.. Ghair-Muqallid Mohammad Joonagarhi ko “Imaam Al-Asr” [Tarjuma’h Tafseer Ibn Kaseer] aur “Imaam Al-Hind” [Shama’ Muhammadi] kitaabo’n ke Cover Pages per likha gaya hai.
Scan:
(3):.. Ghair-Muqallid Ibraheem Meer Siyaalkoti ke baare me likha gaya hai, “Imaam Al-Asr” [Fataawa Sanaa’iyah]
Scan:
Pas in 4 Hawaalo’n se saaf Zaahir hai ke Firqa Ahl-e-Hadees ka da’wa mehaz Dhoka wa Fareib hai.
Mazeid Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ne Namaaz Parhaane waale Shakhs ke liye lafz “Imaam” ka iste’maal kiya hai.
DALEEL bhi mulaahizah farmaayei’n..
ﺃﺧﺒﺮﻧﺎ ﺃﺑﻮ ﺣﻨﻴﻔﺔ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺃﺑﻮ ﺍﻟﺤﺴﻦ ﻣﻮﺳﻰ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﻋﺎﺋﺸﺔ ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﺷﺪﺍﺩ ﻋﻦ ﺟﺎﺑﺮ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ﻋﻦ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ : ﻣﻦ ﺻﻠﻰ ﺧﻠﻒ ﺇﻣﺎﻡ ﻓﺈﻥ ﻗﺮﺍﺀﺓ ﺍﻹﻣﺎﻡ ﻟﻪ ﻗﺮﺍﺀﺓ .
Imaam Muhammad (rahimahullah) ko Imaam Abu Hanifa (rahimahullah) se Ye Khabar pohnchi hai ke………… Jaabir bin Abdullah (raziallahu anhu) rivaayaat karte hain ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jis ke liye Imaam ho Us ke liye Qira’t Imaam ki Qira’t hai (Ya’ni Us Muqtadi ke liye Imaam ki Qira’t kaafi hai).” [Mu’atta Imaam Muhammad (rahimahullah)]
Is tarah ki bohat si Ahaadees Kutab Ahaadees me mil jaayengi Jin se Ghair-Nabi ke liye Lafz “Imaam” ke iste’maal ke Jawaaz ka Saboot milta hai. Pas (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ka Is lafz ko Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ke saath Khaas karna mehaz Dhoka wa Fareib hai.
Allah se dua hai ke Humei’n DEEN ki SAHIH Samajh ata farmaaye. (Aameen)