Post by Mohammed Aarif Waghoo on Aug 4, 2015 12:23:45 GMT 5.5
JAA AL HAQ
BAHAS “NIDA E YA RASOOL ALLAH عليهِ الصلوٰة والسلام
Roman by Abdul Mustafa Hashmi Memon
Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko dur ya nazdik se pukarna jaeez hai un ki zaheri zindagi paak me bhe aur baade wafat sharif bhi koi ek he shaks arz kare “YA RASOOL ALLAH ” ya ek jama’at mil kar nara e risalat lagaee “YA RASOOL ALLAH ” har tarha jaeez hai.
Is behes ko hum do (2) baab me taqseem karte hain
PART - 1
NIDA E YA RASOOL ALLAH عليهِ الصلوٰة والسلام ke sabut me
Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko Nida karna ,Quran kareem, fe’l e Malaeeka , fe’l e Sahaba kiram aur Amal e Ummat se sabit hai.
Quran e Kareem ne bahut maqamat me huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko Nida farmaee.
“يٰٓـاَ يُّهَاالــنَّبِـىُّ – يٰٓـاَ يُّهَاالرَّسُـوْلُ – يٰٓـاَ يُّهَا الْمُـزَّمِّلُ – يٰٓـاَ يُّهَا الْمُـدَّثِّرُ”
Wagerah in tamam aayaat me huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko pukara gaya hai.
Haah digar Anmbiya e Karam ko un ke naam se pukara.
”يا موسىٰ ، يا عيسىٰ ، يا يحيىٰ ، يا ابراهيم ، يا آدم”
Wagerah magar Mehbob عليهِ الصلوٰة والسلام ko pyare pyare alqab se Nida farmaee.
“Ya Aadam ast ba pedar Anmbiya khetaab.
“يٰٓـاَ يُّهَاالــنَّبِـىُّ “khetaab Muhammed ast”
Balke Quran ne Aam Musalmano ko bhi pukara
“يٰٓـاَ يُّهَا الَّذِينَ آمَنُوْ”
aur musalmano ko hukum deya ke humare mehbob عليهِ الصلوٰة والسلام ko pukaro magar ache alqab se
“لَاتَـجْعَـلُـوْا دُعَـآءَالرَّسُـوْلِ بَـيْنَكُمْ كَـدُعَـاءِبـَعْضِكُمْ بَـعْضًـا. ج”
Is me huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko pukarne se nahin roka gaya balke farmaya gaya hai k auro ki tarah na pukaro Quran ne farmaya
“اُدْعُــوْهُــمْ لِاٰبَـاءِهِـمْ”
“Un ko un ke baap ke taraf nisbat kar k pukaro. ”
Is aayat me ijazat hai ke zaid ibne harisah رضى الله تعالىٰ عنه ko pukaro. Magar un ko ibne haris kaho ibne RasoolAllah na kaho.
Ishe tarha kuffar ko ijazat di gaee k woh apne madad garo ko apne imdad k leye bulaee
“وَادْعُـوْاشُهَدَاءَكُمْ مِنْ دُوْنِ اللّٰهِ اِنْ كُنْتُمْ صٰـدِقِيْنَ”
Miskhat pheli hadees (page 11) me hai k Hazrat e Jibrail ne arz keya “يَــامُـحَـمَّـدُاَخْبِـرْنِىْ عَـنِ الِاسْلاَمِ”
Nida paee gaee.
Miskhat ” بَــابُ وَفَاتِ النَّبِىِّ” me hai k ba waqt e wafat malikul maut ne arz keya
“يَــامُـحَـمَّـدُاِنَّ اللّٰهَ اَرْسَـلَنِىْ اِلَيْكَ”
Nida paee gaee.
Ibne maaja “بـاب صـلـوٰة الحـاجة” me Hazrat e usman ibne hanif se riwayat hai k ek nabina bargha e risalat me hazir ho kar taalib e dua huwe in ko ye dua irshad hui
“اللّٰهُمَّ اِنِّـىْ اَسْـأَ لُكَ وَاَتَـوَسَّلُ وَاَتَـوَ جَّهُ اِلَيْكَ بِـنَبِيِّكَ مُـحَـمَّدٍ نَّبِىـىِّ الرَّحْمَةِ يَا رَسُوْلَ اللّٰهِ تَوَجَّهْتُ بِكَ اِلىٰ رَبِّىْ فِىْ حَـاجَتِىْ هٰـذِه لِتُقْضٰى لِىْ اَللّٰهُمَّ فَشَفِّعْهُ فِىَّ – قَالَ اَبُوْاِسْحَـاقَ هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ “
Tarjuma
“Aae Allah me tujse mangta hu aur tere taraf Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام Nabi ul rehmat k saath mutawajah hota hu.
YA MUHAMMAD عليهِ الصلوٰة والسلام mene aap k zarye se apne Rab ki taraf apne is haajat me tawajjuh ki ta k haajat puree ho.
Aae Allah mere leye Huzur ki shafa’at qubul farma. Abu Ishaq ne kaha k ye Hadees sahe hai”
Ye Dua Qayamat tak k musalmano ko sekhaee gaee hai.
Is me Nida bhi hai aur Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام se Madad bhi mange hai.
Aalamgir jild awwal kitab “Al Hajj aadab e ziyarat qabar e Nabi عَــلَيْــهِ السَّلاَمُ me hai “
“ثُـمَّ يَـقُوْلُ السَّــــلاَمُ عَلَيْكَ يَانَبِىَّ اللّٰهِ اَشْهَدُ اَنَّكَ رَسُوْلُ اللّٰهِ”
Tarjuma
“Aae Nabi aap par salam ho main gawahi deta hu k aap Allah k Nabi hai Phir farmate hain “
” وَيَــقُـوْلُ السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَــاخَلِيْفَةَ رَسُوْلِ اللّٰهِ – السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا صَـاحِبَ رَسُوْلِ اللّٰهِ فِى الْغَارِ”
phir farmate hain
“فَيَـقُوْلُ السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْرَالْمُؤمِنِيْنَ – السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا مُظْهِرَالِاسْلاَمِ – السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا مُكَـسِّرَالاَصْنَامِ”
Yani siddq e akbar ko yu salam pesh kare k aap par salam ho aae RASOOL ALLAH k Sachche jaanasheen aap par salam ho aae RASOOL ALLAH k gaar k saathi, aur Hazrat e Farooq ko yu salam kare aap par salam ho aae musalmano k Ameer aap par salam ho aae Islam ko chamkane wale, aap par salam ho aae Buto ko todne wale رضى الله تعالىٰ عنهما
Is me huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ko bhi Nida hai aur Huzur k phelu me aaram farmane wale Hazrat e Siddiq wa Farooq ko bhi..
(رضى الله تعالىٰ عنه )
Aakabir e Ummat Auwliya Millat e Mashaikh wa Buzurgane deen apni Dua’o aur Wazahif me. YA RASOOL ALLAH khete hai.
Qaseedah e Burdha sharif men hai
يَـا اَكْــرَمَ الْـخَلْقِ مَـالِىْ مَنْ اَلُوْذُ بِه
سِوَاكَ عِنْدَ حُلُوْلِ الْحَادِثِ الْعَمَمِ
“Aae bhetarin maklooq aap k sewa mera koi nahin keh museebat e aa’mah k waqt jis ke panah lu”
Imaam Zainul aabidin farmate hai apne Qaseedah me
“يَا رَحْمَةً لِّـلْعٰـلَمِيْنَ اَدْرِكْ لِـزِيـْنِ الْعَـابِدِيْنَ”
“Aae Rehmatul lilaalamin Zenul aabidin ki madad ko pohocho”
“مَــحْبُـوْسُ اَيْـدِى الظّٰلِمِيْنَ فِىْ مَوْكِبٍ وَالْمُزدِحِم “
“Woh is izdihaam me zaalimo k haath’o me qaeed hai”
Molana jaamee عليه الرحمة farmate hai.
“Zemehjure baraamad jaan e aalam
تَـرَحَّـمْ يَا نَبِىَ اللّٰهِ تَـرَحَّـمْ
Na aakhir Rehmatul lilaalamini ze mehruma chara faarig nasheene “
Tarjuma
“Judaaee se aalam ki jaan nikal rahi hai
Ya Nabi Rehem farmao rehem farmao
Kya aap Rehmatul lilaalamin nahi hain?
Phir hum mujremo se faarig kyu ho bhethe “
Hazrat e Abu Hanifa رحمه الله تعالى apne Qaseedah nomaan me farmate hai.
“يَـا سَـيِّدَ السَّادَاتِ جِئْتُكَ قَـاصِـداً
اَرْجُــوْ رِضَــا كَ وَ اَحْتَمِى بِحِمَاكَ”
“Apne Peshwa’o k peshwa me dili qasd se aap k huzur aaya hu aap ke raza ka umeedwar hu.
Aur apne ko aap ke panah me deta hu.”
In aashar me huzur ko Nida bhi hai aur Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام se iste’aant bhi aur ye Nida duor se baad e wafat sharif hai.
Tamam musalman namaz me khete hai
“اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِىُّ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ “
Yaha huzur عليهِ الصلوٰة والسلام. Ko pukarna wajib hai.
Attahiyyaat k mutaliq hum shaami aur ashi’atul lam’aat ki ibaraten haazir o naazir ki behes me pesh kar chuke hai waha dekho. Ye guftagu thee tanha tanha YA RASOOL ALLAH khene ki
Aagar bahut log mil kar Nara e Risalat lagaen to bhi jayez hai.
Kyu k jab har shaks ko YA RASOOL ALLAH khena jaeez huwa toh ek saath mil kar bhi khena jaeez hai.
Chand mubaah chezoo’n ko mila ne se majmoo’ah mubaah hi hoga jaise Biryani Halal hai is leye k Halal chezoo’n ka majmo’aa hai neez (aur) is ka sabut sarahatn bh hai.
Muslim aakhir jild duwam” بَــابُ حَدِيْث الْهِجْرَةِ ” me Hazrat e bara’a رضى الله تعالىٰ عنه ki riwayat hai k jab Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام Hijrat farma kar Madine e paak dakhil huwe.
“فَـصَـعَـدَا الرِّجَلُ وَ الـنِّسَٓـاءُ فَـوْقَ الْبُيُوْتِ وَ تَفَرَّقَ الْغِلْمَانُ وَ الْخِدَا مُ فِىْ الطُّرُقِ يُنَا دُوْنَ يَـا مُـحَـمَّدُ يَـا رَسُوْلَ اللّٰهِ يَـا مُـحَـمَّدُ يَـا رَسُوْلَ اللّٰهِ “
” Toh aurte’n aur mard gharo’n ki chhato par chad gaye aur bache aur gulam gali koochou me mutafariq ho gaee Naare lagate the
“YA MUHAMMAD YA RASOOL ALLAH YA MUHAMMAD YA RASOOL ALLAH “
Is Hadees e muslim se Naara e Risalat ka sarahatan sabut huwa aur malum huwa k tamam Sahaba e Karam Naarah lagaya katye the
Isi Hadees e Hijrat me hai k Sahaba e Kiram ne julus bhi nikala hai aur jab bhi Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام. Safar se wapas madine paak tashreef late toh ahle madina Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام. Ka istaqbal karte aur julus nikal te (dekho Mishkhat wa Bukhari wagerah) jalse k ma’ane hai “bhetak ya nishisht ” julus is ki jama hai.
Jise “جـلـده” ke jama “جـلـود” ba ma’ane kodah
Namaz zikr e Ilahi ka jalsa hai k ek hi jagah aada hoti hai Aur Hajj Zikr ka julus k is me ghum phir kar Zikr hota hai Quran se sabit hai k tabut e sakena ko Malaeeka ba shakal julus laaee..
Ba waqt e wiladat paak aur meraaj me farishto’n ne Huzur ka julus nikala aur ach’cho ke nakal karna bhi Baas e Sawab hai.
Lihaha ye julus is asal ko naqal hai aur Baas e Sawab hai. Pehla baab pura huwa.
Part – 2 Nida e YA RASOOL ALLAH par E’teraz k bayan me
Qur’an e kareem farmata hai.
“وَلَا تَــدْعُ مِنْ دُوْنِ اللّٰهِ مَـا لَا يَـنْـفَعُــكَ وَلَا يَـضُـرُّكَ”
“Allah k sewa un ko na pukaro jo tum ko nafa wa nuksan na pahocha sake”
Malum huwa k gair e khuda ka pukarna mana hai
“وَ يَـدْعُوْنَ مِنْ دُوْنِ اللّٰهِ مَـا لَا يَـنْـفَعُــهُمْ وَ لَا يَـضُـرُّهُمْ”
“Khuda k sewa un ko pukarte hain jo in k liye Naafe’ wa muzir nahi.”
Sabit huwa k gair e Khuda ko pukarna but parasto’n ka kaam hai.
Jawab
In jaisi aayato me jaha bhe lafz ( د عـا). Hai isse murad bulana nahi balke pujna hai (dekho jalalain aur deegar tafaseer ) ma’na ye hai k Allah k sewa kisi ko mat pujo.
Dusri aayat is Ma’na ke taa’eed karti hai. Rab farmata hai.
“وَ مَنْ يَّـدْ عُ مَـعَ اللّٰهِ اِلٰـهـاً اٰخَـرَ”
“Jo Khuda k saath dusre maabud ko pukare (ibaadat kare) malum huwa k gair e Khuda Ko Khuda samajh kar pukarna shirk hai”
Kyu k ye gair e Khuda ki ibaadat hai agar un aayat k ye ma’na na kiye jaayen to hum ne jo aayat wa aa’hadees aur ulmaa e deen k aqwaal pesh kiye jin me gair e Khuda ko pukara gaya hai sab Shirk ho gaya.
Phir zinda ko pukaro ya murda ko samne wale ko pukaro ya duor wale ko sab hi shirk hoga (rozana hum log behen dost aashna ko pukarte hi hain) to aalam me koi bhi shirk se na bacha neez
“shirk kehte hain gair e Khuda ko Khuda ki zaat ya sifaat me shamil karna.”
Kisi ko aawaz dena pukarna is me konsi sifat e ilahi me dakhel karna hai phir ye Shirk kyu huwa?
(2) “فَـاذْكُــرُوْاللّٰهَ قِـيَامـاً وَّ قُعُوْدًا وَّ عَـلىٰ جُنُوْ بِكُمْ”
“pas Allah ko khade bhete aur apni karwato par yaad karo “
Is se maloom huwa k uthte bhette gere Khuda ka naam jabnaa Shrik hai. Sirf Khuda he ka zikr chahye .
Jawab
Is aayat se Zikr e RASOOL ALLAH ko Haram ya Shirk samajna Nadani hai.
Aayat toh ye farma rahi hai k jab tum namaz se faarig ho jaaoo toh har haal me har tarha Khuda ka zikr kar sakte ho yani Namaz me toh pabandi thee k bageer wazu naho sajdah ruku aur qaeedah me telawat e Quran kareem naho
Bila uzur bheth kar ya let kar naho magar jab Namaz se faarig ho chuke toh ye pabandiya uth gaee.
Ab khade bhete lete har tarha khuda ko yaad karsakte ho
Is aayat me chand amwar qabile goor hain
1) ek ye k ye amar “فَـاذْكُــرُوْاللّٰهَ ” wujoob k leye nahin
Sirf jawaz k leye hai k namaz k aalawa chahe Khuda ko yaad karo khuwa gere Khuda ko khwa bilkul khamosh raho.
Har baat ke ijazat hai.
2) dusra ye k agar ye amar wunoob k leye bhi ho toh bhi zikr e gerullah zikrullah ki naqeez nahin ta k zikrullah k wajib hone se ye Haram ho jaee balke zikrullah ki naqeez adam e zikrullah hai.
3) teesra ye k agar zikrullah ki naqeez zikr e gerullah maan bhi li jaee tab bhi ek naqeez k wajib hone se dusre naqeez ziyadah se ziyadah Haram hogi na k Shirk magar khayal rahe k Haram ya farz hona fail ke sefat hai na k adam fail ki
4) chotee ye k Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ka zikr bil wasta Khuda hi ka zikr hai
“مَنْ يُّطِعِ الرَّسُوْلَ فَقَدْ اَطَاعَ اللّٰهَ”
“Jis ne RASOOL ki farma bardari ki ous ne Allah ki farma bardari ki
jab kalma Namaz hajj durood khutbaa aazan garze k sare ibaadaat me Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ka zikr dakhil.
Aur zaruri hai toh namaz se kharij un ka zikr uthte baithte kyu Haram hoga.
Jo shaks har haal me uthte baithte darood sharif ya kalma padhe toh Huzur ka zikr kar raha hai sawab ka mustahiq hai.
5) panchwen is tarha ke “تَبَّـتْ يَدَا اَبِىْ لَهَبٍ” aur surah Munafiqoon aur woh aayaat jin me kuffar ya buto’n ka zikr hai un ka padhna zikrullah hai ya nahin
Zarur hai kyu k ye Qurani aayaat hain har kalme par sawab hai agar che in aayaat me mazkoor kuffar ya but hain magar kalam toh Allah ka hai.
Kalam e ilahi ka zikr toh zikrullah hota hai.
Magar Rehmat e ilahi ya Noor e ilahi MOHAMMED RASOOL ALLAH ka zikr zikrullah na ho. Ye kya insaaf hai?
Quran me hai “قَــالَ فِرْعَوْنُ” ‘firaun ne kaha’ qala padhne par tees (30) sawab aur lafz “فِرْعَوْنُ ” ‘firaun ‘ padhne par pachaas (50) sawab,؛ kyu k har harf k das (10) sawab hain
Toh firaun ka naam Qur’an me padha gaya pachaas (50) nikeya mili
Aur MOHAMMED RASOOL ALLAH ka naam leya toh Mushrik ho gaya….. Ye kya aqal hai.
7) saathwen is tarha k hazrat Yaqoob عَــلَيْــهِ السَّلاَمُ. Firaaq e hazrat e Yusuf me uthte bhaithte Hazrat e Yusuf k naam ki rat farmate the aur un ki yaad me is qadar roye k aankhe safeed ho gaee.
Isi tarah Hazrat e Adam firaaq e Hazrat e Hawwa me. Hazrat e zeeunl aabidin firaaq e imam Hussein Me uthte bhethte un k naam japa karte. Aur ba zuban e haal ye khete.
حال من درهجر والد کمتراز یعقوب نیست”
” اوپسرگم کرده بودومن پدر گم کرده ام
Batao un par ye hukum Shirk jaree hoga ya nahin?
Agar nahi toh aaj jo Aashiq har haal me apne Nabi ki yaad kare woh kyu Mushrik hoga?
Ek taajir den raat tijarat ka zikr karta hai, taalib e ilm den raat har haal me sabaq yaad karta hai woh bhi gere khuda ka naam jap raha hai woh kyu Mushrik nahe?
NOTE :
denaa nagar Punjab me humara yani (Hakimul ummat Mufti Ahmed Yaar Khaa Naeemi )
Aur molvi sanaullah amar tasree ka isse mas’ale Nida e YA RASOOL ALLAH par Munaazrah huwa sanaullah sahab ne yehe aayat pesh ke hum ne sirf teen (3) sawal keye.
1) Ek ye k Qur’an me amar kitne mani me aaya hai aur yaha kon se mani me istamal huwa?
2) Dusra ye k ek naqeez k wajib hone se dusre naqeez haram hoge ya nahe?
3) Teesra ye k Zikrullah ki naqeez kya hai?
Zikr e Gerullah ya adam Zikrullah?
Jis ka jawab ye deya k aap ne in sawalat me usoole fiqah aur mantiq ko dakhal deya hai.
Dono ilm Bid’at hai yani jaheel rehna sunnat hai
Pherr un se sawal keya k Bid’at ke sahe tarif aise kardo jis se mehfil e milaad toh haram rahe aur akhbaar e Ahle Hadees nikalna sunnat ho?
Ye sawalat abtak un par qayam hai
Abhi woh zindah hai koi sahab un se jawabat delwaa de hum mashkur hoge.
Afsos k sanaullah sahab toh bagair jawab deye duniya se chale gae kash koi un ke mataqid. Sahab jawab de kar un ke rooh ko khush kare.
3) Bukhari jild duwam
“كتاب الاستيذان بحث مصافحه باب الاخذ باليد ين (safa926)” me
Hazrat Ibne mas’ood رضى الله عنه se riwayat hai k hum Ko Huzoor عليهِ الصلوٰة والسلام ne attahiyyaat me
“اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ اَيُّهَا النَّبِىُ وَ رَحْمَةُ ﷲِ وَ بَرَكَاتُهٌ”
sekhaya.
فَلَمَّا قُبِضَ قُلْنَا اَلسَّلاَمُ عَلىٰ
yani
عَلَى النَّبِىِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَ سَلَّمَ
jab Huzoor عليهِ الصلوٰة والسلام ke wafaat ho gaee toh hum ne Attahiyaat me youn pada “اَلسَّلاَمُ عَلَى النَّبِىِّ ” aine shara Bukhari me is hadees k maa,tehet farmate hai
“فَظِا هِرُ هَا اَنَّهُمْ كَا نُوْا يَقُوْ لُوْنَ السَّلاَم ُ عَلَيْكَ بِكَافِ الْخِطَابِ فِىْ حَيَاتِ النَّبِىِّ عَلَيْهِ السَّلاَمُ فَلَمَّا مَاتَ تَرَكُوْا الْخِطَابَ وَ ذَكَرُوْهُ بِلَفْظِ الالْْغَيْبَةِ فَصَارُوْا يَقُوْلُوْنَ السَّلاَمُ عَلىَ النَّبِىِّ “
Hadees k zahiree ma’na ye hai k sahaba e karam Huzur ke zindagi paak me السلام عليك Kaaf khitaab se kehte the likin jab k Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ke wafaat ho gaee toh khetaab chord deya aur lafz e gayab se zikr keya aur khene lage اَلسَّلاَمُ عَلَى النَّبِىِّ.
is hadees aur sharah ke ibarat se maloom huwa k attahiyaat me السلام عليك kehna zindagi paak Mustafa علي السلام me thaa.
Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ke wafaat k baad attahiyaat me bhe Nida ko chor diya gaya.
Toh jab sahaba e karam ne attahiyaat me se Nida ko nikal deya toh jo shaks namaz k kharij me YA RASOOL ALLAH wagerah kahe toh bikul he mushrik hai.
3) Jawab
Bukhari aur aaine ke ye ibarat toh aap k bhe khilaaf hai kyu k aaj tak kisi imaam e mujtahid ne attahiyaat k badalne ka hukum na deya imaam abu hanifa رضى الله عنه ne hazrat ibne mas’ood ke aur imaam shafai ne hazrat ibne abbas رضى الله عنهم ke attahiyaat ikhteyaar farmaee magar dono attahiyaat me اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ اَيُّهَا النَّبِىّ hai
Gair muqalid bhe khwaa sanaee ho ya gaznawe ye he khetaab wale attahiyaat padte hai jis se maloom hota hai k baaz sahaba e karam ne apne ijtehad se attahiyaat ko badla.
Aur hadees marfoo k muqabil ijtehad e sahaba qubul nahe aur un sahaba karam ne bhe is leye tabdil na keya k Nida e gaib haram hai
Warna zindagi paak me dour rhene wale sahaba khitaab wale attahiyaat na padte aakhir Yaman Khebar Makka e Mukarrama Najd Iraq tamaam jagha Namaz hote thee toh ous me wahe attahiyaat pade jate thee.
Nida e gaib barabar hote thee kyu k Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام toh hijjaz me tashrif farma the aur Nida wale attahiyaat har jagah pade ja rahe thee
Na Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ne mana farmaya Na sahab ae karam ne kuch shubaa keya
Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ne attahiyaat sekhate waqt ye naa farmaya thaa k ye attahiyaat sirf humare zindagi paak me hai aur humare wafaat sharif k baad dusree padna.
Fatawa e rashidya jild awwal [كِتَابُ الْعَقَائِدِ] ‹safa 17› me hai
«Lihaza segaa khetaab ko badalna zaroore nahe aur ous me taqleed baaz sahaba ke zaroore nahe.
Warna khud عليهِ الصلوٰة والسلام farmate k baad mere intaqal k khetaab na karna.
Baher’haal sega e khetaab rakhna aolaa hai asal taalim isse tarha hai»
Khulasa Jawab ye hai k baaz sahaba ka ye fail hujjat nahe warna lazim aae ga k Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام k zamane paak me shirk hota raha.
Aur mana naa farmaya gaya baad me bhe baaz ne badlaa na k Kul {sab} ne.
Bal k mirqaat باب التشهد aakhire fasal me hai
“وَ اَمَّا قَوْلُ ابْنِ مَسْعُوْدٍ كُنَّا نَقُوْلُ الخ فًهُوَ رِوَايَةُ اَبِىْ عَوَانَةَ وَ رِوَايَةُ الْبُخَارِىِّ اَصَحُّ فِيْهَا بَيَّنْتُ اَنَّ ذَلِكَ لَيْسَ مِنْ قَوْلِ ابْنِ مَسْعُوْدٍ بَلْ مِنْ فَهْمِ الرَّاوِىِ عَنْهُ وَ لَفْظُهَا فَلَمَّا قُبِضَ قُلْنَا سَلاَمُُ يَعْنِىْ عَلَى النَّبِىِّ فَقُوْلُهٌ قُلْنَا سَلامُُ يَحْتَمِلُ اَنَّهُ اَرَادَ بِهٖ اسْتَمْرَرُ نَا عَلىٰ مَا كُنَّا عَلَيْهِ فِىحَيَاتِهٖ”
Isse maloom huwa k sahaba e karam ne attahiyaat har giz naa badlee ye sirf raawe ke fhem hai naa k asal waaqeya.
4) baaz Wahabi kehte hai k kisi Nabi ya Wali ko duor se ye samaj kar pukarna k woh humare aawaz sunte hai Shirk hai.
Kyu k duor ke aawaz sunna toh khuda he ke sifat hai gaire khuda me ye taaqat manna Shirk hai agar ye aaqedah na ho toh YA RASOOL ALLAH – YA GAUS wagerah kehna jaeez hai jaise hawa ko Nida deya karte hai
” Suun aae baad sabaa”
Wagerah k waha ye khayal nahe hota k hawa sunte hai
Aaj kal aam Wahabi yahe uzr pesh karte hai (fatawa Rashidya wagerah) me bhe isse par zoor diya hai.
4) Jawab
Duor se aawaz sunna hargiz Khuda ki seefat nahe kyu k duor se aawaz toh woh sune jo pukarne wale se duor ho.
Rab’ Ta’ala toh shehrag se bhe ziyada qareeb hai khud farmata hai.
“نَـحْنُ اَقْـرَبُ اِلَيْـهِ مِـنْ حَـبْلِ الْوَرِيْدِ”
Hum toh shahrag se bhe ziyadha qareeb hai
“وَ اِذَا سَـألَكَ عِبَادِىْ عَـنِّـى فَـاِنَّـىْ قَرِيْبُ”
Jab mere bande aap se mere baree me puche toh farmado k hum qareeb hai
“نَـحْنُ اَقْـرَبُ اِلَيْـهِ مِـنْـكُمْ وَلٰـكِنْ لاَ تُبْصِـرُوْنَ”
Hum is bemaare se ba’muqabile tumhare ziyadah qareeb hai magar tum dekte nahe
Lihaza Parwardigar toh qareeb he ke aawaz sunta hai har aawaz isse qareeb he hote hai k woh khud qareeb hai.
Aur agar maan liya jaee k duor ke aawaz sunna is ke seefat hai toh qareeb ke aawaz bhe toh ous ke seefat hai
Lihaza chahye k qareeb wale ko bhe saame’ samajh kar naa pukaro
Warna Mushirk ho jaaoge sab ko behra jaano.
Neez Jis tarha dour ke aawaz sunna Khuda ke sifaat hai isse tarhaa dour ke cheez dekna dour ke khushboo paalena bhe toh seefat e ilaahi hai
Aur hum ilm e gaib aur Hazir wa Nazir ke bahes me sabit kar chuke hai k awliya allah k leye duor wa nazdik yaksaa hai.
Jab un ke nazar duor qareeb ko yaksaa dek sakte hai toh agar un k kaan duor wa qareeb ke aawaz sun le toh kyu Shirk huwa?
Ye wasf un ko be aata e ilahi hasil huwa ab hum dekhate hai k duor ke aawaz Anmbiya wa Awliya sunte hai.
{Ye jawab kafee dalil “proof” k saath hai hum isse alag alag part me aap ko post kare ge}
Hazrat e Yaqub Alaihessalam ne kin’aan me bhete huwe Hazrat e Yusuf Alaihessalam ke Qamees ke khusboo palee aur farmaya:
“اِنِّـىْ لاَ جِدُرِيْحَ يُـوْسُـفْ”
Bataoo ye Shirk huwa ya nahe ?
Hazrat e Umer radiallahu’ta’ala’anh ne Madine paak se Hazrat e Saariya ko aawaz de jo makaam e nihaawand me Jang kar rahe the aur Hazrat e Saariya ne woh aawaz sunle (dekho mishkhat baabul karamat fasal salis)
Hazrat e Farooq ke aank ne duor se dekha Hazrat e Saariya k kaan ne duor se suna
Tafseer e Ruhul bayan wa Jalalain wa Madarik wagairah Tafaseer me zere aayat
“وَاَذِّنْ فِـى النَّاسِ بِالْحَجِّ”
K Hazrat e Ibrahim Alihesalam ne khana e Kaaba bana kar pahad par khade hokar tamaam ruhoo’n ko aawaz de k aae Allah k bando chalo qayamat tak jo bhe pedaa hone wale hai sab ne woh aawaz sunle.
Jis ne ‘لَـبَّيْـكْ’ keh deya woh zarur hajj kare ga aur jo rooh khamoosh rahe woh kabhe hajj nahe kar sakte.
Kahiye! yaha toh duor k ilawa pedaish se phele sab ne Hazrat e Khalil ke aawaz sunle ye Shirk huwa ya nahe?
Ise tarha Hazrat e Khalil ne bargah e Rabb e Jalil me arz keya k Mola muje dika de k tu murdee kis tarha zinda farmaee ga toh hukum huwa k char parindo ko zabah kar k un k gosht char pahado me rakho
“ثُمَّ ادْ عُهُنَّ يَأتِيْنَكَ سَعْيًا “
Tum inhee pukaro dortee huwe aaee ge.
Dekho murdah janwaro ko pukara gaya aur woh daore.
Toh kya Awliya Allah un janwaro se bhe kum hain?
Aaj ek shaks Landan me bhet kar ba zarya Telephone Hindustan k aadmi se baat karta hai aur ye samaj kar is ko pukarta hai k Hindustan ka aadmi is aale {system} k zarye mere baat suntaa hai ye Pukarna Shirk hai k Nahee?
Toh agar kisi Musalman ka Aqeedah ye ho k quwat e Nabuwat telephone ke quwat se ziyadah hai toh hazrat e Ambiya us quwat e Khuda dad se har ek ke aawaz sunte hai pherr pukare”يَا رَسُوْلَ اللّهِ اَلغِيَاتُ” toh kyu Shirk huwa?
Hazrat e Suliman عليه السلام ne ek safar me jate huwe ek jangal me chuntee ke aawaz duor se sunee woh khete
“يَـا اَيُّهَا النَّمْلُ ادْ خُلُوْا مَسكِنَكُمْ لاَ يـحْطِمَنَّكُمْ سُـلَيْمنُ وجنوده وَ هُمْ لاَ يَـشْعُرُوْنَ” ]parah 19 surah naml[
Aae chunteeyo apne gharo me chalee jaaoo tumhe kuchal na dalee Suliman aur un ka lashkar be khabree me.
Tafseer Ruhul bayan wagerah me isse aayat k matehet hai k aap ne teen mile se chuntee ke ye aawaz sune.
Khayal toh karo k chuntee ke aawaz aur teen mile ka faslaa kahee ye Shirk huwa ya k nahee?
Mishkhat بـاب اثـبــات عـذاب الـقبر me hai k dafan k baad mayyat qabar me se bahar walo k paao ke aawaz suntaa hai aur zaaireen ko dekhta aur phechanta hai.
Isse leye qabaristan me jaa kar ahle quboor ko salam karna chaheye is qadar mitte k nechy ho kar itne aahestaa aawaz ko sunnaa kis qadar duor ke aawaz sunna hai. Kaho Shirk huwa ya k Nahee?
Hum behes ilm e gaib Awliya Allah me Mishkhat كِتَــابُ الــدَّعْــوَاتِ ke Hadees naqal kar chuke hai k Allah ka Wali Khudaee taaqat se dekhta sunta aur chuta hai.
Jis ko Khuda ta’ala apne quwat aata farmade woh agar duor se sunle toh kyu Shirk hai?
Mukhalifin k motamad aur motabar aalim molvi abdul Haaee sahab lakhnawe fatawa abdul haaee كِـتَـابُ الْعَقَائِدِ [safa 43] me is sawal k jawab me k ek shaks kheta hai k
“لَـمْ يَـلِـدْ وَ لَـمْ يُـوْ لَـدْ”
huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ke shaan hai aur
“قُلْ هُوَ اللّهُ اَحَد”
huzur عليهِ الصلوٰة والسلام ke sefat hai ek hadees naqal farmate hai
“Hazrat e Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ-ne pucha k YA RASOOLALLAH chaand app k saath kya mamlaa karta thaa jab k aap chehel rozah thee yani {40 din k thee} aap ne farmaya k maadar e mushfiqah ne mere haath mazbut bhaandh deya thaa
Ous ke aziyat {takleef} se muj ko rona aata thaa aur chaand mana kartaa thaa.
Hazrat e Abbas ne arz keya k un deno aap chehal rozah {40 den} k thee.
ye haal Kyu kar maloom huwa?
Farmaya Laohee Mehfuz par qalam chalta thaa aur me suntaa thaa hala k shikam e madar me thaa {maa k peet me} aur Farishte Arsh k nechy tasbeeh karte thee aur un ke tasbeeh ke aawaz suntaa thaa hala k me shikam e maadar me thaa.
Is riwayat se toh sabit huwa k Huzur عليهِ الصلوٰة والسلام walidah maajidah k shikam me he Arsh wa Farsh ke taamam aawaze suntee thee.
Hadees me hai k jab koi aurat apne shohar se laree toh jannat se Hoor pukar kar ouse malaamat karte hai.
Maloom huwa k ghar ke kothry ke jang ko Hoor itne duor se dekhte aur sunte hai aur pherr isse ilm e gaib bhe K ous aadmi ka anjaam ba khair ho gaa ..
durbin se duor ke cheezy dekte hai Radio Taliphone se dour ke aawaz suntee hai toh kya Noor e Nabuwat wa Wilayat ke taaqat bijlee ke taaqat se bhe kum hai.
Miraaj me Huzur عليه السلام ne jannat me Hazrat e Bilaal k qadmoo ke aahat sunee halan k Bilaal ko Miraaj na huwe thee aur apne ghar he me thee.
Yaha namaz e tehajjud k leye chal pherr rahe hoge waha aahat sunee jaa rahe thee aur agar Hazrat e Bilaal bhe ba jism misaali jannat me phochy toh Hazir wa Nazir ka sabut huwa.
In sab baato k mutaliq mukhalef ye he kahe ga k woh toh Khuda ne sunaaya toh un Hazrat ne sun leya bas hum bhe yahe kahte hai k Anmbiya wa Awliya ko Khuda duor ke aawaz sunata hai toh ye sunte hai
Khuda ta’aa ke ye sefat zaate un ke aataee
Khuda ke ye sefat qadeem un Hazrat ke haadis
Khuda ke ye sefat kisi k qabzee me nahe un ke ye sefat Khuda k qabzee me
Khuda ka sunna bagier kaan wagaira uzw k un ka sunna kaan se itne farq hote huwe Shirk kaisaa?
Is Nida k mutalliq aur bahut kuch kaha jasakta hai mqgar isse qadar par yehe kifayat hai
Nida e YA RASOOL ALLAH ka mazmoon pura huwa.
ALHAMDOLILLAH AZZAVAJAL
humne saabit keya Quran o hadees sharif se k YA RASOOL ALLAH pukarna Jaeez hai
Aur agar pherr bhi koi kahe k Allah k sewa kisi ko pukarna Shirk hai toh samajh jaao k woh Musalman nahe bal k iblees shetaan hai woh musalman hargiz nahe ho sakta.
Allah Ta’ala apne peyare Habib Jaan e Aalam Rasool Allah ﷺ k wasele se humare imaan o Aqeede ke hifazat farmaee آمِيّنْ آمِيّنْ آمِّيْن
(Aqeeda Durust Toh Aamal Durust)