Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 7, 2015 10:20:08 GMT 5.5
Ilme Gaib e Mustafa ﷺ
✔ Hadees No. 1Hazrate Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek roz hamare darmiyan khade hue to Aap ﷺ ne makhluq ki paidaish ka ibteda se zikr farmana shuru kiya yahan tak ki Jannati Apne maqaam par pahoch gaye aur dozakhi apne maqaam par ise yaad rakha jisne yaad rakha aur bhool gaya jisne bhool gaya
? Bukhari Jild 1 safa 354
? Muslim Jild 2 safa 390
Haashiye mein hai " Imaam taibi ne farmaya ki is hadees se zaahir hai ki saari makhluq ke saare haalat Huzoor ﷺ ne Sahaba ko bata diye
Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai
Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No.2
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ suraj dhhal jaane ke baad bahar tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi. Jab salaam fer diya to Aap ﷺ mimber par jalwa afroz hue aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo puchoge main bata dunga jab tak main is jagah hu. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar rone lage aur Rasoolullah ﷺ Baar baar farmate rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa Rasoolullah ﷺ mera thikana kaha hoga Farmaya Dozakh mein fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa khade hue arz karne lage Yaa Rasoolullah ﷺ Mera Baap Koun hai ? Farmaya Tumhara baap huzafa hai. Raawi ka bayan hai ki fir Aap ﷺ baar baar farmate hai ki mujhse pucho mujhse pucho chunache Hazrate Umar رضي الله عنه ghutno ke bal khade ho kar kahne lage
▶ Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammed ﷺ ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar رضي الله عنه ne ye guzarish ki to Rasoolullah ﷺ khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par Jannat aur dozakh pesh ko gai jab ki main Namaz padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur shar ko nahi dekha
? Bukhari Jild 2 safa 1083
? Muslim Jild 2 Safa 263
Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 3
Hazrate Sayyedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki tum dekhte ho ke mera chehra is taraf hai jab ki Khuda Ki Kasam mujh par tumhara Khushoo ( dil ki kaifiyat) aur Ruku Hargiz poshidah Nahi. Main pith ke piche se bhi dekhta hu
? Bukhari Jild 1 Safa 59
✔ Hadees No. 4
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne hum ko Namaz Padhayi fir mimbar par Tashreef farma hue aur Namaz aur Ruku ka bayan kiya aur farmaya ki main tum ko piche se bhi aise dekhta hu jaise aage se
? Bukhari Jild 1 Safa 59
➡ Sharah Bukhari aini mein hai ye sirf Namaz ke Sath nahu balqi Huzoor ﷺ hamesha jis tarah aage dekhte hai waisi hi piche
Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi
Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Habsha ke baadshah Nujashi ki mout ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua
? Bukhari Jild 1 Safa 167
➡ Habsha Madine Shareef se hazaaro meel par hai jise Aaj kal Ethopiya kahte hai waha ke baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi Huzoor ﷺ ne Madine walo ko is ki khabar de di thi kyun ki Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko gaib ka Ilm diya hai
Khabar Bhi hai Ke Khabar Sab Ki Unhe Hai kab Se
Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 6
Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh mein Musalamno aur isaaiyon ke darmiyan jung jaari thi Rasoolullah ﷺ Madeene Paak mein Apne Sahaba mein farma rahe the
▶ Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho gaye Jung ka Manzar bayan karte hue Rasoolullah ﷺ ki Aankhon mein Aansuu jaari ho gaye the Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya ki ab Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb ho gai
? Bukhari Jild 1 safa 167
▶ yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se Hazaaro meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak ﷺ wahan hone wali Jung Ko Madeena Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu bhi baha rahe hai
▶Yeh Sab Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai ??
Aye Ilme Gaib Ke Munqir Khuda Ko Dekha Hai
Tujhe Bhi Kahna Padega Huzoor Jante Hai
✔ Hadees No. 7
Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah hai aur ye falan ke Raawi kahte hai ki jis ko Rasoolullah ﷺ ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya
? Sahih Muslim Jild 2 Safa 102
? Nasayi Jild 1 Safa 226
▶ Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi hui hai aur Aap ﷺ ne ek ek kaafir ke maare jaane ki jagah ki nidhandehi farma di goyaa Aap ﷺ ye bhi jaante the ki koun koun maara jayega aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega
Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke jung e Badr ka Naqsha Huzoor Jaante Hain
✔ Hadees No. 8
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ se Aap ki ba'az biwiyo ne ek martaba sawal kiya ki Aap ﷺ ke baad Hum mein se sab se pehle Aap ﷺ ke Paas koun aayegi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai chunanche wo sab se pehle Huzoor ﷺ se mili aur inhe khairat karna bahot pasand tha
? Bukhari Jild 1 Safa 191
➡ Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar saamne aati hai
1 Allah Ke Rasool ﷺ ke baare mein Aap ﷺ ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor ﷺ maloom hai ki kis ko kab mout aayegi ? Isliye to unhone Huzoor ﷺ se dariyaft farmaya ki Aap ﷺ ke baad hum mein se koun Aap se pehle milegi
2 Huzoor ﷺ ka jawab marhamat farma dena ki tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki nishandehi hai ki Huzoor ﷺ ne unke is aqeede ki taeed kar di
3 Lambe hath se Huzoor ﷺ
Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk hui isse maloom hota hai Hadees shareef ka mafhoom samajhna mushkil kaam hai isiliye olma e kiraam se raabata aur kisi Imaam ki taqleed kar ke muqallid hona chahiye
4 Sadqa Wa khairat Karne wale Huzoor ﷺ se zyada kareeb hai
✔ Hadees No. 9
Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala ne mere liye saari roo e zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed
? Sahih Muslim Jild 2 Safa 390
✔ Hadees No. 10
Hazrate Abu Zar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya main wo dekhta hu jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum nahi sunte
? Tirmizi Jild 2 Safa 55
✔ Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها farmati hai ki Rasoolullah ﷺ wo dekhte the jo main nahi dekhti thi
? Sahih Bukhari Jild 2 Safa 915
Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maan Liya
Ke Jaante The Sahaba Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 12
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek din Rasoolullah ﷺ ne Fajar ki Namaz padhayi aur mimber par Rounaq Afroz hue aur bayan farmaya yahan tak ki Zuhar ka waqt ho gaya to Aap ﷺ ne mimber se utar kar Zuhar ki Namaz padhayi aur fir mimber par Rounaq Afroz ho gaye aur bayan farmaya yahan tak ki Asr ka waqt aa gaya fir Aap ﷺ ne mimber se utar kar Asr ki Namaz padhayi aur fir bayan farmaya yahan tak Suraj Guroob ho gaya to Aap ﷺ ne jo kuch hone wala hai Sab kuch bata diya to Hum mein jisne zyada Yaad rakha wo zyada bada Aalim Hai
? Muslim Shareef Safa 390 Kitabul fitan
➡ Is Hadees se khoob acchi tarah ye baat roushan ho gayi ki Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko Rouze Aafrinash Se Qayamat Tak Hone Wale Tamam Umoor se aagah farma diya hai
Hai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe,
Khuda Ne Kitna Nawaza Huzoor Jante Hain.
✔ Hadees No. 13
Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي الله عنه Rasoolullah ﷺ ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya ki main Huzoor ﷺ ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ﷺ ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hai ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ﷺ ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي الله عنه se hui halanqi hume inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah ﷺ ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi
? Sahih Bukhari Jild 1 safa 525
? Sahih Muslim Jild 2 Safa 278
➡ Maloom ye chala ke
1 Huzoor ﷺ ba-ataa e Ilahi jaante the ki sawere ko Qila e Khaibar fatah ho jayega
2 Aap ﷺ ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي الله عنه jo lashkar mein shaamil hone se rah gaye hai wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi
Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote Shaheed
Ali Ki Shaan E Yagana Huzoor Jaante Hain
✔ Hadees No. 14
Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ do qabro ke paas se guzre to Aap ﷺ ne farmaya in dono par Azaab ho raha hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra chugal khor tha Fir Aap ﷺ ne hari shaakh li aur iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ. Aap ne Aisa kyu kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab mein aasani ho
? Bukhari Shareef Safa 35
➡ Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai
1 Rasoolullah ﷺ ki nigahe aqdas ke liye qabr ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai
2 Qabr me Dafn hue logo ki zindagi ke haalaat bhi Aap ﷺ ke peshe nazar rahte hai ki kis ne kya kiya aur kis wajah se is par azaab ho raha hai
Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aibon Ko Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 15
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap ﷺ Madeene Shareef ke kareeb hue to ek hawa aisi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah ﷺ ne farmaya ye hawa ek munafiq ki mout par bheji gayi hai . Raawi kahte hai ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha
? Mishkat Babul Mojezaat Safa 536
Yaani Rasoolullah ﷺ ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai
Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid Tha
Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-O-Qareeb
Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo Habeeb
✔ Hadees No.16
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar رضي الله عنه ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat Umar رضي الله عنه Masajide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Aye Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Aye Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Aye Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung ki yahan tak ki dushman ko shikast dedi
? Mishkat Babul Karamat Safa 546
➡ Yaani Hazrat Umar رضي الله عنه Madeena Tayyabah mein Masajide Nabawi Shareef ke andar khutba dete hue Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي الله عنه Huzoor ﷺ ke sahabi hai to jab Huzoor ﷺ ke gulamo ke Ilme Gaib ka ye haal hai to khud Huzoor ﷺ ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?
Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar Ka Aalam Kya Hoga
✔ Hadees No.17
Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي الله عنه farmate hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek baag mein daakhil hue aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki inhe Andar Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat Maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya inhe andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to Huzoor ﷺ thodi der khamosh rahe aur farmaya inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo lekin ek musibat ke sath jo inhe pahochegi to maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي الله عنه hai
? Sahih Bukhari Jild 1 Safa 522
? Muslim Jild 2 Safa 277
➡ Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad farma dete the ki wo Imaan wa hidayat par qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur Hazrate Usman رضي الله عنه ke baare mein Aap ﷺ ko ye bhi Ilm tha ki un par ek din musibat aayegi Yaani balwayi unka muhasra kar lenge aur fir Unko Be-rahmi ke sath ghar mein Shaheed kar diya jayega
Wo Daso Jinko Jannat Ka Mujdah Mila
Us Mubarak Jama'at Pe Lakhon Salaam.
✔Hadees No.18
▶ Hazrate Safeena رضي الله عنه se riwayat hai ki maine Rasoolullah ﷺ ko ye farmate suna ki khilafat mere baad 30 saal rahegi fir baadshahat hogi. Raawi E Hadees Hazrate Safeena kehte hai ki Hazrate Abu Bakr رضي الله عنه ki khilafat ko 2 saal shumaar karo , 10 saal Hazrate Umar رضي الله عنه Hazrate Usman e Gani رضي الله عنه ke 12 saal aur 6 Saal Hazrate Ali رضي الله عنه ke shumaar karo
? Mishkat Safa 463
? Tirmizi Jild 2 Safa 45
➡ Yaani Hazrate Safeena رضي الله عنه ne hadees bayan farmane ke baad ye bhi shumaar kar ke dikha diya ki waqayi khilafat sirf 30 saal rahi aur baad mein baadshahat ho gai aur Huzoor ﷺ ne Apne Ilm 'Maa Kaana Wamaa Yakoon' se jo kuch farmaya wo Durust ho kar raha
Wo Zabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam
✔ Hadees No. 19
Hazrate Ayesha رضي الله عنها se marvi hai ki Nabi E Paak ﷺ jab Aleel (bimar) hue to Hazrate Fatima رضي الله عنها haazir hui aur Aap ﷺ par jhuk gayi Aap ﷺ ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha رضي الله عنها kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai
Jab Huzoor ﷺ ka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareem ﷺ par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dobara jhunk kar sar uthaya to hans rahu thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي الله عنها ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hu . Huzoor ﷺ ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hand padi
? Tirmizi Jild 2 Safa 227
?Mishkat Sako ko fa 568
(Yahi Hadees ?Bukhari aur ? Muslim dono mein hai )
➡ Yaani Huzoor ﷺ ne Hazrate Fatima رضي الله عنها ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima رضي الله عنها ke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima رضي الله عنها Huzoor ﷺ ke baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi
Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat
Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 20
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه farmate hai ki Karkara Naam ka ek shakhs Nabi E Kareem ﷺ ke asbaab ki hifazat par mu'ayyan tha Jab uska inteqaal hua to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya wo jahannami hain log is ki wajah talaash karne lage to uske saaman mein ek Ibaa paayi jo usne maale ganimat se chura ke rakh li thi
? Bukhari Jild 1 Safa 432
➡ Yaani Aap ﷺ ne ye bhi jaan liya ki wo Jahannam mein hai aur Ye Bhi ki wo Jahannam mein Kyu hai aur Jo Kapda Usne Maale Ganimat se churaya tha gaib Janne wale Nabi se wo chhupa hua Na tha
Haamir Rab hai Khaliq Par Mustafa hai Maalik Qismat Me Kya Likha hai Sarkar jante hai
✔ Hadees No.21
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek Baar Huzoor ﷺ ne Humko Zuhar ki Namaz padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab Huzoor ﷺ salaam fera to us shakhs ko Naam lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ? Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ?
Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu.
Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya
? Mishkat Baab Siftis'salat Safa 77
➡ Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki Sarkar ﷺ mein aur usme kaafi faasla tha us zamane mein har Musalman Namazi tha Masajide Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir Bhi Aap ﷺ ne uski Namaz ki kami ko mulahiza farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat mere upar roushan hai
Kis Lab Pe Kya Dua Hain Sarkar Jaante Hain
Kiske Dilo Mein Kya Hain Sarkar Jaante Hain
✔ Hadees No. 22
Hazrate Huzaifa رضي الله عنه se riwayat farmate hai ki main nahi jaanta ke mere saathi bhool gaye hai ya bhole ban baithe Allah Ta'ala ki kasam Rasoolullah ﷺ ne duniya se khatm hone tak tamaam fitna garo ko jo 300 ya kuch zyaada hai nahi chhoda magar hum ko unke Naam bata diye. Uska Naam Uske Baap ka Naam aur uske khaandan aur qabeele ka Naam
? Mishkat Safa 463
? Abu Dawood Safa 582
➡ Yaani Qayamat ke tamaam fitna parwaro , gumrahgaro ka zikr inke naam aur waladiyat aur qabeele ke sath farma diya
Meri Aane Wali Nasale Tere Ishq Hi mein machle
Unhe Nek Tum Banana Madani Madine Wale
✔ Hadees No. 23
Hazrate Abu Saeed Khudari رضي الله عنه ne Masajide Nabawi ki tameer ka zikr farmate hue farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah ﷺ ne inhe dekha to Huzoor ﷺ inke jism se mitti jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe dozakh ki taraf. Abu Saeed ne kaha ki Ammar kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah mangta hu
? Bukhari Shareef Jild 1 Safa 24
➡ Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor ﷺ ye bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge aur ye bhi ki inhe koun shaheed karega
Izaat Se Naa Mar Jaaye Q Naame Muhammed Par
Yun Hi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai
✔ Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ﷺ ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya gaya Aap ﷺ ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoor ﷺ unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Aye Abul Qasim ! Huzoor ﷺ ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hai Aap ﷺ ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hai .Fir Huzoor ﷺ ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor ﷺ Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap ﷺ ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahochayega
? Bukhari Jild 2 Safa 859
? Mishkat Safa 543
➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko gaib ka ilm ataa farmaya hai isi liye Aap ﷺ bakri mein zaher ko jaan liya aur in logo ne Aap ﷺ ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to wo bhi Aap ﷺ ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko bhi Aap ﷺ ki Sachai aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon ne kaha ki Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge
? Yahoodiyon ko Huzoor ﷺ ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aitraz karte hai Allah aise Imaan ke lutero se hamari hifazat farmaye ?
✔ Hadees No. 25
Hazrate Abdullah Ibne Umar Se riwayat hai ki ek din Rasoolullah ﷺ hamare paas tashreef laye. Aap ﷺ ke daste mubarak mein do kitabe thi Aap ﷺ ne irshad farmaya kya tum in dono kitabo ko jaante ho Humne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap ke bataye baghair nahi jaante Aap ﷺ ne dahine hath wali kitab ki taraf ishara kar ke Farmaya Allah Ta'ala ki taraf se ek kitaab hai jisme tamam jannat walo ke naam hai inke baap dada aur khandano ke bhi Naam bhi hai aur Aakhir mein in sab ki meezan hai inme se kabhi bhi kami ya zyadati nahi hogi fir Aap ﷺ Apne baaye hath wali kitab ke baare me farmaya ki isme Jahannamiyon ke baap Dada aur khaandano ke naam hai fir aakhir in sab ka jama (Total) kar diya gaya hai Ab inme kabhi kami ya zyadati nahi hogi
? Tirmizi Jild 2 Safa 36
? Mishkat Safa 21
➡ Gour karne ka maqaam hai jis zaate girami ko Allah Ta'ala ne aisi kitabe ataa farma di ho ki jisme saare jannat aur jahannami logo ke Naam inki waladiyat aur qabeele ke zikr ke sath likha ho unke Ilm ki kya shaan hogi Aur Aadam عليه السلام se lekar qayamat tak paida hone wale musalamano aur kaafiro mein aisa koun reh gaya Jisko Aap ﷺ nahi jaante ??
➡Tabhi to Aala Hazrat Farmate Hai
Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaa Ho Bhala
Jab Naa Khuda Hi Chhupa Tum Pe Karoro Durood