Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 7, 2015 10:25:44 GMT 5.5
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ
✔ Hadees No. 1
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullah ﷺ ki khidamte Aqdas mein Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi kehte hai is baat se hum behad khush hue
? Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911
? Muslim Jild 2 Safa 331
➡ Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool ka khayal karte the
➡ Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq nahi Namaz Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai
Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera
✔ Hadees No. 2
Hazrate Umar Farooque رضي الله عنه ne dua Farmayi ki Yaa Allah tu Mujhko Apni raah mein Shaheed Hone Ka Sharaf ataa farma aur Mujhko Apne Rasool ke Shahar mein mout ataa farmaa
? Bukhari Jild 2 Safa 253
➡ Is Hadees se zaahir hota hai ki Hazrate Sayyadna Umar Farooque رضي الله عنه ka Ishqe Rasool is hadd tak pahoch gaya tha ki shahare Rasool ke alawa kisi aur jagah inko mout bhi pasand na thi aur Khuda E Ta'ala ne inki dono khwahishat puri farma di aur Hazrate Umar Farooqur رضي الله عنه ko Madeene Shareef mein hi shahadat Naseeb hui aur Huzoor ﷺ ke Rouze Mein Dafn hone ka bhi Saharaf haasil hua
Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko Madeene Mein
Ameerul Momimeen Hazrate Farooqe Aazam Ke Waste
✔ Hadees No. 3
Hazrate Anas رضي الله عنه farmate hai ki Jab Rasoolullah ﷺ ne sar ke Baal mubarak mundwaye to Aap ﷺ ke Baal Mubarak Haasil karne walon mein Sabse pehle Hazrate Abu Talha the
? Bukhari Jild 2 Safa 29
✔ Hadees No. 4
Mash'hoor Taabayi Hazrate Ibne Aseer رضي الله عنه farmate hai ki maine Hazrate Ubaida رضي الله عنه se Arz kiya ki mere Paas Rasoolullah ﷺ ka Ek baal mubarak hai jo Humko Hazrate Anas رضي الله عنه ya unke ghar walo ke zariye haasil hua To Hazrate Ubaida رضي الله عنه ne farmaya ki mere Paas Huzoor ﷺ ka ek Baal Mubarak hona mere liye Duniya Aur Uske Saare Saaz Wa Saaman se zyada mehboob hain
? Bukhari Jild 1 Safa 29
➡ Is Hadees Ko Padh kar Andaza lagaiye ki Huzoor ﷺ se Sahaba E Kiraam ko kis darja muhabbat thi ki Aap ﷺ ke Ek Baal Mubarak ko Qayinaat ki Saari Doulato se zyada pyara samajhte
Nabi Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon Mein
Zameen Par Girne Kab dete Mere Sarkar Ke Gensoo
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abu Huzaifa رضي الله عنه kehte hai ki Dophar ke Waqt Huzoor ﷺ Hamare paas tashreef laaye to Aap ﷺ ke liye wuzoo ka paani laaya gaya Aap ﷺ ne Wuzoo farmaya to log Aap ﷺ ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo par malne lage Fir Aap ﷺ ne Zuhar Ki 2 Raka'at Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz Padhi aur Aap ﷺ ke Saamne Neza tha Hazrate Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle Aap ﷺ ne Apna Munh aur Apne Haatho ko usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate Bilal رضي الله عنهم ) se Farmaya is paani ko piyo aur isko Apne chehro aur seeno par daal do
? Bukhari Jild 1 Safa 31
➡ Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor ﷺ Ne Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap ﷺ ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli kiya hua paani Huzoor ﷺ ne ataa farmaya aur ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها jo kheme ke andar se ye mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho
➡ Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda paani unke liye bachaya
? Bukhari Jild 2 Safa 620
Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi
✔ Hadees No. 6
Ek aurat ne ek kinare wali chadar Huzoor ﷺ ki khidmate aqdas mein pesh ki aur arz kiya ki ye maine Aap ke liye Apne hath se buni hai to Huzoor ﷺ ne isko qubool farma liya aur Aap ﷺ ko isko zarurat bhi thi Aap ﷺ iska tahband baandh kar hum logo mein tashreef laaye to ek sahab ko wo Nihayat achi maloom hui aur unhone isko Huzoor.ﷺ se maang liya sahaba e kiraam ne usse kaha ki tumne achaa nai kiya Huzoor ﷺ ko aaj kal iski zarurat thi aur tumko maloom hai Huzoor ﷺ maangne walo ko mana nai farmate to wo sahab kehne lage ki maine wo chadar khuda ki qasam pehenne ke liye nahi li hai balqi isliye maangi hai taaqi wo mera kafan ho jaye Hazrate Suhail رضي الله عنه raawi e hadees farmate hai ki wo chadar waqayi un sahab ke kafan mein kaam aayi
? Bukhari Jild 1 Safa 170
Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna
Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena
Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena
✔ Hadees No. 7
Hazrate Usman Ibne Abdullah رضي الله عنه se riwayat hai ki mere ghar walo ne mujhko Ummul Momineen Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ki khidmat mein ek bartan mein paani lekar bheja aur jab kisi shaksh ko nazar lag jaati ya use koi pareshani ya beemari hoti to Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ka Moo E Mubarak Nikaal kar laati aur wo unke paas ek chaandi ki shishi mein rehta tha fir use paani daalkar hilaya jaata aur wo shaksh us paani ko peeta Hazrate Usman رضي الله عنه kehte hai ke maine us bartan mein jhanka to mujhe chand surkh rang ke baal dikhayi diye
? Sahih Bukhari Jild 2 Safa 875
? Mishkat Babul Faal safa 391
➡ Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ki zouja e mohtarma (Paak Biwi) Hain jo Huzoor ﷺ Baal ko dhowan Mareezo ko pilati thi aur Mareez sheefa paate the aur ye sahaba ka zamana tha lekin kisi ne ye nahi kaha ki ye Shirq o Bid'at aur Naa jayaz hai
Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo E Mubarak ko
Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensuu
✔ Hadees No. 8
Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه ka bayan hai Rasoolullah ﷺ mere ghar mehman hue aur main balai (upari) manzil mein rehta hu aur Huzoor ﷺ niche wali manzil mein Ek Baar Raat Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar chalta hu aur Huzoor ﷺ Niche tashreef farma hai is khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue Raat guzari subah ko Huzoor ﷺ khidmat mein Haazir ho kar Arz ki to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram hai Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ lekin main is chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho iske baad Huzoor ﷺ Upar ki manzin mein tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil mein rehne lage Huzoor ﷺ ke liye khana tayyar karte Jab Huzoor ﷺ khana tanawul farma lete baad mein khud khate bache hue khane ke baare mein puchte ki Huzoor ﷺ ne kidhar se khaya hai fir khaas isi jagah se khate
? Sahih Muslim Jild 2 Safa 183
➡ Ye us waqt ka qissa hai Jab Huzoor ﷺ Hijrat farma kar Madeena Shareef tahsreef laye aur Shuru mein Aap ka muqaam Hazrate Abu Ayyub Ansari ke makaan mein hua tha
Isse sabaq lena chahiye un logo(Bad Aqeeda ) ko jo sirf Namaz Roza wa ibadat karte hai aur jinko kitabe zindagi me koi Adab wa Tazeeme Nabi ﷺ Nahi hai
Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi
Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya