Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 8, 2015 22:02:38 GMT 5.5
Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan
✔ Hadees No.1
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Meri Ummat 73 giroh mein bath jayegi Jinme 72 Jahannami Honge aur sirf Ek Jannati Arz Kiya Ki Yaa Rasoolullah ﷺ Jannati Firqe Ki Kya Pehchan hai ? Aap ﷺ ne farmaya jo meri aur mere sahaba ki Seerat Ikhtiyaar karega wo Jannati Hai
? Mishkat Safa 30
➡ Isiliye To Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hai
Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor Najm Hain Aur Naav Hain Itrat Rasoolullah ﷺ Ki
➡ Najm = Taare
➡ Itrat = Aal Aulad Yaani Ahle Bait
✔ Hadees No. 2
Hazrat Ali رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Akhir Zamane mein kuch Aise log paidah Honge jo Ba-aitebar umr kam honge Aql se paidal honge Inki Baate Sabse behtar hogi Imaan Inke halaq se niche nahi utrega Deen Se Aise Nikle hue Honge jaise teer Kamaan se nikal jaata hai to Tum unhe jahan paoge Qatl karo inke Qatl Karne mein har qatl karne wale ko Qayamat ke Roz Sawaab Milega
? Bukhari Jild 2 Safa 1024
➡ Aage ye bhi hai Tum log apni Namazo Rozo ko unke muqabile nihayat Kamtar khayal karoge
✔ Aaj Kal waqayi baatil firqo mein ye nishaniya paayi jaati hai Ba-zaahir bade bhole maloom hote hai aam taur par log kehte hai unhone bahot achhi baate batayi , bahot pabandi se Ibadat karte hai aur ye Saari nishaniya wahabiya devbandiya aur deegar bad-aqeedah Jamaat walo mein poore tareeqe se paayi jati hai
Gulame Raza Inse Dhokha Naa Khana
Aur Raza Ka Ye Paigaam Naa Bhool Jana
Raza Nafs Dushman Hain Dum Mein Naa Aana Kaha Tumne Dekhe Hain Chandrane Wale
✔ Hadees No.3
Bad-Aqeedah Aur Gumrah logon ki nishaniya batate Hue Huzoor ﷺ Ne ye bhi farmaya Ke Aankhen dhasi Hui Gaalon Ki Haddi uthi hui Peshani ubhari hui Bhaari Dadhi Sar Mundaye hue aur Tehband Upar Ko chadhaye hue Hadees ke Akhir mein Hai Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya is Nasl Ke Log Quraane Kareem ki tilawat to Ro-Ro karenge magar inke galo se nahi utarega Deen se aise nikle hue honge jaise Kamaan se teer Huzoor ﷺ irshad farmaya Agar Main Inka Zamaana Paau to Inhe Qoum Samood Ki tarah Halaaq wa qatl karu Yani unhe Bilkul mita du
? Bukhari Jild 2 Safa 633
➡ Unhe Tahbandi paajame aur munde Saro se bhi Bad-Mazhabo ki pehchan ki ja sakti hai halanqi Sar Mundana unche pahanna koi gunah ya Khilafe Shara'a nahi hai balqi Sunnat hai lekin yahan matlab ye hai ki ye log in baato par zyada Zor Denge aur bilkul Farz khayal karenge Yahan Tak ki Shaikh Mohammed Ibne Abdul Wahab Najdi ke baare mein Mash'hoor hai ki agar koi sar na mundaye to wo uska galaa katwa deta tha
Najadi Ke Ganje Sar Par Ek Zor-Daar Thappad
Jaldi Laga Laga Har Ek Yaar Aaye
✔ Hadees No.4
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki wo Kharijiyon ko makhlooq mein sabse bura jaante the ki in logon ne Quraane Kareem ki Jo aayate Kaafiron ke Baare Mein hai unhe Musalmano par chaspa kar diya
? Bukhari Jild 2 Safa 1024
➡ Kharaji wo log hai Jinhone Hazrate Ali رضي الله عنه par shirq ka fatawa lagaya tha ( Maaz'Allah) Aur Jo Qurane Kareem ki Jo Aayate Kaafiro ke haq mein Naazil hui Hai unko Momineeno ke upar thopte hai
✔ Hadees No.5
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne dua ki aur arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Huzoor ﷺ ne arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Raawi kehte hai ki mera khayal hai ki Teesri baar Mein Aap ﷺ ne farmaya ki Najd Mein Zalzale Aur Fitne Honge aur Shaitan Ka Sing Wahi se niklega
? Bukhari Jild 2 Safa 1051
➡ Ye Najd Jiske Baare Mein Huzoor ﷺ ne bajaye Khairo barkat ki dua ke is ilaaqe ko fitne ki Zameen Farmaya ki waha Zalzale aur fitne honge aur shaitan ka sing wahi niklega Isi Zameen se 1115 Hijri Mein Shaikh Mohammed Abdul Wahab Najadi paidah hua jisne wahabiyyat aur Allah ke Rasool ﷺ aur Buzurgane deen ki shaan mein gustakhiyon ki buniyad Daali Aur ye Najadi Bad-Aqeedah Gumrah log Aaj bhi Isi Mishan Par Hain
Dushmane Ahmed Pe Shiddat Kijiye Mulhidown Ki Kya Murawwat Kijiye
Ghaiz Me Jal Jaaye Be Deeno ke Dil Yaa Rasoolullah ﷺ Ki Kasrat Kijiye