Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 8, 2015 22:06:14 GMT 5.5
Allah Ta'ala Ki Baargah me Uske Mehboob Bando ko waseela banana
✔ Hadees No. 1
Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه se marvi hai ki Huzoor Nabi E Kareem ﷺ ne irshad farmaya ki ek aisa zamana aayega jab log fouj dar fouj ho kar jihaad karenge to inse puccha jayega ki tumhare darmiyaan koi aisa shakhs hai Jisne Rasoolullah ﷺ ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawab mein kaha jayega haan to uski barkat aur waseele se jung me fateh hogi fir ek zamana aayega aur log jihaad karenge to inse maloom kiya jayega kya tum mein koi aisa hai jisne Huzoor ﷺ ke sahaba ko dekha ho jawaab hoga haan to iske waseele se jung mein kamiyabi milegi fir ek Zamana Aayega aur log jihaad karenge to unse puccha jayega hai jisne Huzoor ﷺ ke sahaba ki sohbat haasil karne walo ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawaab hoga Haan to inke zariye kamiyabi haasil hogi
? Bukhari Jild 1 Safa 406
➡ Ye Hadees Saaf taur par bata rahi hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ka muqaam to Allah hi jaane Aap ﷺ ke gulamo ke gulamo ke gulamo ki shaan ye hai ki inke waseele se jungo mein islami faujo ko fatah haasil hoti hai
➡ Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hain..
Wasl E Moula Chahte Ho To Waseela Dhoond Lo
Be Waseela Najdiyon Hargiz Khuda Milta Nahin
✔Hadees No. 2
Hazrate Usman Bin Hunaif رضي الله عنه se marvi hai ki ek Sahab jo Naabina the Huzoor Nabi E Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hue aur Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere liye Allah Ta'ala se dua kijiye ki meri binayi wapas Aa jaye to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum chaho to main dua karu agar chaho to sabr karo aur ye sabr karna zyada accha hai wo sahab farmane lage Huzoor Dua farma dijiye to Rasoolullah ﷺ ne unko huqm diya wo achhi tarah Wuzoo kare aur fir ye dua padhe
➡ Aye Allah Main Tujhse Dua Mangta hu aur tere Taraf teri Nabi Muhammed ﷺ ko waseela banakar mutawajjah hota hu jo Rehmat wale Nabi hai Aur Yaa Rasoolullah ﷺ main Aap ke waseele se Apne Rab se Dua karta hu Taaqi meri ye haajat puri ho aur Aye Allah tu Huzoor ﷺ ki Shafa'at mere haq mein qubool farma
? Tirmizi Jild 2 Safa 196
? Mishkat Safa 219
➡ Is Hadees mein naabina Sahabi ka Huzoor ﷺ ki khidmat mein Apni haajat barayi ke liye jana waseela hai aur Huzoor ﷺ ne inko jo dua taalim farmayi isme bhi Apne Waseele se dua mangne ka huqm diya Is hadees mein Rasoolullah ﷺ ko waseela banane Aap ki taraf mutawajjah hone balqi Aap ko Haazir ke seege se pukarne ka bhi zikr hai Yani Yaa Rasoolullah ﷺ kehna bhi jayaz hai
Ba-Khuda Khuda ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahin To Wahan Nahin
✔ Hadees No. 3
Hazrate Anas Bin Maalik رضي الله عنه se marvi hai ki jab Madeena Munawwara me sukha padta to Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Hazrate Abbas Ibne Abdul Muttalib ke waseele se baarish ki dua maangte aur kehte the Yaa Allah Hum tere Nabi ke Waseele se Barish maangte the hum par baarish hoti thi ab hum tere Rasool ke chacha ke waseele se baarish maangte hai to Tu Humko Sairab Kar de Hazrate Anas رضي الله عنه kehte hai Hazrate Umar رضي الله عنه ki is dua se Khoob baarish hoti
? Bukhari Jild 1 Safa 137
? Mishkat Safa 132
Khud Khuda Be Waasta De Ye Hamara Munh Kahan
Waasta Sarkaar Hai Be Waasta Milta Nahi
✔ Hadees No. 4
Hazrate Abu Jauza رضي الله عنه ne farmaya ki ek martaba Madeene munawwara mein sakht sukha pad gaya logo ne Hazrate Aayesha Siddiqua رضي الله عنها se shikayat ki Aap ne farmaya ki Rasoolullah ﷺ ki Qabre Anwar ko dekho aur Iske thik upar Aasman ki jaanib chhat mein surakh kar do yahan tak ke Qabre Anwar aur Aasman ke bich koi pardah na rahe... logo ne aisa hi kiya to aisi zor ki barish hui ki khoob sabza ugaa hariyali chha gayi aur oont mote ho gaye yahan tak ke inki charbi fati jaati thi aur is saal ko khush-hali ka saal kaha jane laga
? Mishkat Babul Karamat Safa 545
➡ Is Hadees Se zaahir hai ki baade wisaal Huzoor ﷺ ko aur Huzoor ﷺ Qabre Anwar ko in logo ne baarish maangne ke liye waseela banaya jo sab sahaba aur tabaeen the aur khud Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها ne ye tarkib batayi to Zaahir ho gaya ki sahaba kiraam baade wisaal bhi waseele ke Qaeel the.
Jo Khuda Deta Hai Milta Hai Isi Sarkar Se
Kuch Kisi Ko Haq Se Is Dar Ke Siwa Milta Nahin
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Deenar رضي الله عنه se marvi hai ki Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه jab safar ko nikalte yaa jab safar se wapas aate to Pehle Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar par haazri dete Huzoor ﷺ par durood padhte aur waha dua mangte fir laut jaate
? Mu'atta Imaam Malik Baab Qabarin-Nabi'e ﷺ Safa 396
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ka safar se aate aur jaate waqt Qabre Anwar par khade ho kar Durood Shareef Padhna aur dua Mangna yaqeenan Baade wisaal Aap ﷺ Ki Qabre Anwar ko aur Baad Wisaal Aap ﷺ ko Waseela banana hai warna Dua har jagah Maangi jaa sakti hai Qabre Anwar par Dua Mangne ka Aakhir aur kya matlab Hai ??
Ustaade Zaman Farmate Hai
Hashr Mein Ek Ek Ka Munh Takte Firte Hai Adu
Aafaton Mein Phans Gaye Unka Sahara Chhor Kar
Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hai
Bas Yahi Sarkaar Hai Jisse Hamesha Paayenge Dene Wale Dete Hain Kuchh Din Sadaa Milta Nahin
✔ Hadees No. 6
Hazrate Sa'ad Ibne Abi Waqaas رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki tumhari Madad ki jaati hai aur tumhe Rozi Milti hai ye sab tum mein ke kamzor Logo ka waseela hai
? Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Saca 405
➡ Yahan Bhi Baat Kaabile Gour hai ki "Jungo mein kamzor aur neko ke waseele se madad chahna " Goyaa Hazrate Imaam Bukhari ke aqeede mein bhi Mehboobane Khuda ko bargahe Khuda mein Waseela Banana yaqeenan pasandeeda hai
Jab Unke Gadaa Bhar Dete Hain Shaaane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ka Jab Ye Aalam Hain To Mukhtar Ka Aalam Kya Hoga
Chahe To Isharo Se Apne Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki Sardar Ka Aalam Kya Hoga