Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 8, 2015 22:09:09 GMT 5.5
Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma
✔Hadees No. 1
Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Har Nabi ko ek maqbool dua mangne ka haq diya gaya jo unhone apni ummat ke liye maang li aur Maine Apni is makhsoos dua ko Baroze Qayamat Apni Ummat ki shafa'at ke liye Bacha Rakha hai
? Muslim Jild 1 Safa 112
✔ Hadees No. 2
Sayyedna Usmane Gani رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya baroze Qayamat 3 qism ke log Shafa'at farmayenge pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada
? Ibne Maaja Zikre Shafa'at Safa 330
? Mishkat Safa 494
✔Hadees No. 3
Hazrate Imran Ibne Haseen رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Meri Shafa'at se kuch log Jahannam se Nikaale Jayenge Aur Jannat mein dakhil honge aur Jannat mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga ( Yani Jahannam se Aane wale )
?Bukhari Jild 2 Safa 971
➡ Yaani Log Jahannam Mein dakhil Ho jayenge Iske Baad bhi Shafa'at Jaari Rahegi Yahan Tak ke Aap ﷺ ki Shafa'at Se jo log Jahannam mein jaa chuke honge wo waha se Nikal kar Jannat mein Laaye Jayenge
Hisaab ka Din kathin to hoga Magar Hume Unka Aasara Hain
Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa'at Unko Ataa Hui Hain
✔Hadees No. 4
Qayamat ke din Khuda E Ta'ala farmayega aur Ambiya wa Momineen Shafa'at kar chuke sirf Ar-Rahmur Rahimeen baaqi raha fir Apne Daste Qudrat ki ek Mutthi bhar jahannam se logo ko nikalega
? Muslim Jild 1 Safa 103
? Mishkat Safa Babul Houze Wash-shafa'at safa 490
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Umar Bin Aas Se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Apne Mubarak Hatho ko uthaya aur Arz Kiya Aye Allah Meri Ummat Meri Ummat aur Aap ﷺ rone lage to Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام ko huqm diya mehboob ke paas jao to wo Huzoor ﷺ ki khidmat mein Haazir hue aur pucha Huzoor ﷺ ne rone ka sabab bataya aur Parwar Digaar sab kuch Jaanta hai Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام se farmaya jao aur Mehboob se keh do Aap ki Ummat ke Mamle mein Aap ko Raazi aur Khush Kar denge aur Aap ko gamgeen Nahi Hone Denge
? Muslim Jild 1 Baab Dua Un Nabi ﷺ Li Ummatihi Safa 113
Fiqre Ummat Mein Raato Ko Rote Rahe
Aasiyoñ Ke Gunaho Ko Dhote Rahe
Tum Par Qurbaan Jaañ Aye Mere Mehjabeen Tum Par Har Dum Karodo Duroodo Salaam
✔Hadees No. 6
Hazrate Abdullah Bin Abijada'a رضي لله عنه se marvi hai ki Maine Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna ki meri Ummat ke ek shaksh ki Shafa'at se itne log Jannat mein Daakhil honge Jinki Taadad Qabeela Bani Tameem ke logo se bhi zyada hogi
?Tirmizi Jild 2 safa 67
? Mishkat Safa 494
✔ Hadees No. 7
Huzoor ﷺ ne irshad farmaya meri ummat ke kuch log Kayi giroh ki Shafa'at karenge aur kuch kisi khandan ki aur kuch kisi ek shaks ki Shafa'at karenge yahan tak ki log inki Shafa'at se Jannat mein Dakhil Ho Jayenge
? Tirmizi Jild 2 Safa 67
➡ Saabit hua ki Huzoor ﷺ ki ummat ke Aap ke Aise gulam bhi honge Jinki Shafa'at se Allah Ta'ala Bahot Saare logo ko Jannat Ataa Farmayega Aur Inme olma aur Shahidaane Islam ka khaas Muqaam hoga
Mere Taaje Shariat Jaa-Nasheene Mufti-E-Aazam Inhi Ke Sadqe Me Aaqa Hume Jannat Ataa Kar De