Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 8, 2015 22:31:01 GMT 5.5
Tujh ko Kya denge yeh shah e Madina per chodde
Tu ghulam hai unka sab kuch unki ataa per chodde
Apni bakshish ki fikr karne wala tu hai kaun
Yeh Mustafa ka kaam hai Mustafa per chodde
Aur kya hai Biddat Kya hai Sunnat
Faisla tu khud na kar
Yeh Bareli kay shah e Imam Ahmed raza per chodde.
WASILE PE KUCH ARZ
Shuru Se millate Islami me ye akeeda salf salahin se chala aaraha hai k Musalman apni duao me Allah k Mehboob bando ka buzurgane Din aur digar Taburrakat ka Wasila lete aaye hai magar ab kuch aise kharji firko ka wajood hua jinke saamne agar wasile ki baat kardo to unka hajma bigad jaata hai. Wasile ka lafz sunte hi wo log Shirk Biddat ki bayan baaji karne lagte hai baaj Hazrat wasile ko haraam kehte hai aur kuch kam akal k nazdeek ye shirk hojata hai. Maazallah
Ye khud me confuse hojate hai k Wasila lena shirk hai ya Haraam inke kuch maulvi haraam kehte hai kuch Shirk aur kuch k Nazdik Jaiz hojata hai.
Halanki inko khud thek se pata nhi hota bas bolne lagte hai jab inse pucha jaaye wasila kis cheez ko kaha jaata hai to wasile ka matlab batane se bhi ye millo dur nazar aate hai baat ko yaha waha ghumane lagenge. Alhamdulillah, hum Ahlesunnat wal Jamaat ka aqeeda hai ki beshak ALLAH TA'ALA kisi Waseele ka mohtaj to nahi wo chahe to bagair waseele ke bhi jo kuch chahe ata kar sakta hai. Lekin fir bhi usne Qainat ka jo nizam chalaya wo waseele se chalaya to pata chalta hai ki ALLAH TA'ALA ko waseela pasand hai, isiliye hum Ahlesunnat wal jamaat apni duaao ke liye ALLAH ki bargah me waseela pesh karte hain..
Misal ke taur pe aaiye dekhte hain ki ALLAH TA'ALA ne Hazrat ADAM Alaihe salam ko jab paida kiya, to bagair Maa Baap ke paida kiya aur jab chaha to duniya me bhej diya, to ALLAH ne ye zahir kar diya ki wo kisi Waseele ka mohtaj nahi hai, wo chahe to bagair waseele bagair maa bap ke bhi kisi ko paida farma sakta hai aur usey khila pila sakta hai. haajat rawai kar sakta hai lekin fir ALLAH ne Hazrat Adam Alaihe salam ke baad se kisi ko bhi wagair waseela, bagair maa baap ke duniya me nahi bheja, balki sabko maa baap ke zariye, sari naslo ko Hazrat Adam alaihe salam ke waseele se duniya ka nizam qayem kar dia, taki duniya wale ye bhi dekh len ki ALLAH ko Waseela hi pasand hai.
Waseela Quran Se Saabit Hai
"Aye Imaan Waalo, Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao"
(Surah Al Maida Ayat 35)
Quran e Pak ki aayat se ye wajah hua k Waseela ka saaf hukm Quran me mauzood hai ab iska direct hi inkaar karne waala kaafir hoga ye shirk to ho hi nahi sakta agar Waseela Shirk hai to kya Quran me Allah khud hi iska hukm de sakta hai ?? hargiz nahi lekin Sawal ye hai k waseela kis ka jaiz hai kiska nahi hai zaahir si baat hai Allah Subhanawta'la uska hi waseela pakadne ko pasand karega jo Allah ki bargaah me makbool ho aur Allah un chizo ko Qurbiyat o Makbooliyat Di ho. Is pure article ko padhne k baad aap ko waseele k talluk se kaafi aitraaz khatm hojaynge. Insha Allah عزوجل
Waseele Ka Maane
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye"
(Ref : by Ibn Manjur, Imam of Lughat Lihsansul Arab Jild : 11 pg : 725)
“Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai”
(Ref : Al Tarifaat Pg : 225)
Waseela ALLAH عزوجل ka Qurb haasil karna hai, Ahle Sunnat wal jamaat me Waseela kay taluq me Hayat o wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai kay ALLAH عزوجل ne kise shafi banaya, kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahbi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is per hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI ﷺ zahiri duniya me maujud the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH عزوجل ne aapko who qurbiyat ataa ki kay aapki dua kabhi radd nahi hosakti toh Wahbiyon ko chahiye ki aisi dalil pesh kare kay jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai.
NOTE: Qayamat tak ka waqt deta hu, yeh dalil laakar dikhade.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam ki WILADAT Se Pehle Huzoor ﷺ K Waseele Ka Saboot :
YAHOOD WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Huzoor Sal Allahu Alaihi Wassalam K WILADAT Se Pehle Waseele Ka Saboot :
YAHOODI WASEELE E MUSTAFA SAL ALLAHU ALAIHI WASSALAM SE MUSHRIKEEN K KHILAF FATEH KI DUA MAANGTE THE.
Hadees 01:
Hazrat Abduallah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne farmaya:
"kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay say bar sar e paykaar raha karty thy (Yani larty rehty thy), pas jab bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay. Phir Yahoodiyun nain is dua k zareeay panah mangi:
'Ay ALLAH hum tujh say Ummi NABI MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ k waseelay say sawal karty hain jinhain to tu nain Akhri Zamana main hamary liay bhyjny ka hum say wada farmaya hay k in (Duhsmanon) k mubqably main hamary madad farma.'
Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samny ay to unhoun nain yehe dua mangi aur Ghatfaan (Qabeela) ko shikast di. Laykin jab HUZUR NABI AKRAM ﷺ mab'us huay to unhoun ne AAP ﷺ ka inkar kiya. Is par ALLAH Ta'ala nain yeh ayat utari:
“Aur Jab Unke Pass Allah Ki Kitab (Quran) Aayi Jo Unke Saath Waali Kitab (Toraat) Ki Tasdeek Farmati Aur Isse Pehle Wo Isi Nabi K Waseele Se Kafiro Par Fatah Maangte The To Jab Tashrif Laaya Unke Pass Who Jaana Pehchana, Us Se Inkaar Kar Bethe To Allah Ki Lanaat Inkaar Karne Waalo Par”
(Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 89)
'Halnky is say pehly wo khud Ay Muhammad ﷺ ! ap k waseelay say kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangty thy.'"
References :
1. (Imam Haakim : Al Mustadrak Vol : 2 Pg : 316, Hadith number : 3101)
Scan page