Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jan 3, 2016 14:05:09 GMT 5.5
Kya Auliya ALLAH Ghaib Jaante Hai ??
Al Jawaab: Beshak Auliya ALLAH Ghaib Jaante Hai ALLAH Ki Ataa Se,ALLAH Taala Jab Chahe Apne Mehboob Bando Ko Ghaib Ki Khabar Dede.Is Per Bahut Se Dalail Hai Lekin Sirf Do Dalil Dekar Insha ALLAH Matter Clear Karte Hai.
2 Daleel :
1) Kya Wahee Ghaib Hai?
2) Kya Ambiya Kay Alawa Bhi Wahee Dusi Makhlooq Per Aati Hai ??
Ab Pehle Ka Jawaab:
Kya Wahee Ghaib Hai ?? Beshak Wahee Ghaib Hai Aur Iska Inkaar Yaani Quran Ki Aayat Ka Inkaar Hai Jo Sarasar Kufr Hai,Yaani Inkaar Karne Wala Kaafir Hojayega,Ab Aayat Padhte Hai,
Surah Taqweer Aayat # 24.
Tarjuma : “Aur Yeh NABI Ghaib Batane Me Bakheel Nahi”
Yaha Per GHAIB Se Muraad Wahee Hai,Aur Isme Koi Shak Nahi.
Ab Dusre Ka Jawaab :
Kya Ambiya Kay Alawa Bhi Wahee Dusri Makhlooq Per Aati Hai ??
Surah Shura Aayat # 51
Tarjuma : “Aur Kisi Aadmi Ko Nahi Pahunchta Kay ALLAH Isse Kalaam Farmaye Magar Wahee Kay Taur Per , Ya Yun Kay Woh Basher Parde Azmat Kay Idhar Ho,Ya Koi Farishta Bheje Kay Woh Iske Hukum E Wahee Kare Jo Woh Chahe ,Beshak Woh Bulandi Wa Hikmat Wala Hai”
In Dono Daleel Se Aaayat Se Pata Chala Ki Wahee Ghaib Hai Aur Jab Banda E Momin Per Utri Toh Unhone Ghaib Jaan Liya.
Aur Auliya ALLAH Toh ALLAH Taala Kay Dost Hai Mehboob Bande Hai,
Hadees:
حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ بِلاَلٍ، حَدَّثَنِي شَرِيكُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي نَمِرٍ، عَنْ عَطَاءٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم " إِنَّ اللَّهَ قَالَ مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ، وَمَا تَقَرَّبَ إِلَىَّ عَبْدِي بِشَىْءٍ أَحَبَّ إِلَىَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ، وَمَا يَزَالُ عَبْدِي يَتَقَرَّبُ إِلَىَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ، فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِي يَسْمَعُ بِهِ، وَبَصَرَهُ الَّذِي يُبْصِرُ بِهِ، وَيَدَهُ الَّتِي يَبْطُشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِي يَمْشِي بِهَا، وَإِنْ سَأَلَنِي لأُعْطِيَنَّهُ، وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِي لأُعِيذَنَّهُ، وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَىْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِي عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ، يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مَسَاءَتَهُ ".
Hazrat Abu Huraira Radiallataala Anhu Se Riwayat Hai Kay NABI Sallallahualaihiwasallam Ne Farmaya,ALLAH Taala Fermata Hai Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakhe ,Me Use Elaan E Jung Karta Hu,Aur Mera Banda Aisi Kisi Chiz Se Mera Qurb Nahi Paata Jo Mujhe Faraiz Se Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Kay Zariya Barabar Mera Qurb Haasil Karta Rehta Hai,Yaha Takkay Me Use Mohabbat Karne Lagta Hu Aur Jab Me Use Mohabbat Karta Hu Toh Me Uska Kaan Banjaata Hu Jisse Woh Sunta Hai ,Aur Uski Aankh Banjaata Hu Jisse Woh Dekhta Hai, Aur Uska Haath Banjaata Hu Jisse Woh Pakadta Hai, Aur Uska Pao Banjaata Hu Jisse Woh Chalta Hai,Agar Woh Mujhse Sawaal Karta Hai To Me Use Zarur Ataa Karta Hu,Aur Agar Woh Meri Panha Maangta Hai Toh Me Zarur Use Panah Deta Hu, Mene Jo Kaam Karna Hota Hai Usme Kabhi Mutaraddad Nahi Hota Jaise Banda E Momin Ki Jaan Lene Me Hota Hu,Use Maut Pasand Nahi Aur Mujhe Uski Taqleef Pasand Nahi.
Sahi Bukhari Kitabul Riqaq Jild 3 Hadees 1422.
Sahih Al-Bukhari 6502 In-Book Reference: Book 81, Hadeeth 91 USC-MSA Web (English) Reference: Vol. 8, Book 76, Hadeeth 509
In Dalail Se Saabit Hua Ki ALLAH Taala Kay Mehboob Banda E Momin Auliya ALLAH Bhi Ghaib Jaante Hai.