Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jan 31, 2016 9:47:50 GMT 5.5
HAATH AUR QADAM CHUMNA
HADITH:
Hazrat Abdur Rehman bin Abu Laila se riwayat hai ki Hazrat Abdullah bin Umar ne mujh se guftugu farmayi aur Ek waqiya bayan karte huwe farmaya: “Hum Huzoor Nabi e Kareem ke qareeb huwe aur hum ne Aap ke DAST E AQDAS KO BOSA (CHUMA) DIYA.”
[ ●SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL ADAB;
●BAIHIQI FI SUNAN AL KUBRA, JILD 7, PG 101;
●BAIHIQI FI SHOBUL IMAAN, JILD 6, PG 476]
HADITH:
Hazrat Zare’e jo ki wafad Abdul Qais mein shamil the bayan karte hai: Jab hum Madina Munawara hazir huwe to tezi se apni sawariyo se utar kar Rasulullah ke DAST E AQDAS AUR PAAO MUBARAK KO CHUMNE LAGE.”
[ ●SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL ADAB;
●IMAM BUKHARI FI ADAB UL MUFRAD, JILD 1, PG 339;
● TABRANI FI MAUJAMIL KABEER, JILD 5, PG 275;
●HAITHAMI FI MAJMUAZ ZAWAID, JILD 9, PG 2]
★HAATH AUR KADAM CHUMNE PAR WAHABIYO KE AITERAAZ KA JAWAB
● AITERAAZ:
Hath aur qadam choomna….
Kuch cheeze Huzoor s.a.w. ke saath makhsoos hai jaise 11 nikah, saanp ke kaate per thook lagana, hath pair ka choomna wagairah
Hum ko hadith per nahi balke sunnat per jamna hai. Hadith to khade hoker peshab karne aur joota pehen ker namaz padne ki bhi milegi
Dekho hamare khulafa e raashidin ne kabhi hath pair nahi choome ya choomne diye
Ye ahadis ibtedaye Islam ki hai jaise taayef ke safar me ek gulam ne haath pair choome. Usme hikmat thi
Phir jab hijrat hogayi musalmaan ban gaye phir aisa kuch nahi hua. Khulafa e Rashidin hamare liye hujjat hai. Wo humse zyada Huzoor ki zindagi ko jaante the
● AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KA JAWAB:
BY : MUFTI RAZA UL HAQ ASHRAFI
1. Apne likha hai ki Haath aur Qadam chumwana Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِke saath khaas tha. Iski apke pas kia dalil hai?
Halaki Harat Zaid bin Sabit رضي الله تعالى عنهne Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ka hath chuma.
2. Apne likha ki Khulfa e Rashidin ne kisi ka haath chuma na chumne dia. Halaki hadith ki kitabon me hai ki sahaba e kiram ne gazwae uhud ke mauqe par Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِka hath chuma aur un sahaba me Hazrat Abu bakr رضي الله تعالى عنه bhi the.
Hazrat Umar رضي الله تعالى عنهjab Shaam aaye to Hazrat Abu Zar Gifari رضي الله تعالى عنه ne unka isteqbal kia aur unka hath chuma.
Kya Deobandi wahabion ke nazdeeq Hazrat Abu bakr رضي الله تعالى عنه aur Umar رضي الله تعالى عنهkhulfae Rashedin me nahi?
3. Apne likha hai ki haath paao chumne ki hadisen shuru Islam ki thi phir uspar amal nahi raha. Aapke pas iski kia dalil hai?
Hum ne to sabit kar dia ki Sahaba me asagir ne akabir ka hath chuma hai. Kya Wahabi Deobandi ke yahan sahaba aur khulafae Rashidin ka amal sunnat nahi?
Allah ke Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne to usko sunnat farmaya hai aur sahaba ke tariqe pe chalne ka hukm dia hai?
4. IMAM BUKHARI ne “AL ADAB UL MUFRAD” mein Baab no 444 qayam kiya “Haath Chumna”
Jis mein pehli hadith yeh ki Sahaba ne Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِke hath chume.
Phir dusri hadith IMAM BUKHARI laaye ki TABA’IEEN ne SAHABA ke haath chume.
Phir teesri hadith laye ke TABA’IEEN aur SAHABA ne SAHABI ke hath chume taki sabit ho jaye ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke haath chumna bhi sunnat, sahaba ke hath chumna bhi sunnat, aur agli naslo ke haath chumna bhi sunnat.
Ab agla baab IMAM BUKHARI ne AL ADAB UL MUFRAD mein qayam kiya baab no 445 “PAAO CHUMNE KA BAAB”.
Yeh hai IMAM BUKHARI ka Aqeeda aur wahabiyo ne Haath chumne ko bidaat bana diya aur Paao chumne ko Shirk aur Sajda bana diya. MaazAllah!
Aur itna hi nai balki Imam Bukhari ne jab Paao chumne ka baab qayam kiya to Aap ne Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke haath aur paao chumne ki hadith to darj ki aur saath hi mein dusri hadith darj ki ke Sahaba ne Sahaba ke haath aur qadam chume.
● Ab Aap logo ke saamne wahabiyo ke ek zulm ka parda faash karte hai.
Woh ye ki Wahabiyo ke Imam Shaykh Albani ne Imam Bukhari ki kitab Al Adab ul Mufrad se ye tamaam Ahaadith nikal di. MaazAllah. Aur ek naye naam se Imam Bukhari ki kitab ko chapa jiska naam Sahih Adab ul Mufrad rakha aur kitab shaye ki.
Yaani Albani Sahab Imam Bukhari se bade muhaddith ban gaye. MaazAllah.
Ab aap ek ilmi baat sunle..
Bukhari Bukhari karne walo ne Imam Bukhari ki kitab se hadith to nikaal di aur zaeef keh diya magar ye yaad rakhe ki jab koi Muhaddith Apni kitab mein baab qayam karta hai to jo tarjamatul baab hota hai woh us Muhaddith ka mauqaf hota hai. Aur Imam Bukhari ne haath aur qadam chumne ka Baab qayam karke ye bata diya ki unka mauqaf wo nazriya kya hai. Ab wahabi hadith ko zaeef keh kar nikaal to dege magar Imam Bukhari ka mauqaf wo nazria kaise badlege?
Ab ye baataye ki Bukhari Bukhari karne wale Ahle hadees ka Aqeeda wo nazria Imam Bukhari jaisa hai ya Hum Sunniyo ka aqeeda wo nazariya Imam Bukhari ke nazariya jaisa hai?
1. Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه jab shaam aaye to Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah رضي الله تعالى عنه ne unka isteqbal kia aur unka hath chuma.
[●AS SUNAN UL KUBRA – BAIHIQI, 7/164,
● AL AADAAB LIL BAIHIQI,1/91,
●AL AMALI FI ASARISSAHABA LE ABDIR RAZZAQ, 1/82)
2. Muhaddith Sufyan bin Oaina رضي الله تعالى عنه ke pas Hazrat Hussain Jufiرضي الله تعالى عنه aaye to Hazrat Sufyan رضي الله تعالى عنهkhade ho gaye aur unhone Husain Jufiرضي الله تعالى عنه ka hath chuma
[●HASHIA AL TAFSIR MIN SUNAN E SAEED BIN MANSOOR;
● MUHASHSHI SAAD BIN ABDULLAH BIN ABDUL AZIZ AALE HAMID,4/1226]
3. IMAM BAIHAQI ne “SHOABUL IMAAN” me riwayat kia hai ki Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه jab Shaam aye to Hazrat Abu Ubaida bin Jarrahرضي الله تعالى عنه ne unka hath chuma.
4. Hazrat Zaid bin Sabit رضي الله تعالى عنه ne Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ka hath chuma.
[● JAME O BAYANIL ILME WA FAZLEHI LI IBNE ABDIL BAR, 1/514]