Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 10, 2016 11:14:20 GMT 5.5
Ahl e Sunnat ka yeh manana hai k Azaan main jub AAQA kareem صلی الله علیہ وسلم ka naam-e-Mubarik aai tou pehli mertaba durood perha jai aur dosri mertaba yeh kalimat keh ker “قرت عینی بک یارسول الله. اللهم متعنی بالسمع وابصر” apney angoothy choom ker ankhon per lagai jaian.
Es aml ka Hadees sey reference:
-“AAQA kareem صلی الله علیہ وسلم ney fermaya jo azaan main mera naam sun ker apny angoothy choomey aur ankhon per rukhy tou qayamat k din hum esy safhon main talash fermaian gy aur apny peechy peechy jannat main ley jaian gey.
(Salat-e-Masoodi, V:2, Page:350)
-Aik riwayat main aata hai: “Jo mera naam sun ker angoothy choom ker apni ankhon per rukhy ga Nabi us k quaid hon gey”
(Dur-e-Mukhtar, V:2, Pg:68)
Es k baad Hazrat Syedna Abu Bakr Siddique رضی الله عنہ k aml sey bhi yeh saabit hai:
-Hazrat Abu bakr Siddique رضی الله عنہ ney Azaan Me Sarkar صلی الله علیہ وسلم ka naam sun ker angoothy choom ker inhain ankhon per pheera, es per Sarkar Ne Farmaya:”Jo Tumhari Tarah Karey ALLAH Uske Tamam Gunaah Muaf Farmaey Ga”
(Roohul Bayan V:4, Pg:648)
-Aik Aur moqy per Hazrat Abu bakr Siddique رضی الله عنہ ney jub aisa he kia tou SARKAR صلی الله علیہ وسلم ney fermaya:”Jiss terha mery khalil Siddique رضی الله عنہ ney kia, jo bhi aisa kary ga us k liay meri shifa’at wajib hogi”
(Mozu’aat e Kabir, Maqasid e Hasana P:384)
Aetraaz:
Badmazhabo ka akser yehi aetraaz rehta hai k yeh aml Biddat hai, kahi sey sabit nahi, aur jub yeh riwayaat un ko dikhai jaati hain tou yeh aetraaz kerty hain k yeh riwayat zaeef hadeesoon sey hain.
Es k jawabaat yeh hain:-
Awl tou yeh k es aml k bary main jo riwayaat main un k bary main Mulla Ali Qaari fermaty hain:”Main kehta hon jis hadees ka bayan ho aur us per aml Siddique-e-Akbar رضی الله عنہ sey sabit ho tou yeh aml k liay kaafi hai, kyun k Hazoor صلی الله علیہ وسلم ney fermaya k, Tum per lazim hai meri sunnat aur mery SAHABA ki sunnat”, tou jo aml SAHABA sey sabit ho us per aml kerny main koi harj nahi.”
(Al-Mozoaat-e-Akbari, Hadees:869)Lehaza Mulla Ali Qaari ney esko jaiz kaha.
-Dosra yeh k islah-e-aamal k liay zaeef hadees per aml kerna sawab ki niyat sey ho tou yeh MUSTAHAB aml hai, han zaeef hadeeson ko Aqeedy k liay nahi lia jata, tamam Aaima es per mutafiq hain k islah-e-aamal k liay jiss ney zaeef hadeeson per aml kia us k liay yeh jaiz hai, aur jis ney nahi kia us per koi gunah nahi.
-Teesra yeh k Hadees k derjaat main sahi hadees k baad Hadith-e-Hassan ka derja baqi hai yahan tak k usko Zaeef kaha jai, Mufti Ahmed Yar Khan Naeemi رحمت الله علیہ fermaty hain: “Kisi hadees ka Sahi hona ager sabit nahi hua tou yeh lazim nahi k wo Zaeef hadees hai kyun k Sahi Hadees k baad Hassan ka derja baaqi hai”. Aur Angoothy choomney k es aml ko mutlaqan yeh kehna k Hadees-e-zaeef main hai sahi nahi, kyun k Muhadiseen ney es aml ko jahan bayan kia hai wahan “لا یصح لم یثبت ka lafz use kia hai, jis sey muraad Hassan bhi ho sakta hai, eska proof dosry maslak ki kitabon sey sabit hai:
Gheir Muqalid Muhammad Shams-ul-Haq Azeem Abadi likhty hain:-“Nafi saboot hadees sey eska zaeef hona sabit nahi hota, kyun k ahtamal hai k saboot sey sehat murad ho(yani yeh hadees sehat ko nahi pohanchti) tou es sey Hassan honey ki nafi nahi hoti.
(Risala Ghani-tul Laal Maee, Ma Tibrani, V:2, Pg:58)
-Deobandi Sheikh-ul-hadees Taqqi-ud-deen sahab apni kitaab main likhty hain:”Jub kisi hadees k bary main “لا یصح لم یثبت” kaha jai tou lazim nahi k wo hadees moozu hai ya zaeef hai, Mulla Ali Qaari رحمت الله علیہ fermaty han k aam saboot sey hadees ka moozu hona lazim nahi aata. Tou jub bhi “لا یصح لم یثبت” istimal ho lazmi nahi k wo hadees zaeef hai, mumkin hai k wo hassan ho”
(Fun Isma-ar-rijaal, Page:76)