Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 10, 2016 11:26:45 GMT 5.5
SAWAL (1)
jisko tum baad wafaat wali samajhte ho aur urs karte ho tumko kya ma’aloom ki ye wali hain kisi ke khatme par yaqeen nahi kiya ja sakta ki wo musalmaan mara ya be deen ho kar mara phir kisi murde ki wilayat kyon kar ma’aloom ho sakti he bade bade swaleh kafir ho kar marte hain
JAWAAB
zindagi ke zahiri ahkaam baad maut jari hote hain jo zindagi me musalmaan tha baad maut bhi usko musalmaan samajh kar uski namaze janaza, kafan, dafan, miraas ki taqseem, ki jayegi aur zindagi me kafir tha baad maut na namaze janaza hogi na kafan, na tqaseeme miras . shari’at ka hukm zahir par hota hai faqat gumaan motabar nahi isi tarah jo zindagi mein wali ho wo baad wafat wali hai agar mehez gumaan par ahkaam jari ho to kuffar ki namaz e janaza padh liya karo shayad musalmaan ho kar mara ho aur musalmaan ko be janaza padhen aag me jala diya karo shayad kafir ho kar mara ho
HADEES ;
Huzoor sallAlaho alaihi wasallam ke samne ek janazah guzra jiski logon ne ta’areef ki huzoor ne farmaya wajabat wajib ho gayi dusra janaza guzra jiski logon ne burai ki huzoor ne farmaya wajabat wajib ho gayi hazrat e Umar radiyAllaho ta’ala anhu ne Arz kiya sarkar kya wajib ho gayi? to sarkar sallAllaho alihi wasallam ne farmaya ki pehle janaze ke liye jannat( jiske liye ta’areef ki gayi) aur dusre janaze ke liye dozakh (jiske liye burai ki gayi) fir huzoor alaihissalam ne farmaya !
( ANTUM SHUHADAALHI FIL ARD )
tarjama:
tum zameen mein ALLAH ke gawah ho
(MISHKAAT . KITABUL JANAIZ, BIL JANAZA) & ( MUSLIM & BUKHARI pg no; 145)
jisse ma’aloom hua ki ummat e muslimeen jisko wali samjhen wo ALLAH ke nazdeek bhi wali hai musalmanon ke munh se wohi baat nikalti hai jo ALLAH ke yahan hoti haiisi tarah jis cheez ko musalmaan sawaab jane, halaal jane wo ALLAH ke nazdeek bhi ba’ise sawaab halaal hai kyonkwe musalmaan ALLAH ke gawah hain isi ki hadees tashrih farmayi
( MA RA’AAHUL MOMINOONA HASNAN FAHUWA INDALLAHI HASNUN) —- ( WA KAZALIKA JA’ALNAKUM UMMATO WA SATALLE TAKOONU SHOHADAI ALANNAAS)
tarjama:
humne tumko ummate aadila banata ( insaaf karne wala) take tum logon [par gawah raho musalmaan qayamat mein bhi gawah aur duniya mein bhi | rab ne quran e kareem ki haqqaniyat aur RasoolALLAH sallAllaho alaihi wasallam ki sadaqat ke saboot mein hazrat e Abdullah ibne salaam aur digar buzurgon ki gawahi pesh farmayi farmaya ( WA SHAHIDA SHAHIDOON MIM BANI ISRAILA ALA MISLIHI) jab sawaleh mumenin ki gawahi se nabuwwat sabit ki ja sakti he vilayat badraza ollaa sabit ho sakti he or jab is gawahi se saare quran pak ka sabut ho sakta he to kisi sharie ma’sala ka sabut badraza ollaa hoga ?
note:
yeh sawal makka mukarrma me haram, shareef ke najdi imaam ne kiya tha ek mazma ke samne uska mane yahi jawab diya tha jis par usne kaha ki yeh sahaba kiraam ke liye tha ki wah jiske mutah’lik jo gawai de vesa hi ho jae kyuki waha farmaya he (ANTUM) issi mishqat me he ek riwayat me he ki musalmaan Allah ka gawah he jameen me isme Antum nahi ! wah or quran ke saare Ahqaam khitaab ke siga se aaye or hum quran ke nuzul ke waqt na the lihaza ham tamaam ahqaam se bari he yeh sab umoor sirf sahaba kiraam ke liye the quran wa hadees ke khitabat qayamat tak ke musalmano ko shamil hote he Alhamdulilah ki imaam sahab ko is jawab par gussa to aaya mager jawab na aaya
SAWAL (2)
hadees shareef me he mari qabr ko eid na banao jis se malom hua qabr par logo ka ijtima karna mela lagana mana he kyuki eid se muraad mela he or urs me ijtima hota he mela lagta he lihaza haram
jawaab:
yeh kaha se maloom hua ki eid se muraad logo ka jama hona or hadees ke mani he ki mari qabr me jama na ho tanha tanha aya karo eid ke din kushiya manai jati he maqanat ki jinaat wa aarastagi hotii he khel kud bhi hota he yahi is jagha muraad he yani mari qabr e anwar par hazir ho to ba Adab aao yaha aakar shoor na machao khel kud na karo ager qabr par jama hona mana he to aaj madinah shareef ki tarah kafelee bhi jate he baad namaz pazjana log jama ho kar salaam arz karte he ! hazi imdadullah sahab fesalaa haft mas’ala me bahase urs me farmate he iska sahi mana ye he qabr par mela lagana or kushiya or jeenat wa aarastagi dhoom dhaam ka ahtmaam mana he or yahi mani nahi ki kisi qabr par jama hona mana he warna madina shareef kafelo ka waste ziyarat Roza-e-Aqdas ke bhi mana hota pas haq ye he ki ziyarte maqabir iferadan ijtema’an dono tarah jayez he ya hadees ka matlab ye he ki tum hamari qabr par jald jald ayaa karo misl eid ka saal bhar ke baad hi na aya karo
SAWAAL (3)
Aam urs me Aurto mardo ka ikhtilaf hota he naach rang hote he qawwali gaai jati he garzki urs buzurgane sekdo muharemaat ka majmua he isliya haraam he
jawaab :
iska ilzami jawab to yeh he ki waha najayez kaam hote he jase ki ourat mard se milna kyuki un jasi najayez bato se mustih’baat nahi ghode jate he balki insaan par jaruri he ki ziyarat e qubur kare oe bi’daat ko roke iski tae’ed wah gujistah mas’ala karta he ki janaze ke saath jana na chode