Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 10, 2016 11:35:07 GMT 5.5
BAHAS URSE BUZURGAAN
Is bahas ke do baab hai pehla baab urs ke saboot mein dusra baab masla usr par aitrazaat wa jawabaat mein
1st BAAB; SABOOT E URS
Urs ke lugwi maani hain Shaadi | isliye dulha aur dulhan ko URS kehte hain buzurgane deen ki tareekhen wafaat ko isliye urs kehte hain ki {MISHKAAT BAAB ISBATE AZAABIL QABR} mein hai ki jab nakirain mayyat ka imtehaan lete hain aur woh kamyaab hota hai to woh kehte hain NAM KANOMATIL UROOSILLAZI LA YUKIZZUHU ILLA AHABBU AHLEHI ALAIHI | to us din dulhan ki tarah soo ja jisko siwae us ke pyare ke koi nahi utha sakta to chunki us din nakirain ne usko uroos kaha is liye woh din roze urs kehlaya is liye ki wahan jamale MUSTAFA alaihissalam ke dekhne ka din hai ki nakirain dekh kar poochte hain ki inko kya kehta tha aur woh to khilqat ke dulha hai tamaam aalam in hi ke dam ki bahaar hai aur wisaale mehboob ka din urs ka din hai lihaza ye din urs ka kehlaya urs ki haqeeqat sirf is qadr hai ki har saal tarikhe wafaat par qabr ki ziyarat karna aur quran khwani wa sadqaat ka sawaab pahunchna is asal urs ka saboot hadees paak aur aqwale fuqfa se hai | {SHAAMI JILD AWWAL BAAB; ZYARATIL QUBOOR}
Ibne abi Shaiba ne riwayat kiya hai ki
Huzoor alaihissalatu wassalam har saal Shohda e uhad ki qabron par tashreef le jaya karte the (TAFSEERE KABEER & TAFSEERE DURRE MANSOOE) me hain
Huzoor Alaihissalatu wassalam se sabit hai ki aap har saal Shohada e uhad ki Qabron par tashreef le jate aur unko salaam farmate the aur 4ron Khulfa bhi Aisa hi karte ….
Shah Abdul Azeez Sahab (Fatawa e azeeziya pg: 45) Me farmate hain
Dusre ye ki bohut se log jama ho aur Khatme Quran karen aur Khane shirini par Fatiha karke hazireen me taqsem Karen ye qism HuzoorAlaihissalatu wassalam aur Khulfa e Rashideen ke zamana me murawwaj na thi | lekin agar koi kare to harj nahi balki Zindon se murdon ko Faida hasil hota hai | (JUBDATUNNASAIH FI MASAILIZZABAIH) Me Shah Abdul Azeez Sahab aur molvi Abdul Hakeem Sahab siyalkot Alaihirrahma ko jawaab dete hue farmate hain
Ye Ta’an logon ke haalaat se khabardaar na hone ki wajah se nahi hai koi Shakhs bhi Shari’at ke muqarrar karda faraiz ke siwa ko farz nahi janta | Han saleheen ki qabron se Barkat Lena aur I sale sawaab aur Tilawat e Quran aur Taqseeme shirini wa ta’aam se unki madad karna Ijmaee Ulema se acchha hai | Urs ka din isliye muqarrar hai ki wo din unki wafaat ko yaad dilata hai
Warna jis din bhi ye kaam kiya jaye acchha hai
Hazrat Sheikh Abdul Quddus gangohi maktoob 182 Me Molana jalaliddin ko likhte hain.
Peeron ka urs peeron ke tareeqa se qawwali aur safai ke sath jari rakkhen
Molvi Rasheed Ahmed wa Ashraf Ali sahaban ke peer haji imdadullah Sahab apne faisla haft masla me usr ke jawaaz par bohut zor dete hain khud apna amal yun bayaan farmate hain
“Faqeer ka mashrab is amr me hai ki har saal apne peero Murshid ki ruh Mubarak par Isale sawab karta hun Awwal Quran khwani hoti hai aur kabhi kabhi agar waqt ne gunjaish ho to molood padha jata hai Fir ma hazar khana khilaya jata hai aur iska sawaab bakhsh diya jata hai ….. Molvi Rasheed Ahmed Sahab Asal Urs ko jaiz mante hain chunanche (Fatawa e Rasheediya jild 1 Kitabul bid’aar pg no: 92,) Me farmate hain”
*Bohut cheezen hai ki pehle jaiz thi Fir kisi waqt mana ho gayi |Majlise urs o molood me bhi Aisa hi hai
Ahle Arab se maloom ki Arab Sharif ke log Hazrat Sayyed Ahmed Badwi rehmatullah alaihi ka ur Badi dhoom dhaam se karte hain khaas kar Ulema e madina munawwarah “Hazrat Ameer Hamza radiyAllahu anho ka urs karte Rahe jinka mazaar Muqaddas ” Uhad pahad” par hai Garze ki duniya bhar ke musalmaan khususan Ahle madina urs par kaarband hain aur jisko musalmaan Acchha Jane wo IndAllah bhi acchha hai
aqal bhi chahti he ki urs -e- buzurgaanumdha cheez ko awwal to is liya ki urs jiyart -e – qubur or sadqat kheraat ka majmuaah he! ziyarat-e- qubur bhi sunnat sadqa bhi sunnat to 2 sunnat ka majmuaah haraam kyu kar ho sakta he
huzur sallallaho alaihe wasallam farmate he ki hum ne tumko ziyarat-e- qubur se mana farmaya tha Ala fazaruha ab zarur ziyarat kiya karo (MISHKAAT ZIYARAT QUBUR)
is se har tarah ziyarat-e-qubur ka jawaaz maloom hua chahe rozana ho ya saal ke baad or khawahtanha ziyart ki jaay ya ki jama ho kar !ab apni taraf se isme qaid lagana ki majma ke sath ziyarat karna mana he ! saal ke baad muqarrar kar ke ziyarat karna mana mahaz bekaar he muayyan karke ho ya ba gair muayyan kiye har tarah se jayez hai | dom isliye ki urs ki tareekh muqarrar hone se logon ke jama hone me asaani hoti he aur log jama ho kar quran khwani kalima e tayyibah durood e paak padhte hain bohut barkaat jama ho jati he
teesre isliye ki ek peer ke mureedin is tareekh mein apne peer bhaiyon se bila takalluf mil lete hain jisse ek dusre ke halaat se waqif hote hain aapas me mohabbat badhti hai 4th isliye ki talibeen ko peer ki tal;aash mein asaani hoti hai agar kisi urs me pahunche to wahan mukhtalif jagah ki buzurgane deen jama hote hain ulema, sufiya ka majma hota hai sab ko dekh kar jisse aqeedat ho usse bait kar len aakhir hajj aur ziyarat e madina munawwarah bhi tarikh ,muqqarrar me hi hote hain | isme bhi guzishta fayeda hsamil he hamne deobandi akabir ki qabren bhi dekhi hain wahan na raunaq hai na koi isale sawaab na kisi ko unse na kise se unko fayeda umoore khair band karne ki ye wajah hai