Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 10, 2016 12:44:13 GMT 5.5
KYA YE SAARE ULEMA, FUQAHA, MUFASSIREEN AUR MUHADISSEEN BIDATI THE ?
1. Imam Jalalludin Suyuti (born in 849 Hijri) ne apni kitaab
” Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
2. Mulla Ali Qari – (1014 Hijri) ne apni Kitab
“Al Morid ul Ruvi fi MaulidinNabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
3. Muhaddis Imam Ibne Jawzi (born in 510hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab – Ibne Jawzi, Al Milad un Nabi.
4. Imam Shamsuddin al Juzri (660 hijri) ne Jaiz kaha -kitab – “Husnul Maqsid fi Amalil Mawlid”
5. Imam Nawawi ke shaykh Imam Abu Shama (born in 599 hijri)
ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab- “Al Baais Ala inkaril Bada val Hawadis” and “Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi.
6. Imam Zahbi (673 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab -“Sayer ul A’alam van nubala”
7. Imam Ibne Kaseer (701 Hijri ) ne Al Bidaya wan Nihaya main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
8. Imam Shamsuddin bin Naseeruddin Damashqi (777 hijri) ne apni Kitab “Mawridul Saadi fi Mawlidil Haadi” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
9. Imam Ibne Hajar Asqalani (773 hijri ) – ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab – “Suyuti – Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid”
10. Imam Shamsuddin al Sakhawi (831 h) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab- “Sublul Huda val Rushad by Imam Salihi
11. Imam Qustulani (851 hijri) ne apni
kitaab “Al Mawahib ul Laduniya” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
12. Imam Qutubudin Hanafi (988) ne
Apni kitab “Al a’alam be A’alam e Baitillahil Haram ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
13. Imam Ibne Hajar Makki (909 hijri)
ne Fatawa Haadisia mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
14. Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi (958 hijri) ne
“Ma sabat minas sunnah ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
15. Imam Zarqani (1055 hijri) ne
“Sharah Mawahibul Laduniya ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
16. Hazrat Shah Abdur Rahim Dehelwi ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –
kitab – “Al dur rus sameen”
17. Shah Waliyyullah Muhaddis Dehelwi (1174 h) ne
“Fuyuz ul Haramain ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
18. Haji Imdadullah Muhajir Makki (1233 h) ne “Shamaim e Imdadiya
Aur Faisala e Haft Mas’ala ” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.
19. Maulana Abdul Hay Lakhnawi (1264 h) ne
“Fatawa Abdul Hay” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane ko jaiz kaha.
20. Aalahazrat azeemul barkat Imam Ahmed Raza (1272) ne Jashn e Eid Miladun Nabi manaane ko jaiz kaha. Farmaate hain
Hashr tak Daalenge hum Paidaish e Maula ki Dhoom
Misl e faaras najd k qile giraate jaayenge.
Eid E Milad Un Nabi Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat:
(1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehma…t Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare
(Surah Yunus Ayat 58)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai
(2). “Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye”
(Surah Ambiya Ayat 107)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi Salallah Aihe Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Gum Manaega Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat par
(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
(Surah Duha Ayat 11)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Hai
Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu
Allah Azzaajal Farmata Hai:
“Humne Momino per Ahesan kiya, ki jab unme apne Rasool Salllaho Aliahe Wasallam ko bhej diya”
(Sureh Al-Imran, Ayat 164)
Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya hai Siwae Apne Maheboob Nabi Salllaho Aliahe Wasallam K Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai…
12 Rabi Ul Awwal:
12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad Salllaho Alihe Wasallam Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai
Refrance:
1. Ibn-e-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]
2. Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158]
3. Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page 125]
4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H): [Ailam-un-Nabuwwa, Page 192]
5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H): [Aayun al-Asr, Vol. 1, Page 33]
6. Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]
7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102]
8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2, Page 14]
9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]