Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 10, 2016 13:13:15 GMT 5.5
Hazir Nazir
Zehan Ko Haazir Kar Ke Hazir Nazir K Ma’na Aur Is Hawale Se Ahl e Sunnat Ka Aqeeda Samjhen
#HAZIR K Lugwi Ma’na Samney Mojud HonaYa’ni Gaaib Na Hona
# NAZIR K Ma’na Dekhney Wala (Muntahul Adab AlMisbahul Munir Qamoosul Lugaat)
#Jahan Tk Hamari Nazar Kaam Karey Wahan Tak Hum Nazir Aur Jis Jagah Tk Hamari Dastarus Ho K Tasarruf Kr Len Wahan Tk Hum Hazir, Aasman Tk Nazar Kaam Karti Hy Wahan Tk Hum Nazir Magar Dastarus Nhi IsLye Hazir Nhi Hazir Nazir
Jis Jagah Aur Maqam Pr Hum Mojud Hen Wahan Hazir Hen K Is Jagah Humari Puhanch Hy #Aalam Me Hazir Nazir Hone K Shar’yi Ma’na Ye Hen K Qudrat e Qudsiya Wala ALLAH Ke Izn Se 1 He Jagah Reh Kr Tamam Aalam Ko Apne Kaff e Dast Ki Tarah Dekhey. Aur Door o Qareeb Ki Aawazen Suney.
Ya 1 Aan Me Tamam Aalam Ki Sair Kary. Aur Sad’ha Kos Pe Hajat Mandon Ki Hajat Rawai Karey. Ye Raftar Khuwa Ruhani Ho Ya Jism e Misaali K Sath.
Suboot Mulahiza Hon>>
Dalail Se Qabal
CHALENGE
2 Questions
Q.1 Poorey Qur’an My Koi Aayet Aisi Bataen Jis My Rabb Ki Sifat Hazir o Nazir Hona Bayan Ki Gayi Ho?
Haan Shahid, Mojud, Muheet, Aleem, BaseerTo Mil Jaegi ALLAH ki Zaat Jagah Aur Makaan Se Pak Hy Khuda Mojud Hey Magar Bagair Jagah Ke,
Aur Uska Ilm o Qudrat Aalam Ko Gheray Huey Hey
Q.2 Hamara Aqeeda Hy Ke ALLAH ki Sifat Zaati, Qadeem, Wajib, Na Mitnay Wali Aur Gair Makhluq Jab K Nabi Ki Sifat Ataee, Haadis, Mumkin, Faani Aur Makhlooq
#Donu Baaton Ki Mojudgi Mey Makhluq Ka Hazir Nazir Hona Qur’an o Hadis Ki Roshni My Kaisay Kufr o Shirk Hoga? Hazir Nazir
#Dalaail#
1> “Aur Baat Yun Hi Hy Ke Hum Ne Tumko Sb Ummaton My Afzal Kya K Tum Logon Pr Gawah Ho Aur Ye Rasul Tumhare Nigehban Aur Gawah”
(Al Baqarah Ayat#143)
2> “To Kesi Hogi Jb Har Ummat Sy 1 Gawah Laen Aur Aye Mehboob Tumko In Sab Pr Gawah o Nigehban Bana Kr Laen” (Al Nisa Ayat#41)
Mazkura Donu Aayaat My Huzoor Ko Shahid Farmaya Gaya “Shahid” Shuhud w Shahada Se Makhuz Hy Jiske Ma’ana Basar ya Basarat Ke Sath
Mushahida Farmaty Huey Hazir Hona Aur Gawahi Dena (Mufridat P#269)
Shahid Yani Hazir Hona Wo Zaat Jiske Ilm Sy Koi Cheez Ghaaib Na Ho (Misbahul Lughat P#426)
Shaheeda Ka Ma’ana HAZIR NAZIR hy (Roohul Bayan V4 P#639)
Shaheeda Murad Hazir Nazir (Bedawi)
Janazey ki Dua e Maasura My Shahid Ke Ma’ana HAZIR Par Sab Muttafiq Shaheed Yani Hazir
(Mishkat #199 Tehat Ismuhu Ta’ala)
Ashraf Ali Thanwi Ne Sura e Ehzab Ayet #55 My Tarjuma “Hazir Hona” Hi Likh Dya.
“Shahid” Ke Ma’ana Samajhny Ke Baad Ye Suwal Paida Hota Hy Ke Huzur Kis Par Hazir Nazir Hen? Talkhis,
Mukhtasarul Ma’ani, Mutawwal, Roohul Bayan, Ruhul Ma’ani, Khazin, Azizi, Bedawi, Jamal, Mazhari, Ibne Kaseer, Sawi,
Zarqani, Durre Mansur Aur Tafseere Usmani (Dewbandi)
Sabka Khulasa w Nichor Ye Ke “Huzoor In Sab (Tamam Makhlooq) Py Hazir Nazir Hen Jinki Taraf Rasul Bana K Bhejy Gaye
Aur Unke Ahwal ki Nigehbani, Aa’mal Ka Mushahida Farmaty Hen
Aur
Inke Gawah Banty Hen Un Tamam Aqaid o Aamal e Hasana w Qabiha Py Jo Unsy Sadir Huey Or Qayamat My Is Shahadat Ko Ada Farmaengy Jo Maqbul Hogi
3>“Aye Ghaib Ki Khabren Batany Waley (Nabi)! Beshak Hum Ne Aapko Bheja Hazir o Nazir (Shahid) Aur Khush Khabri Deta Aur Darr Sunata
Aur ALLAH Ki Taraf Iske Hukum Sy Bulata Aur CHAMKA Deny WALA AFTAB” (Ahzaab Ayat#46)
Is Aayat My Nabi Paak Ko Siraj o Munir Yani Chamka Deny Wala SOORAJ Kaha Gaya Yani Jis Tarah Sooraj Apny NOOR Se Purey Aalam Ko Roshan Kye Huey Hy Isi Tarah Huzoor Bhi Apny NOOR Se Tamam Jahano Ko Munawwar Kye Huey Hen.
4> “Beshak Tumhary Paas Tashrif Laye Tum MySe Wo Rasool Jin Par Tumhara Mushaqqat My Parna Giran Hy” (Touba Ayat#128)
Is Aayat My 3 Tarah Sy Huzur Ka Hazir Nazir Hona Sabit, ChunKe Qayamat Tak Ke Musalmano Se Khitaab Hy Pas Huzur Qayamat Tak Ke
Har Musalman Ke Paas Hen . Tumhary Nafson My Se Hen Yani Har Musalman Ke Har Feal Sy Baa Khabar Hen. “Mushaqqat My Parna Giraan Hy”
Ya’ni Tumhari Raahat o Taklif Ki Har Waqt Huzur Ko Khabar Hy.
5> “Aur Agar Jb Wo Apni Janon Par Zulm Karen To Aye Mehboob Tumhary Huzur Hazir Hon Phir ALLAH Sy Muafi Chahen Aur Rasul Inki
Shafa’at Farma Den To Zarur ALLAH Ko Buhat Touba Qubool Karny Wala Meharban Payen” (Nisa Ayat#64)
Murad
Ye Ke Gunahgaron Ki Bakhshish Ki Sabeel K Lye Huzur To Tumhary Paas Mojud Hen, Tum Inki Taraf Mutawajjuh Ho Ke Shafa’at Mango To Huzur Karimana Shafa’at
Farmaty Hen. Malum Hua Ke Huzur Karim Har Jagah Hazir Hen
6> “Aur Hum Ne Tumko Na Bheja Magar Rehmat Sarey Jahan Ke Lye” (Anbiya Ayat#107)
Malum Hua Ke Huzur Jahanon Ke Lye Rehmat Hen Aur Rabb Ka Farman; “Meri Rehmet Har Cheez Ko Ghearey Hey”
(A’araf Ayat#156)
Lihaza Huzur Jahanon Ko Muheet Hen ALLAH Jiska Rabb Hy,
Huzur Iske Lye Rehmet Hen
7> “Aur ALLAH Ka Kaam Nahi Ke Azaab Kary Jab Tak Aye Mehboob Tum In My Tashrif Farma Ho” (Anfal Ayat#33)
Murad Ye Ke Huzur Mojud Hen Is Lye Qayamat Tak Azaab e Aam Na Aayega.
8> “Jaan Lo Ke Tum Sab My Rasoolullah Tashrif Farma Hen” (Hujrat Ayat#7)
Goya Huzur Hamary Paas Hen
9> “Aur Isi Tarah Hum IBRAHIM Ko Dikhaty Hen Saari Badshahi Aasmanon Aur Zameen Ki” (An’aam Ayat#75)
Hazrat Ibrahim Ne Tamam Aalam Sar Ki Aankhon Sy Mulahiza Kya
10> “Aye Mehboob Tum Ne Na Dekha Ke Tumhary Rabb Ne In Haathi Walon Ka Kya Haal Kya” (Feel Ayat#1)
11> “Kya Tum Ne Na Dekha Ke Tumhary Rabb Ne Qoum e Aad Ke Sath Kya Kya” (Fajar Ayat#6)
12>“Kya Inhon Ne Ye Na Dekha Ke Hum Ne In Sy Pehly Kitni Qoumen Halak Kr Deen” (An’aam Ayat#6)
Huzur Karim Ne Zahir My Dunya Ki Sayahet Na Farmayi Thi In Ayaat My Noor e Nubuwwat Sy Guzishta Dour Ke Kuffar
Or Un Py Aany Waly Azabat Ka Dekhna Murad Hy
13> “Aur Yaad Karo Jb Ke Aapke Rabb Ne Farishton Sy Kaha” (Baqara Ayat#30)
14> “Aur Yaad Karo Jb Moosa Ne Apni Qoum Se Kaha ” (Baqara Ayat#67)
Murad Ye Ke Tamam Guzishta Waqiaat Huzur Ke Dekhy Hen
15> “Nabi Musalmanon Se Inki Janon Ke Zyada Qareeb Hen” (Ahzab Ayet#6)
Sb Sy Zyada Qareeb Hum Hamari Jaan aur Jaan Sy Bi Qarib Nabi AlaihisSalam Hen Qasim Nanotwi
Tehzeerun Naas P#10
My Likhta Hy; Is Ayat My “Aoula” Sy Murad Qareeb Tar Hy
16> “Aur Bola Wo Jiske Paas Kitab Ka Elm Tha, Ke My Takht e Bilqees Apke Paas Ley Aaunga, Apke Palak Jhapakny Se Pehly” (Namal Ayat#40)
Hazrat Sulaiman Alahissalam Ke Wazir Asif Bin Barkhya (Kitab Ke Aalim Aur Wali) Mulk e Shaam My Hen Aur Bilqees Ka Takht Yaman My.
Aur Wo Foran Laney Ki Khabar Dy Rahy Hen. Sakht Pehron My Mojud Wo Wazani Takht Wahan Jaye Bagair Lana Na Mumkin Hy Lihaza
Malum Hua Wo Is Takht Ko Yahan Sy Dekh Rahy Hen
17> “To (Moosa Ne) Hamary Bandon My Sy Ek Banda (Khizar) Ko Paaya, Jisey Hum Ne Apny Paas Sy Rehmat Di
Aur Isy Apna Ilm e Ladunni Ataa Kya” (Kahaf Ayat#65)
Jab Khizar Ilme Ladunni Sy Makhlooq Ka IlmRakhty Hen To Khizar Ke Bi Aaqa Kya Kuch Ilm Na Rakhty Hongy?
18> “Essa Ne Farmaya Ke My Tumhe Khabar Deta Hun Iski Jo Tum Apny Gharon My Khaaty Ho Aur Jama Karty Ho”
(Aale Imran Ayat#49)
Hazrat Essa Ki Quwwat e Nazar Ki Shaan Bayan Hui Hazir Nazir
19> “Yousuf Ne Kaha Jo Khana Tumhe Mila Karta Hy Wo Tumhary Paas Na Aany Paega Ke My Uski Ta’beer Us Sy Pehly Tumhe Bata Dunga” (Yousuf Ayat#37)
Hazrat Yousuf Ka Guzishta w Ayenda Ke Poshida Ki Khaber Dena
20> “Wo Iblees Aur Iska Qabila Tum Sabko Dekhtay Hen Jahan Sy Tum Inko Nahi Dekhty” (Aaraf Ayat#27)
21> “Tum Sabko Mout Ka Farishta Mout Dega Jo Tum Par Muqarrar Kya Gaya Hy” (Sajda Ayat#4) Shaitan Aur Uski Zurriyat Ko (Gumrah Karny Ke Lye),
Malakul Mout Ko (Jaan Nikalny Ke Lye) Ye Taaqat Di Ke Wo Har Jaandar Ko Dekh Letey Hen To Anbiya Ko Hidayet Ke Lye Aalam Ki Khabar Hona Lazim
22> “Beshak Wo Banda Sun’ny Wala Dekhny Wala Hy” (Asra Ayat#1) Sabit Hua Huzoor Ki Sifat Sami o Baseer Hy
23> “Ek Chiyunti Boli, Aye Chiyuntiyon! Apny Ghar My Chali Jao, Tumhen Kuchal Na Dey Suleman w Inka Lashkar BeKhabri My,
To Suleman Is Chiyunti Ki Aawaz Sun Kar Muskuraye” (Namal Ayat#18,19)
Hazrat Suleman Ne Meelon Faasly Se Chiyuntiyon Ko Dekha w Inki Aawaz Suni *Ye Chand Aayaat Theen Jin Par
Fuqah, Muhaddisin w Mufassirin Ke Beshumar Aqwaal Dalaalat Karty Hen Ke AAQA HAZIR NAZIR Hen
Ye Khalf w Salf Ka Muttafiqa w Musallama Aqeeda Hy Ab Aaiyye!
Chand AHAADEES Mulahiza Farmayen
24> “Nakeerain Mayyat Sy Poochty Hen Tum In (Huzur Karim) Ke Barey My Kya Kehty Ho?” (Muslim V#4 H#2870)
Ye Qabar (Chahey Ek Waqt My Hazaron Murday Dafan Hon) My Zahir Zuhoor Apki Zaat Ko Karty Hen Is Tarah Ke Huzoor Ka
Wujood e Misaali Mojud Kar Daity Hen (Ashi’atul Lam’aat V#1 P#115)
25> “Huzoor Karim Ne Zaid, Jaffer Or Ibne Rawaha Ki Mout Sy Qabl Inki Mout Ki Khabar Logoun Ko Dy Kar Farmaya Ab Jhanda ALLAH Ki Talwar
Khalid Bin Waleed Ne Lya Ta Aan Ke ALLAH Ne Inko Fatah Dy Di” (Bukhari V#2 P#611)
Mota Jo Madina Sy Koson Door Wahan K Halaat Aaqa Madine Sy Dekhty Hen
26> “Ek Shab Huzoor Alaihissalatuwassalam Ghabraye Huwey Baidaar Huwey, Farmaya; Subhanallah,
Is Raat My Kis Qadar Khazaney Aur Kis Qadar Fitney Utary Gaye Hen” (Miskhat – Babut Tehreed Ala Qayamil Lail P#109)
Malum Huwa Ayenda Honey Waley Fitnon Ko Bachashm Mulahiza Farma Rahey Hen.
27> “ALLAH Ki Qasam, Mujh Par Tumhara Khushu o Ruku Poshida Nahi. Mey Tumhen Apni Pusht Sy Bhi Dekhta Hun” (Bukhari V1 Kitabus Salaat)
28> “Tumhari Mulaqat Ki Jagah Houz e Kousar Hy, May Isko Isi Jagah Sey Dekh Raha Hun” (Mishkat – Baab Wafatun Nabi P#547)
Ye Hen HAZiR NAZiR Ke Ma’na.
29> “Huzoor Ne Ek Pahari Par Khary Hokar Sahaba Sy Pucha, Ke My Jo Kuch Dekh Raha Hun Kya Tum Bhi Dekhtey Ho?
Arz Ki; Nahi Farmaya; May Tumhary Gharon My Fitney Girtay Dekhta Hun” (Mishkat – Kitabul Fitan P#462)
30> “ALLAH Ta’ala Ny Apna Daste Qudrat Mery Seenay Par Rakha Jiski Thandak Apny Seeney My Mehsoos Ki, Pas My Ne Un Tamam Cheezon Ko Jaan Lya
Jo Zameen o Aasman My Hen” (Tirmizi – Kitabut Tafsir H#3246)
Ye Hadees Hasan Sahi Hy
31> “ALLAH Ta’ala Ney Mery Saamny Saari Dunya Ko Paish Farma Dya, Pas Mey Is Dunya Ko Aur Jo Kuch Is Mey
Qayamat Tak Hony Wala Hy Is Tarah Wazeh Dekh Raha Hun Jesey Apny Haath Ki Hatheli Ko Dekhta Hun”
(Khasaisul Kubra V2 P#185) (Mawahibul Ladunya V3 P#95) (Majmuaz Zawaid V8 P#290) (Kanzul Ummal V11 P#378-420)
(Jam’ul Jawame’a H#4849 ) (Jaami ul Kabeer H#4849) (Sharh Allama Zurqani V7 P#204) (At Targheeb Wat Tarheeb V2 P#211)
32>“ALLAH Ney Merey Lye Zameen Samait Di, Pas Mey Ne Zameen Ke Mashriqon Aur Magribon Ko Dekh Lya”
(Muslim H#2889) (Tirmizi H#2182) (Ibne Maaja H#3952) (Abu Dawood H#4252) (Nisaai H#1637)
33> “Hum Ko Huzoor Ny Is Haal Par Chor Ke koi Parinda Apnay Par Bhi Nahi Hilata Magar Iska Humko Ilm Bata Dya”
(Musnad Ahmed V5 H#21399) (Al Moajjam Kabir Lit Tibrani V2 H#1647) (Masnad Abu Ya’la V9 H#5109) (Majmual Zawaid V8 P#264)
34> “Huzoor Karim 2 Qabron Par Guzrey, Jin Par Azaab Ho Raha Tha, Farmaya; In 2 Shakhson Ko Azaab Ho Raha Hy,
In My Sy 1 Paishab Ke Cheenton Sy Na Bachta, Dusra Chugli Kya Karta Tha. Phir Aap Ny 1 Tarr Shaakh Lekar Uske 2 Tukrey Kar Ke Donu Qabar Par 1,1 Ghaar Dya
Aur Farmaya; Jab Tak Ye Tukrey Khushk Na Hongy Donu Ke Azaab My Kami Ki Jayegi”
(Bukhari V1 P#211) (Muslim V1 P#141)
35> “Huzoor Ne Khaiber Ke Din Farmaya Ke My Kal Aisey Shakhs Ko Jhanda Dunga Jo ALLAH Aur Iske Rasool Ka Mehboob Hy
Aur Jiske Haath Par ALLAH Khaiber Fatah Farma Dega” (Bukhari V3 H#3499) (Muslim V4 H#2407)
36> “Huzoor Karim Ne Farmaya; Ye Fulaan Shakhs Ke Girnay Ki Jagah Hy. Aur Apny Dast Mubarak Ko Idhar Udhar Zameen Par Rakhty They.
Raawi Ne Kaha Ke Maqtooleen My Sy Koi Bhi Huzur AlaihisSalam Ke Haath Ki Jaga Sy Zarra Barabar Bhi Na Hata”
(Muslim V2 – Kitabul Jihad – Baab Ghazwa e Badar)
37> “Nahi Chora Huzoor Ne Kisi Fitna Chalany Waly Ko Dunya Ke Khatam Hony Tak Jinki Ta’dad 300 Sy Zyada Tk Puhnchy Gi Magar Humko Iska Name,
Baap Ka Naam, Iske Qabiley Ka Naam Bata Dya” (Mishkat – Babul Fitan P#463)
38> “Hum In (Dajjal Sy Jihad Ki Tayyari Karny Walon) Ke Naam Inke Baap Dadaon Ke Naam, Inke Ghoron Ke Rang Tak Pehchanty Hen.
Wo Roo e Zamin Par Behtreen Suwar Hen” (Muslim – Kitabul Fitan V2 P#392)(Musnad e Ahmed V1 P#385)
39> “Shikari Ne Kaha My Ne Aaj Ki Tarah Kabhi Na Dekha Ke Bheriya Baaten Kar Raha Hy, To Bheriya Bola Ke Is Sy Ajeeb Baat Ye Hy Ke
Ek Sahab (Nabi Karim) 2 Medano Ke Darmiyani Nakhlistan (Madina Pak) My Hen Aur Tumko Guzishta w Ayenda Ki Khabren Dy Rahy Hen”
(Musnade Ahmed V3 H#11809)
40> “Hazrat Umer Ne 1 Lashkar Ka Sardar Bana Kar Sarya Ko Nahawend Bheja, Hazrat Umer Madiney Paak My Khutba Parhty Huey Pukarny Lagy,
Aye Saarya! Paahar Ko Lo” (Mishkat – Baab Wafatun Nabi P#546) Abu Naeem, Bahiqi, Kanz, Tabqatul Kubra Wagera Mey Isi Hadees Ke Tehat Likha Hy Ke Fatiheen Ne Wapis Aakar Bataya Ke Ain Jummah Ke Khutbey Ke Waqt Hum Ne Ye Aawaz Suni Jo Fatah Ka Sabab Bani HalanKe Hum Madina Pak Sy Ek Maah Ke Faasly Par They
41> “Hazrat Aqba Bin Aamir Se Marwi; Sarkar Karim Ne Farmaya Ke Beshak My Tumhara Paish Ro Aur Tum Par Gawah Hun. Beshak ALLAH Ki Qasam!
My Apny Houz e Kousar Ko Is Waqt Bhi DekhRaha Hun Aur Beshak Mujhey Zameen Ke Khazanon Ki Kunjiyaan Ataa KarDi Gayi Hen Aur ALLAH Ki Qasam!
Mujhey Ye Darr Nahi Ke Mere Baad Tum Shirk Karny Lago Gey Bulke Mujhey Is Baat Ka Darr Hy Ke Tum Dunya Ki Muhabbat My Mubtala Hojao Gy”
(Bukhari V3 H#3401)
42> Huzoor Ne Farmaya; “Mey Apny Bandey Ke Us Yaqeen Ke Saath Hun Jo Wo Mujh Se Rakhta Hy Aur Jab Wo Mera Zikr Karta Hy,
Mey UsKe Paas Hota Hun” (Mishkaat V1 P#196) (Bukhari – Muslim)
43> “Sooraj Girhan Ke Waqt Nabi Karim Ny Khuda Ki Hamd o Sana Bayan Ki Aur Farmaya Ke Jo Cheez (Ab Tak) Mujhy Na Dikhayi Gayi Thi Usy My Ne (Is Waqt) Apni Is Jagah Se Kharey Kharey Dekh Lya
Yahan Tak Ke Jannato o Dozakh Ko Bhi” (Bukhari V1 – Kitabul Ilm)
44> Huzoor Ne Farmaya; “Jo Mujh Par Salam Bhejey Magar ALLAH Paak Meri Rooh Ko Mujh Par Lota Deta Hy Yahan Tak Ke My Uske
Salam Ka Jawab Deta Hun” (Abu Dawood) (Musnad Imam Ahmed) (Baheqi)
45> Huzoor Ne Farmaya; Jummah Ke Din Durood Ki Kasrat Karo, Ke Mujh Par Ye Pesh Kya Jata Hy Sahaba Ne Arz Ki;
Hamara Durood Ap Par Kesey Pesh Kya Jayega? Farmaya; ALLAH Ney Zameen Par Haraam Kya Ke Wo
Nabiyon Ke Jism Ko Khaye (Abu Dawood) (Baheqi)
46> Sarkar Kareem Ka Farman; Mey Har Mo’min Ki Jaan Sey Bhi Zyada Qareeb Hun (Nisaai)
47> “Huzur Raat ki Taareeki My Bhi Wesey Hi Dekhty Thy Jesey Din ki Roshni My” (Bukhari)
(Baheqi)
48> Hazrat Ayesha Farmati Hen; “Hazrat Umer Ki Tadfeen Sy Qabal Bagair Chadar Aurhey Sarkar Ke Rozey Par Chali Jaaya Karti
Is Khayal Sey Ke Meray Walid (Hazrat Abu Bakar) Aur Shohar (Nabi Paak AlaihissalatuwasSalam) Hi To Yahan Hen. Lekin Hazrat Umer Ki Tadfeen Ke Baad Unki Hayaa
Ki Wajah Sey Apney Kapron Ko Khoob Achi Tarah Lapait Kar Bagair Pardey Ke Kabhi Na Jaati”
(Musnad Imam Ahmed)
(Mustadrak Hakim)
49> Muslim Sharif My Tazkira e Mearaj My Huzoor Karim Ne Farmaya;1-My Surkh Teelay Ke
Qareeb Sy Hzrat Moosa Ki Qaber Ke Paas Sy Guzra, Wo Kharey Ho Kar
Salaat (Namaz, Aur Ibne Hajer Makki Ny Durood o Salam kaha) Parh Rahy Thy
2-Baitul Maqddas Me My Ny Tamam Anbiya (Bashamul Hazrat Moosa)
Ki Imamt Ki 3-My Hazrat Moosa Ko Dekh Raha Hun,
Kaano My Ungliyan Rakhy
Ba Aawaz e Buland Talbiya Parhty
1 Pahaar Sy Utar Rahy Hen
4-Mujhy Anbiyae Kiram Dikhaye Gaye,
My Ny Dekha Hazrat Moosa Qabila Shanwa Ke
Aadmiyon Ki Tarah Hen
5-Jab 6th Aasman Par Puhncha To Meri Mulaqat Hazrat Moosa se Huwi
Aqida e Haazir Nazir Pr Aapko Quran o Hadis Ki Roshni My 50 Sy Zaaid Dalail Pesh Kye Gaye Ab Mufassireen w Muhaddiseen Ke Aqwaal
Mulahiza Hon
Allama Khafajee;
“Anbiya Jismani Tour Par Bashar Hoty Hen, InKi Quwwat e Roohani Farishton Jesi Hy, Wo Zameen Ke Mashaariq o Magaarib Ko Dekh Sakty,
Aasmaan Ki Charcharahat Sunty Aur Hazrat Jibrail Jab UnKe Paas Utarty Tu UnKi Khushboo Paa Lety Hen” (Naseemul Riyaz)
(Sharah Shifa 3/545)
Allama Qaazi Ayyaz Aur Mulla Ali Qaari;
“Rasoolullah Ki Rooh e Mubarak Har Muslman Ke Ghar Moujood Hoti Hy” (Sharah Shifa Al-Riyaz 3/464)
Imam Jalaluddin Suyooti;
“Apni Ummat Ke A’maal Par Nazar Rakhna Aur InKe Gunahon Ke Lye Maghfirat Talab Karna Aur Apni Ummat Se Balaaoun Ke Door Ki Dua Karna Aur Zameen Me Idhar Udhar Tashreef Lana
Aur Zameen Me Barkat Dena Apni Ummat Ke Naik Shakhs Ki Wafaat Par UsKe Janazey Me Shirkat Farmana Rasool (Sallallahu AlaihiWasallam) Ke Mashaagil Men Se Hey Jesa Ke Is Barey Men Ahadees Aur Aasaar Warid Hen” (Intibarul Azkiyaa P#7)
Sheikh Shahab Soharwardi;
“Jesy Insan ALLAH Ko Hr Ha al (Zahiri/Batini) Me Waqif Jane, Rasool Ko Bi Hazir Nazir Jaany” (Awariful Ma’arif P#125)
Allama Shaami;
“Imam e Azam Ke Pairokaron Me Sy Khatm e Daira e Wilayat Qutubul Wujud Syedi Muhammad Shazli Bakri Hanfi Faqih
In Buzurgon Men Se Hen JinKo ALLAH Ne Kaainaat Me Tasarruf,Halaat Par Qudrat Aur Gaib Ki Batoun Ke Bayan Karny Ki Taaqat Ataa Farmayi Hy”
(Durr e Mukhtar 1/41)
Imam Ghazali;
“Rasool Ko Sahaba Ke Sath Aalam e Dunya Me Ghoomny Ka Ikhtyar Haasil Hy, Aksar Auliya Ne Nabi Ko Dekha” (Roohul Bayan-Sura Mulk)
Imam Qustalani;
“Ualma Ne Farmaya Ke Rasool Ki Wafat Aur Zindagi Me Koi Farq Nahi, Ye Apni Ummat Ko Dekhty Aur UnKe Ahwaal o Azaaim,
InKe Iradon Ko Janty Hen Aur Ye Baat Aap Ke Nazdeek Bilkul Wazeh Hey Is Men Kuch Posheeda Nahi (Mawahibul Ladunya V2
– Baab Ziyarat Qabar Shariff)
Saahib e Tafseer e Saawi;
“Aalam e Roohani Ke Nuqta e Nazar Se Rasoolullah (SallallahuAlaihiWasallam), Har Rasool Ki Risaalat Aur Hazrat Adam AlaihisSalam Sy Lekar AapKe Jism Sharif Tak Tamam Halaat o Waaqiyaat Par
Hazir o Nazir Hen” (Tafseer Saawi – Bahawala Surah e Qasas)
Shah Waliyyullah Muhaddis Dehalwi;
(Har Talib e Elm Ki Sanad Me Inka Name Hy)
“Is Me Koi Shakk Nahi Ke Tamam Fizaa Rasool e Paak Ki Rooh e Anwar Se Bhari Hui Hy Aur Aap (Sallallahu AlaihiWasallam) Ki Rooh e Paak Is Fizaa Me Taiz Hawa Ki TarahMoujen Maar Rahi Hy”
(Fuyoozul Harmain P#28)
Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalwi;
(Tulaba Ki Asnaad Me Inka Name Bhi Laazmi Hy)
“Agar Kaha Jaaye Ke HAQ Ta’ala Ne Rasool (Sallallahu AlaihiWasallam) Ke Jism e Athar Ko Aisi Haalat O Qudrat Ataa Farmayi Hy Ke
Jis Makaan Me Chahen Tashreef Laa Sakty Hen Bi Ayenihi Isi Jism Ke Saath Ya Jism e MisaaliKe Saath, Aasman Par Ya Khuwah Qabar Men,
To Ye Bilkul Durust Hy. Har Haalat Me Qabar Se Khar Nisbat Rehti Hy” (Madrijun Nubuwwah 2/50)
In Chand Par Iktifa Kar Ke Moti Aqal Walon Ko Chand Aqli Dalail Bhi Dey Dun > Malakul Mout, Munkar Nakeer, Shetan
Jab Hazir Nazir Ho Sakty Hen To Shirk Ki Tareef My Kya Ta’weel Hogi?
> Mearaj My Huzoor Ka Hazrat Moosa Ko Qabar My Namaz Parhtey Dekhna, Aqsa My Iqtida My Namaz Parhna,
6th Aasman Py Mulahiza Karna Kya Sabit Karta Hy?
> Imam Ghazali Aur Sheikh e Muhaqqiq Kyun Tashahhud Mey Huzoor Ko Hazir Jan’ney Ka Hukum Detey Hen?
> Nabi Py Gharon My Salam Karo Ke Unki Arwaah Wahan Mojud, Hum Muhabbat Walon Ke Durood Ko Sunty Aur Unhen Pehchanty Hen
(Dalailul khairat) Etc Ko Kesy Radd Karen Gy?
> Bijli,Taar, Telephone,Internet, Fax,Loud Speaker, Stall Light, Waves, Jibrael Ki Raftar Ke Muzahiron Ki Kya Logic Hy?
Wahabi Hazraat (Deobandi Aur Ahl e Hadas) Kabhi Aqeeda e HAAZiR NAAZiR Ko SHiRK Kehty
To Kabhi Such Unki Zuban Par Aa Hi Jata Hy Dekhye
Ahle Hadas
Molvi Abdullah Rupari Ney Pur Zour Dalail Sy Sabit Kya Ke Jab Qabar My Teesra Suwal Hoga Us My Lafz”Haaza” Hy Is Sy Sabit Hua Ke
Rasoolullah Qabar My HAZIR Hotey Hen (Fatawa Ahle Hadis 2/138-145)
Ya’ni Jitney Bhi Loug Inteqal Kartey Hen Aaqa Un Sab Ki Qabro My Hazir Hoty Hen

Nawab Siddiq Hasan Bhopali Wahabi;
Chahye Ke Namaz Me Nabi Ko Hazir Nazir Jaan Kar Salam Kary (Maslakul Khaatam -Sharah Balugul Maram 1/459)
Deobandio Ke Guru Ashraf Thanvi Ne Apne Par Daada FAREED Ke Muta’alliq Likha;
Daada Ji Ek Baraat Me Ja Rahy Thy, DaketonKe Hamle Me Maary Gaye Saathiyon Ne Waheen Dafanaya
Raat Hui To Fareed (Murda Daada) Mithayi Ka Dabba Le Kar Apny Ghar Aaye, Biwi Se Farmaya
(Jo Bewa Hochuki) Agar Kisi Ko Nahi Batao Gi To Rozana Aunga Mithayi Laun Ga. Biwi Ki Qismat Kharab
Ke Souch Me Parh Gayi Ke Logo Ko Malum Hoga Ke Rozana Mithayi Aati Hy Tou Kya Kahen Gy
ChunaChey Bata Dya Aur Faizan Band Ho Ga (Ashraf ul Sawaneh)
Dada Ji Marny Ke Baad Bi Faiz Den Magar Sarkar Ko Hazir Nazir Man’na QuboolNahi
Aetraaz :
Qur’an Me To Hukum Hy,
Nabi Ki Aawaz Se Apni Aawaaz Oonchi To Phir Zour Zour Se Durood o Salam Aur Naat Kyun Parhty Hen?
jawaab:
Jisy Aetraz He, Us Ne Shayad Hazir Nazir Ka Mafhoom Nahi Samja
Agar Ye Sary Sms Wasee Qalbi Se Parh Lye Jaen To Zehan Is Aetraaz Sy Paak Hojaye
Hum Huzoor Ko Bashariyat e Mutahira Ke Saath Hargiz Hazir Nahi Tasleem Karty
Bulke Nooraniyat o Ruhaniyat Aur Haqiqat e Mubarka Ke Sath Huzoor Ko Hazir Nazir Manty Hen
Aayat e Karima
“La Tarfaoo” Sy Hazir Nazir Ke Mas’aly Par Aetraz Ajeeb Baat Hy
1 Musalman Bacha Bhi Is Haqiqat Ko Samajh Sakta Hy
Ke Buland Awaaz Sy Bolny My Agar Huzur Ke Takleef Paney Ya Be Adabi Ka Koi Tasawwur Na Ho To Wo Rafe’a Sout Is Mumaniyat Ke Tehat Nahi Aata
Huzur Ki Hayat e Zahiri My Huzur Ke Samny Aisa Rafa e Sout Ahadees My Warid Hy. Jo Huzur Ke Takleef Paney Aur Be Adabi Ke Shaibey Sy Paak Tha.
Jab Hayat e Zahiri My Is Qisam Ka Rafa e Sout Jaiz To Baad Az Wafat Zahiri
Kis Tarah Najaiz Hua?
Pas Jahan Koi Cheez Be Adabi Ya Takleef Paney Ke Takhayyul Ka Mojab Ho Saky
Masalan Huzur Ke Roza e Athar Ke Qareeb Hona, Hadees Sharif Ki Qir’at Ka Mouqa Etc.
To Aisi Soorat My Rafa e Sout NaJaiz Hoga
Jab Aayat
“La Tarfa’oo” Nazil Hui To Sabit Bin Qais Jinki Aawaz Buhat Buland Thi Ghar My Beth Gaye. Puchny Par Kaha Ke
Tum Janty Ho My Tum Sab My Zyada HuzoorKi Aawaz Par Aawaz Buland Karny Wala Hun. Is Lye Aayet Ki Ru Sy My
Ahl e Naar Sy Hun Huzoor Ny Iske Jawab My Inke Haq My Farmaya Ke Wo Ahl e Naar Sy Nahi
Bulke Ahl e Jannat Sy Hen (Bukhari – Muslim)
ChunKe Sahabi Ka Bulandi e Aawaz Be Adabi o Ta’azzi Sy Paak Tha Is Lye Huzoor Ki Zahiri Hayaat My Bhi Bey Adabi Qarar Na Paya.
Ba’Aenihi, Huzoor Ki Mojudgi My Azaan, Takbeerat e Tashriq Aur Jang o Juloos My Na’aron Ki Amsaal Mojud Hen
(Roohul Muani 26/124)
Par Hy Jisey Shabbir Usmani Dewbandi ne Bhi (Fathul Mulhim 1/270)
Par Naqal Kya.
“Phir Jehar(Buland Aawazi) Ki Baaz Wo Soorten (Jin My Huzoor Ki Bey Adabi Aur Ta’azzi Ka Khayal Tak Paida Na Ho)
Jinko Nahee Qur’an Bil Ittifaq Shamil Nahi.
Hadees;
Hazrat Abbas Sy Huzoor Ny Farmaya; As’hab e Sumra Yani Bait e Rizwan Ko Aawaz Do To Aap Ny Bari Oonchi Aawaz Sy Farmaya,
Kahan Hen As’hab e Sumra? Ap Barey Buland Aawaz They, Isi Tarah Ek Dafa Kuch Lutairey Aa Parey To Aap Ney “Ya Sabahah” Keh Kar Pukara To
Inki Shiddat e Aawaz Ke Sabab Aurton Ke Hamal Saaqit Ho Gaye.
Aetraaz;
Jab Huzur Hazir Nazir Hen To Madine Kyun Jaaty Ho Aur Nabi Ne Hijrat Kyun Ki?
jawaab;
Iska Tafseeli Jawab Dya Chuka, Aur Hazir Nazir Ka Mafhum Samajhny Sy Hi Ye Saari Baat Wazeh Hojati Hy
Ye Aetraaz Goya Zaat e Ilahi Par Hy Ke; ALLAH Har Jaga Mojud, To Nabi Ko Meraj Pe Kun Bulaya?
Aetraaz;
Jab Huzur Hazir Hen To Namaz Ki Imamat Kyun Nahi Karaty?
jawaab;
Kis Aayat Ya Hadees Me Hy Ke Huzoor Ki Mojudgi Me Koi Aur Namaz Na Parhaye? Siddiqu e Akber Ne Aapki Mojudgi Me 17 Namazen Parhayin
Imam Ka Nazar Aana Bi Zaruri Hy Aap To Hamen Dekhty Hen Magar Hum Aapko Nahi Dekhty
Aetraaz;
Aaqa Ne Farmaya Door Sy Parha Jany Wala Durud Mujhy Puhnchaya Jata Hy, Aap Hazir Hoty To Durood Kyun Puhnchaya Jata?
jawaab;
Hadees Me Ye Kahan Hy Ke Me Door Walon Ko Sunta Hi Nahi, Farishty Bi To ALLAH Ki Bargah My Hamary A’maal Le Jaaty Hen, Kya ALLAH Ke Elm Par Bi Aetraaz Hy?
“Hazir Nazir ” Ke Muta’lliq Hum Ne Jaana Tamam Suwalat Iska Mafhum Na SamajhnyKi Waja Se Paida Hoty Hen
Mera Mashwara Ye Hey Ke Sunniyon Ko Chahye Ke ye post Net Par JahilExtremists Ko Jawab De Kar Apna Waqt Zayaa Na Karen Bulke Kisi Ilm e Deen Ki Mehfil My Shirket Karen
Kyunke Hum HAQ Par Hen Is Me Koi Shakk Nahi Aur Hum Sarkar Ke Is Farman Par Amal Karenge “Jaahil Ki Baat Par Khamoshi Bhi Ek Jawab Hy”
.
Aap dekhiye ki jab Wahabiyo se hum koi sawal karte hain to wo hume jawab dene ke bajay apne kaam me lage rehte hai, jabki wo batil hai,
bas wo hum logo ko uljhana chahte hain.