Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 14, 2016 10:42:35 GMT 5.5
ZA’EEF AUR MAUZOO’ HADEES ME FARQ
Kulli torper qubooliyat ke aitbar se HADEES ki 2 Qismein hain.
MAUZOO':
Ya’ni JHOOTI aur MANN GHARAT Hadees.
GHAIR-MAUZOO':
Ya’ni Wo Hadees Jo JHOOTI aur MANNN-GHARAT NAHI balke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Hadees hai, Phir aage RAAVIYON (Narrators) ke SIQAH (Sachche) wa ZA’EEF (Kamzor) hone ke Aitebaar se 3 Qismein banti hain.
Agar Hadees ke bayaan karne waale Saare Raavi SIQAH ho to Wo HADEES SAHEEH hoti hai. Aur agar Inme Koi Ek Raavi bhi ZA’EEF ho to Wo HADEES ZA’EEF shumaar hoti hai, aur Agar Raavi darmyaan-e-darjah ka ho Ya’ni Na poore taur par SIQAH ho aur Na poore taur par ZA’EEF ho balke Been-Been (Mukhtalif Feeh) ho to Uski HADEES HASAN shumaar hoti hai.
Is se pata chala ke MAUZOO’ HADEES, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Hadees Nahi hoti balke Ye Wo JHHOOT hai Jo Khud Ikhtiraa’ kar ke Iski Nisbat Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki taraf Kar di Jati hai ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne Yun farmaya Ya Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne Yun Kiya. Haqeeqat main Ye Hadees he nahi; Hadees kehna bata’ur Mizaj hai. Jab ke ZA’EEF HADEES, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Hadees hoti hai, isliye Jaise HADEES SAHEEH aur HASAN ka MUNKAR, MUNKAR-E-HADEES hai, isi tarah ZA’EEF HADEES ka MUNKAR bhi MUNKAR-E-HADEES hai.
Pas MAUZOO’ HADEES ki misaal MURDAH ki tarah hai aur ZA’EEF HADEES ki misaal BEEMAAR ki tarah hai. Murdah ko Qeemti se Qeemti aur Taqatwar se Taqatwar Dawaa’iyaa’n Khilayein Wo Na Uthega Na bolega Lekin Agar Beemaar ko Munaasib Dawaa’i Khilayi Jaaye to Mumkin hai ke Wo SIHAT YAAB ho kar SEHAT MAND wa TANDRUST Logon ki tarah Uth Khada hoga.
FUQAHA’ wa MUHADDISEEN ke CHAND USOOL hain Unke mutabiq ZA’EEF HADEES, SAHEEH HADEES se bhi MAZBOOT aur QAWI TAR ban Jati hai.
Ghaer Muqallideen, (Naam Nihaad) Ahlul Hadith me Shamil Ulema’ wa Juhala’ Jo Ek hi SAANS me Girdaan parh dete hain ke Ye HADEES ZA’EEF hai, MAUZOO’ hai, JHOOTI hai, MAN-GHARAT hai, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) par BOHTAAN hai. Hadees Mauzoo’ aur Za’eef me FARQ Na Karne ka NATEEJAH hai.
Ibn-e-Jauzi (rahmatullahi alaih) ne Ek HADEES ko Ghalti se MAUZOO’ likh diya to Is par Allamah Ibne Hajar Makki (rah.) TANBIYAH karte hue likhte hain: “Ibn-e-Jauzi (rahmatullahi alaih) se Is Hukm me Ghaflat hui hai Warna SAHEEH ye hai ke Ye HADEES Za’eef hai MAUZOO’ Nahi.” [Fathul Mubeen pg 33]
KHULAASAH: Za’eef Hadees bhi Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki HADEES hoti hai isliye bilkulya Za’eef Hadees ka Inkar, Inkar-e-Hadees hai. Aur Isko Jaan-boojh kar MAUZOO’ Ya JHOOT aur MANN-GHARAT kehna JIHAALAT aur HIMAAQAT hai.