Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 14, 2016 10:59:38 GMT 5.5
Ab hum wo ayatein pesh karenge jisse digar firke ilme hai Ki nafi hone Ki daleel lete hai ..fir uska jawab bhi dekhenge
Surah Inaam 59
اور اسی الله کے پاس غیب کی کنجیاں ہیں جنہیں اس کےسوا کوئی نہیں جانتا
Aayat no # 2
Surah Hud 49
یہ غیب کی خبریں ہیں جنہیں ہم آپ کی طرف وحی کر رہے ہیں اس سے پہلے نہ تو آپ ہی
جانتے تھے اور نہ آپ کی قوم جانتی تھی پس صبر کر کیوں کہ بہتر انجام پرہیزگاروں کے
لیے ہے
Aayat no # 3
Surah jin 25
کہہ دو مجھے خبر نہیں جس کا تم سے وعدہ کیا گیا ہے وہ قریب ہے یا اس کے لیے میرا
رب کوئی مدت ٹھیراتا ہے
Aayat no # 4
Surah Hud 31
میں نہ تم سے یہ کہتا ہوں کہ میرے پاس خدا کے خزانے ہیں اور نہ یہ کہ میں غیب
جانتا ہوں
Aayat
no # 5
Surah Inaaam 50
کہہ دو کہ میں تم سے یہ نہیں کہتا کہ میرے پاس الله تعالیٰ کے خزانے ہیں اور نہ
(یہ کہ) میں غیب جانتا ہوں اور نہ تم سے یہ کہتا کہ میں فرشتہ ہوں۔ میں تو صرف اس
حکم پر چلتا ہوں جو مجھے (خدا کی طرف سے) آتا ہے۔ کہہ دو کہ بھلا اندھا اور آنکھ
والے برابر ہوتے ہیں؟ تو پھر تم غور کیوں
Aayat
no # 6
Surah Airaaf 188
کہہ دو میں اپنی ذات کے نفع و نقصان کا بھی مالک نہیں مگرجو الله چاہے اور اگر میں
غیب کی بات جان سکتا تو بہت کچھ بھلائیاں حاصل کر لیتا اور مجھے تکلیف نہ پہنچتی
میں تو محض ڈرانے والا اور خوشخبری دینے والا ہوں ان لوگوں کو جو ایمان دار ہیں
Aayat
no # 7
Surah Surah Tauba 101
اور تمہارے گرد و نواح کے بعضے گنوار منافق ہیں اور بعض مدینہ والے بھی نفاق پر
اڑے ہوئے ہیں تم انہیں نہیں جانتے ہم انہیں جانتے ہیں ہم انہیں دوہری سزا دیں گے
پھر وہ بڑے عذاب کی طرف لوٹائے جائیں گے
Aayat no # 8
Surah al maeda 109
يَوۡمَ يَجۡمَعُ ٱللَّهُ ٱلرُّسُلَ فَيَقُولُ مَاذَآ أُجِبۡتُمۡۖ قَالُواْ لَا
عِلۡمَ لَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
(وہ دن یاد رکھنے کے لائق ہے) جس دن خدا پیغمبروں کو جمع کرے گا پھر ان سے پوچھے
گا کہ تمہیں کیا جواب ملا تھا وہ عرض کریں گے کہ ہمیں کچھ معلوم نہیں توہی غیب کی
باتوں سے واقف ہے
Aayat
no # 9
Surah e Ahqaaf 9
قُلۡ مَا كُنتُ بِدۡعً۬ا مِّنَ ٱلرُّسُلِ وَمَآ أَدۡرِى مَا يُفۡعَلُ بِى وَلَا
بِكُمۡۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَىَّ وَمَآ أَنَا۟ إِلَّا نَذِيرٌ۬
مُّبِينٌ۬ (٩)
کہہ دو کہ میں کوئی نیا پیغمبر نہیں آیا۔ اور میں نہیں جانتا کہ میرے ساتھ کیا
سلوک کیا جائے گا اور تمہارے ساتھ کیا (کیا جائے گا) میں تو اسی کی پیروی کرتا ہوں
جو مجھ پر وحی آتی ہے اور میرا کام تو علانیہ ہدایت کرنا ہے
Aayat
no # 10
Surah hud 123
وَلِلَّهِ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَإِلَيۡهِ يُرۡجَعُ ٱلۡأَمۡرُ
كُلُّهُ ۥ فَٱعۡبُدۡهُ وَتَوَڪَّلۡ عَلَيۡهِۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَـٰفِلٍ عَمَّا
تَعۡمَلُونَ
اور آسمانوں اور زمین کی پوشیدہ بات الله ہی جانتا ہے اور سب کام کا رجوع اسی کی طرف
ہے پس اسی کی عبادت کرو اور اسی پر بھروسہ رکھ اور تیرا رب بے خبر نہیں اس سے جو
کرتے ہو
Aayat
no # 11
Surah e Luqman 34.
إِنَّ ٱللَّهَ عِندَهُ ۥ عِلۡمُ ٱلسَّاعَةِ وَيُنَزِّلُ ٱلۡغَيۡثَ وَيَعۡلَمُ مَا
فِى ٱلۡأَرۡحَامِۖ وَمَا تَدۡرِى نَفۡسٌ۬ مَّاذَا تَڪۡسِبُ غَدً۬اۖ وَمَا
تَدۡرِى نَفۡسُۢ بِأَىِّ أَرۡضٍ۬ تَمُوتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرُۢ
بے شک الله ہی کو قیامت کی خبر ہے اور وہی مینہ برساتا ہے اور وہی جانتا ہے جو کچھ
ماؤں کے پیٹوں میں ہوتا ہے اور کوئی نہیں جانتا کہ کل کیا کرے گا اور کوئی نہیں
جانتا کہ کس زمین پر مرے گا بے شک الله جاننے والا خبردار ہے
Aayat
no # 12
Surah e Airaaf 187
قیامت کے متعلق تجھ سے پوچھتے ہیں کہ اس کی آمد کا کونسا وقت ہے کہہ دو اس کی خبر
تو میرے رب ہی کے ہاں ہے وہی اسے اس کے وقت پر ظاہر کر دکھائے گا وہ آسمانو ں اور
زمین میں بھاری بات ہے وہ تم پر محض اچانک آجائے گی تجھ سے پوچھتے ہیں گویا کہ تو
اس کی تلاش میں لگا ہوا ہے کہہ دو اس کی خبر خاص الله ہی کے ہاں ہے لیکن اکثر لوگ
نہیں سمجھتے
Aayat no # 13
Surah Nisa 164
وَرُسُلاً۬ قَدۡ قَصَصۡنَـٰهُمۡ عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُ وَرُسُلاً۬ لَّمۡ
نَقۡصُصۡهُمۡ عَلَيۡكَۚ وَكَلَّمَ ٱللَّهُ مُوسَىٰ تَڪۡلِيمً۬ا
اور ایسے رسول بھیجے جن کا حال اس سے پہلےہم تمہیں سنا چکیں ہیں اور ایسے رسول جن
کا ہم نے تم سے بیان نہیں کیا اور الله نے موسیٰ سے خاص طور پر کلام فرمایا
Aayat
no # 14
Surah kahaf 25,26
وَلَبِثُواْ فِى كَهۡفِهِمۡ ثَلَـٰثَ مِاْئَةٍ۬ سِنِينَ وَٱزۡدَادُواْ تِسۡعً۬ا (٢٥) قُلِ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا لَبِثُواْۖ لَهُ
ۥ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ أَبۡصِرۡ بِهِۦ وَأَسۡمِعۡۚ مَا لَهُم
مِّن دُونِهِۦ مِن وَلِىٍّ۬ وَلَا يُشۡرِكُ فِى حُكۡمِهِۦۤ أَحَدً۬ا
اور وہ اپنے غار میں تین سو سے زائد نو برس رہے ہیں (۲۵) کہہ دو الله بہتر جانتا ہے کہ کتنی مدت رہے
تمام آسمانوں اور زمین کا علم غیب اسی کو ہے کیا عجیب دیکھتا اور سنتا ہے ان کا
الله کے سوا کوئی بھی مددگار نہیں اور نہ ہی وہ اپنے حکم میں کسی کو شریک کرتا ہے
Aayat no # 15
Surah Nahal 77
وَلِلَّهِ غَيۡبُ ٱلسَّمَـٰوَٲتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَمَآ أَمۡرُ ٱلسَّاعَةِ إِلَّا
كَلَمۡحِ ٱلۡبَصَرِ أَوۡ هُوَ أَقۡرَبُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ ڪُلِّ شَىۡءٍ۬
قَدِيرٌ۬
اور آسمانوں اور زمین کی پوشیدہ بات تو الله ہی کو معلوم ہیں اور قیامت کا معاملہ
تو ایسا ہے جیسا آنکھ کا جھپکنا یا اس سےبھی قریب تر بے شک الله ہر چیز پر قادر ہے
Yeh woh Tamam aayat hai jisse yeh saabit hai ki Ilm
e Ghaib sirf o sirf ALLAH k liye hai yaani Zaati ilm e ghaib aur aap logo ne
yeh b gaur kiya hoga ki yeh tarjuma Deoband ullema ka hai q k dusre firqe Aala
Hazrat k Tarjuma na maante hai aur na likhte hai..Inka Tarjuma dene ka maqsad
yeh hai ki yeh Gustakh kitna niche gir sakte hai Fitna failane k liye aur saath
hi yeh b gaur kiya hoga ki in aayat se yeh baat bilkul saabit nahi k “ALLAH KISE BHI ILM E GHAIB APNI QUDRAT SE YA
ZAAT SE ATAA NAHI KAREGA”
Jab k aap logone Quran shareef ki di hui aayat me
padha ki
Tarjuma: “Aur ALLAH
ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum
ko GAIB ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon
main se jis ko chahe”. (PARAH#4,Surah # Al-Imran,
Aayat#179)
Toh saaf zaahir hogaya
ki ZAATI aur ATAAI me bahut farq hai jise Gustakh nahi maante (MAZ ALLAH ).
Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib ki Nafi k liye Dalil
lete hai aur unke jawabaat…
Mukhalifeen nafi e ilm
e ghaib k liye bahut si Ahadees pesh karte hai unsabka ijmali jawaab toh yeh
hai ki un ahadees me Huzur Sallallahualaihiwasallam ne yeh na Farmaya ki mujhe Rab
ne fala chiz ka ilm na diya balki kisi me toh hai ALLAHU AALAM kisi me hai
mujhe kya khabar.kisi me hai ki fala baat Nabi sallallahualaihiwasallam ne na
batai.kisi me hai ki Nabi sallalllahualaihiwasallamne fala se se yeh baat puchi
aur yeh Tamam baate ilm ki nafi saabit nahi karti na Batana ya puchna ya ALLAHU
AALAM farmana aur bahut si maslehato’n ki wajah se b ho sakta hai.Bahut si
baateln khuda ne bande ko na batai.sawaal k bawajood makhfi(chupaye)
rakha.Bahut si chizo’n k Muta’alikparwardigar e Aalam farishto’n se puchta hai
kya usko b ilm nahi.ek hadees sahi kataiyudhalaat aisi lao jisme ataai ilm e
ghaib nafi ho.magar In sha ALLAH na laa sakege.yeh jawaab nihayat kaafi tha
magar fir b unka mashur ahadees arz karke jawaab arz karta hu. Wabillahittaufik.
Hadees # 1
Sahih
Bukhari Volume 9, Book 93, Number 477:
Narrated Masruq:
‘Aisha
said, “If anyone tells you that Muhammad has seen his Lord, he is a liar,
for Allah says: ‘No vision can grasp Him.’ (6.103) And if anyone tells you that
Muhammad has seen the Unseen, he is a liar, for Allah says: “None has the
knowledge of the Unseen but Allah.”
is Hadees ka jawaab ::
Yeh HAdees Bilkul Sahi hai lekin HAdees ko Samajna padega…..
Is hadees me 2 point hai..
1 )HUmare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne ALLAH ko Dekha.
2) Agar koi kahe ki NABI sallallahualaihiwasaalm ko ilm e ghaib hai toh woh
jhuta hai…
1 Point ka jawaab..
Imam Ibn Hajr al Asqalani
(Rahimuhullah) says in his Fath ul Bari
عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم
على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي
قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولها
Translation: Maruzi (rah) said to Imam Ahmed (rah): People say that Aisha
(ra) used to say that whosoever says that the Prophet (saw) saw his Lord has
attributed a lie to Allah, so how shall this be answered? (Imam Ahmed) replied: From the saying of
Prophet (sallallahualaihiwasallam) [himself] “رأيت ربي” i.e. I saw my Lord, this will be an answer to Aisha (ra)’s Qawlbecause the saying of
Prophet (sallallahualaihiwasallam) is far superior than saying of her (i.e.
Aisha ra)[Fath ul Bari, Sharah Sahih ul Bukhari, Volume No. 8, Page
No. 494]
2 point ka jawaab yeh
hai ki Hazrat Aisha ne ZAATI ilm e ghaib k baare kaha hai ki agar kisi ne kaha
ki NABI sallallahualaihiwasallam khud se Ghaib jaante toh woh jhuta hai…q k
Ilm e Ghaib khud se jaan lena sirf o sirf ALLAH k liye hai…aur ALLAH k ilawa
kisi k liye nahi….
NOTE : HAdees kabhi Quran shareef se takra nahi
sakti….aur Yeh Hadees sahi hai..aur Quran ki woh aayatein b SAHI hai Jo ATAAI
ilm e ghaib k baare batati hai.. (Surah AL-Imran aayat no.179.)
Isliye yeh HADees NABI sallallahualaihiwasallam
k Ilm e Ghaib ki NAFI nahi karti………….
Hadees # 2
Mishkat baab Elaan nikah ki pehli hadees hai ki Huzur
Sallallahualaihiwasallam ek nikah me tashreef le gaye jaha’n Ansar ki kuch
bacchiya daff bajakar jung e badar k maktuleen k marsiya k geet gaane lagi,unme
se kisi ne yeh misra padha “wa fina nabiyun yaalimu ma fi gadeen”,Humme aise
Nabi hai jo kal ki baat jaante hai toh Huzur Sallallahualaihiwasallam ne
farmaya ki yeh chod do,wahi gaaye jao jo pehle gaa rahi thi.
Isse maalum hua ki NABI
sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib nahi tha agar hota toh aap inko yeh
kehne se na rokte,sachhi baat se kyo roka???
JAWAAB : Awwal toh gaur karna chahiye ki yeh misra khud un bacchiyo’n
ne toh banaya hi nahi,q k bacchiyo’n ko sher banana nahi aata,aur kisi kaafir
wa mushrik ne banaya,wa Huzur sallallahualaihiwasallam ki Nabi nahi mante
the,la muhala yeh kisi sahabi ka sher hai,batao wa sher banane waale sahabi MAZ
ALLAH mushrik hai ya nahi,fir Huzur Sallallahualaihiwasallam ne na toh is sher
banane wale ko bura kaha na sher ki majammat ki balki usko gaane se roka q roka?
4 waja se 1) Agar koi humare saamne humari taarif kare toh bataur inkisaar
kehte hai ,are miyan yeh baat chodo,wahi baat karo.yaha b inkisaar hai. 2) yeh
ki khel kud gaane bajane k darmayan naat k ashaar padhne se mumanat farmai ,
iske liye adab chahiye . 3) yeh ki Ghaib ki nisbat ko apni taraf karne ko
napasand farmaya 4)yeh ki marsiya k
darmiyan naat hona a pasand farmaya ,
jaisa ki aajkal naat khwa’n karte hai , ki naat wa marsiya ko milakar padhte
hai.
Mirkaat se isi hadees k
matahet hai ,
Mana Farmaya ilm ki
nisbat apni taraf karne ko q ki ilm e ghaib khuda k siwa koi nahi jaanta aur
rasul wahi ghaib jaante ha jo ALLAH batay ya yeh napasand kiya ki aapka zikr
daff bajanae me ya maktulin k marsiya k darmiyan kiya jaye q ki aapka darja
isse aala hai.
Ashiytullama’at me isi
hadees k matahet hai “shareheen ne kaha hai ki Huzur Sallallahualaihiwasallam
ka usko mana farmana isliye hai ki isme ilm e ghaib ki nisbat huzur
sallallahualaihiwasallam ki taraf hai , lihaja aapko napasand aai aur kuch ne
farmaya ki aapka zikr shareef khel kood me munasib nahi.
Hadees # 3
Madina paak me ansar
baago me nar darakht ki shaak mada darakht me lagate the taaki fal zyada de ,
is kaam se ansaar ko Huzur alaihissalam ne mana farmaya(is kaam ko arbi me
talkih kehte hai) Ansar ne talkih chod di , khuda ki shaan fal ghat gaye ,
iski shikayat sarkare do aalam ki
khidmat me pesh hui , toh farmaya antum aalamu be umure duniyakum , apne
duniyawi mamlat tum khub jaante ho , Maalum hua ki aapko yeh ilm na tha ki
talkih rokne se fal ghatt jayege aur
Ansar ka ilm aapse zyada saabit hua.
Jawaab : Huzur Alaihissalam ka farman , antum aalamu be umure
duniyakum , izhare narazi hai ki jab tum sabr nahi karte toh duniyawi muamlaat
tum jaano jaise hum kisi se koi baat kahe aur wah isme kuch ta’ammul kare toh
kehte hai bhai tu jaan! Isse nafi ilm maksud nahi.
Sharah Shifa Mulla Ali
Qari “Bahse maujizat” me farmate hai.
Tarjuma : ALLAH Taala ne Huzur Alaihissalam ko tamam dini
wa duniyawi maslehato’n per muttala farmane se khas farmaya , is per yeh
aitraaz hai ki Huzur ne Ansar k darakhto’n ki talkih karte hu paya , toh
faramaya ki tum isko chod dete toh accha tha , unhone chod diya toh kuch fal hi
na aaya ya naakis aaya toh faramaya ki apne duniyawi mamlaat tum jaano , shaikh
sanosi ne farmayaki aapne chaha tha ki unko khilafe aadat kam karke baabe
tawakkul tak pahucha dein unhone na mana ti farama diya ki tum jaano , agar woh
yeh maan jaate aur do ek saal nuksan bardasht kar lete toh is mehnet se bach
jaate .
Mulla Ali Qari isi
sharah shifa jild 2 safa no. 238 me farmate hai.
Agar woh Hazrat Huzur k
farman per saabit rehte toh is fun me faukiyat le jaate aur un se talkih ki
mehnat dur hojati.
“Faslul khitab” me
Allama kaisari se nakal farmaya.
Huzur Alaihissalam ke
ilm se zamin wa aasman me zarra bhar chiz b poshida nahi , agarche aap farmate
the ki duniyawi kaam tum jaano .
Hazrat Yusuf
Alaihissalam ne kabhi kashtkari na ki thi aur na kashtkaro’n ki sohbat haasil
ki magar zaman e kaht aane se pehle hukum diya ki galla khub kasht karo aur
farmaya “fama hasadtum fajruhu fi sumbulehi” , ki jo kuch kaato’n usko baal hi
me rehne do yaani gehu ki hifazat ka tarika sikhaya , aaj bhi galla ko bhuse me
rakh kar uski hifazat karte hai unko kheti baadi ka khufiya raaj kis tarah
maalum hua? Aur faramaya “ijalni ala khazainul-arze inni hafizun aalim” ,
mujhko ko zameen k khazano per mukarar kardo me iska muhafiz aur har kaam janne
wala hu , yeh mulki intezaam wagairah kis se sikhe ? toh kya Huzur Alaihissalam
ki danai aur Huzur ka ilm Hazrat Yusuf Alaihissalam se bhi kam hai (MAZ ALLAH )
Hadees # 4
Hadees shareef me hai
ki Huazur alaihissalam ne kuch biwiyo’n k ghar shahad mulahiza farmaya us per
Hazrat Aisha ne arz kiya ki Ya Habib ALLAH aapke dahen paak se magaafir ki buu
aa rahi hai toh farmaya ki humne magaafir nahi istemal farmaya , shahad piya hai
, fir huzur ne apne per shahad haram karliya , jis per yeh aayat utri “lema
tuhirrimu ma allahu laka” maalum hua ki aapko apne dahan paak ki buu ka b ilm
na tha ki isse buu aa rahi hai ya nahi .
Jawaab : Iska jawaab isi aayat me hai “tabatgi marjaata azwazika” a
habib yeh haram farmana aapki bekhabri se nahi balki un mautreej ajwaaj ki raza
k liye hai , fir apne muh ki buu ghaib naih mehsus chiz hai har sahi hu dimag
mehsus kar leta hai kya deobandi ambiya k hawas ko bhi naakis manne lage hai .
Hadees # 5
Agar Huzur alaihissalam
ko ilm e ghaib tha toh bire mauna ke munafikeen dhoke se aap se 70 sahaba e
ikram kyo’ n le gaye?? Jinhe waha le jaakar shahid kar diya , is aafat me unhe
Huzur Alaihissalam ne kyo’n fasaya??
Jawaab : Ji ha Huzur Alaihissalam ko yeh bhi khabar thi ki bire mauna
wale munafikeen hai aur yeh bhi khabar thi ki yeh log in 70 sahaba ko shaheed
kar denge , magar saath hi yeh bhi khabar thi marzi e ilahi yehi hai aur un 70
ki shahadat ka waqt aagaya hai , yeh bhi jaante the ki rab taala ki raza per
raazi rehna bande ki shaan hai , Ibrahim Alaihissalam toh marzi e ilahi paakar
farzand per churi le kar tayar ho gaye , kya yeh begunah per zulm tha?? Balki
rajaye maula per raazi thi , accha batao rab taala ko toh khabar thi ki ghosht
me zaher hai , aur bir mauna waale un 70 ko shaheed kar denge “wahi” bhej kar
kyo’n na rok diya , ALLAH taala samaj de.
Hadees # 6
Hazrat Siddikatul kubra
ka haar ghu ho gaya , jagah jagah talash karaya gaya na mila , fir oont k niche
se baramad hua , agar Huzur Alaihissalam ki ilm tha toh logo’n ko usi waqt
kyo’n na bata diya ki haar waha hai , Maalum hua ki ilm na tha .
Jawaab : Is hadees se n baatana maalum hua na ki na janna aur na
batane se sekdo’n hikmate hoti toh kuch hazrat ne chand ke ghatne badne ka
sabab daryaft kiya , rab taala ne na bataya , toh kya khuda e paak ko bhi ilm
nahi ?? marzi ilahi yeh thi , ki siddika ka haar ghum ho , musalmaan uski
talaash me yaha ruk jaaye , zohar ka waqt aajaye paani na mile , tab Huzur alaihissalam
se arz kiya jaaye ki ab kya kare tab yeh aayatein tayammum naazil ho jisse
Hazrat siddika ki azmat qayamat tak k musalmaan maalum kar le ki unke tufail
humko tayammum ka hukum mila , agar usi waqt haar bata diya jaata toh aayat
tayammum kyo’n naazil hoti , rab k kaam asbaab se hote hai , ta’ajub hota hai
hai ki jo aankh qayamat tak ke haalat ko mushahda kare usse oont ke niche ki
chizen kis tarah makhfi(chupi) hai , shaane mehboob alaihissalam pehchanne ki
khuda taufik de .
Hadees # 7
Gustakhon ka kehna hai
ki Agar Nabi sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib tha toh unhone Khaibar me
zaher wala ghost q khaya?? Aur ilm e ghaib hote hue zaher wala ghost khaya
iska matlab ki aapne khudkushi karne ki koshish ki Jo Islam me Haram hai aur
Haram kaamo se Nabi pakeeza hai..
Jawaab : us waqt Nabi
Sallallahualaihiwasallam ko khabar thi k us ghost me Zaher hai aur saath hi yeh
b khabar thi k zaher se un per koi farq
nahi padega ALLAH ki ataa se aur saath hi yeh b pata tha ki ALLAH ki marzi se
agar woh ghost khakar inteqaal hojate toh unhe Shaheed ka maqaam milta.
Yeh Jawaab k baat
Deoband likhte hai ki “Un sahabs e kram ka kya jo us waqt maujud the aur Zaher
wala ghosht khakar inteqaal hogaye??? Nabi Sallallahualaihiwasallam ko pata tha
toh unhe zaher wala ghosht khaane diya???
Is per Sunni ka Jawaab
from Ahadees :
Abu Dawud, Al-Darimi and Ibn Hisham
likhte hai “Ghosht ne khud Nabi sallallahualaihiwasallam se kaha ki usme zaher
mila hua hai aur Sahabi “Bishr bin al-Bara’ bin Ma’rur al-Ansari (may Allah be
pleased with him)” ne ghosht kha liya aur inteqaal hogaye. Agar Nabi
sallallahualaihiwasallam ko pehle se khabar hoti toh woh sahaba ko ghosht khane
se manaa karte.Nabi sallallahualaihiwasallam ek niwala liya aur fir muh se thuk
diya aur aapne farmaya ki “Ghosht ne mujhse kaha ki usme zaher mila hai” lekin
jabtak Bishr as-Sahabi ne kha liya aur inteqaal hogaye . Imam Nawwawi (may
Allah have mercy on him) ne kaha ki yeh ek Mu’jizat me se hai.
Aur
Jaankari k liye Internet pe aap log check kar sakte hai ki Yahood o
Nasara aur Isaai ne b yehi sawaal kiye hai joyeh Gustakh karte hai.
Nabi sallallahualaiwasallam ne zaher
wala Ghosht khaya q k Yahudi ne kaha “إن كان نبيا فلا يضره” Agar yeh Asal NABI
hai toh in per Zaher ka asar nahi hoga.(Sallallahualaihiwasallam)
[Mishkat al masabih, Bab al- mawjizat)
Deoband ur Wahbi ko sochna chahiye ki
Yahudi or Isaai ne humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ko aazmaya hai k
zaher asar karega ki nahi.aur isliye humare sarkar ne yeh mujizat dikhaya.
Sahaba e kram ka inteqaal hogaya q k
zaher un pe asar karta hai jo NABI nahi.
Deoband aur wahbi ne is mujizat me yeh
note nahi ki jisne humare sarakar sallallahualaihiwasallam ko aazmaya unhone is
k baad Imaan laaye aur Islam Qabul kiya. [ Al bidaya wan nihaya, vol 3,p 388]
Deoband aur Wahbi ne Hamesha humare
Sarkar Sallallahualaihiwasallam k ilm e ghaib ko jhutlaya aur yehi saabit karte
hai ki NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib nahi(Maz ALLAH)
Alhamdulillah Humne itni AAYAT aur
HADEES pesh ki hai Jisse saabit hai ki
ALLAH ne NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib ataa kiya.
Hadees
# 8
Bukhair jild 1 kitabul janaiz safa no.
166 , me Hazrat ummul-ula ki riwayat hai ,Khuda ki qasam me nahi jaanta haalaki
me ALLAH ka Rasul hu ki mere saath kiya jayega.
Isse maalum hua ki Huzur alaihissalam ko
apni bhi khabar na thi ki qayamat me mujh se kya mamla hoga .
Jawaab
: Is jagah ilm ki nafi
nahi balki diraytan ki nafi hai yaani me apne atkal wa qyas se nahi jaanta ke
mere saath kya mamla hoga balki iska ta’akkul wahi e ilahi se hai toh a
ummul-ula tum jo usman ibne majun ke jannati hone ki gawahi mahaz qyas se de
rahi ho yeh mautbaar nahi .
Isi ghaib ki khabre me toh ambiya e kram
bhi qayas nahi farmate , warna mishkat “Babu fazail dayyadul-muslimeen” me hai
ki hum aulade aadam k sardar hai us roz
“liwa-ul-hamd” humare haath me hoga
aadam wa aadmiyan humare jhande ke niche honge unki mutabik kis tarah ki
jayegi.
Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par
Mufasir # 1
–Imam
Ismail al Hiqqi (rah) in Ruh ul Bayan likhte
hai
وعلمك} بالوحى من الغيب
وخفيات الامور { ما لم تكن تعلم } ذلك الى وقت التعليم}
Tarjuma :ALLAH taala ne
Ghaib sikhaya aur chupi hui baate jo pehle na pata thi.
Mufasir # 2
–Imam Khazin (rah) likhte hai –
وعلمك ما لم تكن تعلم } يعني من أحكام الشرع وأمور الدين وقيل علمك من علم الغيب
ما لم تكن تعلم وقيل معناه وعلمك من خفيات الأمور وأطلعك على ضمائر القلوب وعلمك
من أحوال المنافقين وكيدهم ما لم تكن تعلم
Tarjuma :ALLAH ne
Nabi sallallahualaihiwasallam ko ahkaam sikhaye aur umoor e deen sikhaye aur
Ilmul Ghaib sikhaya jo aap na jaante the aur yeh b sikhaya jo Dilo’n me hai aur
ahwaal aur munafiqeen ki chalakiyan jo tum nahi jante.
Mufasir # 3
–Imam Jalal ud din Suyuti (rah) likhte hai—
وَعَلَّمَكَ
مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُ } من الأحكام والغيب
Tarjuma : ALLAH ne Ahkaam
aur ghaib sikahaya.
Mufasir # 4
–Imam Baghwi (rah) likhte –
من الأحكام، وقيل: من علم الغيب،
Tarjuma : ALLAH ne ahkaam
aur ilmul ghaib sikhaya.
Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke
bayan me
1) Fatwa kaaji khwa’n me hai
Tarjuma : kisi ne bagair gawaho’n
ke nikah kiya toh mard aur aurat ne kaha ki humne khuda aur rasul ko gawah kiya
, toh logo’n ne kaha hai ki yeh qaul kufr hai kyo’n ke usne etkad kiya ki Rasul
ALLAH alaihissalam ghaib jaante hai , Halaki aap toh ghaib zindagi me na jaante
the che jaaye ki maut k baad
.2) Sharah fiqhe akbar me Mulla ali qari
alaihirrehma farmate hai .
Tarjuma: Hanfiyo’n ne sarahatan
zikr kiya ki yeh etkad ki NABI alaihissalam ghaib jaante the kufr hai kyo’nki
yeh aqeeda khudaye paak k us farmaan ke khilaf hai ki “farma do aasamano aur
zameeno ka ghaib khuda ke siwa koi nahi jaanta”.
In
dono Ibarato’n se maalum hua ki Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib manna kufr
hai .
Jawaab : In dono ibarato’n ka ijmali aur iljami jawaab toh yeh
hai ki mukhalifeen bhi Huzur Alaihissalam ko kuch ilm e ghaib maante hai ,
lihaja woh bhi kaafir hue kyo’nki in ibarato’n me qul ya thoda ka toh zikr nahi
, yeh hai ki jo bhi Huzur ko ilm e ghaib mane woh kaafir hai , khwa ek ka maane
ya zyada ka , toh woh bhi khair manaye , maulvi ashraf ali sahab ne “Hifzul
imaan” me baccho,paglo aur jaanwaro ko baaz ilm e ghaib maana hai , Maulvi
khalil ahmed sahab ne “Barahine Fatiha” me shaitaan aur malaqul maut ko wasi
ilm e ghaib mana , Maulana qasim sahab ne “tehzirunnas” me kamal hi kardiya ki
saari makhlukaat se Huzur Alaihissalam ka ilm zyada mana , ab in teeno saahbo’n
per kya hukum lagaya jayega??? Tafseeli jawaab yeh hai kaaji kha’n ki ibaarat
me hai “Qalu” logo’n ne kaha aur kaaji kha’n wagaira fuqha ki aadat yeh hai ki
woh “qalu” us jagah bolte hai jaha’n unko yeh qaul pasand na ho .
Shaami
jild 5 safa : 445 me hai.
Ek
shaks ne nikah kiya ALLAH wa Rasul ki gawahi se toh nahi jaiz hai balki kaha
gaya ki woh kaafir ho jayega .
Is
ibaarat ke matahat shaami ne tatar khaniya se nakal kiya,
Tarjuma : Mooltkit me hai ki woh kaafir na hoga kyo’nki tamam
chizen Huzur Alaihissalam ki rooh per pesh ki jaati hai aur rasul baaz ghaib
jaante hai , rab nefarmaya hai ki pas nahi zaahir farmata apne ghaib per kisi
ko siwaye pasandida rasul ke , me kehta hu ki qutube aqaid me hai ki auliya
ALLAH ki karamatme se baaz ghaibo’n per muttla(bakhabar) hona bhi hai .
Shaami
“Baabul-Murtdin” me masla bajajiya zikr farma kar farmaya ,
Tarjuma : Iska khulasa yeh hai ki daawa ilm e ghaib nasse Qurani
ke khilaf hai ki isse kaafir ho gaya , magar jabki isko sarahatan ya dalalatan
kisi sabab ki taraf nisbat kar de , jaise wahi ya ilham.
Mujmeraat
me hai ki sahih yeh hai ki woh shaks kaafir na hoga kyo’nki Ambiya e kiram
ghaib jaante hai aur un per chize’n pesh ki jaati hai pas yeh kufr na hoga.
In
ibaarat se maalum hua ki aqeeda e ilm e ghain per fatwa kufr lagana galat hai
balki fuqha ka bhi aqeeda hai ki Huzur Alaihissalam o ilm e ghaib diya gaya.
Mulla
Ali Qari ki ibaarat nakal nahi ki gai , Asal Ibarat yeh jo matlab wazeh karti
hai .
Tarjuma : Fir jaano ki Ambiya e kiram ghaib ki chizo’n ko nahi
jaante siwaye uske jo unko ALLAH ne bata di aur Hanfiyo’n ne tasreeh ki ke jo
NABI Alaihissalam ko ilm e ghaib jaane.
Ab
pura matlab maalum hua ki NABI Sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib zaati
manne ko Mulla ali qari kufr farma rahe hai na ki Ataai , kyo’nki Ataai ko toh
maan rahe hai , aur fir unki ibarate hum suboot ilm e ghaib me pesh kar chuke
hai , ki Mulla ali qari Huzur Sallallahualaihiwasallam ko tamam “Ma Kaana wa
Mayakun” ka ilm maante hai.
Ilm e Ghaib
per Akli aitrazaat ke Bayaan me
1)
Ilm e Ghaib khuda ki sifat hai isme kisi ko sharik karna
shirk fisifat hai lihaza Huzur Sallallahualaihiwasallam ko ghaib manna shirk
hai.
Jawaab : Ghaib janna bhi Khuda ki
sifat hai , aur haazir chizo’n ka janna bhi khuda ki sifat hai , ALIMUL GHAIB
WASHHADATE isi tarah sunna , dekhna , zinda hona sab khuda ki sifat hai toh
agar kisi ko haazir chiz ka ilm maana ya kisi ko SAMI ya BASIR ya HAY mana har
tarah shirk hua , fark yehi kiya jaata hai ki humara dekhna zinda rehna khuda
ke dene se hai aur haadis hai , khuda ki yeh sifat jaati aur kadeem fir shirk
kaisa?? Isi tarah ilm e ghaib nabi ataai aur haadis aur mutnahi hai , rab ka
ilm zaati kadeem aur qul maalum gair mutnaahiya ka hai , neez yeh shirk ko tum
per bhi laazim hai kyo’nki tum Huzur Alaihissalam ke liye baajan har tarah
sharik karna shirk hai ,aur maulvi Hussain ali sahab da bhachar wale jo Maulvi
rashid ahmed sahab ke khas shagird hai apni kitaab “Balagatul-hairaan” me
likhte hai ki “Khuda ko har waqt
makhlukaat ke amaal ka ilm nahi hota balki bande jab aamal kar lete hai tab ilm
hota hai” ab toh ilm e ghaib khuda ki sifat rahi hi nahi fir kisi ko ilmm ghaib
manna shirk kyo’n hoga .
2)
Huzur Alaihissalam
ko ilm e ghaib kab haasil hua , tum kabhi toh kehte ho ki Me’raj me katra
tapkaya gaya isse ilm eghaib mila aur kabhi kehte ho ki khwaab me rab ko dekha
usne apne daste kudrat Huzur Alaihissalam ke shaana par rakha jisse tamam uloom
haasil hue , kabhi kehte ho ki Quran tamam chizo’n ka bayan hai isliye
Nuzule Quran se pehle ilm mil chuka tha toh Quran se kya mila , Tehsile haasil
Namumkin hai .
Jawaab : Huzur Alaihissalam ki nafse ilm e ghaib toh wiladat se
pehle hi ataa ho chuka tha kyo’nki aap wiladat se qabal aalam e arwah me Nabi
the , aur Nabi kehte hi usko hai jo Ghaib khabre de magar “Ma kaana wama
yakoon” ki takmil shabe me’raj me hui , lekin yeh tamam uloom e shahudi the ki
tamam chizo’n ko nazar se mushaahida farmaya , fir Quran ne unhi dekhi hui
chizo’n ka bayaan farmaya , isliye Quran me hai “Fatjalla li qulli shai’in wa
araftu” dekhna aur hai bayan kuch aur , jaise Hazrat Aadam alaihissalam ko
paida farma kar unko tamam chizein dikha di , baad me unke naam bataye , wah
mushaahida tha aur yeh bayan , agar chizein dikhai na gai thi toh “summa
arajhoom alal-malaikate” ke kya maana hoga yaani un chizo’n ko malaika per pesh
farmaya , lihaza dono qaul sahi hai , ki me’raj me bhi ilm mila aur quran se
bhi , agar kaha jaaye ki fir nuzul e quran se fayda kya ? sab baatein toh pehle
hi se Huzur ko Maalum thi , batai jaati hai na Maalum chiz , tohiska jawaab yeh
hai ki Nuzul e Quran sirf Huzur Alaihissalam
Ke ilm ke liye nahi hota
balki isse hazarha digar fayde hote hote hai , maslan yeh ki kisi aayat ke
Nuzul se pehle uske ahkaam jaari na honge uski tilawat wagairah na hongi agar
Nuzul e Quran Huzur Alaihissalam ke ilm ke liye hai toh baaz soorat dobar
kyo’n naazil hui , tafseer madarik me hai .
Soorah : Fatiha Makki hai
aur kaha gaya hai ki madni hai aur sahih tar yeh hai ki yeh Makki bhi hai aur
Madni bhi , awwalan Makkah me Naazil hui fir Madina me .
Mishkat me Hadees me’raj
me hai ki Huzur Alaihissalam ko shab e me’raj me 5 namazein aur Surah
: Bakra ki aakhri aayat hui , Is hadees ki sharah me Mulla Ali Qari ne sawaal
kiya ki me’raj toh Makka muajjama me hui aur Surah:Bakr Madina hai fir iski
aayat me’raj me kaise ataa hui ?? toh jawaab dete hai .
Khulasa yeh hai ki isme
mukarrar hui Huzur Alaihissalam ki taazim aur aapki ehtamaame shaan ke
liye lihaza ALLAH ne us raat bagair waasta Jibrael wahi farma di .
Is Hadees ke matahet
lamhat me hai ,
Shab e me’raj me yeh
aayat bagair waaste ke utri fir unko Jibrael ne utara toh Quran me rakhi gai .
Batao ki 2 baar Nuzl kis
liye hua ? Huzur Alaihissalam ko toh pehle Nuzul se ilm haasil ho chuka
tha aur har saal mahe ramzan me Jibrael ameen Huzur Alaihissalam ko saara Quran sunate .
Mukadhma Nurul-Anwar
taarif e Kitaab me hai , Batao yeh Nuzul kyo’n tha balki Quran se maalum hota
hai ki Huzur ko tamam aasamani kitabo’n ka pura ilm tha , rab taala farmata hai
.
Tarjuma : Yani a ahle kitab tumhare paas humare woh Rasul
aa gaye jo tumhari bahut se chupi hui kitaab ki baato’n ko zaahir farmate hai
aur bahut se dar guzar farmate hai , agar Huzur
Alaihissalam ke ilm me saari qutub
aasamani nahi toh unka zaahir farmana ya na farmana kya maani , haqeeqat yeh
hai ki Huzur Alaihissalam
awwal hi se quran ke aarif the magar qurani ahkam Nuzul se pehle jaari na
farmaya , isliye Bukhari ki pehli hadees me hai ki Hazrat Jibrael ne gaare hira
me pehli baar aakar arz kiya “ikra” aap padiye , yeh na arz kiya ki fala aayat
padiye aur padho usi se kehte hai jo jaante ho , Huzur Alaihissalam ne farmaya “ma anaa bekare’in” me nahi
padhne wala yaani me toh padhane wala hu ,padh toh pehle hi liya hai ,lauh e
mehfooz me Quran hai aur lauh e mehfooz Huzur Alaihissalam ke ilm me pehle hi se hai , aap wiladat
se pehle Nabi sahbe quran hai bagair wahi ke Nubuwat kaisi ? Lihaza manna hoga
ki qable wiladat hi quran ke aarif hai .
Aaj bhi bahut bacche
haafiz paida hote hai ,Hazrat isa ne paida hote hi farmaya “Ataaniyal-kitab”
rab ne mujhe kitab di .
Maalum hua ki abhi se
kitab ko jaante hai , baaz paighambaro’n ke liya farmaya “aataynahool-hukma
sabiyan” , humne unhe bachpan hi se ilm hikmat di , Huzur ne paida hote hi
sajda karke ummat ki shafa’at ki , halaki sajda aur shafa’st hukme Qurani hai ,
Gaus paak ne mahe ramzan me Maa ka doodh na piya , yeh Hukum Qurani hai ,
Nurl-anwaar ke khutba me khalk ki bahes me hai .
Maalum hua ki Quran per
amal karna Huzur Alaihissalam ki paidaishi aadat hai , hamesha halima
dai ka ek ppistan pak chusa ,dusra bhai k liye choda , yeh adal wa insaf bhi
qurani huum hai , agar ibtida se quran ke aarif nahi toh yeh amal kaise farma
rahe hai .
3 ) Deobandiyo’n ka ek
mashur etraaz yeh bhi hai ki tumhari pesh karda aayato’n ke ummoom se laazim
aata hai ki Huzur ka ilm rab ke barabar ho magar tum in aayato’n me qayamat tak
ki qaid lagate hi “Ma lam takun taalam” na toh qayamat ki qaid hai na “ma kaana”
aur “ma yakun” ka zikr , aur ek dafa khas hone se ainda khususka darwaza khul
jaata hai , dekho qutub e usool lihaza humne in aayato’n me ahkaame shariah ki
qaid lagate hai , yaani usse sirf sharai ahkam murad hai .
Jawaab : Iska yeh hai ki yaha aayat me takhsis nahi balki akli
ist’sana hai kyo’ki rab ka ilm gair mutnahi hai makhluq ka dimag gair mutnahi
uloom nahi le sakta burhan ibtaale tasalsul wagairah se lihaza mutnahi hoga
,Ahadees se pata laga ki qayamat tak ki Huzur ne khabar di iliye daawa kiya gaya
, ist’sana ka aur hukum hai takhsis ka hukum dusra , dekho “Akimussalata” se
bacche diwana , haiza kharij hai , yeh takhsis nahi balki ist’sana hai .
Posted by Welcome to my HASHMATI blog at 23:47 No comments:
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Share to Pinterest
Gairulllah Se madad Mangna
Iske Pehle Ki Post Me Akeeda E Tauheed, Me’aar E Uloohiyat Aur Sifaat e Baari Taala K Mutaalik Ahem baatein likhi hai wo pehle padhle
click here for read Post 1>>http://yasinrazahanfi.blogspot.com/2015/08/tauheed-aur-shirk-ka-bayan.html
phir isko padhe Taaki Is Post ko Samajhne Me Aasani ho kyuki tamam cheez ek dusre se interconnect hai.
Part 03 - ALLAH K BANDO KA ALLAH KI ATA SE MADADGAAR HONA
Mukhaliffen k taraf se Ahle Sunnat K Khilaf Sabse Ahem jo unwaan hai wo ye hai k Tum Gairullah se maangte ho lihaja Shirk hai awwal to pehli post pe humne Ayaat e Qurani se wajeh kiya hai k Me’aar E Uloohiyat Madadgaar hona Mushkil kusha Hona Hazatrawa hona Dastageer Hona nahi hai agr Madadgaar Hona Me’aar e Uloohiyat hota to ek lamha k liye bhi kisi ko nahi diya jaata hai Lihaja jo jaahil ye khte hai Madadgaar Maan lene Se Shirk hojayha wo Ahkaam e Quran se khali hai Shirk tab aayga Jab IBADAT ki jaygi ALLAH ki siwa kisi aur ki to shirk hoga abhi mai aayate likhunga Madadgaar hone k talluk se
Allah Taala ne Khud Apne bando ko Apni Madad Ka Mazhar Banaya hai jo Nas e Quran se saabit hai Ab Jin Ahmak Jahilo ko Ibadat Aur Madadgaar Hone Me Fark nahi Pata wo hi jaahil hai jo Shirk k fatwe thokte hai kitna FARK hai MADAD aur IBADAT me soche to saaf saaf samajh aajayga.
MADAD Iske liye arabi lafz hai ISTEGHASA aur ISTIANAT ye dono lafz Quran me mauzood hai.
1)ISTEGHASA : ”KISI KO MADAD K LIYE PUKARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 617)
2)ISTIA’NAT : ”MADAD TALAB KARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 598)
Ahle Sunnah Wa Jamaat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Zaij Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hai.
Aur Musalmaan Ka yehi Akeeda Hota Hai Ek kam ilm Se leke unpad Musalman tak Ka yehi Akeeda Hota Hai Aur Wo Kisi ALLAH k Bande ko ALLAH ya ALLAH k barabar Nahi Samajhta.
WAHABI KI MAKKARI AUR JHUTO PROPOGANDA
Wahabi Mullah Gair Mukkalid Dev k pujari dono ye jitne baatil firqe hai Sabka Ahle Sunnat Wa Jaamat k khilaf ek jhoota Propoganda hota hai jisme awaam ko hamesha uljhate hai ye wo kahenge Dekho Jo ALLAH se direct maangta hai usko tum Kafir gustakh bolte ho hamara Jurm ye hai k Hum ALLAH se mangte hai tum Gair ullah se maangte ho.
Ye Sadi ka sabse bada jhoot hai hamari kisi Motebar Aalim e Deen ne ya hamari kisi motebar kutoob me ye nahi likha hai k JO ALLAH se Direct Maange wo Gustakh hai yaa kaafir hai balki Wahabi Kaafir isliye huwe hai k inke Mullao ne ALLAH AUR RASOOL ki sakht Gustakhi ki hai ye khabis apni gustakhi ko chupane k liye unwaan badal dete hai.
Aap direct maango wo bhi jaiz hai ALLAH waalo ko mazhar samajh k maango to bhi jaiz hai hamesha yaad rakhe direct ALLAH se maangne pe kisi ka Ektelaf hai hi nahi.
Ab aaye apne Dalail Ki Taraf Piche Post me humne 24 Qurani aayat se inki so called tauheed ka raddh kiya hai ab aage.
Allah Taala ne Apne Deen Ki Madad Apne Bando Se Karwaayi
Ayat 25 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كونوا أَنصارَ اللَّهِ كَما قالَ عيسَى ابنُ مَريَمَ لِلحَوارِيّينَ مَن أَنصاري إِلَى اللَّهِ ۖ قالَ الحَوارِيّونَ نَحنُ أَنصارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَت طائِفَةٌ مِن بَني إِسرائيلَ وَكَفَرَت طائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدنَا الَّذينَ آمَنوا عَلىٰ عَدُوِّهِم فَأَصبَحوا ظاهِرينَ
“Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ”
(Surah No 61 Surah Saff Ayat 14)
Ayat 26 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)
Is Aayat me Mauzood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k khud Nabi hai ALLAH ne to aayat bhejni thi naa k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me mauzood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hai
Kya Allah Taala Khud Apne Deen Ki Madad Nahi Kar Sakta hai Jo Bando Se keh Raha Hai ?
Kya Matlab Huwa ALLAH k Izan k bina koi lakh koshish karle kuch nahi kar sakta kya akeeda banega Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar hai aur unke yaha to madadgaar hona hi shirk hai phir ye kya Shirk Huwa.
Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna
Ayat 27 :
ثُمَّ جاءَكُم رَسولٌ مُصَدِّقٌ لِما مَعَكُم لَتُؤمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ
“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna”
(Surah 03 Al Imraan Ayat 81)
Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA to yaha MADAD kyu karne ko kaha ?
Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana
Ayat 28 / 29 /30 :
وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي - 29
هارونَ أَخِي - 30
اشدُد بِهِ أَزري - 31
“Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29
Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30
Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”
(Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31)
Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ?
Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran
Ayat 31 :
قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ
“Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi”
(Surah 20 Surah Taha Ayat : 36)
Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya..
Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI.
Sabit Kadam Rakhna Madadgaar Hona MAIDAN E BADR KA MARHALA AUR FARISHTO KA MADADGAAR HONA
Ayat 32 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم وَيُثَبِّت أَقدامَكُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega aur Tumhare Kadam Jama Dega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)
Ayat 33 :
إِذ يوحي رَبُّكَ إِلَى المَلائِكَةِ أَنّي مَعَكُم فَثَبِّتُوا الَّذينَ آمَنوا ۚ
“Jab Aye Mehboob, Tumhara Rab Farishte Ko Wahi Bhejta Tha Ki Mai Tumhare Saath Hoon Tum Musalmano ko Sabit Kadam Rakho”
(Al Quran Surah 08 Anfal Ayat : 12)
Allah Taala ne Musalmano se kaha k tum ALLAH k deen ki madad karo ALLAH Taala Tumko sabit kadam rakhega Saabit Kadam rakhega ab sabit kadam rakhna ye madad hai Mushkil Kushai hai Hazaat Ravayi hai ab ye unke mutabik Me’aar e uluoohiyat madadgaar hona hai agr Rab k siwa kisi pe ye maan le to shirk aajayga.
Pehli Aayat me Farmaya Saabit Kadam Mai Rakhta Hoon Uske Baad Surah Anfal me Farmaya FARISHTO Tum Saabit Kadam Rakho Kyu ?
Jab ALLAH Taala Ne Khud Saabit kadam Rakh diya to phir Farishto ko Kyu Bheja ?
Kya Rab Taala K Paas Koi Kami thi Kya ALLAH TAALA Ki khud ki madad kaafi nahi thi jo Farishto Ko Darmiyan me laaya ?
Kabhi Ek Lamhe k liye bhi gaur o fikr kiya hai khwarijeen wahabiyo ne ? 02 aayat aur padhe phir is sawal ka jawab bhi aajayga magar mukhalifeen iska jawab naa de sakenge.
Ayat 34 :
قُل مَن كانَ فِي الضَّلالَةِ فَليَمدُد لَهُ الرَّحمٰنُ مَدًّا ۚ حَتّىٰ إِذا رَأَوا ما يوعَدونَ إِمَّا العَذابَ وَإِمَّا السّاعَةَ فَسَيَعلَمونَ مَن هُوَ شَرٌّ مَكانًا وَأَضعَفُ جُندًا
“Tum Farmao Jo Gumraahi Me Ho To Use Rehmaan Ne Khoob Dheel De, Yaha Tak ki Jab Wo Dekhe Wo Cheez Jiska Unhe Waada Diya Jaata Hai Yaa To Aazab Yaa Kayamat To Ab Jaan Lenge Ki Kis Ka Bura Darjaa Aur Kiski Fauz Kamzor”
(Surah No. 19 Surah Maryaam Ayat 75)
Allah Taala ne aayat nuzool kar waada liya tha Kuffaro se k wo wakt aayga jab Kafiro tum jaan loge k kaun khasare nuksaan me hai aur Kiski Fauz Zyada takatwaar hai.
جُندًا lafz Bahot se k liye Istemaaal hota hai wo kon the Bahot log Wo ALLAH k bheja Farishto ki baat hai jo Maidan e Badr Me Madad K liye aaye the jinka waada tha ek aur aayat dekhe.
Ayat 35 :
إِذ تَستَغيثونَ رَبَّكُم فَاستَجابَ لَكُم أَنّي مُمِدُّكُم بِأَلفٍ مِنَ المَلائِكَةِ مُردِفينَ
“Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se”
(Surah 08 Surah Anfaal Ayat 09)
Upar ek Sawal tha ALLAH QAADIR hai k chahta to direct hi sab kar deta yaha FARISHTO ko darmiyan me laana aur hazaro ko bhej Badr k maidan me madad karana Musalmano ki kyu bheja ?
Point : Rab ne Farishto ko ye kyu kaha ? Kya Rab ko koi kami thi farishto ko kyu laaya ?
Allah Chahta Kaafir ghar se nikalne se phle mar jaate raat ko soye the subah koi uth naa paate mar jaate Talwaar liye the talwaar gir jaati Talwaar utha liye chala na paate
Jab ALLAh khud rakh sakta to farishto pe wo sifaat kyu bayan ki darmiyan me laaaya kafiro se ye kaha tab maloom hoga kiske madadgaar zyada takatwaar hai
Rab Taala bata raha tha k jinki madad ki aas me tum kuffaro ne jung e ladi hai yaani wo buth itne kamzor hai k Mere Bheje gaye BANDE yaani Farishto ka Mukabla nahi sakte hai aur tum un butho ko mera sharik banaye bethe ho dusra k hakiki madad to ALLAH Taala ne ki hai par Madad k mazhar apne Bando ko bheja aur banaya taaki koi ALLAH K BANDO ko MADAD gaar maan ne pe SHIRK naa bhoke Me’aar e ULOOHIYAT na banale warna bataye k Kya Jarurat aan padi jo badr me Farishte aagye ?
ALLAH TAALA Madadgaar HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI ?
Ayat 36 :
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرين
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Al Imraan Ayat 150)
Ayat 37 :
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11)
Pehle aayat me farmya ALLAH Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya
Ayat 38 :
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)
Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k kya taabir aaygi iski ? ?
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??
Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.
Conclusion : In tamam guftgu ka jo khulasa hai wo ye k Me’aar e Uloohiyat aaj awaam ko jo bataya gaya k aapne Sifaat dedi Shirk hogaya Madadgaar maan liya shirk hogya to humne ayat e Qurani se saabit kiya k Me’aar ye nahi hai ab koi shaks Madadgaar ko bataur e Dalil pesh kare to aap fauran pakadle k ye Me’aar nahi hai jo tum bayan karte ho.
Subahat Wahabiyat ki Janeeb Se :
1) Aitraaz 01 : Aapne Jo Dalail Qurani Aayat Pesh ki hai is se bas ye saabit huwa k Zindo se Madad Maang Sakte Hai Murdo Se Nahi.
Al Jawab : awwal to is se saabit nahi huwa k Murdo se maanga to SHIRK hai ya zindo se maango to Tauheed. Maangna hargiz me’aar nahi hai Kya Aap Zindo ko ALLAH ka Sharik Maante ho ?
Wo tilmila jayga yaha Chand Istelahi baat yaad rakhe kaam aaygi
i) Jo SHIRK Hai wo hamesha SHIRK HAI aisa nahi hai k Zindo k liye Tauheed ho aur Murdo k liye SHIRK hojaye ? Kya Aisa Hai ?
ii) Kisi Shaks Ne Zinda ko Mabood banaya Wo Mushrik hai SHIRK huwa Kisi shaks ne Murde ko maabood bnaya Wo Bhi Mushrik huwa kyu kyki Shirk hone me ZInda aur murda ye paimana hai hi nahi.
02) Tum ALLAH ko Chod k Gairullah ko Pukarte ho Lihaja Shirk Paaya Gaya ?
Al Jawab : Shirk hai to kyu ? Aur Kis Tarah Ka Shirk Hai ? Kis Category me jaayga ? Tumhare bol dene se shirk nahi hota hai. Kya Pukardene se shirk hojata hai ?
Pehle Tum Ye Decide Karo Gairullah me Zinde aur murde ki kaid hai ya dono gairullah hai ya dono alag hai ?
Allah Taala K Elawa Tamam Makhlook jisko wajood baksha hai chahye Ambiya Alaihsalam ho Auliya ho Jinn Farishte Insaan haiwanat al garz har cheez ka shumar gairullah me hota hai. To Gairullah ko tum bhi pukarte ho tum khud mushrik huwe ho.
Lihaja Pukarnaa to shirk naa huwa PUJNA shirk hota hai PUKARNA AUR PUJNA Dono me fark hai Aur Pukarne se banda mushrik hota to daily insaan kisi na kisi ko pukarta hai woto sab gaye phir.
Ye Chand baatein hai jo Spoon ki trah saamne rakhi hai jab bhi in khabiso se bahes ho usool k mutabik samjhaye ye baat jab bahes hoti hai to wo karte hai lihaja isliye bayan kar diya awaal to awaam ko bahes karna nahi chahye kyuki uske liye bahot ilm chahye agar kabhi aise naubaat aajaye koi khabees saamne mil jaaye bahes baaji karte to usoolan step wise samjhaye wo lajawab hojayga IN SHA ALLAH Taala
Part 04 - Wo Hadees e Paak Jo Sahaba k Saamne Quran Pesh Karte The
Ab yaha Wo Hadees E Paak Jiska Pehli Post me Zikr kiya Tha Ab wo likh raha hu Hadees E paak Padhna aur Phir Dekho SAZRA E NASAB milta kaha se hai inka jo aaj ummat ko gumraah kar rahe hai hadees padho aur aaj k khwarijeen ko dekho sab saamne dikh jaayga.
Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho -
Hadees :
Hazrat Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade.
Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The.
Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan)
Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ?
Jabki Quran Me Allah Farmata Hai
“Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi
(Surah Al Imraan Ayat 192)”
Phir Ek Aur Aayat Padhi
“Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge -
(Surah Sajdaah Ayat 20)”
Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ?
Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ?
Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ?
Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha)
Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ?
{*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) }
Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai.
Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge.
Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke).
Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge.
Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka.
Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe
Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Bhi Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek k.
References :
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitabul Imaan Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’)
(Imam Abu Naoem Al Hilyatul Awliya)
Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai.
1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI : Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai.
2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI : Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ?
Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha
QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage.
3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO : aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha.
4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai.
Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai.
5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The ? : Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ?
Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai.
6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA : Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen.
7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA : Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai.
Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai.
8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai.
9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge.
Kitne sawalo ka jawab hai is hadees me hosakta hai aksariat majority awaam ne kabhi ye hadees naa suni ho na padhi ho aur unke jalso me to ye bayan hi nahi hogi Hadees kis kitab me hai jiska raat din naam lete MUSLIM Sharif kyu nahi batate ye hadees jaante hai unke sazre khul jaaynge.
Part 05 - Jo Shirk Naa Tha Usko Bhi Shirk Declare Kiya Wahabiyo Ka Kabool Naama
Ulma e devband Ashraf Ali Thanvi Ki Kalam se Khud Ismail Dahelvi Ka Kabool Nama k Taqviyatul Imaan me Usne Khayanat ki Hai likhte hai
“Mai Jaanta Hoon Isme Baaj Jagah Jara Tez Alfaaz Aagaye Hai aur Baaj Jagah Tassadud Bhi Aagaye hai Maslan Un Umur Ko Jo Shirk e Khafi The Shirk E Jali Likh Diya Gaya.
In Wajoo Se Mujhe Andesha Hai k iski ishaat se Shoras jaroor hogi agar mai yaha rehta to is mazameen ko 8 10 baras me bayan karta lekin is wakt mera irada hajj ka hai aur waha se wapse k baad jihad ka hai aur isliye mai is kaam se maazor hogaya hai aur dusra is bhaar ko uthayga nahi isliye maine ye kitab likh di hai magar tawakko hai k log lad bhid k thek hojaynge ”
(Hikayatul Auliya / Arwaah E Salasa Pg : 74 By Ashraf Ali Thanvi)
Ye Angrezi Agent Ismail Dahelvi k jumle likha hai Thanvi ne likha Kitab Takviyatul Imaan k baare me khud kabool kiya hai Ismail ne k maine is kitab me khayanat ki hai wo umoor jo shirk nahi the usko bhi shirk likha lafz itne tez likhe istemal kiye k log ladenge khud bol rha hai kabool khud kar liya k ladai hogi magar phir bhi print kar diya aur kehte log ladenge Musalman is kitab ko maanenge nahi jhagde honge aapas me par ummid hai ummid hai log ladenge phir sab thek hojayga ye koi chota jurm hai jo Shirk nahi usko shirk bolo aur sabko kaafir boldo.
Andaaza lgao us daur me angrezo ki sazish kya thi Musalmano ko aapas me ladana tha tum hi ne unke makasid ko pura kiya aur fatwa khud galat diya khud kabool kiya jurm tumne kiya aur ilzaam musalmano pe laga rhe ho. MUNAFIK E JAMANA
Ulma E WAHABI AHLE HADEES KA KABOOL NAMA
Imam E Wahabiya Al Hind Wahiduzama likhta hai
“Hamare Baaj Bhaiyo Ne Masla E Shirk k Andar Badi Shiddat Ekteyaar Ki Aur Islaam K Dayre Ko Mehdood Kar Diya”
(Hadiyatul Mehdi Pg : 26 by Gair Mukkalid Nawab Wahiduzama)
Tumhara baap khud kabool kar rha hai k humne khurrafat ki jhut tauheed bayan ki masla e shirk me khayanat dikhayi aur Islam ko mehdood kar diya kayamat tak iska jawab nhi denge haa baap badal jaynge inke bolenge hum nhi maante isko Saudi Arab se Urdu Bukhari ka Tarjuma kiska print hota hai wo yehi baap hai tumhara.
Pata chala Ummat ne Jurm Nahi kiya balki Tumne Galti ki galat fatwa likha galat kitab likhi aur Ummat ne Nabi Ko ALLAH WALI KO NAbi nahi banaya balki Tumne khud ALLAH ki shaan ko bande se milane ki koshish ki kar nahi sakte par aaj pure unke awaara bete isi me lage hai k kis trah logo ko mushrik banaye.
Subahat : ye Tamam k baad bhi wo hatt dharmi dikhaynge aur Quran e Karim ki kuch aayat pesh karnge jaise mafoom Jinko tum ALLAH ko chodke pukarte ho pujte ho etc ye unwaan aur is se related aayat unki kya tafseer hai uska maane kya hai PUKARNA PUJNA kaha kis meaning me aata hai ye sab mai tafseer k saath hadees k saath kist dar kist post karunga aur phir baad az Wisaal Ambiya Aulia se madad maangne pe kya kya dalail hai sab post aayngi IN SHA ALLAH Taala bas apni bunyaadi foundation mazboot rakho ALLAH waalo se nazdiki jodo kabhi koi mugalta nahi aayga.