Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 16, 2016 14:13:27 GMT 5.5
"TARAWEEH 20 RAKA'AT"
Taraweeh 20 Raka'at Padhna Sunnat Aur 8 Raka'at Padhna Khilaaf-e-Sunnat Hai,
Hum In'sha ALLAH Is Ka Saboot Quran-e-Pak Ki Tarteeb-o-Ahadees-e- Sahihya o Aqwaal-e- Ulama Aur Aqli Dalael Se Dete Hain..
1) Quran-e-Pak Me Surate'in Bhi Hain, Aayaten Bhi Aur Roqu Bhi,
Woh Mazmoon Jis Ka Koi Naam Rakh Diya Gaya Ho Woh Surat Kehlaata Hai,
Aur Quran-e-Pak Ka Woh Jumla (Sentence) Jis Ka Koi Alehda Naam Na Ho Aayat Kehlaata Hai,
Magar Ab Dekhna Yeh Hai K Roku Ko Roku kyon Kehte Hain
kyon K Surat K Meaning Hain Ihaata Karne Waali Cheez Aur Aayat K Meaning Hain Nishaani,
Surat Chunkey Ek Mazmoon Ko Ghee'rey Hoti Hai..
Jaise Sheher Panah (سورہ البدل), Aur Aayat Qudrat-e-Ilaahi Ki Nishaani Hai Is Liye In K Yeh Naam Huway,
Magar Ruko K Meaning Hain Jhukna,
Dekhna Yeh Hai K Qurani Roku Ko Roku kyon Kehtey Hain,
Qutub-e-Qir'at Se Maaloom Huwa K Hazrat Umar-o-Usman (Razi ALLAH Anhu) Taraweeh Me Jis Qadar Qur'an Padhkar Roku Farmaate They Us Hissay Ka Naam Roku Rakha Gaya,
Yaani In Hazraat K Roku Karne K Muqaam Itna Quran Padhkar Roku Huwa,
Aur Chunke Taraweeh 20 Roku Padhi Jaati Thi Aur 27th Ramazan Ko Khatam Hota Tha,
Is Lihaaz Se Quran-e-Pak K Qul 540 Ruko Honey Chahiyen,
Lekin Khatam K Baad Ba'az Rakaton Me Choti Choti 2 Soorten Padh Li Jaati Thin,
Is Liye Quran-e-Kareem K 557 Roku Huway,
Agar Taraweeh 8 Raka'at Hoti To Roku 216 Hone Chahiye They,
Qurani Roku'aat Ki Taadad Bata Rahi Hai K Taraweeh 20 Raka'at Honi Chahiyen,
Kiya Wahaabi 8 Raka'at Taraweeh Maan Kar Roku'aat-e-Quran Ki Wajah Bata Sakte Hain ??
Taraweeh Jama Tarweeiyah Ki Hai Jis K Meaning Hain Jisam Ko Raahat Dena,
Chunkey In Me Har 4 Raka'at Par Kisi Qadar Raahat K Liye Baithte Hain Is Baithne Ka Naam Tarweeiyah Hai, Isi Liye Is Namaz Ko Taraweeh Kaha Jaata Hai Yaani Raahaton Ka Majmoo'a Aur Taraweeh Ka Jama Hai,
Jama Kam Az Kam 3 Par Boli Jaati Hai
Agar Taraweeh 8 Raka'at Hoti To Is K Darmiyaan Me Ek Tarweeiyah Aata,
Pher Is Ka Naam Taraweeh Na Hota, 3 Tarweehon K Liye.
Kam se Kam 16 Raka'at Taraweeh Chahiye,
Jin Me Har 4 Raka'at K Baad Ek Tarweeha Ho Aur Witter Se Pehley Koi Tarweeha Nahin Hota,
Taraweeh Ka Naam Hi 8 Raka'at Ki Tardeed (Inkaar) Karta Hai..
Har Din Me 20 Raka'at Namaz Zaroori Hai,
17 Farz..
Aur 3 Witter,
2' Farz Fajar Me,
4' Zohar Me,
4' Asar Me,
3' Maghrib Me,
Aur 4 E'sha Me,
Ramazan Shareef Me RAB TA'ALA Ne In 20 Raka'aat Ki Takmeel K Liye 20 Raka'at Taraweeh Muqarrar Farma Di,
Jis Ki Har Raka'at In Ki Har Raka'at Ki Takmeel Kare,
Ghair Muqallid Shayad Namaz-E-Panjgaana Bhi 8 Raka'at Hi Padhte Hongey..
Warna 8 Raka'at Ko In 20 Raka'at Se Kiya Nisbat ??
Khayal Rahe K Huzoor ﷺ Ne Namaz-e-Taraweeh Pabandi Se Ba'jama'at Ada Na Farmaai Sirf 2 Din Ada Kiye,
Aur Baad Me Farma Diya Agar Is Ki Pabandi Ki Gai To Farz Hojaane Ka Andesha Hai,
Jis Se Meri Ummat Ko Dushwaari Hogi, Lihaazah Tum Log Apne Ghar Hime Me Namaz Padh Liya Karo,
Baaz Log To Kehte Hain K Yeh Namaz-e- Tahajjud Hi Thi Jo Maah-E-Ramazan Me Eh'tamaam Se Ada Karai Gai Isi Liye Sahaba Sehri K Aakhri Waqt Is Se Faarigh Hote,
Zamana-e-Siddiqui Me Bhi Is Ka Ba-Qaidah Intizaam Na Farmaaya Gaya,
Log Muttafarriq Tor Per Padh Lete They,
Umer (Razi ALLAH Anhu) Ne Is Ka Eh'tamaam Farmaya Aur 20 Raka'at Taraweeh Muqarrar Farma'in,
Aur Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Kiya, Lihaazah Sahih Yeh Hai K Asal Taraweeh Sunnat-e-RASOOL ALLAH sallallahualayhewasallam) Hai,
Magar Is Ki Pabandi-e-Jama'at 20 Raka’at Sunnat-E-Faarooqi Hai,
Chunkey Huzoor ﷺ Ne Na To 8 Raka'at Ka Hukum Diya Aur Na Is Par Pabandi Farmaai, Balke Haq Yeh Hai K AAP Ka 8 Raka'at Taraweeh Padhna Saraahatan Kahi Se Saabit Hi Nahin Huwa, Lihaazah Sahaba Ka 20 Raka'at Par Ittefaaq Karna Sunnat Ki Mukhaalifat Nahin,
Humen Hukum Diya Gaya k
علیکم بسنتی وسنت الخلفاء الرشدین۔
Refrence.
Sunan Ibn-e-Majah, Jild 1, Page no 15 to 16, Raqam Ul Hadees 42 to 43, Matboo’a Dar-Ul-Fikar, Beroot)
Jami-Ut-Tirmizi, Jild 2, Page no 92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)
Lihaazah Ab Hum Sahaba-e-Karam Ka Amal Pesh Karte Hain,
Ghair Muqallidon Ko Chahiye Koi Ek Hadees Marfoo Sahih Aysi Pesh Kare'in Jis Se Taraweeh Ki 8 Raka'at Saraahatan Saabit Hon,
In'hsa ALLAH Kabhi Bhi Na Kar Saken Gey, Khair Ab Hamari Ahadees Aur Ulama-e-Ummat K Aqwaal Mulaahi'zah ho:
1) Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Ne Apne Zamana-e-Khilaafat Me 20 Raka'at Taraweeh Ki Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Farmaaya,
Isi Per Sahaba-e-Karam Ka Ijma Huwa,
Mota Imam-e-Maalik Me Hazrat Saaeb Ibn-E-Yazeed (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat ki Hai K
قال کنا نقوم فی عھد عمر بعشرین رکعۃ رواہ البیھقی فی الفرقتہ باسناد صحیح۔
Refrence.
Mota Imam-e-Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild 1 PAGE no 115,
Raqam Ul Hadees 252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)
2) Imam Maalik
(Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma:
“Hazrat Yazeed Bin Romaan Ne Bayaan Kiya K Hazrat Umar Bin Khattaab (Razi ALLAH Anhu) K Daur Me Log (Witter K Saath) 23 Raka’at Padhte They”
Refrence.
Mota Imam-e-Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi Ramadan, Jild 1, PAGE no 115,
Raqam Ul Hadees 252,
Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas Al Arabi , Beroot)
Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496, Raqam Ul Hadees 4394,
Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah..
Shu’ab Ul Iman Lil Baihaqi, Jild 3, Page no 77, Raqam Ul Hadees 3270,
Matboo’a Dar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
Fath Ul Baari, Jild 4, Page no 253, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)
3) Imam Ibn-e-Hajar Asqalaani (Rehmatullah Aleh) Likhte Hain:
Tarjuma:
Huzoor ﷺ Ne Logon Ko Do Raaten 20 Raka’at Namaz-e-Taraweeh Padhai,
Jab Teesri Raat Log Phir Jama Hogay To Aap ﷺ Un Ki Taraf
(Hujra-e- Mubarak Se Baahir)
Tashreef Laaey,
Phir Subah Aap ﷺ Ne Farmaaya Mujhe Andesha Huwa K (Namaz-e-Taraweeh Tum Par Farz Kar Di Jaegi Lekin Tum Is Ki Taaqat Na Rakhogey..
Refrence.
Talkhees Ul Habeer, Jild 2, Page no 21, Matboo’a Al Madinah Tul Munawwarah)
4) Ibn-e-Shaiba Aur Tabarani Kabeer Me Aur Baihaqi-o-Abd Ibn-e-Hameed-o-Bagwi Ne Riwaayat Ki
Tarjuma:
Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Karte Hain K Huzoor ﷺ Ramazan Ul Mubarak Me Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Padha Karte They”
Refrence.
Musannaf Ibn-e-Abi Shaiba, Jild 2, Page no 164, Raqam Ul Hadees 7692,
Matboo’a Maktaba Tur Rasheed Ur Riyaaz)
Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496, Raqam Ul Hadees 4391,
Matboo’a Makatab Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah...
Is Se Maloom Huwa K Khud Huzor ﷺ
20 Raka'at Taraweeh Padhtey They..
5) Imam Tirmizi (Aleh Rehmah)
Likhtey Hain:
Tarjuma:
Aksar Ahl-e-Ilm Ka Mazhab 20 Raka’at Taraaweeh Hai Jo K Hazrat Ali, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhuma) Aur Huzoor ﷺ K Deegar Ashaab Se Marwi Hai Aur Yahi (Taa’baeen) Sufiyan Souri Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Sha’fai (Rehmahullah) Ka Qaul Hai Aur Imam Sha’fai (Rehmatullah Aleh) Ne Farmaaya Maine Apne Sha'her-e- Makkah Me
(Ahl-E-Ilm Ko) 20 Raka’at Taraweeh Padhte Paaya..
Refrence.
Sunan Tirmizi Kitaab Us Soum, Jild 3, Page no 169,
Raqam Ul Hadees 806, Matboo’a Dar Ul Ehya Ut Turas Ul Arabi, Beroot)
6) Imam Tabarani
(Aleh Rehmah) Likhte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Karte Hain K Huzoor ﷺ Ramazan-ul- Mubarak Me Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Padha Karte They”
Refrence.
Tabarani Auwsat, Jild 1, Page no 243,
Raqam Ul Hadees 798, Matboo’a Daar Ul Haramain, Al-Qaahirah, Misar)
Tabarani Kabeer, Jild 11, Page no 393, Raqam Ul Hadees 12102,
Matboo’a Maktaba Tul Uloom Wal Hakam Al Mosal)
Maj’ma Uz Zawaid, Jild 3, Page no 172, Matboo’a Dar Ul Kitab Ul Arabi, Beroot..
7) Imam Abdur Razzak (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Hum Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) K Zamaane Me Fajar K Qareeb Taraweeh Se Faarig Hote They Aur (Witter Mila K) 23 Raka’aat Padhtey They”
Refrence.
Musannaf Abdur Razzaak, Jild 4, Page no 261,
Raqam Ul Hadees 7733,
Al-Maktaba Tul Islaami, Beroot)
8) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
“Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain K Hazrat Umar Bin Al Khattaab (Razi ALLAH Anhu) K Uhad-e- Mubarak Me Sahaba-e- Karam (Razi ALLAH Anhum) 20 Raka’at Taraweeh Padhtey They Aur In Me 100 Aayaat Waali Sooraten Padhte They Aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) K Uhad-e-Mubarak Me Shiddat-e-Qiyaam Ki Wajah Se Woh Apni Laathiyon Se Tek Lagate They”
Refrence.
Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild32, Page no 496,
Raqam Ul Hadees 4393,
Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)
9) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Karte Hain:
Tarjuma:
Hazrat Abu Khaseeb (Rehmatullah Aleh) Bayaan Karte Hain K Hame Hazrat Suwaid Bin Gafla Maah-e-Ramzan Me Namaz-e- Taraweeh, 5 Tarweeihyon
(20 Raka’at) Me Padhaate They”
Refrence.
Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page no 496,
Raqam Ul Hadees 4395,
Matboo’a Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma:
Hazrat Abu Abdur Rehman Salma Se Marwi Hai K Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ne Ramazan Ul Mubarak Me Qaariyon Ko Bulaaya Aur Un Me Se Ek Shakhs Ko 20 Raka’at Taraweeh Padhaane Ka Hukum Diya,
Aur Khud Hazrat Ali (raziALLAHanha) Un Ko Witter Padhaate They”
Refrence.
Sunan-ul-Kubra Lil Baihaqi, Jild 2, Page 496, Raqam Ul Hadees 4396,