Post by Mohammed Aarif Waghoo on Feb 16, 2016 14:15:32 GMT 5.5
ALLAH K BANDO KA ALLAH KI ATA SE MADADGAAR HONA
Mukhaliffen k taraf se Ahle Sunnat K Khilaf Sabse Ahem jo unwaan hai wo ye hai k Tum Gairullah se maangte ho lihaja Shirk hai awwal to pehli post pe humne Ayaat e Qurani se wajeh kiya hai k Me’aar E Uloohiyat Madadgaar hona Mushkil kusha Hona Hazatrawa hona Dastageer Hona nahi hai agr Madadgaar Hona Me’aar e Uloohiyat hota to ek lamha k liye bhi kisi ko nahi diya jaata hai Lihaja jo jaahil ye khte hai Madadgaar Maan lene Se Shirk hojayha wo Ahkaam e Quran se khali hai Shirk tab aayga Jab IBADAT ki jaygi ALLAH ki siwa kisi aur ki to shirk hoga abhi mai aayate likhunga Madadgaar hone k talluk se
Allah Taala ne Khud Apne bando ko Apni Madad Ka Mazhar Banaya hai jo Nas e Quran se saabit hai Ab Jin Ahmak Jahilo ko Ibadat Aur Madadgaar Hone Me Fark nahi Pata wo hi jaahil hai jo Shirk k fatwe thokte hai kitna FARK hai MADAD aur IBADAT me soche to saaf saaf samajh aajayga.
MADAD Iske liye arabi lafz hai ISTEGHASA aur ISTIANAT ye dono lafz Quran me mauzood hai.
1)ISTEGHASA : ”KISI KO MADAD K LIYE PUKARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 617)
2)ISTIA’NAT : ”MADAD TALAB KARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 598)
Ahle Sunnah Wa Jamaat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Zaij Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hai.
Aur Musalmaan Ka yehi Akeeda Hota Hai Ek kam ilm Se leke unpad Musalman tak Ka yehi Akeeda Hota Hai Aur Wo Kisi ALLAH k Bande ko ALLAH ya ALLAH k barabar Nahi Samajhta.
WAHABI KI MAKKARI AUR JHUTO PROPOGANDA
Wahabi Mullah Gair Mukkalid Dev k pujari dono ye jitne baatil firqe hai Sabka Ahle Sunnat Wa Jaamat k khilaf ek jhoota Propoganda hota hai jisme awaam ko hamesha uljhate hai ye wo kahenge Dekho Jo ALLAH se direct maangta hai usko tum Kafir gustakh bolte ho hamara Jurm ye hai k Hum ALLAH se mangte hai tum Gair ullah se maangte ho.
Ye Sadi ka sabse bada jhoot hai hamari kisi Motebar Aalim e Deen ne ya hamari kisi motebar kutoob me ye nahi likha hai k JO ALLAH se Direct Maange wo Gustakh hai yaa kaafir hai balki Wahabi Kaafir isliye huwe hai k inke Mullao ne ALLAH AUR RASOOL ki sakht Gustakhi ki hai ye khabis apni gustakhi ko chupane k liye unwaan badal dete hai.
Aap direct maango wo bhi jaiz hai ALLAH waalo ko mazhar samajh k maango to bhi jaiz hai hamesha yaad rakhe direct ALLAH se maangne pe kisi ka Ektelaf hai hi nahi.
Ab aaye apne Dalail Ki Taraf Piche Post me humne 24 Qurani aayat se inki so called tauheed ka raddh kiya hai ab aage.
Allah Taala ne Apne Deen Ki Madad Apne Bando Se Karwaayi
Ayat 25 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كونوا أَنصارَ اللَّهِ كَما قالَ عيسَى ابنُ مَريَمَ لِلحَوارِيّينَ مَن أَنصاري إِلَى اللَّهِ ۖ قالَ الحَوارِيّونَ نَحنُ أَنصارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَت طائِفَةٌ مِن بَني إِسرائيلَ وَكَفَرَت طائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدنَا الَّذينَ آمَنوا عَلىٰ عَدُوِّهِم فَأَصبَحوا ظاهِرينَ
“Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ”
(Surah No 61 Surah Saff Ayat 14)
Ayat 26 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)
Is Aayat me Mauzood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k khud Nabi hai ALLAH ne to aayat bhejni thi naa k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me mauzood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hai
Kya Allah Taala Khud Apne Deen Ki Madad Nahi Kar Sakta hai Jo Bando Se keh Raha Hai ?
Kya Matlab Huwa ALLAH k Izan k bina koi lakh koshish karle kuch nahi kar sakta kya akeeda banega Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar hai aur unke yaha to madadgaar hona hi shirk hai phir ye kya Shirk Huwa.
Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna
Ayat 27 :
ثُمَّ جاءَكُم رَسولٌ مُصَدِّقٌ لِما مَعَكُم لَتُؤمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ
“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna”
(Surah 03 Al Imraan Ayat 81)
Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA to yaha MADAD kyu karne ko kaha ?
Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana
Ayat 28 / 29 /30 :
وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي - 29
هارونَ أَخِي - 30
اشدُد بِهِ أَزري - 31
“Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29
Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30
Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”
(Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31)
Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ?
Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran
Ayat 31 :
قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ
“Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi”
(Surah 20 Surah Taha Ayat : 36)
Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya..
Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI.
Sabit Kadam Rakhna Madadgaar Hona MAIDAN E BADR KA MARHALA AUR FARISHTO KA MADADGAAR HONA
Ayat 32 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم وَيُثَبِّت أَقدامَكُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega aur Tumhare Kadam Jama Dega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)
Ayat 33 :
إِذ يوحي رَبُّكَ إِلَى المَلائِكَةِ أَنّي مَعَكُم فَثَبِّتُوا الَّذينَ آمَنوا ۚ
“Jab Aye Mehboob, Tumhara Rab Farishte Ko Wahi Bhejta Tha Ki Mai Tumhare Saath Hoon Tum Musalmano ko Sabit Kadam Rakho”
(Al Quran Surah 08 Anfal Ayat : 12)
Allah Taala ne Musalmano se kaha k tum ALLAH k deen ki madad karo ALLAH Taala Tumko sabit kadam rakhega Saabit Kadam rakhega ab sabit kadam rakhna ye madad hai Mushkil Kushai hai Hazaat Ravayi hai ab ye unke mutabik Me’aar e uluoohiyat madadgaar hona hai agr Rab k siwa kisi pe ye maan le to shirk aajayga.
Pehli Aayat me Farmaya Saabit Kadam Mai Rakhta Hoon Uske Baad Surah Anfal me Farmaya FARISHTO Tum Saabit Kadam Rakho Kyu ?
Jab ALLAH Taala Ne Khud Saabit kadam Rakh diya to phir Farishto ko Kyu Bheja ?
Kya Rab Taala K Paas Koi Kami thi Kya ALLAH TAALA Ki khud ki madad kaafi nahi thi jo Farishto Ko Darmiyan me laaya ?
Kabhi Ek Lamhe k liye bhi gaur o fikr kiya hai khwarijeen wahabiyo ne ? 02 aayat aur padhe phir is sawal ka jawab bhi aajayga magar mukhalifeen iska jawab naa de sakenge.
Ayat 34 :
قُل مَن كانَ فِي الضَّلالَةِ فَليَمدُد لَهُ الرَّحمٰنُ مَدًّا ۚ حَتّىٰ إِذا رَأَوا ما يوعَدونَ إِمَّا العَذابَ وَإِمَّا السّاعَةَ فَسَيَعلَمونَ مَن هُوَ شَرٌّ مَكانًا وَأَضعَفُ جُندًا
“Tum Farmao Jo Gumraahi Me Ho To Use Rehmaan Ne Khoob Dheel De, Yaha Tak ki Jab Wo Dekhe Wo Cheez Jiska Unhe Waada Diya Jaata Hai Yaa To Aazab Yaa Kayamat To Ab Jaan Lenge Ki Kis Ka Bura Darjaa Aur Kiski Fauz Kamzor”
(Surah No. 19 Surah Maryaam Ayat 75)
Allah Taala ne aayat nuzool kar waada liya tha Kuffaro se k wo wakt aayga jab Kafiro tum jaan loge k kaun khasare nuksaan me hai aur Kiski Fauz Zyada takatwaar hai.
جُندًا lafz Bahot se k liye Istemaaal hota hai wo kon the Bahot log Wo ALLAH k bheja Farishto ki baat hai jo Maidan e Badr Me Madad K liye aaye the jinka waada tha ek aur aayat dekhe.
Ayat 35 :
إِذ تَستَغيثونَ رَبَّكُم فَاستَجابَ لَكُم أَنّي مُمِدُّكُم بِأَلفٍ مِنَ المَلائِكَةِ مُردِفينَ
“Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se”
(Surah 08 Surah Anfaal Ayat 09)
Upar ek Sawal tha ALLAH QAADIR hai k chahta to direct hi sab kar deta yaha FARISHTO ko darmiyan me laana aur hazaro ko bhej Badr k maidan me madad karana Musalmano ki kyu bheja ?
Point : Rab ne Farishto ko ye kyu kaha ? Kya Rab ko koi kami thi farishto ko kyu laaya ?
Allah Chahta Kaafir ghar se nikalne se phle mar jaate raat ko soye the subah koi uth naa paate mar jaate Talwaar liye the talwaar gir jaati Talwaar utha liye chala na paate
Jab ALLAh khud rakh sakta to farishto pe wo sifaat kyu bayan ki darmiyan me laaaya kafiro se ye kaha tab maloom hoga kiske madadgaar zyada takatwaar hai
Rab Taala bata raha tha k jinki madad ki aas me tum kuffaro ne jung e ladi hai yaani wo buth itne kamzor hai k Mere Bheje gaye BANDE yaani Farishto ka Mukabla nahi sakte hai aur tum un butho ko mera sharik banaye bethe ho dusra k hakiki madad to ALLAH Taala ne ki hai par Madad k mazhar apne Bando ko bheja aur banaya taaki koi ALLAH K BANDO ko MADAD gaar maan ne pe SHIRK naa bhoke Me’aar e ULOOHIYAT na banale warna bataye k Kya Jarurat aan padi jo badr me Farishte aagye ?
ALLAH TAALA Madadgaar HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI ?
Ayat 36 :
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرين
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Al Imraan Ayat 150)
Ayat 37 :
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11)
Pehle aayat me farmya ALLAH Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya
Ayat 38 :
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)
Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k kya taabir aaygi iski ? ?
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??
Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.
Conclusion :
In tamam guftgu ka jo khulasa hai wo ye k Me’aar e Uloohiyat aaj awaam ko jo bataya gaya k aapne Sifaat dedi Shirk hogaya Madadgaar maan liya shirk hogya to humne ayat e Qurani se saabit kiya k Me’aar ye nahi hai ab koi shaks Madadgaar ko bataur e Dalil pesh kare to aap fauran pakadle k ye Me’aar nahi hai jo tum bayan karte ho.
Subahat Wahabiyat ki Janeeb Se :
1) Aitraaz 01 : Aapne Jo Dalail Qurani Aayat Pesh ki hai is se bas ye saabit huwa k Zindo se Madad Maang Sakte Hai Murdo Se Nahi.
Al Jawab : awwal to is se saabit nahi huwa k Murdo se maanga to SHIRK hai ya zindo se maango to Tauheed. Maangna hargiz me’aar nahi hai Kya Aap Zindo ko ALLAH ka Sharik Maante ho ?
Wo tilmila jayga yaha Chand Istelahi baat yaad rakhe kaam aaygi
i) Jo SHIRK Hai wo hamesha SHIRK HAI aisa nahi hai k Zindo k liye Tauheed ho aur Murdo k liye SHIRK hojaye ? Kya Aisa Hai ?
ii) Kisi Shaks Ne Zinda ko Mabood banaya Wo Mushrik hai SHIRK huwa Kisi shaks ne Murde ko maabood bnaya Wo Bhi Mushrik huwa kyu kyki Shirk hone me ZInda aur murda ye paimana hai hi nahi.
02) Tum ALLAH ko Chod k Gairullah ko Pukarte ho Lihaja Shirk Paaya Gaya ?
Al Jawab : Shirk hai to kyu ? Aur Kis Tarah Ka Shirk Hai ? Kis Category me jaayga ? Tumhare bol dene se shirk nahi hota hai. Kya Pukardene se shirk hojata hai ?
Pehle Tum Ye Decide Karo Gairullah me Zinde aur murde ki kaid hai ya dono gairullah hai ya dono alag hai ?
Allah Taala K Elawa Tamam Makhlook jisko wajood baksha hai chahye Ambiya Alaihsalam ho Auliya ho Jinn Farishte Insaan haiwanat al garz har cheez ka shumar gairullah me hota hai. To Gairullah ko tum bhi pukarte ho tum khud mushrik huwe ho.
Lihaja Pukarnaa to shirk naa huwa PUJNA shirk hota hai PUKARNA AUR PUJNA Dono me fark hai Aur Pukarne se banda mushrik hota to daily insaan kisi na kisi ko pukarta hai woto sab gaye phir.
Ye Chand baatein hai jo Spoon ki trah saamne rakhi hai jab bhi in khabiso se bahes ho usool k mutabik samjhaye ye baat jab bahes hoti hai to wo karte hai lihaja isliye bayan kar diya awaal to awaam ko bahes karna nahi chahye kyuki uske liye bahot ilm chahye agar kabhi aise naubaat aajaye koi khabees saamne mil jaaye bahes baaji karte to usoolan step wise samjhaye wo lajawab hojayga IN SHA ALLAH Taala
Part 04 - Wo Hadees e Paak Jo Sahaba k Saamne Quran Pesh Karte The
Ab yaha Wo Hadees E Paak Jiska Pehli Post me Zikr kiya Tha Ab wo likh raha hu Hadees E paak Padhna aur Phir Dekho SAZRA E NASAB milta kaha se hai inka jo aaj ummat ko gumraah kar rahe hai hadees padho aur aaj k khwarijeen ko dekho sab saamne dikh jaayga.
Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho -
Hadees :
Hazrat Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade.
Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The.
Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan)
Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ?
Jabki Quran Me Allah Farmata Hai
“Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi
(Surah Al Imraan Ayat 192)”
Phir Ek Aur Aayat Padhi
“Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge -
(Surah Sajdaah Ayat 20)”
Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ?
Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ?
Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ?
Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha)
Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ?
{*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) }
Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai.
Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge.
Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke).
Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge.
Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka.
Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe
Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Bhi Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek k.
References :
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitabul Imaan Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’)
(Imam Abu Naoem Al Hilyatul Awliya)
Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai.
1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI : Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai.
2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI : Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ?
Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha
QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage.
3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO : aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha.
4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai.
Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai.
5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The ? : Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ?
Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai.
6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA : Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen.
7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA : Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai.
Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai.
8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai.
9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge.
Kitne sawalo ka jawab hai is hadees me hosakta hai aksariat majority awaam ne kabhi ye hadees naa suni ho na padhi ho aur unke jalso me to ye bayan hi nahi hogi Hadees kis kitab me hai jiska raat din naam lete MUSLIM Sharif kyu nahi batate ye hadees jaante hai unke sazre khul jaaynge.
Jo Shirk Naa Tha Usko Bhi Shirk Declare Kiya Wahabiyo Ka Kabool Naama
Ulma e devband Ashraf Ali Thanvi Ki Kalam se Khud Ismail Dahelvi Ka Kabool Nama k Taqviyatul Imaan me Usne Khayanat ki Hai likhte hai
“Mai Jaanta Hoon Isme Baaj Jagah Jara Tez Alfaaz Aagaye Hai aur Baaj Jagah Tassadud Bhi Aagaye hai Maslan Un Umur Ko Jo Shirk e Khafi The Shirk E Jali Likh Diya Gaya.
In Wajoo Se Mujhe Andesha Hai k iski ishaat se Shoras jaroor hogi agar mai yaha rehta to is mazameen ko 8 10 baras me bayan karta lekin is wakt mera irada hajj ka hai aur waha se wapse k baad jihad ka hai aur isliye mai is kaam se maazor hogaya hai aur dusra is bhaar ko uthayga nahi isliye maine ye kitab likh di hai magar tawakko hai k log lad bhid k thek hojaynge ”
(Hikayatul Auliya / Arwaah E Salasa Pg : 74 By Ashraf Ali Thanvi)
Ye Angrezi Agent Ismail Dahelvi k jumle likha hai Thanvi ne likha Kitab Takviyatul Imaan k baare me khud kabool kiya hai Ismail ne k maine is kitab me khayanat ki hai wo umoor jo shirk nahi the usko bhi shirk likha lafz itne tez likhe istemal kiye k log ladenge khud bol rha hai kabool khud kar liya k ladai hogi magar phir bhi print kar diya aur kehte log ladenge Musalman is kitab ko maanenge nahi jhagde honge aapas me par ummid hai ummid hai log ladenge phir sab thek hojayga ye koi chota jurm hai jo Shirk nahi usko shirk bolo aur sabko kaafir boldo.
Andaaza lgao us daur me angrezo ki sazish kya thi Musalmano ko aapas me ladana tha tum hi ne unke makasid ko pura kiya aur fatwa khud galat diya khud kabool kiya jurm tumne kiya aur ilzaam musalmano pe laga rhe ho. MUNAFIK E JAMANA
Ulma E WAHABI AHLE HADEES KA KABOOL NAMA
Imam E Wahabiya Al Hind Wahiduzama likhta hai
“Hamare Baaj Bhaiyo Ne Masla E Shirk k Andar Badi Shiddat Ekteyaar Ki Aur Islaam K Dayre Ko Mehdood Kar Diya”
(Hadiyatul Mehdi Pg : 26 by Gair Mukkalid Nawab Wahiduzama)
Tumhara baap khud kabool kar rha hai k humne khurrafat ki jhut tauheed bayan ki masla e shirk me khayanat dikhayi aur Islam ko mehdood kar diya kayamat tak iska jawab nhi denge haa baap badal jaynge inke bolenge hum nhi maante isko Saudi Arab se Urdu Bukhari ka Tarjuma kiska print hota hai wo yehi baap hai tumhara.
Pata chala Ummat ne Jurm Nahi kiya balki Tumne Galti ki galat fatwa likha galat kitab likhi aur Ummat ne Nabi Ko ALLAH WALI KO NAbi nahi banaya balki Tumne khud ALLAH ki shaan ko bande se milane ki koshish ki kar nahi sakte par aaj pure unke awaara bete isi me lage hai k kis trah logo ko mushrik banaye.
Subahat : ye Tamam k baad bhi wo hatt dharmi dikhaynge aur Quran e Karim ki kuch aayat pesh karnge jaise mafoom Jinko tum ALLAH ko chodke pukarte ho pujte ho etc ye unwaan aur is se related aayat unki kya tafseer hai uska maane kya hai PUKARNA PUJNA kaha kis meaning me aata hai ye sab mai tafseer k saath hadees k saath kist dar kist post karunga aur phir baad az Wisaal Ambiya Aulia se madad maangne pe kya kya dalail hai sab post aayngi IN SHA ALLAH Taala bas apni bunyaadi foundation mazboot rakho ALLAH waalo se nazdiki jodo kabhi koi mugalta nahi aayga.