Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jul 13, 2016 14:46:05 GMT 5.5
Gairullah Se Madad Mangna
ALLAH Ke Nek Bande Bhi Madad Karte Hai:
ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai
"To Beshak ALLAH AZZWAJAL Unka Madadgar Hai Aur Jibril (Alaihissalaam) Aur Nek Imaanwale (Wali) Aur Uske Bad Farishte Madad Par Hai.
(Sure Tahrim, Para 28, Aayat 4, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Logon Ko Ne'mat Ata Farmana.
"Aur Kya Hi Achcha Hota Agr Wo Is Par Razi Hote Jo ALLAH Aur Rasool Ne Unko Diya Aur Kehte Humain ALLAH Kafi Hai Ab Deta Hai Humain Apne Fazl Se ALLAH Ka Rasool Humain ALLAH Hi Ki Taraf Ragbat Hai"
(Sure Al Toubah, Para 10, Aayat 59, Ruku 7, Tarzuma
Kanzul Imaan)
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Logon Ko Ne'mat Ata Farmana.
“Aur Aye Mehboob Yaad Karo Jab Tum Farmate The Usse Jise ALLAH Ne Ne'mat Di Aur Tum Ne Use Ne'mat Di”
(Sure Al Ahzab, Para 22, Aayat 37, Ruku 5, Tarzuma Kanzul Imaan)
Isiliye Hum Sunni Hanafi Barelviyo Ka Aqeeda Hai Ki
ALLAH Denewala Hai
Nabi Bhi Denewale Hai ALLAH Ki Ata Se
ALLAH Ke Nek Wali Bhi ALLAH Ki Ata Se Denewale Hai Ye Hum Nahi Kehte Khud Quran-E-Pak Ne Kaha Hai Aur Jo Quran Na Maane Uska Inkar Kare Wo Kaafir Hai.
"Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye Denewala Hai Sachcha Humara Nabi.
Sallallahu Alaihi Wasallam"
“Aye Imaanwalo ALLAH Ke Deen Ke Madadgaar Raho. Jaise Issa Maryam Ke Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kaun Hai Jo ALLAH Ke Taraf Ho Kar Meri Madad Kare. Hawari Bole Ham Khuda Ke Deen Madadgaar Hai To Bani Israel Ke Ek Giroh Ne Imaan Laya Aur Ek Giroh Ne Kufr Kiya To Hune Imaanwalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di To Gaalib Ho Gaye. “
(AL Quran Surah Saff, Para 28, Ruku 2, Aayat 14 Tarzuma Kanzul Imaan)
“Aye Imaanwalo Agar Tum Khuda Ke Deen Ki Madad Karoge ALLAH Tumhari Madad Karega Aur Tumhare Qadam Jama Dega.”
(Al Quran Surah Muhammad, Para 26, Ruku 1, Aayat 7, Tarzuma Kanzul Imaan)
Is Aayate Mubaraka Me Maujood Hai Ke Hazrate Issa AlaihissalamNe Hawariyo Se Madad Mangi Hai Halanki
Wo Khud Nabi Hai. Agar Ye Galat Hota To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Yaha Saaf Zikr Karna Tha Ke Aye Issa Tu Nabi Hoke Gairullah Ki Madad Kyu Le Raha Hai? Par ALLAH Ne To Is Tarah Nahi Farmaya Balke Digar Musalmano Ko Bhi Ailan Kiya Ke Tum Bhi Deen Ki Madad Karo. Ab Koi Badmazhab Ye Zaroor Kahega Ke Kya ALLAH Apne Deen Ki Madad Nahiar Sakta? Huqme Rabbi Ke Bina Koi Lakh Koshs Karle Kuch Nahi Kar Sakta. To Kya Pata Chala? Haqiqatan Madad To ALLAH Hi Ki Hai Bande To Bas Mazhar Hai.
Aaalam-E-Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada Ke Tum Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Madad Karna:
“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum
Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna.
(Al Imraan Para 3, Ruku 9, Ayat 81, Tarzuma Kanzul
Imaan)
Ye Aayate Mubaraka Us Wakya Ki Tashreeh Hai Jab Dunya Me Insaano Ko Bheja Nahi Gaya Tha Us Waqt Tamam Insaano Ki Rooh Ko AALAM-E-ARWAAH Me Jama Kiya Gaya Aur Baad Me Faqat Unki Rooh-E-Aqdas Ko Rakha Gaya Jo Nabiyo Me Shamil Hai Us Waqt ALLAH Ta'ala Ne Tamam Nabiyo Se Ye Waada Liya Ke Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Le Aaye To Unpar
Imaan Laana Unka Kalima Padhna Aur UNKI MADAD KARNA To Yaha MADAD Kyu Karne Ko Kaha Gaya?
ALLAH AZWAJAL Quran-E-Kareem Me Farmata Hai, “Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se.”
(Surah Anfaal, Para 9, Ruku 1, Aayat 09, Tarzuma Kanzul Imaan)
“Aur Yakeenan Khudawande Ta‟ala Ne Tum Logon Ki Madad Farmayi Badr Me Jab Ki Tum Log Kamzor Aur Be- Saro-Saman The Toh Tum Log ALLAH Se Dartey Raho Taaki Tum Log Shukr Guzar Ho Jaao.”
(Surah Al Imraan, Para 4, Ruku 13, Aayat 123, Tarzuma Kanzul Imaan)
ALLAH Ta'ala Ye Do Aayate Mubaraka Me Jung-E-Badr Ka Zikr Farma Raha Hai. Jung-E-Badr Me ALLAH AZWAJAL Ne Farishto Ko Bhej Kar Musalmano Ki Madad Farmayi Aur Unhe Fatah Mili. ALLAH Har Chiz Par Qaadir Hai. Wo Khud Direct Madad Kar Sakta Hai Fir Farishto Ke Jariye Kyu Madad Ki? Ye Ek Sabak Tha Un Kuffaro Ke Liye Jo Apne Buto Ki Madad Ki Aas Me Jang Ladne Aaye Aur ALLAH Ta'ala Ke Bheje Hue Bando(Farishto) Ka Muqabla Na Kar Paye. Ab Kya Yaha Farishto Ki Madad Shirk Hui? Hargiz Nahi Balke Farishto Ne Madad.Ki ALLAH RABBUL AALAMEEN KE HUQM SE.
Isliye Ahle Sunnat Ka Ye Aqeeda Hai Ke ALLAH Ta'ala Madadgaar Hai Apni Zaati Sifaat Se Aur ALLAH Ke
Ambiya Alaihissalam, Wali, Farishte Bhi Madadgaar Hai ALLAH RABBUL AALAMEEN KI ATAA SE. ALLAH
Azwazal Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,
Aayat No: 1
“Beshak ALLAH Tumhara Maula Hai Aur Sabse Badkar Madadgaar Hai.”
(Surah Al Imraan, Para 4, Ruku 16, Aayat 150, Tarzuma Kanzul Imaan)
Aayat No: 2
“Yeh Isliye Ke Musalmano Ka Maula (Madadgaar) ALLAH Hai Aur Kaafiro Ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi.”
(Al Quran Surah Muhammad, Para 26 Aayat 11, Ruku 1, Tarzuma Kanzul Imaan)
Aayat No: 3
“Beshak ALLAH Unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai.”
(Al Quran Surah At Tehrim, Para 28, Ruku 1, Ayat 4, Tarzuma Kanzul Imaan)
In Aayate Mubaraka Se Ye Khoob Roushan Hua Ke Haqiqatan MADAD To ALLAH Rabbul Aalameen Ki Hai Bas ALLAH Ke Ambiya Alaihissalam, Wali, Farishte Aur Nek Momineen Ek Mazhar Hai. Aur Wo ALLAH Ke Huqm Wa Ataa Se Madad Karte Hai.
1) ALLAH Ta‟la Ek Hai Uska Koi Sharik Nahi Naa Zaat Me
Na Sifaat Me.
2) ALLAH Ta‟la Wajibul Wajood Hai Yaani Jiska Har Haal Me Mauzood Rehna Jaruri Hai, Koi Jamana Aisa Nahi Hai Jo Uski Jaat Mauzood Na Ho.
3) ALLAH Ta‟la „Kadim Aur Azli‟ Hai Yaani Wo Hamesha Se Hai Aur ‟Abdi‟ Bhi Hai Hamesha Rahega. Usse Kabhi Maut Naa Aaygi.
4) ALLAH Ta‟la Kisi Ka Mohtaaz Nahi Saari Kaynaat ALLAH Ta‟la Ki Mohtaaz Hai.
5) ALLAH Ta‟la Ka Naa Koi Beta Hai Na Wo Kisi Ka Baap Na Koi Uski Biwi, Maa Wo In Tamam Chizo Se Paak Hai Jo Ispar Aqeeda Naa Rakhe Wo Kaafir Hai. Aur Jo Isko Mumkin Bhi Maane Wo Gumraah Baddeen Hai.
6) ALLAH Ta'ala Makan, Jahet, Shakl-O-Surat, etc Makhlooq Ki Tamam Sifat Aur Kaifiyat Se Paak Hai.
7) Jo Aalam Me Se Kisi Cheez Ko Khud Se Mauzood Maane Yaa Uske Haadis Hone Me Shak Kare Woh Kaafir Hai.
8) ALLAH Ta'ala Ke Liye MUMKIN AUR MAAHAL KA AQEEDA.
● MUMKIN Hone Ka Bayan :
ALLAH Ta'ala Har Mumkeen Par Qadir Hai Koi Mumkin Uski Qudrat Se Bahar Nahi Hai.
ALLAH Ta'ala Ke Liye MUMKIN Maanna Ye Bhi Jaruri Hai
Uska Bhi Kuch
Example : ALLAH Ta'ala Mumkin Par Qadir Hai Uska Bhi Thoda Khulasa.
ALLAH Chahe To Zameen-O-Aasman Ko SONA Chandi Ka Bana De Ye Mumkin Hai Ab Banana Ya Naa Banana Ye ALLAH Ki Shan Hai.
ALLAH Ke Liye Mumkin Hai Wo Chahe To Zameen Se Barish Nikal De Wo Chahe Insaan Ko Bin Baap Ke Maa Ke Apni Qudrat Se Paida Kare Wo Chache To Insaan Ko Patthar Se Paida Karde Ye Sab Mumkin Hai.
● MAHAAL HONE KA BAYAN :
ALLAH Ta'ala Ke Liye Baaj Chizo Ka Maahal (Impossible) Maanna Ye Bhi Jaruri Hai Aur Aqaid Me Hai.
Example : ALLAH Ta'ala Dusra Khuda Nahi Bana Sakta, ALLAH Ka Fana Hona Maahal Hai, Uska Jhoot Bolna Mahaal Hai Chunki Agr Dusra Khuda Maana Jayga To Uske Ek Hone Ka Inkaar Hoga, Usko Fana Maana Jayga to Uske Mauzood Hone Ka Inkaar Hoga, Usko Jhoota Maana Jayga To ALLAH Ki Shan Nahi Ke Wo Jhoot Kahe. Is Tarah Uska, Beta, Beti, Biwi Maanna Ye Sab Mahaal Hai.
ALLAH Ke Liye Mahaal Hai Ke Wo Insaani Shakl Me Aaye Ya Autaar Le.
Ye Chand Baatein Maine ALLAH Ki Zaat Ke Muttalik Aasan Lafzo Me Maine Bayan Kardi Taaki Padhnewaalo Ko Example Se Aasani Se Samajh Aajaye. Zaat Ke Muttalik Aur Bhi Bahot Se Aqaid Hai Har Ke Yaha Likhna Possible Nahi Hai.
ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Ka Bayan:
1) Jis Tarah ALLAH Ki Zaat Ka Koi Sharik Nahi Hai Us Tarah Uski Sifaat Ka Bhi Koi Sharik Nahi hai.
2) ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Bhi Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahegi.
Example : ALLAH Ka Rehman-O-Rahim Hona. Ye ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Hai Ye Sifaat Us Wakt Bhi Mauzood Thi Jab Kuch Naa Tha. Siwaye Zaat-E-Baari Ta'ala Ke Aur Us Wakt Bhi Hogi Jab Kuch Naa Hoga.
3) Jo ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Ko Makhlook Kahe Yaa Haadis Bataye Woh Gumraah Aur Bad‟deen Hai.
4) ALLAH Ta‟ala ki Sifaat Na Ain Hai Naa Gair-E-Ain Yaani ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Uski Zaat Nahi Aur Naahi Wo Sifaat Uski Zaat Se Alag Hai Chunki Wo Sifaat Aisi Hai Jo ALLAH Ta'ala Ki Zaat Ke Liye Jaruri Hai.
5) ALLAH Ta'ala Ki Sifaat Kayi Hai Aur Alag Hai. Har Sifaat Ka Matlab Bhi Alag Alag Hai.Ye Mukhtasar Sa
Tarruf ALLAH Ki Jaat Aur Sifaat Ke Mutallik Bayan Kiya Gaya.
(Shara-E-Aqaid-E-Nasfi) (Shara-E-Al Fiqh-E-Akbar)
(Bahar-E-Shariat Vol : 01, Baab : Aqaid Ka Bayan, Page : 6)
1) ALLAH Ta'ala Ki Tamam Sifaat Wo ALLAH Ta'ala Ki Khud Ki Hai Uski Zaati Hai Usne Wo Sifaat Kahi Se Li Nahi Hai Aur Naahi Kisi Ne ALLAH TA'ALA Ko Wo Sifaat Ataa Ki Hai.
2) Magar ALLAH Ta'ala Ne Apni Sifaat Apne Bando Ko Bhi Ataa Ki Hai Jo Khud Qurani Faisla Hai Jo Aage Hum Qurani Aayat Se Saabit Karnge Ke ALLAH Ki Shaan Jo ALLAH Ki Hai Wo Bando Ko Bhi Ataa Ki Hai Lihaja Ye Kisi Bhi Aitbaar Se Shirk Nahi.
3) Shirk To Tab Aayga Jab Ye Akeeda Rakhe Ke BANDO Ki Bhi Zaati Hai Aur ALLAH Ki Bhi Zaati Hai Yaa Ye Aqeeda Rakhe Ke ALLAH Ki Bhi Sifaat Atayi Hai Aur Bando ki Bhi Ataayi Hai.
4) Hum Ahle Sunnat Ka Aqeeda Ye Hai Ke ALLAH Ki SIFAAT BHI USKI ZAATI HAI AUR ALLAH TA‟ALA Apni
Baaj Sifaat Apne Bando Ko Bhi Ataa Karta Hai.
● SAHI ME‟AAR E ULOOHIYAT:
Jo Sirf Aur Sirf ALLAH Tabarak Watala Ke Liye Khaas Hai Ye Wo Cheez Hai
Jo ALLAH Ta'ala Ke Siwa Kisi Me Bhi Maana Jayga To Shirk Hoga Banda Mushrik Hoga.
1) MUSHTAHIK-E-IBADAT HONA :
Ye Sirf Aur Sirf ALLAH Ke Liye Hai Bandgi Me ALLAH Ka Koi Sharik Nahi Ibadat Sirf Aur Sirf ALLAH Ta'ala Ke Liye Hai.
2) WAJIBOOL WAJOOD HONA :
ALLAH Rabbul Aalameen Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega Baaki Saari Qaynaat Me Har Makhlook Hamesha Se Nahi Hai Aur Ek Waqt Aayga Jab ALLAH Ta'ala Sabko Fana Kar Dega Yaha Tak Ke Maut Ke Farishte Ko Bhi. Baaki Rehnewaali Zaat ALLAH Ki Hai. Pata Chala Ma‟aar- E-Uloohiyat 02 Chiz Wajibul Wajood Hona Aur Mustahik Ibadat Hona.
i) Kisi Ne ALLAH Ke Ilawa Kisiko Wajibool Wajood Maana MUSHRIK Ho Jayega
ii) Kisi Ne ALLAH Ke Elawa Kisiko Ibadat Ke Laayak Maana MUSHRIK Ho Jayega.
iii) Kisi Ne Dono Maana Tab Bhi Mushrik Hoga Ya Dono Me Se Ek Maane Aur Ek Naa Maane Tab Bhi Mushrik Hoga.
Note :
Jo Uluoohiyat Hai Wo ALLAH Ke Siwa Kisi Ko Nahi Di Jaygi Chahe Ek Minute Ke Liye Bhi ALLAH Ke Elawa
Kisiko Nahi Naa Mazazi Naa Atayi Chunki Jo Shirk Hai Wo Hamesha Shirk Hoga Aisa Nahi Hai Ke Ek Waqt To Shirk Ho Phir Tauheed Ho Jaye. Jo Tauheed Hai Wo Hamesha Tauheed Hai Aur Jo Shirk Hai Wo Hamesha Shirk Hai. Ye Tamam Bunyaadi Istelahi Baatein ALLAH Ki Zaat Sifat Aur Tauheed Ke Muttalik Thi Ab Aaye Hum Dalail Ke Taraf.
Hizbullah Aur Hizushaitaan Ka Fark:
Jamaat Do Hai Ek Hai ALLAH Waalo Ki Jamaat Jo Kamyaab Hai Jannat Me Jaygi Jisko Hizbullah Kaha Jaata Hai Jiska Zikr Quran Me Hai
I) Hizbullah Kon Hai Yaani ALLAH Ki Jamaat:
Ayat 01 :
“Ye ALLAH Ki Jamaat Hai Sunta Hai ALLAH Hi Ki Jamaat
Kamyaab Hai”
(Surah No 58 Surah Mujadilah, Para 28, Ayat 22)
Ayat 02 :
“Humko Sidha Raasta Chala - 5”
Ayat 03 :
“Raasta Unka Jinpe Tune Ehsaan Kiya - 6” (Surah Fatiha Ayat 5 & 6)
Ayat 04 :
“Jinpar ALLAH Ne Fazl Kiya Yaani Nabi Aur Siddikeen Aur Shaheed Aur Nek Log Ye Kya Hi Acche Saathi Hain” (Surah Nisa, Para 4, Ayat 69)
II) Hizbushaitan Kon Hai Ye Shaitan Ka Group Hai:
Ayat 05 :
“Beshak Shaitan Tumhara Dushman Hai To Tum Bhi Use Apna Dushman Samjho Wo To Apne Giroh Ko Isliye Bulata Hai Ki Dozakhiyo Me Ho”
(Surah No 35 Surah Faatir, Ayat : 06)
In dono Jamaat Ka Bayan Karne Ka Maksad Ye Hai Ke Fark Wajeh Ho Jaye Ek Wo Jamaat Hai Jisko ALLAH Ne Apni Jamaat Kaha Hai Wo Kinki Hai Ambiya Aulia Siddikeen Shohda Nek Momin Ki Aur Dusri Wo Jamaat Hai Jo Shaitani Group Hai Jo Uske Kehne Pe Chal Pade Buth Parasti Ki Logo Ko Imaan Laane Se Roka Khudayi Dawa Kar Bethe Jaise Firaoun, Namrood, Shaddat Wagerah Aur Wo Buth Jinko Pujne Ke Liye Shaitan Ne Kuffaro Ko Behkaya Aur Apni Jamaat Bana Daali. Aaj Koshish Ye Ki Jaa Rahi Hai Wo HIZBUSHAITAN Shaitani Group Ke Saath ALLAH Waalo Ko Mila Rahe Hai Aur Khich Ke Hizbullah Ko Wo Jinhe ALLAH Ne Apni Jamat Kaha Hai Unhe Shaitani Party Me Shamil Karne Par Tule Hai Halanki Wo Kar Nahi Sakte Par Koshish Jarur Karte Hai. Yaha Par Humne Dono Jamaat Ka Mukhtasar Sa Khulasa Kiya Hai Taaki Pata Chala ALLAH Waalo Ki Baat Alag Hai Aur Shaitani Group Ki Alag ALLAH Ta'ala Apni Sifaat Hizbullah Ko To Ata Kar Deta Hai Par Hizbushaitan Ko Nahi.
ALLAH Taa‟la Ne Apne Bando Ko Bhi Sifaat Ata Ki Hai
Qurani Faisla
Quran Ki Bayan Karda Tawheed :
Chunki Wahabiyo Ki SO CALLED TAUHEED Hai Dawa Hai Ke ALLAH Ki Sifaat Uske Bando Me Maan Li To MUSHRIK Ho Gaye Lihaja Ab Hum Quran Se Hi Dekhte Hai Ke QURAN Kya Kehta Hai.
● Maalik Kon?
Ayat 06 :
“Wohi Hai ALLAH Jiske Siwa Koi Maabod Nahi, Maalik
(Badsha) Nihayat Paak “
(Surah 59 Surah Hashr, Ayat 23)
Maalik Ye Sifaat ALLAH Ta‟ala Ki Hai Banda Pukarta Hai Aye Malik ALLAH Ta‟ala Ke Liye Thik Hai.
Gair Mukallid Ke Mullah Aksar Kehte Hai Jaise Ke Tauseef Ur Rehman Ne To Kaha Bhi Hai Ke MALIK TO ALLAH HAI SUNNI Nabi Alaihissalam Ko Bhi Malik Kehte Ye Kahne Se Mushrik Hojayga Nikaah Toot Jaayga. Ab Dusri Aayat Dekhe
Ayat 07 :
“Aur Wo Pukarenge, Aye Maalik Tumhara Parwardigar Hume Maut Hee Dede, Woh Farmayga Tumhe To Taherna Hai”
(Surah 43, Surah Al Zukhruf, Ayat 77)
Pahli Aayat Me Farmaya MALIK, ALLAH Ta‟ala Ke Liye
Hai Phir Ussi Quran Me Dusre Makam Me Farmaya Aaayat Surah Zukhruf Ayat 77 Malik Misko Darogae Jahannam Ko Ke Unhe Kaafir Kahnge Malik Hume Maut Dede Malik Farmayga Tumhe Hamesha Jahannam Me Rehna Hai.
Kya Huwa Shirk hogaya? ALLAH Bhi Maalik Daroga-E- Jahannam Bhi Malik? Tum Nabi Alaihissalam Ko Maalik Nahi Bologe Shirk Hai Kyu? Kya Taabir Nikalenge Iski? Taabir Wohi Niklegi Jo Ahle Sunnat Ka Akeeda Hai ALLAH MAALIK Hai Wo Apni Sifaat Se Maalik Hai Bande Ka Malik Hona ALLAH Ta‟la Ki Ata Se Hai.
● Rauf O Rahim Hona
Ayat 08 :
“Beshak ALLAH Logon Par Bahot Rauf-O-Rahim Hai.” (Al Quran, Surah 2 Baqarah Ayat : 143)
Ayat 09 :
“Beshak Tumhare Pass Tashrif Laaye Tum Se Wo Rasool Jinpar Tumhara Masshakat Me Parhna Bhari Hai Tumhari Bhalai Ke Nihayat Chahne Waale Musalmano Par Rauf-O-Rahim”
(Al Quran, Surah 9 Tawbah Ayat : 128)
Pehli Aayate Mubarak Me Dekhe To Rauf-O-Raheem Kon Hai ALLAH. Ab Unke Nazariye Se Kisi Aur Ko Rauf-O- Raheem Maan Le To Shirk Aa Jayaga Shirk Fi Sifaat
Maana Jaayga. Magar Nahi Shirk Nahi Aayga. Dusre Makam Me Farmaya Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Bhi RAUF-O-RAHEEM Hai. Isme Bhi Tabeer Yehi Qayam Hogi ALLAH Ta‟ala Ka RAUF-O-RAHIM Hona Uska Zaati Hai. Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Rauf-O-Rahim Hona Atayi Hai. Lihaja Ye Shirk Ka Fark Wajeh Ho Gaya.
● Maula Hona:
Ayat 17 :
“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo ALLAH Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko ALLAH Hi Par Bharosa Chahye”
(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51)
Ayat 18 :
“Beshak ALLAH Tumhara Maula Hai Aur Sabse Badkar
Madadgaar Hai”
(Surah Al Imraan Ayat 150)
Ayat 19 :
“Aur Isliye Ke Musalmano Ka Maula ALLAH Hai Aur
Kafiro Ka Koi Maula Nahi”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat: 11)
Ayat 20 :
“To Beshak ALLAH Unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Uske Baad Farishte Madad Par Hai.”
(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)
Is Lafz Maula Se Bhi Badi Chid Hai Wahabiyo Ko Kehte Hai Maula Sirf ALLAH Hai Baaki Kisi Aur Ko Maula Nahi Kah Sakte Lihaja Shirk Hai. Tum Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Maula Kehte Ho Jabki Maula Sirf ALLAH Hai. ALLAH Ta‟ala Ke Maula Hone Ka Inkaar Kiya Kisne? Quran Me Khud ALLAH Irshaad Farmata Hai Mai Maula Hoon Musalmano Ke Maula Hai Jibril Alaihissalam, Nek Musalmaan, Farishte, Aur Khud Rab Tabarakwatala To Quran Khud Maula Bando Ko Keh Raha Hai Aur Is Masle Ko Itni Usaat Di ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Hadees No: 1
Hazrat Shuaba Bin Kuhayl Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail Radiallahu Anhu Se Suna Ki Abu Sareeha Radiallahu Anhu Ya Zayd Bin Arqam Radiallahu Anhu Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut‟alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Jiska Mein Maula Hoo‟n Us Ka Ali Maula Hai.” (Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees
:1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106) (Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg
:602, Hadees :32904)
(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol
: 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg
: 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid Ke Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani Ne Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)
Hadees No: 2
Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat Ke Nazriat Pasand Aa Gaye Me Kharji Ho Gaya Tha. Ham Jama‟at Ki Shakl Me Hajj Karne Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg Karne Chal Pade. Unhone Kaha Hum Madina Se Guzre Aur Dekha Hazrate Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Logo Ko Masjid-E-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hadeese Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dars De Rahe The. Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jayenge.
Maine Kaha Aye Sahabi-E-Rasool Ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho? Jabki Quran Me ALLAH Ajwazal Farmata Hai, “Aye Rab Hamare Beshaq Jise Tu Dozakh Me Le Jaye Use Jaroor Tune Ruswai Di Aur Zaalimo Ka Koi Madadgar Nah.”
(Surah Al Imraan, Aayat 192) Phir Ek Aur Aayat Padhi,
“Rahe Wo Jo Behuqm Hain Unka Theekana Aag Hai. Jab
Kabhi Usme(Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jayenge.”
(Surah Sadaah, Aayat 20)
Quran Ye Kehta Hai Aur Tum Kya Kehte Ho? Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane?
Jab Hazrate Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Ne Farmaya Aur Itminan Se Pucha,
Kya Tumne Quran Padha Hai?
Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padha Hai Quran (Bohot Josh Me Aake Kaha).
Jab Hazrate Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Ne
Farmaya,
Kya Tumne Usme Makam-E-Mehmood Ke Bare Me Padha Hai?
“Kareeb Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Kare Jahan Sab Tumhari Hamd Kare.”
(Surah Bani Israel, Para 15, Ruku 9, Aayat 79)
Yazid Al Faqir Kehte Hai HAA Humne Padha Hai. Hazrate Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam-E-Mehmood Wo Makam Hai Jo ALLAH Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara Denge. Phir Uske Baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi Lekin Itna Mere Jahen Me Hai Log Jahannam Se Nikale Jaynge Aur Kaha Is Tarah Syaah (Kaale) Honge (Yaani Jahannam Ki Aag Se Jalke). Phir Unhe Jannat Ki Naher Me Daala Jayega Waha Se Jab Niklenge Bilkul Safed Kagaz (White Paper) Ki Tarah Ho Jayenge. Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sunne Ke Baad Phir Hum
Waha Se Nikle Aur Apne Ustado Ke Pass Pahuche Unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka. Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta Ke Aise Noorani Chehrewaala Bhi Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek Ke.
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitabul Imaan Hadees : 191, “English : Book 01, Hadees : 381, 371”)
(Imam Abu Naoem Al Hilyatul Awliya)
Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha-E-Fiqriya Guftgu Bahot Se Log Padh Ke Gujar Jaate Hai Par Samajhte Nahi Hai Lihaja Iska Khulasa Jaruri Hai.
1) Adab-E-MADINA SHARIF Nahi:
Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye Matlab Kya Huwa Tazeem Nahi Thi Dil Nahi Tha Bas Achanak Se Gujar Gaye Aur Masjid-E-Nabvi Pahuch Gaye Dekho Aajka Munafik Khwarij Bhi Yehi Kahta Hai Dil Me Azmat Nahi Hoti Bas Pahuch Gaye Ek Gulam Hota Hai Jo MADEENA SHARIF Jaane Ke Liye Tadapta Hai Ke Kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek Ye Hai Bas Ghumte Phirte Pahuch Gaye Pata Chala Ye Makamat (Places) Ki Tazeem-O-Taukeer Nahi Hoti. Dekho Aajka Khwarij Ko Wo Bhi Yehi Karta Hai.
2) Sahabi-E-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saamne Quran Suna Rahe Hai:
Ye The Sahaba Ke Jamane Ke Young Generation Khud Apna Haalat Bayan Kar Rahe Hai Ke Wo Kharji Ho Gaye The Unke Haath Me Kya Tha? Haath Me Kya Tha Quran Jaban Pe Aayat-E-Ilahi Tha. QURAN Aayat Padhne Lage Kiske Aage Sahabi-E-RASOOl Sallallahu Alaihi Wasallam, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ke Saamne Wo Jinhone QURAN Kinse Padha Nabi-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Se Unko QURAN Sunane Lage.
3) Jaruri Nahi Har Quran Ki Aayat Padhnewala Hawale Denewala Sachcha Ho:
Aaj Ye Bhi Fitna Failaya Jaa Raha Hai Ke Dekho Hum QURAN Ki Aayat Pesh Karte Hai Aur Tum Hume Bura Bolte Ho Ab Andaza Lagao Musalmano Dekho SAHABA Ke Aage Bhi SAHI Aayat Padhi Gayi Sahi Hawale Wo Bhi QURAN Hi Se De Raha Tha Na Par Us Aayat Se Aqeeda Sur Matlab Galat Bayan Kiya Jaa Raha Tha.
4) Har Quran Ki Aayat Sunanewala Haq Pe Nahi Hai :
Dekho Ab Kaha Se Sazra Mila Hai Nazdiyo Kaa Aaj Jis
Musalmaan Ke Aage Koi QURAN Padhte QURAN Ki Aayat Sunade Wo Soch Aur Fiqr Me Padh Jaata Hai. Ke Ab Kya Karu QURAN Ki Aayat Pesh Ki Jaari Hai. Dekho QURAN Padha Jaa Raha Hai Kiske Aage Aaj Ke Aam Musalmano Ke Aage Nahi Balki 1400 Saal Pahle Wo Bhi Sahabi Ke Aagewaha Bhi Logo Ne Isi Tarah QURAN Padhi Hai.
5) Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The?:
Huzoor Nabi-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ki SHAFA'AT Ka Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shan-O- Azmat Ka Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam Se Aazad Karana Kitni Badi Hazaat Rawayi Dastagiri Hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke FAIDE KA Inkaar Kisne Kiya? Khwarijeen Ne Pata Chala Nasl Kaha Se Aayi Hai? Nishaniyaa Aaj Bhi Mauzood Hai.
6) QURAN Ki Aayat Sahi Istedlaal GALAT Bayan Karna:
Khwarijeen Ne Kya Kiya Raddh Karne Lage Nahi Nahi
Aisa Kuch Nahi Hai Aur Daleel Kin Cheezo Se De Rahe
The QURAN Se, To Pata Chala Har QURAN Ki Baat Bolnewaala QURAN Ki Sahi Aayat Padhnewaala Jaruri Nahi Aqeeda Bhi Sahi Bayan Karde. QURAN Ko Koi Nahi Bigaad Sakta Balki QURAN Ki Aayat Ke Maane Ko Uske Maksad Ko Badal Ke Sahaba Ke Aage Padhte The Khwarijeen.
7) Kuffarowali AAYAT Ko Chispan Musalmano Pe Kiya:
Aayat Konsi Padhi Wo Aayat Jinka Talluk Kafiro Se Tha
Aur Us Aayat Se Raddh Kar Rahe Kiska Huzoor Nabi-E- KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Faide (Shafa‟at) Ka To Jo KAFIRO Ke Talluk Se Aayi Thi Aayat Ke Wo Jahannam Se Nikalna Chahenge Dobara Palta Diye Jaaynge Unko Koi Nahi Bacha Sakta Us Aayat Ko
Chispaan Kiya Musalmano Pe Balki Musalmano Ke Liye SHAFA'AT-E- NABI Sallallahu Alaihi Wasallam Hai. Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN
Kar Dena Ye Koi Aaj Ki Baat Nahi SAHABA Ke Saamne
Bhi Ye Khwarijeen Ke Shakl Me The NISHANI Aaj Bhi Hai Bas Naam Aur Chehre Badadlte Hai.
8) Kabhi Kabhi Chehre Bhi Bohot Kuch Bayan Karte Hai:
Pata Chala Ke Hazrat Yazid Jo Khud Kharji The Tauba Ki
Aur Musalman Huwe Aur Kya Kaha Ke CHEHRE Dekho
Aisa Noorani Chehra Jhut Nahi Bol Sakta Ab Dekho To Sahi Aaj Unke Ulma Ke Manhoos Chehre Ko Dekho Hamare Akabireen Ke Chehre Ko Pata Chal Jaayga Kon Saccha Hai Kon Jhuta Hai.
9) Har QURAN Padhnewala QURAN Samajh Le Jaruri Nahi:
Ye Bhi Masla Maloom Huwa Har Insaan Jo Quran Padhe Jaruri Nahi Ke Usko Quran Fehmi Bhi Ho. Yakinan QURAN Ko Sikhna Hai. Samajhna Hai. To Tareek Pe Sikho Jo Manhaj Sahaba Ka Auliya Fukaha Sufiya Ka Hai Agar Khwarijio Ke Nazariat Se Padhoge Is Tarah Aayat Talash Karoge Ye Nahi Kar Sakte Wo Nahi Pata Ye Nahi Pata To QURAN To Padhloge Par Wo Tumhe Kaam Nahi Yayegi Jahannam Me Jaoge.
“Aaj Madad Mang Unse Aaj Le Unki Panah
Fir Naa Manenge Agar Qayamat Me Maan Gaya.”
Hadees No: 3
Hazrat Imran Bin Hussain Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad
Har Momin Ka Wali Hai.”
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No -Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712)
Ye Hadeese Pak Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farma Diya Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Maula Ali Karamallahu Wajahahul Kareem Har Momeen Ke Wali Yani Madadgaar Hai.