Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jul 13, 2016 15:22:56 GMT 5.5
Waseela / Tawassul Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein
Waseela:
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye"
(Ibn Manjur, Imam of Lughat Lihsansul Arab Jild : 11 Page : 725)
“Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai” (Al Tarifaat Page : 225)
ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Aye Imaanwaalo, ALLAH Se Daro Aur Uski Taraf
Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao”
(Al Quran, Surah Al Maida, Para No 6, Aayat 35, Ruku 6 Tarzuma Kanzul Imaan)
“Aur Humne Koi Rasool Na Bheja Magar Isliye Ke ALLAH Ke Hukum Se Uski Itaa'at Ki Jaaye Aur Agar Jab Wo Apni Jaano Per Zulm Kare To Aye Mehoob Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasool Unki Shafa‟at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karnewala Maherbaan Paye”
(Surah An Nisa, Para 5, Aayat 64, Ruku 9 Tarzuma Kanzul Imaan)
Beshaq ! ALLAH TA'ALA Hargiz Kisi Waseele Ka Mohtaz Nahi Hai Magar ALLAH Ko Waseela Pasand Hai Isiliye Is Aayat Me Waseela Talaash Karne Ka Huqm Hai. Aur ALLAH Ke Mehboob Bando Ko Waseela Banakar Dua Karna Ahle Sunnat Ka Tareeqa Hai. Quran-E-Kareem Ki Ye Aayate Kareema Daleel Hai Shafa‟at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki. Beshaq ! Roz-E-Mehshar Jab Nasi Nafsi Ka Aalam Hoga Kisika Sahara Na Hoga, Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ham Gunahgaro Ki Shafa‟at Farmayenge To ALLAH Rabbul Aalameen Apne Mehboob Ki Shafa‟at Qubool Farmayega. Magar Aaj Ke Is Dour Mein Kuch Aise Firqe Hai Jo Waseele Ko Haraam Aur Shirk Kehte Hai. Is Topic Me In Badmazhabo Ke Aitraz Ke Jawabat Quran Wa Hadees Ki Roshni Me De Rahe Hai. Aur Hamara Ye Challenge Hai Tamaam Badmzahab Ko Ki Waseela Haraam Aur Shirk Hai Ye Quran Wa Hadees Se Sabit Karke Dikhaye. Qayamat Aa Jayegi Magar Ye Badmazhab Makkar Koi Daleel Na De Sakenge.
Aalaazat Azeemul Barkat Mujaddid-E-Deeno Millat Imaam-E-Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai,
“Nafsi Nafsi Ka Hoga Qayamat Me Shor, Jab Kisi Par Kisika Chalega Na Jor, Unke Hatho Me Hogi Shafa‟at Ki Dor,
Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur,
Bhejen Sab Unki Shaukat Pe Lakho Salaam, Mustafa Jaan-E-Rehmat Pe Lakho Salaam.”
“Mera Yeh Kurta Le Jao Ise Mere Baap Ke Muh Par Daalo Unki Aankh Khul Jaygi Aur Apne Sab Gharwaalo Ko Mere Pass Le Aao”
(Surah Yusuf, Para 13, Aayat 93, Ruku 10, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hazrat Yusuf Alaihissalam Apne Bhaiyo Se Kehte Hai Mera Kurta Le Jaao Aur Mere Baap Yakoob Alaihissalam Ke Chehre Pe Daalo Wajah Kya Thi Yakoob Alaihissalam Ki Aankhe Gum-E-Yusuf Alaihssalam Ki Judaai Me Khoob Roya Karte The Jisse Aapke Aakho Ki Binayi Bhi Jaati Rahi Thi. Uske Baad Aage Kya Hua. Quran Ne Iske Aage Ka Zikr Kiya Ke Wo Kurte Se Hua Kya
“Phir Jab Khushi Sunanewaala Aaya Usne Woh Kurta Yakoob Ke Munh Par Daala Ussi Wakt Uski Aankhe Phir Aayi”
(Surah Yusuf, Para 13, Aayat 96, Ruku 11, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hazrat Yakoob Alaihissalam Bhi Nabi Hai Yusuf Alaihissalam Bhi Nabi Hai. Kya Nabiyo Se Badhkar ALLAH Ki Tauheed Ko Koi Samajh Sakta Hai Yakoob Alaihissalam Chahte Dua Karte. ALLAH TA'ALA Aankhe Ata Kar Deta Yusuf Alaihissalam Khud Apne Walid Ke Haq Me Misr (Egypt) Se Dua Kar Dete ALLAH TA'ALA Aankho Ki Binayi Ata Kar Deta Magar Apna Kurta
Mubarak Deke Ye Aqeeda De Rahe Hai Ke ALLAH Waalo Se Judi Chize Bhi Waseela Hoti Hai Agar Ye Aqeeda Galat Hota ALLAH Rabbul Aalameen Ye Aayat Nuzool Kar Dena Tha Yusuf Ye Shirk Hai Kurte Se Aankh Sahi Nahi Hogi Magar Jiski Nisbat ALLAH Waalo Se Hojaye Wo Bhi ALLAH Ke Nazdeek Makbool Hojati Hai Aur Ye Shirk Nahi Quran Ki Batayi Tauheed Hai. SubhanALLAH
“Khuda Jab Deen Leta Hai Aqal Bhi Chheen Leta Hai”
“Aur Usse Zakaria Ki Nigahbani Me Diya Jab Zakaria Uske Pass Uski Namaz Padhne Ki Jagah Jaate Uske Pass Naya Rizk Paate, Kaha Aye Maryam Ye Tere Pass Kaha Se Aaya Boli ALLAH Ke Pass Se Beshak ALLAH Jise Chahe Be Ginti De. Yaha Pukara Zakaria Ne Apne Rab Ko Bola Aye Mere Rab Mujhe Apne Pass Se De Suthri Aulad Beshak Tu Hi Hai Dua Sunnewaala. To Farishte Ne Use Awaaz Di Aur Wo Use Apni Namaz Ki Jagah Khada Namaz Padh Raha Tha Beshak ALLAH Aapko Muzda Deta Hai Yahya Ka Jo ALLAH Ki Taraf Se Ek Kalime Ki Tasdeek Karega Aur Sardaar Aur Hamesha Ke Liye Auraton Se Bachnewaala Aur Nabi Hamara Khasho'n Me Se”.
(Surah Al Imran, Para 3, Ayat 37 to 39, Ruku 4, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hazrat Maryam Radiallahu Anha ALLAH Ki Makbool Waliya Hai Hazrat Issa Alaihisalam Ki Walida Maazida Hai. Aap Baitul Mukkadas Me Hazrat Zakariya
Alaihissalam Ki Nigehbaani Me Rahi Waha Ek Khas Jagah Mukarir Thi Jaha Hazrat Maryam Radiallahu Anha Namaz Padhti Jo Mehraab-E-Maryam Hai Aur ALLAH Ki Jaanib Se Us Mehrab Me Naya Naya Rizq Aata Thand Me Garmi Ke Fal Garmi Me Thand Aur Bhi Tarah Tarah Ki Karamatein Nazar Aati. Chand Baatein Jo Kaabile Gaur Hai Hazrat Zakariya Alaihissalam Nabi Alaihissalam Hai Isse Pehle Bhi Baitul Mukkadas Me Baar Baar Dua Maangte Rahe Par Duaye Qabool Na Hoti. Jab Ye Dekha Ke Mehrab-E-Maryam Radiallahu Anha Ka Makaam ALLAH Ke Nazdik Qabool-O-Makbool Hai To Khas Mehrab-E-Maryam Radiallaho Anha Me Jaake Namaz Padhi Aur Dua Ki Hai Tab ALLAH Ne Dua Qabool Farmayi Farishte Se Muzda Sunaya, Paak Aur Nek Aulad Ki Basharat Farishte Ko Bhej Sunayi Ke Jo Nabiyo Me Hoga Jinhe Hazrat Yahya Alaihissalam Kehte Hai.
Pata Chala Us Khas Makaam Me Hi Dua Qabool Hui Jo Mehraab-E-Maryam Hai. Jin Makamaat Ko Bhi ALLAH Waalo Se Nisbat Hojaye Wo Makaam (Place) Bhi Ambiya Alaihissalam Ka Waseela Banti Nazar Aati Hai Ye Faisla Quran Ka Hai Ye Koi Aajka Mangadant Aqeeda Nahi Hai. Ye Quran Hai Ke ALLAH Waalo Se Nisbat Rakhnewaale Makaam Ko Bhi ALLAH Qurb Deke Apni Bargaah Ka Waseela Bana Deta Hai. SubhanALLAH
“Aur Unse Unke Nabi Ne Farmaya Uski Badhshahi Ki Nishani Yeh Hai Ke Aaye Tumhare Pass Taboot (Sakeena) Jisme Tumhare Rab Ki Taraf Se Dilo'n Ka Chain Hai Aur Kuch Bachi Hui Chize Hain Muazzaz Moosa Muazzaz Haroon Ke Tarke Ki, Uthate Laynge Usse Farishte Beshak Usme Badi Nishani Hai Agar Imaan Rakhte Ho”
(Surah Al Baqrah, Para 2, Aayat 248, Ruku 33, Tarzuma Kanzul Imaan)
Is Mukkadas Sandook Me Hazrat Moosa Alaihissalam Ka Aasa Aur Unki Mubarak Jhootiya (Footwear) Thi Hazrat Haroon Alaihissalam Ka Imama Sharif Suleman Alaihissalam Ki Anghooti, Tauraat Ke Takhtiyo Ke Chand Tukde Aur Mann Wa Salwa, Iske Elawa Ambiya-E- Kiram Alaihumusalam Ke Tasweer Wagairah Saman The.
(Tafseer-E-Roohul Bayan Vol : 01, Pg : 382 Para 02 Surah Baqrah Ayat 248)
(Tafseer-E-Saavi Vol 01, Pg : 209)
(Tafseer-E-Jalalain Under Surah Baqrah Ayat 248)
Bani Israel Is Sandook Ko Apne Aage Rakh Ke Waseela Banake Dua Maanga Karte The To Inki Duaye Makbool Hoti Thi Aur Is Sandook Ki Barkaat Se Balaye Musibat Tal Jaaya Karti Thi, Al Garaz Yeh Sandook Bani Israel Ke Liye Rehmat-O-Barkat Ka Khazeena, Nusrat-E-Khudawandi Ke Nuzool Ka Nihayat Hi Mukaddas Behtareen Zariya Tha.
(Tafseer-E-Roohul Bayan Vol : 01, Pg : 382 Para 02 Surah Baqrah Ayat 248)
(Tafseer-E-Saavi Vol 01, Pg : 209)
1. Maloom Hua Ke Ambiya Alaihissalam Ke Tabbarukat Ki Kitni Shaan-O-Azmat Hoti Hai Jab Moosa Alaihissalam Haroon Alaihissalam Se Jude Tabbaruk Aur Bhi Bahot Se Tabbarukat Ki Azmaat-O-Makbooliyat Itni Zyada Hai Ke ALLAH Ne Unka Saaf Tazkira Khud Apne Kalaam Quran- E-Kareem Me Bayan Farmaya. Un Tabburakat Se Kitni Barkat Li Jaati Hai Ye Bhi Bayan Hua To Aaj Hum Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Se Jude Tabbaruk Ka Waseela Le Ya Unse Khair-O-Barkat Ki Ummid Rakhe To Fauran Baddeen Wahabi SHIRK Ka Fatwa Lagate Hai. ALLAHU AKBAR. !
2. In Tabbarukat Ka Makam Itna Buland Hua Ke ALLAH Ke Masoom Farishte Is Sandook Ko Apne Kandho Me Uthake Hazrat Shamweel Alaihissalam Ke Darbare Nabuwat Pe Leke Pahoonchte Hai Is Mubarak Sandook Me ALLAH TA'ALA Ne Un Tabarukat Ke Liye Farmaya Isme DILO KA SUKOON HAI MOMEENO KE LIYE, Aur
Jaha Ye Mubarak Tabarukat Ho Waha Rehmate Ilaahi Ka Nuzool Bhi Hota Hai Isliye Ahle Sunnat Ki Mazliso Me Tabbarukat Ki Jiyarat Bhi Rakhte Hai Taake Rehmate Ilaahi Ki Barish Hojaye. SubhanALLAH
3. Jis Mubarak Sandook Me Ambiya Alaihissalam Ki Istemal Karda Chiz Hai Wo Sandook To Waseela Ban Jaaye Rehmato Barkat Ka Jariya Ban Jaaye To Jaha Khud Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Jisme Jahiri Ke Saath Tashrif Farma Ho To Us Mubarak Makaam Roza-E-Rasool Me Kitni Khair-O-Barkat Or
Duaye Makbool Hongi. Pata Chala Ye Aqeeda Kisi Haal Me Haraam Kufr-O-Shirk Ka Nahi Hai Balki Ye To Qurani Faisla Hai ALLAH Ki Batayi Tauheed Hai.
Hadees No: 1
Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Jab Aadam Alaihissalam Se Ek Khata Sarzad Ho Gayi Aur Fir Unhone ALLAH Ta'ala Se Is Tarah Dua Ki,
''Aye ALLAH Rabbul Aalameen Main Muahammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Waseele Se Tujhse Dua Mangta Hu, Mujhe Maaf Karde,''
To ALLAH Ta'ala Ne Pucha,
'Tumne Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Kaise Jaana?'
To Hazrat Aadam Alaihissalam Ne Farmaya,
Jab Tune Mujhe Banaya Tha Tab Maine Apna Sar Upar Ki Taraf Uthaya To Dekha Ki Arsh Par Likha Tha,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
Tab Main Samajh Gaya Ki Inka Maqam Bahot Aala Hai, Warna Tumne Ye Naam Apne Naam Ke Sath Nahi Likha Hota,
ALLAH Ta'ala Ne Farmaya
''Maine Tumhe Bakhsh Diya, Aur Wo Tumhari Hi Aulado Me Se Mere Aakhri Rasool Honge, Aur Maine Unhi Ke Sadqe Tumhe Paida Farmaya hai.''
Dusri Riwayat Me Hai Ki Jab ALLAH Ta'ala Ne Aasman-
O-Zameen Ko Paida Farmaya To Arsh Ke Khambo Par, Jannat Ke Darwazo Par, Darakhto Ki Pattiyo Par Likha Tha Ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Aakhri Rasool Hain,
Ye Dono Riwayaten Saheeh Hain.
(Tabarani Mu'jam Al-Ausat Vol: 06, Pg No. 313-314, Hadees : 6502)
(Al Majmua Fatawa Ibn Taymiyya , Vol. 2, page 150) (Ta'rikh Ibn Kathir , Chapter On 'Story of Adam')
(Shifa-Us-Siqam Fi Ziyarat Khayr-il-Anam Page No. 120- 121)
Hadees No: 2
Hazrat Usman Bin Hunaif Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai, Ki Ek Naa-Beena (Andha) Shaks Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargah Me Hazir Hua Aur Bola, 'Aap Mere Liye Dua Kijiye Ki ALLAH Ta'ala Mujhe Shifa Ata Farmaye,'
To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Agar Tum Sabr Karo To Ye Tumhare Liye Zyada Behtar Hoga, Aur Agar Tum Chaho To Main Tumhare Liye Dua Karu”
To Usne Kaha 'Aap Dua Kijiye,'
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jaao, Achhi Tarah Wuzu Karo Aur Fir 2 Rakat Namaz Padho, Aur Fir Is Tarah Dua Karo,
"Allahumma lnni As'aluka Wa Atawajjahu ilaika bi
Muhammadin Nabiyyir-Rahma. Ya Muhammadu inni Qad Tawajjahtu Bika ila Rabbi Fi Hajati Hadhihi lituqda.
Allahumma Fashaffi‟hu Fiya.” Tarjuma:
Aye ALLAH Ta'ala ! Main Tujhse Sawal Karta Hu, Aur Teri Taraf Rukh Karta Hu,
Aur Nabi-E-Rehmat Muahmmad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Waseele Se Tujhse Dua Karta Hu, Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Maine Apni Hajat Ke Liye
Aapke Waseele Se ALLAH Ki Taraf Rukh Kiya, Aye
ALLAH Ta'ala Ye Waseela Qubul Farma'
(Tirmidhi As-Sunan, Vol-05, Page-569, Hadith-3578) (Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 313, Hadees : 519)
(Ibn Majah As-Sunan, Volume-01, Page-197, Kitab : Iqamat Al Salat Wa Sunnat, Hadith-1385)
(Nasa‟i - Amal Al Yawm Wal Layla Pg : 417, Hadees -
658,659)
Is Hadees Mein Naabina Sahabi Ka Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Mein Apni Haajat Barayi Ke Liye Jana Waseela Hai Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne inko Jo Dua Taalim Farmayi Isme Bhi Apne Waseele Se Dua Mangne Ka Huqm Diya Is Hadees Mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Waseela Banane Aapki Taraf Mutawajjah Hone Ka Zikr Hai. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Khud Apne Waseele Ka Huqm Dena Sabse Badi Daleel Hai Ki Waseela Beshaq ! Jaiz Hai.
“Ba-Khuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar
Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahin To Wahan Nahin”
Hadees No: 3
Hazrate Abu Saeed Radiallahu Anhi Se Marvi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,
Ek Aisa Zamana Aayega Jab Log Foujdar Fouj Ho Kar Jihaad Karenge To Inse Puccha Jayega Ki Tumhare Darmiyaan Koi Aisa Shakhs Hai Jisne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sohbat Ka Sharf Haasil Kiya Ho Jawab Mein Kaha Jayega Haan To Uski Barkat Aur Waseele Se Jung Me Fateh Hogi Fir Ek Zamana Aayega Aur Log Jihaad Karenge To Inse Maloom Kiya Jayega Kya Tum Mein Koi Aisa Hai Jisne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Ko Dekha Ho Jawaab Hoga Haan To Iske Waseele Se Jung Mein Kamiyabi Milegi Fir Ek Zamana Aayega Aur Log Jihaad Karenge To Unse Puccha Jayega Hai Jisne Huzoor Sallallahu Aliahi Wasallam Ke Sahaba Ki Sohbat Haasil Karnewalo Ki Sohbat Ka Sharf Haasil Kiya Ho Jawaab Hoga Haan To Inke Zariye Kamiyabi Haasil Hogi (Bukhari Shareef Jild 1 Safa 406)
Ye Hadees Saaf Taur Par Bata Rahi Hai Ki Huzoor Nabi-E- Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Muqaam To ALLAH Hi Jaane Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke
Gulamo Ke Gulamo Ke Gulamo Ki Shaan Ye Hai Ki inke Waseele Se Jungo Mein Islami Faujo Ko Fatah Haasil Hoti Hai
Huzoor Mufti-E-Aazam Hind Rehmatullah Alaihi Farmate Hain..
“Wasl-E-Moula Chahte Ho To Waseela Dhoond Lo
Be Waseela Najdiyon Hargiz Khuda Milta Nahin.”
Hadees No: 4
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Jab Qahat Padta To Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib Radiallaho Ta'ala Anho Ke Waseele Se Dua Karte Farmate "AYE ALLAH Hum Teri Bargah Me Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Waseelah Diya Karte The To Tu Hume Seraab Kar Diya Karta Tha To Ab Hum Apne NABI-E-PAK Sallallaho Alaihi Wasallam Ke CHACHA HAZRAT ABBAS Radiallaho Ta'ala Anho Ko Teri Bargah Me Waseelah Banate Hain Ke Hum Per Barish Barsa To In Per Barish Barsa Di Jati ".
(Sahih Bukhari, Kitab : Istasqa, Baab : Suaal An Nas Al Imam Alistasqa Iza Qahatu Pg: 245 Hadees : 1010) (Sahih Bukhari Kitab:Fadaile Ashaab An NABI Sallallahu Alaihi Wassalam, Baab : Zikr Al Abbas Bin Abdul Muttalib Radi Allahu Anho Pg :914 Hadees : 3710) (Imam Ibn e Hibban, Sahi ibne Hibban, Kitab: As Salah, Baab : Salat Al Istasqa Vol :07, Pg: 110-111, Hadees: 2861)
(Imam Tabrani ne Mu'jam Al Ausath Vol : 03, Pg : 49, Hadees : 2437)
(Ibne Khuzimah, Sahih Ibne Khuzimah, Book: As Salah, Baab : Istihbaab Al istasqa Bi Ba'd Qarabat An NABI Vol:02 Pg: 337-338, Hadees : 1421)
“Khud Khuda Be Waasta De Ye Hamara Munh Kahan Waasta Sarkaar Hai Be Waasta Milta Nahi.”
Hadees No: 5
Ek Shaks Kai Bar Hazrat Usman Bin Affan Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Paas Apni Haajat Rawai Ke Liye Aata, lekin Hazrat Usman Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Uspar Tawajjoh Nahi Diya, Tab Wo Hazrat Usman Bin Hunaif Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Paas Gaya Aur Maamle Ki Shikayat Ki.
To Hazrat Usman Bin Hunaif Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya:
Jaao, Achhi Tarah Wuzu Karo, Aur Fir Masjid Me Aakar 2 Rakat Namaz Ada Karo, Aur Fir Is Tarah Kaho,
''Aye ALLAH ! Main Tujhse Sawal Karta Hu, Aur Teri
Taraf Rukh Karta Hu, Aur Muahmmed Sallallahu Alaihi Wasallam Nabi-E-Rehmat Ke Waseele Se Tujhse Dua Karta Hu, Ya Rasoolullah Sallallaho Alaihi Wasallam, Maine Apni Haajat Ke Liye Aapke Waseele Se ALLAH Ki Taraf Rukh Kiya, Aye ALLAH ! Ye Waseela Qubool Farma''
Aur Fir Apni Haajat Pesh Karo, Aur Fir Maim Tumhare
Sath Hazrat Usman Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Paas Chalta Hu.
To Us Shaks Ne Waisa Hi Kiya, Jaisa Ki Use Karne Ke Liye Kaha Gaya Tha,
Fir iske Baad Wo Hazrat Usman Radiallahu Ta'ala Anhu
Ki Bargah Me Haazir Hua, Darwazewale Ne Is Shaks Ka Hath Pakda Aur Hazrat Usman Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Paas Le Jaakar Bitha Diya,
Hazrat Usman Radialla Ta'ala Anhu Ne Pucha, 'Tumhe Kya Chahiye?'
To Us Shaks Ne Apni Haajat Pesh Kiya, Jo Kuch Use Zarurat Thi, Tab Hazrat Usman Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Use Ata Farma Diya.
(Imam Tabrani Ne Ma'jam As Sagheer Vol : 01 Pg : 306-
307,Hadees : 508)
(Imam Tabrani ne Ma'jam Al Kabeer Vol : 09 pg : 17-19, Hadees : 8311)
(Imam Haytami Ne Majma Az Zawaid Vol: 02, Baab : Salat Al Hajah, Hadees : 3668,)
(Imam Al-Mundhiri ne At-Targheeb Wa Tarheeb, Page No. 242, Baab : Salat Al Hajah)
(Imam Bayhaqi ne Dalail An Nubuwwah Volume : 6 Page : 167-168)
(Imam Taqi ud Din Subki ne Shia As Siqam Vol : 1 Pg : 370-372, Baab : Baad Az Wisal Un Nabi Sallallahu Alaihi Wassalam)
(Ibn Taymiyyah Ne Is Hadees Ko “Sahih” Likha Qa'ida al
Jaleela fit Tawassul Wal Waseela Page No. 156) (Imam Muhammad bin Yusuf al-Salihi Al Haadi Ne Sabl
Al Hadi, Vol :12, Baab 05 : Waseela E Mustafa Sallallahu Alahi Wassalam Baad Az Wisal, Pg : 407)
Ye Hadeese Paak Ka Waqiya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Wisaal Ke Baad Ka Hai. Jisse Ye Saaf Jaahir Hota Hai Ke Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhu Ne Sunnate Nabi Ko Apnaya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Laga Kar Dua Mangi. Aaj Badmazhab Waseele Ko Shirq Kehte Hai Kya Sahaba Ne Shirk Kiya? Kya Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Ko Waseele Se Dua Mangna Sikha Kar Shirk Ka Rasta Bataya? Astagfirullah Maz‟ALLAH Summa Maz‟ALLAH. Waseela Hargiz Shirk Nahi Hai Aur Kayi Hadeeso Se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Wisaal Ke Baad Bhi Aapka Waseela Lagana Sabit Hai.
Wahabi In Hadees Ko Lekar Ye Baate Awaam Me Bata Kar Waseela Nazaiz Hai Kehte Hai.
1) Daur-E-Farooque-E-Aazam Radiallahu Anhu Me Dekhiye Barish Na Hui To Hazrat Umar Ne Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib Ka Waseela Liya Is Se Ye Baat Saabit Hoti Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota to Hazrat Umar Hazrat Abbas Ka Waseela Na lete.
2) Isse Ye Bhi Pata Chala Ke Waseela Sirf Hayat Yaani
Zaahiran Zinda Shaks Ka Hi Waseela Lena Hai Baaki Wisal Kar Gaye Logo Ka Waseela Nazaiz-O-Shirk Hai. 3)Hazrat Umar Radi Allaho Anho Ka Bhi Aqeeda Tha Ke Waseela Ab Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Jaiz Nahi Agar Jaiz Hota To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Liya Hota.
Is Hadees Shareef Me Kahi Ye Nahi Likha Ke Baad Wisaal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Najaiz-O- Shirk Hai. Dar'asal Ye Inka Khudki Gandi Soch Ka Aqeeda Hai. 1400 Saal Se Aaj Tak Jitne Muhaddis Ne Shara-E-Bukhari Likhi Kisi Ne Bhi Ye Maana Na Nikala Ki Baade Wisaal Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Najaiz-O-Shirk Hai. Yaha Motabbar Shara-E- Bukhari Ke Kitabo Se Hadees Ke Shara Bayan Kar Rahe Hai.
Imam Jalaludin Suyuti Rahmatullah Alaih Farmate Hain 17 Hijri Me Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Ne Masjid-E-Nabuwi Ko Wasi (Badhaya) Kiya Us Saal Hijaz Me Qahat Pada Gaya Tha Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Ne Barish Ke Liye Dua Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ke Waste Se Mangi Hazrat Ibn Sa'ad Radiallaho Ta'ala Anhu Sahabi-E-Rasool Hazrat Niyar Al Aslami Radiallaho Ta'ala Anho Se Riwayat Karte Hain Ke Jab Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Barish Ke Liye Dua Karne Ke Liye Bahar Tashreef Laye Tab Unho Ne RASOOL ALLAH Ka Jubba (Perahan/Kurta) Pahna Huwa Tha. Hazrat Ibn Awn Radiallaho Ta'ala Anho Riwayat Karte Hain Ke Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Ne Hazrat Abbas Radiallaho Ta'ala Anho Ka Haath Liya Or Use Utha Kar Kaha.
"YA ALLAH Hum Aap Se Dua Mangte Hain AAP Ke
RASOOL Ke CHACHA Ke Zariye Ke Humare Yahan Se Qahat Ko Hata De Or Barish Ata Kar De''
(IMAM JALALUDIN SUYUTI, TARIKH-UL- KHULFA, Page: 140)
Hazrat Abbas Bin Muttalib Radiallahu Anho Na To KHULFA-E-RASHEEDEEN Me Hai , Na To ASHRA-E-
MUBASSHIRA Me Shamil Hai Aur Na Hi MUHAZEERIN Me Se Hai. Jabki Makamo Martaba Ke Lihaz Se Bhi Farooque-E-Aazam Radiallaho Anho Hazrat Abbas Bin Muttalib Se Afzal Hai ispe Mukhalifeen Ka Bhi Ikhtelaf Nahi Hai, Ashra-E-Mubasshara Me Hai Muhazireen Hai Khulfa-E-Rasheedin Bhi Hai Phir Aakhir Wajah Kya Thi?
i) Hazrat Abbas Radiallaho Anho Ko Isliye Aage Kiya Kyuki SALATUL ISTISQA Padhani Thi.
ii) Hazrat Abbas Radiallahu Anho Ki NISBAT-E- TAKADUSS Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Thi Ye Sabse Aham Wajah Thi Jiska Zikr Hadees Me Aaya Hai.
Iska Jawab Shaikul Islam Allama Ibn Hazar Askalani
Rehmatullah Alaihi Ne Fatahul Baari Shara E Sahi Bukhari Me Diya Hai
Hazrat Abbas Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Dua Kiya " YA ALLAH Beshak Musibatein Nazil Hoti Hai Humare Gunahon Ki Wajah Se Or Humare Astaghfar (Tuaba) Ki Wajah Se Utha Li Jati Hai. Yeh Log Mere Pass Dua Ki Darkhast Le Kar Aaye Hain KYUN KE MERI QURBAT TERE RASOOL SE HAI Or Humare Haath Dua Ke Liye
Uthe Hain Humare Gunahon Ko Na Dekh Or Humare Liye Barish Ata Kar De Or APANE RASOOL Ki CHACHA KI IZZAT Rakh Le....!
Huzoor Sallallahu Alaihi Wassalam Hazrat Abbas
Radiallaho Anho Se Aisa Sulook Karte Jaise Beta Apne Baap Se, Farook-E-Aazam Aage Farmate Hai Aye Logo Inki Tazeemo Taukeer Me Tum Huzoor Sallallahu Alaihi Wassalam Ki Pairvi Karo Aur inhe ALLAH Ki Bargaah Me Waseela Banao"
(IBN HAJAR Asqalani , FATAHUL BARI Shara-E-Sahi Bukhari, Vol: 02, Pg: 577)
Agar Hazrat Abbas Ka Hi Waseelah Lena Tha To Unhi Ka Naam Sirf Le Lena Kafi Tha. Keh Dete Ke ALLAH ABBAS BIN ABU MUTTALIB KA WASEELA Magar "APNE NABI Ke CHACHA" Kah Kar RAB Se Waseela Kyu Liya Gaya...?
Kyun Ke Hazrat Abbas Radiallaho Ta'ala Anho Ki Nisbat/Qurbat NABI-E-PAK Sallallaho Alaihi Wasallam Se Thi. Maloom Hua Yaha Bhi Dar Asal Hazrat Abbas Radiallaho Anho Ka Nahi Balki HUZOOR-E-AKRAM Sallallahu Alaihi Wasallam SE HAZRAT ABBAS KI NISBAT-E-TAKADDUS KA HI WASEELA LIYA Hai. Phir
Farooque-E-Aazam Radiallahu Anho Mimber Me Sahaba Se Farmate Hai Ke Hazrat Abbas Bin Abu Muttalib Ka Waseela Pakdo. Wo Kyu Kyuki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassalam Se Nisbate Takkabdus Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Hazrat Abbas Radiallaho Anho Se Apne Waalid Ki Tarah Muhabbat Tazeemo Taukeer Karna. Ek Bat Zehan Nashee'n Kar Len Ke SAHABA-E- RASOOL Ka Amal, Unka Qaul, Un Ka Fa'il Sab AAINA-E- RASOOL Hai. Goya Ke Maloom Huwa Ke Hazrat Umar Radiallaho Ta'ala Anho Ne Ummatiyon Ko Zehan De Diya Logo Maine Hazrat Abbas Radiallaho Ta'ala Anho Ka Waseelah Liya Jo Un Ke CHACHA Hain Tumhara Bhi Waqt Aayega To Tum Bhi AULAD-E-RASOOL (SALEHEEN) Ka Waseelah Lena.
Ab Aisa Waseelah Lena Sunnat-E-Sahaba Bhi Ho Gaya. Is Per Jo Amal Kare Woh Sahaba Ki Sunnat Per Amal Karne Se Sawab Ka Bhi Haqdar Ho Jayega.
Imam Subki Rahmatullah Alaihi Is Hadees Ke Tahet Likhte Hai
“Is Hadeese Paak Se Ye Pata Chalta Hai Ke Swalaheen Ka
Waseela Jaiz Hai, Yaha Tak Ke Kisi Musalman Ne Bhi Iska Inkaar Nahi Kiya, Sirf Wo Log Jinhone Din Me Biddat Izaat Ki Hai Wo Hi Is Waseele Ke Munkir Hue”
(Imam Subki As Sifa As Siqam Pg : 377)
Hadees No: 6
Abu-Al-Jawaza Aws Bin Abdullah Radiallahu Ta'ala Anhu Se Imam Darimi Riwayat Karte Hain Ki, Madina Ke Log Ek Bar Sukha Padne Ki Wajah Se
Pareshan Ho Gaye, Woh Ummul Momoneen Hazrate Bibi Ayesha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Ke Pas Apni Shikayat Lekar Pahuche, Aapne Farmaya Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr Ke Paas Jaao, Aur Unke Rauze Aur Aasman Ke Darmiyan Upar Ek Khidki Khol Do, Taki Rauza-E-Aqdas Aur Aasman Ke Darmiyan Koi Parda Na Reh Jaye, Raawi Farmate Hain Ki Humne Aisa Kiya To Bahot Zor Se Barish Shuru Ho Gayi, Hari Bhari Ghaas Nikal Aayin, Aur Hamare Oont Mote Ho Gaye, Ki Lagta Tha Zyada Khane Ki Wajah Se Phoot Padenge. To Is Saal Ka Naam Hariyaliwala Saal Rakha Gaya.
(Sunan Darmi Vol:001, Page 227, Hadees: 93)
(Al Wafa Bi Ahwal Lil Mustafa Baab 39: Huzoor Ki Qabr- E-Mubarak Ke Tawassul Se Barish Ka Bayan Vol:02, Pg:817/818)
(Khatib Tabrizi Mishkat Ul Masabih Vol-04,Pg:400,
Hadees : 5950)
(Imam Qastalani Al Muwahib Ul Laduniyah Vol-04, Pg:276)
(Sharah Zurqani Vol:11, Pg:150)
(Imam Taqyudin Subki Shifa us Siqaam Fi Ziyarat Khayril Anam Vol:01 Page: 128)
SubhanALLAH Ummul Momineen Hazrate Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ka Ye Aqeeda Tha Ki Agar Rouza-E-Rasool Ke Upar Khidki Khol Di Jaye To ALLAH Ta'ala Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Waseele/Tawassul Se Baarish Barsa Dega. Us Mubarak Zamane Me Kisine Ise Shirko Biddat Na Kaha Phir Ye Aajke Kam Aqal Log Khudko Sahaba-E-Karaam Se Afzal Samajhte Hai?
Hadees No: 7
Ameerul Momineen Farooque-E-Aazam Radiallaho Anhu Farmate hai
“Dua Aasman Aur Zameen Ke Darmiyan Muallak (Ruki)
Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje” (Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Page : 29, Hadees : 486)
Hazrate Umar Farooq Radiallahu Anhu Ka Bhi Ye Aqeeda Tha Ki Dua Ke Awwalo Aakhir Durood Padhne Se Duaye Rab Ta'ala Ki Bargah Me Maqbool Hoti Hai. Dua Ke Awwalo Aakhir Durood Padhna Waseela Nahi To Aur Kya Hai Mere Dosto Bujurgo? Jara Gour Kare Aur Aap Hi Faisla Kare Ki Haq Par Koun Hai.
Hadees No: 8
Hazrat ibn Seerin Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate Hai Ki Maine Hazrat Ubaida Se Kaha
Hamare Pass Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch
Moo-E-Mubarak (Hair) Hain Jise Humne Hazrat Anas Radiallahu Anho Ya Unke Gharwaalo Se Haasil Kiya Hai. Hazrat Ubaida Radi Allahu Anho Ne Farmaya,
Agar Unme Se Ek Moo-E-Mubarak Bhi Mere Pass Hota To Wo Duniya Aur Jo Kuch Is Dunya Me Hai Un Sab Se Kahin Zyada Mehboob Hota"
(Sahi Bukhari Vol:01, Book : 4 Kitab Al Waju, Pg : 75,
Hadees : 171)
(Imam Bayhaqi - Sunan Al Kubra Vol:07,Pg:107, Hadees : 13410)
Hadees No: 9
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki
“Maine Dekha Hajjam (Barbar) Huzoor Sallallahu Alaihi
Wasallam Ke Sar Mubarak Ki Hajamat Bana Raha Tha Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Kiram Radiallahu Anho Azmaeen Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ird Gird Ghoom Rahe The Aur Unme Se Har Ek Ki Yeh Koshish Thi Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Koi Ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Unme Se Kisi Na Kisi Ke Haath Me Aajayen"
(Sahi Muslim, Vol:04, Pg : 1812, Kitab No 43 : Kitab Al
Fazail, Baab No 19 : Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Logon Se Karibi Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tabbarukat Se Barkat, Hadees : 2325) (Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol:19, Pg:363, Hadees : 12363)
(Abd bin Humaid Vol:01,Pg:380, Hadees : 1273)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 07, Pg:108, Hadees
: 13411)
Hadees No: 10
Israel Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Usman Bin Abdullah Bin Muhab Ne Kahan Mere Aadmiyo Ne Mujhe Paani Katora (BOWL) Leke Umme Salama Radiallaho
Anha Ke Pass Bheja Hazrat Israel Ne 3 Ungli (Choti Ungli Se Ishara Kiya Jisme Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Baal Mubarak The) Usman Radi Bin Abdullah Radiallaho Anho Bayan Karte Hai Agar Koi Shaks Buri Nazar Ya Dusri Bimariyo Me Mubtela Hota To Pani Ka Katora Leke Umme Salama Radiallaho Anha Ke Paas Jata. Umme Salama Ke Pass Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Baal The Aur Usme Kuch Baal Laal (Red) The.
(Sahi Bukhari, Book 77 : Kitab Al Libas, Baab 66 , Hadees 5957)
Sahaba-E-Kuram Azmaeen Kitna Adab-O-Ehtaram Karte The Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ke Aapke Ek Baal Mubarak Ko Zameen Par Na Girne De Aur Aapke Baal Mubarak Ko Duniya Ki Tamaam Chizo Se Jyada Mehbeeb Samze. Aur Umme Salma Radiallahu Anha Aur Digar Sahaba-E-Kiram Ka Bhi Yahi Aqeeda Tha Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tabarrukat Yani Aapke Baal Mubarak Ke Waseele Se ALLAH TA‟ALA Shifa Ata Farmayega. SubhanALLAH..
Hadees No: 11
Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho Farmate Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Umme Sulaim Radiallaho Anha Ke Ghar Tashreef Laate Aur Unke Bistar Par So Jaate Or Wo Waha Na Hoti. Ek Din Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Laaye Aur Unke Bistar Per So Gaye. Wo Aayi To Logo Ne Kaha Huzoor
Sallallahu Alaihi Wasallam Aapke Ghar Tashrif Laaye Hain Or Aap Ke Bistar Pe So Rahe Hai. Yeh Sun Kar Wo Aayi To Dekha Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pasina-E-Mubarak Aa Raha Hai Or Pasina-E-Mubarak Chamde Ke Bistar Per Jama Ho Gaya Hai. Umme Sulaim Radiallaho Anha Ne Apni Shishi Nikali Aur Paseena-E- Mubarak Usme Daalne Lagi.Nabi-E-Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Bedar Hue Aur Farmaya,
“Aye Umme Sulaim Ye Kya Karti Ho?”
Umme Sulaim Ne Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Hum Apne Bachcho Ke Liye Aapke Arka-E-Mubarak Ke Ummidwar Hai Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Tune Sach Kaha.”
Sahaba Huzoor Ke Arka Mubarak Ko Badan Me Mal Liya Karte The Tamam Balao Se Mehfooz Raha Karte The (Sahi Muslim, Kitabul Fazail, Baab - Tibbe Araqun Nabi Sallallahu Alaihi Wassalam Baab No.204, Hadees :1346) (Sunan Nasai Vol. 08, Pg : 218, Hadees : 5371)
(Musnad-E-Abu Yaala Vol : 06, Pg : 409, Hadees : 3769)
(Sahi Ibn-E-Khuzaimah Vol : 01, Pg : 142, Hadees : 281) (Sahi Ibn-E-Hibban Vol : 10, Pg : 387, Hadees : 4528) (Fathul Baari Shara-E-Sahi Bukhari - Imam Ibn Hazar Asqalani Vol : 06, Pg :573)
Hadees-E-Paak Se Sahaba-E-Kiram Ka Aqeeda Pata Chalta Hai Ke Wo Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tabarukat Ko Jama Karte Aur Unse Shifa Ki Ummid Bhi Rakhte The. Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne Bhi Unke Is Amal Ko Pasand Farmaya. Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anho Ne Apni Wafat Ke Wakt Wasiyat Bhi Ki Thi Mere Kafan Me Wohi Khusbhu Lagayi Jaaye Jisme Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Mubarak Paseena Mila Ho. Is Hadeese Pak Se Wo Log Sabak Le Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wassalam Ko Apne Jaisa Aam Bashar Mante Hai. Maz‟ALLAH.
“Be-Adab Ahtaraam Kya Jaane, Kufr-O-Imaan Kya Jaane,
Jise Apni Hasti Ka Pata Na Ho,
Wo Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Muqaam Ka Jaane.”
Hadees No: 12
Hazrate Asma Binte Abu Bakar Radiallahu Ta”ala Anha Ke Ghulaam Hazrat Abdullah Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Mujhe Hazrate Asma Radiallahu Ta”ala Anha Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta‟ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ke Jubba Mubarak Ke Mut”allik Bataaya Aur Farmaya :
Yah Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta‟ala Alaihi Wa
Aalehi Wasallam Ka Jubba Mubarak Hai Aur Phir Unhone Ek Jubba Nikaal Kar Dikhaaya Jo Mota Dhaareedaar Kisarwaani
(Kisra Ke Badshah Ki Taraf Mansoob Hai) Jubba Thaa Jis Ka Girebaan Deebaaz (Qeemti Kapde) Ka Thaa Aur Uske Daamanon Par Deebaaz Ke Sinjaaf (Qeemti Kapade Ki
Jhaalar) The Hazrat Asma Radiallahu Ta”ala Anha Ne
Farmaya :
Yah Mubarak Jubba Ummul Momineen Bibi Aaisha Radiallahu Ta‟ala Anha Ke Paas Un Ki Wafaat Tak Mahfooz Raha, Jab Unki Wafaat Hui To Yah Meine Le Liya. Yahi Wo Mubarak Jubba Hai Jise Huzoor Nabi-E- Akram Sallallahu Ta‟ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Pahante The.
To Ham Use Dho Kar Us Ka Paani Bimaaron Ko Pilaate Hain Aur Us Ke Zareeye Shifa Talab Ki Jaati Hai.” (Sahih Al-Muslim, Vol-03, kitabul Libas Wa Zeenah , Page-801-802 Hadees-2069)
(Abu Dawood As-Sunan, Vol-04, Pg-49, Hadees-4054)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol-02, Pg-423, Hadees- 4010)
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Jism Se Mas Ho Jaye Wo Kapda Sahaba-E-Kiram Alaihi Rizwanullahi Alaihim Azmaeen Us Jhubba Mubarak Ko Bhi ALLAH Ki Bargaah Me Barkat Or Waseela Samajhte The. Pata Chala Ke ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Jism-E-Mubarak Se Nisbat Rakhnewaali Chiz Bhi Bando Ko Shifa Deti Nazar Aati Hai.
Aaj Jo Nam-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Munkir Hai Kya Unhe Bukhari Or Muslim Ki Ye Hadeese Nazar Nahi Aati.
ALLAH Ke Nek Bande Bhi Madad Karte Hai:
“To Beshak ALLAH AZZWAJAL Unka Madadgar Hai Aur
Jibril (Alaihiss alaam) Aur Nek Imaanwale (Wali) Aur Uske Bad Farishte Madad Par Hai.”
(Sure Tahrim, Para 28, Aayat 4, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Logon Ko Ne'mat Ata Farmana.
"Aur Kya Hi Achcha Hota Agr Wo Is Par Razi Hote Jo ALLAH Aur Rasool Ne Unko Diya Aur Kehte Humain ALLAH Kafi Hai Ab Deta Hai Humain Apne Fazl Se ALLAH Ka Rasool Humain ALLAH Hi Ki Taraf Ragbat Hai"
(Sure Al Toubah, Para 10, Aayat 59, Ruku 7, Tarzuma Kanzul Imaan)
Isiliye Hum Sunni Hanafi Barelviyo Ka Aqeeda Hai Ki
ALLAH Denewala Hai
Nabi Bhi Denewale Hai ALLAH Ki Ata Se
ALLAH Ke Nek Wali Bhi ALLAH Ki Ata Se Denewale Hai
Ye Hum Nahi Kehte Khud Quran-E-Pak Ne Kaha Hai Aur Jo Quran Na Maane Uska Inkar Kare Wo Kaafir Hai.
"Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye Denewala Hai Sachcha Humara Nabi.
Sallallahu Alaihi Wasallam"