Post by Mohammed Aarif Waghoo on Dec 2, 2016 20:35:53 GMT 5.5
Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ
Pehle Yeh Jaan Ley K Ahle Sunnat K Nazdeek Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manana Koi Farz Ya Wajib Nahi, Yeh Ek Mustahab Amal Hai, Jo Kare Us Ko Sawab Milega Aur Jo Nahi Kare Us Par Koi Gunaah Nahi.
Ab Baat Yeh Aati Hai K Kya islaam Hume'n ijazat Deta Hai Eid-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ki Ya Nahi ?
is Ka Jawab Yeh Hai K Quran-o-Hadees Ki Roshni Mein Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manana Bilkul Jaa'iz Hai.
Koi Bhi Dusre Maslak Ka Aalim Aaj Tak Sharayi Daleel Milaad K Haraam Ya Naja'iz Hone K معاذ الله Na Aaj Tak Laa Saka Hai Na La Sakega.
Aage Aane Waale Posts Mein Hum Janenge Ki Kis Tarha Eid-e-Milad-un-Nabi ﷺ Manana Jaa'iz Hai Quran-o- Hadees Ki Roshni Mein
12vi Sharif Ki Nisbat Se ان شاءالله عزوجل Ye 12 Topics Jo Neeche Diye Gaye Hai Aur Mazeed Kuch Points Bhi Pesh Karne Ki Koshish Ki Jayengi.
1 - Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Kab Huwi ?
2 - Quran Kya Farmata Hai ?
3 - Rasool'Allah ﷺ Ne Kya Apna Milaad Manaya ? Aur Rasool'Allah ﷺ Ne Apne Milaad K Mutalliq Kya Farmaya ?
4 - Kya Kisi Sahabi Ne Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manaya Hai ?
5 - Abu Lahab Ne Bhi Milaad Manaya ?
6 - Juloos Nikalna Kis Ki Sunnat ?
7 - Jhande Lehrana Kis Ki Sunnat Hai ?
8 - Naat Sharif Padhna Kis Ki Sunnat Hai ?
9 - Milaad Par Kharch Karna Kaisa ?
10 - Shaitan Ki Ruswayi Kyu ?
11 - Shab-e-Qadr Se Bhi Afzal Raat Kuan Si Hai ?
12 - Kis Kis Aimmah-o-Muhadiseen Ne Eid-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Ko Jaa'iz Kaha Hai ?
Aur Kuch Jahilana Aitraaz K Jawaabat Wagairah Bhi Dene Ki Koshish Ki Jayegi
Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Kab Huwi ?
12 Rabi-Ul-Awwal Par Tamam Ulama-E-islam Ka ijma Hai K is Din Muhammad ﷺ Saare Alam K Liye Rehmat Ban Kar Duniya Mein Tashreef Laye Aur is He Din Saari Duniya Mein Musalman Apne Nabi ﷺ Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai.
Reference
1 - Ibn-e-Ishaq
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 85-151 Hijri )
[ ibn-e-Jawzi Ne Al-Wafa, Page No. 87 ]
2 - Allama ibn-e-Hisham
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 213 Hijri )
[ ibn-e-Hisham Ne As-Sirat-un-Nabawiya, Jild No. 01, Page No. 158 ]
3 - Imam-e-ibn-e-Jareer Tabari
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 224-310 Hijri )
[ Tarikh Al-Umam Wa Al-Muluk, Jild No. 02, Page No. 125 ]
4 - Allama Abu Al-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 370-480 Hijri )
[ Ailam-Un-Nabuwwa, Page No. 192 ]
5 - imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 671-734 Hijri )
[ Aayun Al-Asr, Jild No. 01, Page No. 33 ]
6. Allama ibn Khaldun
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 732-808 Hijri )
[ ibn Khaldun Ne At-Tarikh Jild No. 02, Page No.394 ]
7 - Muhammad As-Sadique ibrahim Arjoon
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
[ Muhammad Rasoolullah, Jild No. 01, Page No. 102 ]
8. Shaikh Abdul Haq Muhadath Dehlvi
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
( 950-1052 Hijri )
[ Madarij-un-Nabuwwah, Jild No. 02, Page No. 14 ]
9. imam-e-Qustallani
ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
[ Al Muwahib Al Laduniya, Jild No. 01, Page No. 88 ]
is Se Sabit Huwa Ki Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat 12 Rabi-ul-Awwal Ko He Huwi.
Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Mein Allah Kya irshaad Farmata Hai ?
“ Tum Farmao Allah He K Fazal Aur Ushi Ki Rehmat Aur Ushi Par Chahiye K Khushiya Kare. "
( Surah Yunus , Ayat No. 58 )
is Ayat Mein Allah Ne Apne Fazal Aur Apni Rehmat Par Khushiya Manane Ka Hukm Diya Hai.
" Aur Hum Ne Tumhe Na Bheja Magar Rehmat Saare Jaha'n K Liye"
( Surah Ambiya , Ayat No. 107 )
is Ayat Mein Allah Apne Pyare Nabi ﷺ Se Farma Raha Hai K Hum Ne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Bal K Saare Aalam K Liye Rehmat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi ﷺ Ko Rehmat Kaha Hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gayi Hai Us Mein Allah Ne Apni Rehmat Par Khushi Karne Ka Hukum Diya Hai.
Jo in Ayaton Ka Munkir Honga Jo Nabi ﷺ Ko Apne Liye Allah Ki Rehmat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi-e-Paak ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Ghum Manayega Nabi ﷺ Ki Wiladat Par Magar Hum Toh Khushiya'n He Manayenge
Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Mein Allah Kya irshaad Farmata Hai ?
" Apne Rab Ki Nemato'n Ka Khub Khub Charcha Karo ”
( Surah Duha, Ayat No. 11 )
is Ayat Mein Allah Ta'ala Ne Hume'n Apni Nemato'n Ka Charcha Karne Ka Hukm Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Ki Sab Se Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Us K Rasool ﷺ Hai ! Baat Ko Samjhane K Liye Qur'aan Ki Ek Ayat Pesh-e-Khidmat Hai.
" Beshak Allah Ka Bada Ehsan Huwa Musalmano Par Ki Un Mein Unhi Mein Se Ek Rasool ﷺ Bheja Jo Un Par Us Ki Aayate'n Padhta Hai Aur Unhe Paak Karta Hai ”
( Sureh Al-imran, Ayat No. 164 )
Mere Pyaare islami Bhaiyo Aap Saara Qur'aan Padh Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Ne Ye Nahi Kaha K Hum Ne Tumhe Ye Nemat Dekar Tum Par Ehsan Kiya Hai Siwaye Apne Mehboob Nabi ﷺ K
is Se Maloom Huwa K Allah Ki Sab Se Badi Nemat Hamare Liye Us K Nabi ﷺ Hai.
Toh Kya Pehli Ayat Mein Allah Ne Jo Hukm Diya Us Par Amal Karte Huwe Hum Humare Pyaare Pyaare Aaqa ﷺ Ki Wiladat Na Manaye'n ?
Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Mein Allah Kya irshaad Farmata Hai ?
" Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Mein Se Wo Rasool ﷺ Jin Par Tumhara Mushakkat Mein Padhna Gawara Nahi Hai, Tumhari Bhalayi K Nihayat Chahne Wale Musalmano'n Par Kamale Meharban Meharban "
( Surah Tauba , Ayat No.128 )
is Ayat Mein Allah Tabarak wa Ta'ala Khud Gawahi De Raha Hai Apne Rasool ﷺ Ki Hum Gunahgaro'n Se Be-inteha Muhabbat Aur Hum Par Meharban Hone Ki.
Aayiye Aap K Saamne Ek Hadees Pesh Karta Hu'n Apne Pyaare Aaqa ﷺ K Meharban Hone Ki, Chunanche Aaqa-e-Kareem ﷺ Ka Farman Magfirat Nishan Hai, Jis Ne Mujh Par 100 Martaba Durood-e-Paak Padha Allah Us Ki Dono Aankho K Darmiyaan Likh Deta Hai Ki Ye Nifaaq Aur Jahannam Ki Aag Se Azaad Hai Aur Us Se Ba-Roze Qiyamat Shohdaa K Saath Rakhega."
( Majmuazzawayad, Jild No. 10 , Page No. 253, Hadees No. 17298 )
Ab 100 Baar Darood Shareef Padhna Kaunsi Badi Baat Hai ?
Magar Phir Bhi Jahannam Se Nijaat Ki Basharat De Di Gayi Ab Yeh Meharbani Nahi Toh Kya Hai ?
Ab Aur Kya Kya Reason Chahiye Tumhe Apne Pyaare Nabi ﷺ Se Muhabbat Karne K Liye Aur Un Ki Ki Wiladat Ki Khushi Manane K Liye ?
Note :- Baara-e-Meharbani Rozana Kam Az Kam 100 Baar Darood Shareef Padhna Aap Bhi Apna Mamool Banale'n.
Rasool'Allah ﷺ Ne Kya Apna Milaad Manaya ?
Rasool'Allah ﷺ Apne Milaad K Mutallik Kya Farmaya ?
Hadees No. 01
Hazrat-e-Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai,
Rasool-E-Karim ﷺ Se Peer Ka Roza Rakhne K Baare Mein Sawaal Kiya Gaya To Rasool'Allah ﷺ Ne Farmaya Ki,
" is He Din Meri Wiladat Huwi Aur is He Din Mujh Par Qur'aan Nazil Huwa "
( Sahih Muslim , Jild No. 02 , Hadees No. 819, Page No. 1162 )
( Nasayi Al Sunan-e-Kubra, Jild No. 02, Hadees No. 146, Page No. 2777 )
Hadees No. 02
" Huzoor ﷺ K Zamane Mein Masjid-E-Nabwi Mein Milaad Huwi is Mein Khud Aaqa-e-Kareem ﷺ Ne Apni Wiladat K Fazail Bayan Kiye."
( Tirmizi Shareef, Jild No. 02, Page No. 201 )
Hadees No. 03
" Khud Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Apne Milaad Par Allah عزوجل Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targib Di " Hadees Taweel ( Badi ) Hai Poori Tafseel Neeche Diye Gayi Hadeeso'n Ki Kitabo'n Main Check Ki Jaa Sakti Hai
( Muslim Shareef, Jild No. 02, Page No. 819 )
( Nisaayi Shareef, Jild No. 02, Page No. 147 )
( Baihaqi Shareef, Jild No. 04, Page No. 286 )
Kya Kisi Sahabi Ne Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manaya Hai ?
Saboot No. 01
Hazrat Abu Saeed Khudri رضی الله تعالی عنہ Se Riwayat Hai Ki Muawiya رضی الله تعالی عنہ Se Riwayat Hai Ki Aaqa-e-Kareem ﷺ
Bahar Nikle Sahaba K Halqey Par, Rasool'Allah ﷺ
Ne Farmaya,
" Tum Yaha'n Kis Wajah Se Beithy Ho, Unho'n Ne Farmaya Hum Allah Se Dua Kar Rahe Hai'n Aur Us Ka Shukar Ada Kar Rahe Hai'n Ki is Ne Apna Deen Hum Ko Batlaya Aur Hum Par Ehsan Kiya Aap Ko Bhej Kar. "
( Sunan Nisai, Hadees No. 5432 )
Saboot No. 02
" Sahaba Aur Taba'in Aur Digar Ahle islam Ne Peer K Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya "
( Abu Dawood, Jild No. 01, Page No. 331)
Saboot No. 03
" Makkah Shareef K Log Nabi-e-Paak Ki Paida'ish Ki Jagah Ko Milad-Un-Nabi ﷺ K Din Har Saal Ziyarat Karte Aur Mehfile'n Munaqid Karte "
( Jawahir Al Bihaar, Page No. 1222 )
( Note : Aap Se Bhi Guzarish Hai Ki Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Din Roza Rakhkar Sahaba-e-ikram Ki Sunnat Par Amal kare'n )
Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa ?
Rasool'Allah ﷺ Ne Farmaya,
"Juma’ah Ka Din Sab Dino Ka Sardar Hai, Allah K Nazdeek Sab Se Bada Hai Aur Wo Allah K Nazdik " Eid-ul Azha " Aur " Eid-ul Fitr " Se Bada Hai. Allah Ne is Mein Hazrat-e-Adam عليه السلام
Ko Pa'ida Kiya, is Mein Zameen Par Unhe Utara Aur is Mein Unhe Wafat Di. "
( Sunan ibn-e-Majah, Jild No. 02, Page No. 08, Hadees No. 1084 )
is Hadees Mein Teen Khaslate Hazrat-e-Adam عليه السلام K Liye Bayan Ki Gayi Jis Mein Aap Ki Wafat-e-Zahiri Ka Bhi Zikr Hai, To Pata Chala Ki Ek Nabi Ki Paida'ish Un Ka Zameen Par Utarna Aur Un Ki Wafat K Din K Ba-Wajood Bhi Mo’mino K Liye Allah Ne Ushe Eid Bana Diya. Aur To Aur Woh Din Eid-ul-Azha Aur Eid-ul-Fitr Se Bhi Afzal Kar Diya.
Mairaj Ki Raat Aaqa-e-Kareem ﷺ Ne Tamaam Anbiya Ki imamat Ki Thi "
( Sunan Nisai, Jild No. 01, Page No. 221 )
Jaisa Ki Hadees Se Pata Chalta Hai Ki Hamare Sarkar ﷺ Tamam Ambiya K Sardar Aur imaam Hai'n, Un Ki Tashreef Aavari Par Hum Us Din Ko Kyu'n Eid Na Kahe, Bal K Hum To Ushe Eido'n Ki Eid Kahenge Ki Un Ki Tashrif Aavri Ki Wajah Se He To Hume Baki Eid Mili Aur Har Hafte Mein Ek Eid Kar K Poore Saal Mein 52 Eid Yaani Jum'ah Ka Tohfa Mila Woh is He " Rehmat-ul-Aalameen " Ki Tashrif Aavari Se Mila Hai To Hum Kyu'n Us Din Khushi Na Kare ?
Kya Abu Lahab Ne Bhi Milaad-e-Mustafa ﷺ Manaya ?
Jab Huzoor ﷺ Ki Wiladat Huwi Tab Abu Lahab Ki Laundi ( Gulam Aurat / Lady Slave ) Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Huwa Hai is Khushi Mein Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K ishare Se Azad Kiya Tha. Bas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Us K Baad Ahl-e-Khana Ne Ushe Khuwab Mein Buri Halat Mein Dekha To Us Se Puchha " Tera Kya Haal Hai ? " To Abu Lahab Ne Kaha " Main Ne Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai Jis Se Main Ne Hazrat Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya Ko Aazad Kiya Tha "
( Sahih Bukhari, Jild No. 01, Page No. 153, Hadees No. 5101, Kitaab-un-Nikaah )
Ahle imaan Ka Eid-e-Milaad-e-Mustafa ﷺ Manane Ka Kya Faa'ida Hai ?
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne " Ma Sabta Minas Sunna " Mein Jo Hadees Post No. 09 Mein Mention Ki Gayi " Us Hadees Ko Naqal Farmaya Hai, Abu Lahab Ki Londi Thi Jis Ka Naam Sobiya Tha, Us Ne Sarwar-e-Do Alam ﷺ Ki Peda'ish Par Abu Lahab Ko Khabar Di Thi To Rasool'Allah ﷺ Ki Peda'ish Ki Khabar Sunne Par Abu Lahab Ne Sobiya Ko Azaad Kar Diya Tha. To Abu Lahab K Marne K Baad Kisi Ne Us Se Khuwaab Mein Dekha, Pucha K " Kaho Kya Haal Hai ? " To Woh Bola, Aag Main Hu Albatta itna Karam Hai K Har Peer Ki Raat Mujh Par Takhfeef Kardi Jaati Hai Aur isharey Se Bataya K Apni Do Ungliyo Se Pani Choosleta Hu Aur Yeh inayat Mujh Par is Wajah Se Hai Ki Mujhe Sobiya Ne Bhatijey Ki Peda'ish Ki Khabar Di Thi To is Basharat Ki Khushi Mein, Mein Ne Us Ko Do Ungliyo'n K ishare Se Azaad Kar Diya Tha Aur Phir Us Ne Us Se Doodh Pilaya Tha ".
imam Jizri ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليہ is Hadees K Tehat Farmate Hai Jab Ek Kafir Ka Ye Haal Hai To Wo Ummati Jo Apne Rasool Ki Muhabbat Mein Milaad Peh Maal Kharach Karta Hai Us Ka Kya Sila Hoga ?
( Muwahib Ad Dunnya Jild No. 01, Page No. 27 )
Note : Pyaare islami Bhaiyo Zara Gour Kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammad ﷺ Ki Wiladat Par Unhe Nabi Maan Kar Nahi Bal K Apna Bhatija Maan Kar Khushiya Manaya Tha To Ushe Ye Faida Huwa K Ushi Ungli Se Ushe Pani Pilaya Jaata Hai Jis Se Us Ne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Mein Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya Tha.
Toh Woh Musalman Jo Aap Ko Allah Ka Nabi ﷺ Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho Ki Unhe Allah Ki Bargah Se Kya inaam Milege ?
Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ko Eid Kehna Kaisa ?
Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samajh Lete Hai Eid Ka Lugvi Ma'ina ( Meaning ) Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Mein Kahega To Wo Yaahi Kahega " Eid " ishe Samjhane K Liye Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Surah Maida Ki Ayat No. 114 Ek Ayat Pesh-e-Khidmat Hai,
" Essa ibn-e-Mariyam Ne Arz Ki Aye Allah ! Aye Rab Hamare ! Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar K Woh ( Kuwan Utarne Ka Din ) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglo'n Aur Pichlo Ki "
is Ayat Se Maloom Huwa K Jis Din Allah Ki Khas Rehmat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Essa عليه السلام Ne Dua Mangi.
Aap Khud Faisla Kare K Jis Din Hazrat Essa عليه السلام Par Kuwan Jaisi Nemat Utri To Wo Un K Agly Aur Pichlo'n K Liye Eid Ho To Jis Din Saare Alam K Liye-o-Jaha'n K Liye Jo Zaat Rehmat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yaani Khushi Kaise Na Ho ?
Special Event Occurred During Milaad-e-Mustafa ﷺ
Riwayat No. 01
Hazrat-e-Fatimah Binteh Abdullah رضى الله تعالى عنه Farmati Hai'n, " Huzoor ﷺ Ki Wiladat K Waqt Mein Ne Sitaaro Ko Dekha K Aasman Se Niche Utar Aaye Hai "
( Mawahib-ul-Ladduniya, Jild No. 01, Page No. 22 )
Riwayat No. 02
Hazrat-e-Fatimah Binte Abdullah رضى الله تعالى عنه Farmati Hai'n, " Huzoor ﷺ Ki Wiladat K Waqt Mein Ne Dekha K Saara Ghar Noor Se Pur Tha "
( Hujjatullahi Alal Alameen, Page No. 227 )
Riwayat No. 03
" Aaqa ﷺ Ki Wiladat K Waqt Aap Ki Walida K Pas Aasman Se 4 Aurate'n Aayi,
1 ) Hazrat Hawwah
2 ) Hazrat Saarah
3 ) Hazrat Haajrah
4 ) Hazrat Aasiyah "
( Tafsir-e-Alam Nashrah, Page No. 95 )
Riwayat No. 04
Rasool'Allah ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Allah Kareem Ne Us Din / Raat Tamam Maao'n Ko Bete Ki Khushi Se Nawaza.
Books References:
Khasa'is-ul-Kubra, Jild No. 01, Page No. 117
Anwar-e-Muhammadiya, Page No. 22
Seerat-ul-Halbia, Jild No. 01, Page No. 78
Mawahib-ul-Laddunya, Jild No. 01, Page No. 111
Jhande Lehrana Kis Ki Sunnat Hai ?
Saboot No. 01
Hazrat-e-Amina رضى الله تعالى عنه Farmati Hai'n Ki,
" Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Huwi Us Waqt Hazrat Jibreel علیہ السلام Ne 3 Jhandey Nasab Kiye Ek Magrib Mein, Ek Mashrik Mein Aur Ek Kaabe Ki Chat Par "
is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddees Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarij-un-Nabuwa " Jild No. 02 Mein Naqal Kiya Hai.
Saboot No. 02
Hadees Shareef Mein Aata Hai K Jab Sarkar ﷺ Madina Shareef Mein Dakhil Huwe To Aap K Haath Mein Sabz Jhanda Tha.
( Wafa Al Wafa, Jild No. 01, Page No. 243 )
Saboot No. 03
Huzoor ﷺ Ki Peda'ish Par Hazrat Jibraeel علیہ السلام Ne Jhandey Garhey.
( Khasais Al Qubra, Jild No. 01, Page No. 82 )
Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna Kis Ki Sunnat Hai ?
Saboot No. 01
Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ K Liye Masjid-e-Nabawi Shareef Mein Mimbar
Rakhte Aur Hazrat Hassan رضی الله عنہ Us Par Khade Ho Kar Huzoor ﷺ Ki Shaan-e-Aqdas Mein Natiya Ashaar Padhte The Aur Huzoor ﷺ Farmate Jab Tak Hassan Mere Baare Mein Naatiya Aur Fakhariya Ashaar Padhta Rahega To Beshak Allah Ta'ala Ruh-ul-uqdas ( Hazrat Jibrail عليه السلام ) K Zariye Hassan Ki Madad Farmata Hai "
( Sunan Abu Dawood, Kitab-ul-Adab, Baab Fi'Shaar, Jild No. 05, Page No. 176, Hadees No. 5015 )
( Sunan Tirmizi, Kitab-ul-Adab, Baab Fi'inshad'Shaar, Jild No. 03, Page No. 561-562, Hadees No. 2846 )
Saboot No. 02
Hadees Mein Hai Ki Ek Sahabi رضی الله عنہ Ne Arz Kiya K Mujhe Huzoor ﷺ Ki Wo Waali Naat Sunao Jo Turait Mein Hai "
( Mishkaat Shareef, Bab-ul-Fazail, Syed-ul-Mursaleen, Page No. 512 )
Kya Ab Bhi Naat Nahi Padhoge ?
Sahaba-e-ikraam Ki Sunnat Par Amal Nahi Karoge ?
Juloos Nikalna Kis Ki Sunnat Hai ?
Aaye Dekhte Hai Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Mauke Par Nikale Jaane Waale Juloos K Mustahab Amal Hadees Ki Roshni Mein
Pehle Hum Kuch Point Note Karlete Hai Ki Juloos Mein Hota Kya Hai ?
1 - Naat Padhi Jaati Hai Jis Mein Aaqa-e-Karim ﷺ Ki Shaan Aur Azmat Ka Bayaan Kiya Jaata Hai.
2 - Khushi Mein Jhandey Lehraye Jaate Hai.
3 - Log ikhattey Jama Hote Hai Aur Naare Lagaye Jaate Hai.
Yeh Sab Points Ko Ab Hum Hadees Ki Roshni Mein Dekhte Hai.
Point No. 01
is Ka Jawaab Aap Ko Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Post : 14 Mein Mil Jayega " Naat Shareef Padhna Kis Ki Sunnat ? "
Point No. 02
is Ka Jawaab Aap Ko Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Post No. 13 Mein Mil Jayega " Jhande Lehrana Kis Ki Sunnat ? "
Point No. 03
Juloos Nikalna Logo'n Ka Jama Hona.
Saboot No. 01
" Hum ( Sahaba-e-ikram ) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor ﷺ K istiqbal K Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye "
( Bukhari Shareef, Jild No. 01, Page No. 543 )
Saboot No. 02
Jab Aaqa ﷺ Hijrat Kar K Madine Shareef Aaye To Logo'n Ne Khoob Jashan Manaya Nau-Jawaan Ladke Apni Chattan Par Chadh Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Mein Phirte The Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte Ya RasoolAllah ﷺ
( Sahih Muslim Shareef, Jild No. 02, Page No. 419 )
Magar Yeh Sab Karne Se Hota Kya Hai ?
Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Sifaat Aur Azmat Ka Bayan Sunana Aur Sunna Khud Allah عزوجل Aur Us K Ambiya (عليه السلام) Ki Sunnat Hai. Chunanche Allah عزوجل Qur'aan Mein Woh Waqaya Bayaan Farmata Jab Huzoor ﷺ Ka Zikr Kiya Gaya Toh Tamaam Ambiya ( عليه السلام ) Ko ikattha Kiya Gaya Aur Huzoor ﷺ Ki Sifaat Allah عزوجل Ne Ambiya ( عليه السلام ) Ko ikatha Kar K Khud Bayan Farmaya
( Surah Al Imran : 81 ).
Lihaza Yeh Sabit Huwa Ki Logo'n Ko ikattha Kar K Huzoor ﷺ Ki Sifaat Bayaan Karna Qur'aan Se Sabit Hai.
Zameen-o-Zama'n Tumhare Liye
Makin-o-Makah Tumhare Liye
Chuni-o-Chunah Tumhare Liye
Bane Do Jaha'n Tumhare Liye
Ya Rasool'Allah ﷺ
Milaad Par Kharch Karna Kaisa Hai ?
is Topic K Liye Mein Ne Ye Riwayat Pesh Karni Thi Jo Neeche Di Gayi Hai Magar Aap Mazmoon Ko Poora Padhe'n.
1 - Hazrat Abu Bakr رضی الله عنه Ne Farmaya, " Wo Shaks Jannat Mein Mere Sath Hoga Jis Ne Milaad Par Ek Derhum Bhi Kharch Kiya."
2 - Hazrat Umar رضی الله عنه Ne Farmaya, "Jiss Ne Milaad Ki Tazeem Ki Us Ne Deen Ko Zinda Kar Diya."
3 - Hazrat Usman رضی الله عنه Ne Farmaya, " Jo Milaad Par Ek Derhum Kharch Karega Us Ko Badr Ka Shohada Jitna Sawaab Milega."
4 - Hazrat Ali رضی الله عنه Ne Farmaya, " Milaad Manane Waala Duniya Se Emaan Ki Nemat Le Kar Jayega, Aur Bila Hisaab Jannat Mein Dakhil Hoga "
Sahaba Se Saboot
( Ibn-e-Kaseer, Maulid-ul-Mustafa, Page No. 29-30 )
( Al-Mustadrak, Page No. 327, Jild No. 03 )
( Khasais-Ul-Qubra, Page No. 97, Jild No. 01)
( Anwar-ul-Muhammadiya, Page No. 62 )
( Ibn-e-Kaseer, Jild No. 04, Page No. 321 )
( Al-Mustadrak, Jild No. 02, Hadees No. 4174 )
" Milaad Par Kharch Karna Kaisa ? " K Mutallik Ek Riwayat Pesh-e-Khidmat Hai "
Ek Sahab Ne Pucha Huzoor ﷺ Se Ki Hum Aap K Milad Par Khushiyaa'n Manate Hai'n Kya Aap Ko Achcha Lagta Hai ?
Aaqa-e-Karim ﷺ Ne Farmaya, Jo Hum Se Khush Hota Hai Hum Us Se Khush Hote Hai'n"
( Tazkirat-ul-Waezeen, Page No. 600 )
Ab Mujhe Toh Koi Aur Daleel Ki Zarurat Nahi Milaad Manane Aur Us Par Paisa Kharch Karne Ki.
Aur Aap Ko ?
Munqireen Ne Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Jahilana Aitraazo K Jawabaat.
Aitraaz No. 01
Aala Hazrat Radi'Allahu Ta'ala Anhu Ne Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Ka Din 8 Rabi-ul-Awwal Likha Hai ?
Jawaab No. 01
Aala Hazrat imaam Ahmed Raza Khan Fazile Bareilly Radi'Allahu Ta'ala Anhu Ne Yaum-e-Wiladat-e-Mustafa ﷺ K Baare Mein 7 Aqwaal ( 02, 08, 10, 12, 17, 18, 22 ) Tehreer Karne K Baad Farmate Hai Ki Jamhur Ulma Wa Muhaqiqeen K NazdeeK 12 Rabi-ul-Awwal He Wiladat Ka Din Hai. Aur islaam Mein 12 Rabi-ul-Awwal Ko He Milaad Shareef Manaya Jaata Hai.
( Fatawa-e-Razwiya, Jild No.14, Page No. 365 )
Aitraaz No. 02
Milaad Manana Biddat Hai !
Kya Sahaba Ne Kabhi Milad Manaya Hai Jaise Aap Log Manate Ho ?
Jawaab No. 02
Watch / Download This Video From Youtube
" Allama Kokab Noorani Okarwi 12th Rabi-ul-Awwal "
is Video Mein Kuch Points Jo Allama Kokab Noorani Sahab Farmate Jis Ki Mafhoom Hai, " Biddat Ki Definition He Nahi Pata Munqireen Ko.
Aise Lakho'n Kaam Hai Jo Sahaba Ne Nahi Kiya Tum Karte Ho. Agar Aise Kaam Biddat Hai Jo Aaqa-e-Kareem ﷺ K Zamane Mein Nahi Thi Aur Ab Hai Toh Kya Tum The Us Zamane Mein ?
( Yaani Tum To Khud Chalti Phirti Biddat Ho )
Jab He To Aala Hazrat Mujaddid-o-Deen-o-Millat Ne Farmaya
Tujhe Se Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho Hum Rasool'Allah ﷺ K Jannat Rasool'Allah ﷺ KI
Munqireen Ne Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ K Jahilana Aitraaz K Jawabaat
Aitraaz No. 03
12 Rabi-ul-Awwal Mein Khanah-e-Kaabah Aur Madinah Munawwara Kyu Nahi Sajaya Jata Jab islam Shuru He Waha'n Se Huwa Hai ?
Jawaab No. 03
Pehle Baat Toh Yeh Zehan Mein Rakhle'n Hume'n Kisi Kaam Ko Manne K Liye Aaj K Duar K Saudi Wahabiyo Ki Daleel Ki Hajat Nahi Hai Qur'aan Aur Hadees Sharif Hamare Liye Kaafi Hai.
Agar Aisa Kisi Kaam Ka Manna K Liye Aaj K Saudi Wahabiyo Ki Daleel Le To Mujhe Bataye'n 23rd September Ko Jo National Day Yaani " Saudi Day " Manaya Jata Hai Yeh Kaha'n Se Saabit Hai ?
Kya Qur'aan-o-Hadees Se Sabit Hai ?
Kis Sahabi Ne Kiya Tha Aisa Kaam ?
Kaha'n Hai Taba'een Ya Tabe'Taba'een Se is Ka Zikr ?
Shayad Carodo'n Rupaiya Suadi Day Mein Barbad Karte Hai Wahabi Log Kisi Mein Himmat Nahi Ki Jakar in Se is Amal K Baare Mein Puche. Magar Hum Agar Kuch Paisa Milaad Shareef K Liye Kharch Karde'n Phir Kuch Logo'n Ko Taqleef Hoti Hai
Khair Jo Aitraz Likha Hai Us K Jawaab K Liye Hume'n Thoda Sa Tareekh ( History ) Par Nazar Dalna Padhegi. Aaj Se Kam-o-Besh 100 Saal Pehle ( 1924 Se Pahele ) Khanah-e-Kaabah Aur Madeenah-e-Munawwara Mein Bahut Shandar Tareeqe Se Rabi-ul-Awwal Ka Jashan-e-Wiladat-e-Mustafa ﷺ Manaya Jata Tha Saari Dunya Se Badh Kar Chiragha Kiya Jata Tha. Lekin 1924 Mein ibn-e-Abdul Wahab Najdi Ne Jazirat-ul-Arab Par Hamla Kiya Aur Musalmano Ka Qatl-e-Aam Kiya, Waha Ki Khilafat-e-Umaniya Ko Hata Kar Apni Na-Jaa'iz Hukumat Qaa'im Ki Aur Naam Saudi Arabiya Rakh Diya. Aaj Bhi Us Zaleel K Manne Waale Bad-Aqeedah Log Jashan-e-Wiladat Nahi Manate. Kuch Log Jo Deobandi Kehlate Hai Woh Bhi Jashn-e-Wiladat Ko Manane Se inkaar Karte Hai. Haa'n Lekin Apne Darul Uloom Deoband Ka Jashan Bohat Zoq-o-Shoq Se Manate Hai Aur Us Mein Mushrika indra Gandhi Ko Bhi Mimber Par Betha Dete Hai. is Waqiye Ko Mazeed Tafseel Se Janne K Liye is Link Par Click Kare
click here
is Mein Tafseeli Malumaat Hai Us Sharmnak Waqiye Ki Jis Mein Ek Kafir Aurat Ko Bulakar Us Ko Badi izzat Di Gayi.
Ek Baat Samjhle Ki Jo Nabi ﷺ Ka Gustakh Hai Us Ko Zaleel Karna Qur'aan Aur Sahaba Ki Taalim Hai. Qur'aan Mein Surah Lahab, Surah Qalam Dekhle.
Sahabi Hazrat Abu Ubaida Ibn-e-Jaraa رضی الله عنہ Ne Apne Baap Ka Qatl Kar Diya Tha Jab Us Ne Huzoor ﷺ Ki Gustakhi Ki Thi. Ab Aap Bataye'n in K Nazdeek Tarana-e-Deoband Padhna Jaa'iz Hai Magar Naat-e-Mustafaﷺ Padhne Mein inhe Takleef Hoti Hai. Toh Kya Yeh Gustakhi Nahi ?
Aitraaz No. 04
Ab Yeh Kehte Hai Hamare Peeche Namaz Kyu'n Nahi Padhte ?
Hume'n Salaam kyu'n Nahi Karte ?
Are Sharm Aani Chahiye Kalma Padhte Ho Us Ka Bhi Haq Ada Nahi Kar Sakte ?
Tum Apni Aulad Ki Paida'ish Par Khush Hote Ho, Dawat Dete Ho, Woh Duniyawi School Aur College Mein Exam Mein Pass Huwa Toh Khub Mithaiya'n Taqseem Karte Ho, Us Ki Shaadi Huwi Toh Khub Ghar Ko Sajata Hai. Lazeez Pakwan Banwaye Achche Achche Qeemti Aur Naye Kapde Pehne. Kya Yeh Sab Karne Se Pehle Manga Tha Saboot Qur'aan Ya Sahih Hadees Se
Kya Pucha Tha Tum Ne Kisi Se Ki Mein Khush Ho Raha Hu. Kya Arab Mein Bhi Aise Khush Hote Hai ?
Sharm Nahi Aati Tumhe Ab Bhi Apne Aapko Musalman Kehte Huwe ?
Tumne Har Khushi Bina Daleel K Manayi
Kya Mere Aaqa ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Manane Ka Waqt Aaya To Tumhe Sab Daleel Ki Hajat Pesh Aagayi Aur Tum Ne is Se Bid'at Keh Diya ?
Sach Kehta Hu'n Apne Emaan Ka Muhasba Karo Socho is Baare Mein in Sawaalo'n Ka Jawaab Tum Yaha'n Duniya Mein Nahi De Sakte Aakhirat Mein Kaha'n Se Doge ?
Khudara Khudara Apne Aap Par Reham Khaye'n Musalman Banna Hai Toh Sachche Musalman Bane'n Warna Yaha'n Toh Logo'n Yeh He Samjhenge Ki Tum Musalman The Magar Aakhirat Mein Kahi'n Tumhe Sab K Samne Ruswa Na Hona Padhe.
Ulema, Fuqah, Mufassireen, Aur Muhadisseen Jinhone " Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ " Ko Jaa'iz Farmaya Hai.
01 - imaam-e-Jalaluddin Suyuti ( Born in 849 Hijri ) Ne Apni Kitaab " Husn-ul-Maqsad Fi Amaleel Mawlid " Mein Jashne Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
02 - Mulla Ali Qari ( 1014 Hijri ) Ne Apni Kitab " Al Morid-ul-Ruvi Fi Maulidin Nabi ﷺ Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
03 - Muhaddis imaam ibn-e-Jawzi ( Born in 510 Hijri ) Ne Apni Kitab ibn-e-Jawzi, Ne Jashn-e-Milad-un-Nabi ﷺ Manaane Ko Jaa'iz Farmaya
04 - imaam Shamsuddin Al Juzri ( 660 Hijri ) Ne Apni Kitaab Husn-ul-Maqsid Fi Amalil Mawlid Eid Milaad-un-Nabi ﷺ Manana Jaa'iz Farmaya
05 - imam Nawawi K Shaikh imam Abu Shama ( Born in 599 Hijri ) Ne Apni Kitaab " Al Baa'is Ala inkaril Bada wal Hawadis " Aur " Sublul Huda wal Rushad by imam Salihi Ne Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
06 - imam Zahbi ( 673 Hijri) Ne Apni Kitaab " Sayer-ul-A'alam wan Nubala " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
07 - imam ibn-e-Kaseer ( 701 Hijri ) Ne Al Bidaya wan Nihaya Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya.
08 - imam Shamsuddin Bin Naseeruddin Damashqi ( 777 Hijri ) Ne Apni Kitab " Mawrid-ul-Saadi Fi Mawlidil Haadi " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya.
09 - imam ibn-e-Hajar Asqalani ( 773 Hijri ) Ne Apni Kitab " Suyuti, Husn-ul-Maqsad Fi Amalil Mawlid " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya.
10 - imam Shamsuddin Al Sakhawi ( 831 Hijri ) Ne Apni Kitab " Sublul Huda wal Rushad By imaam Salihi Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
11 - imam Qustulani ( 851 Hijri ) Ne Apni Kitaab " Al Mawahib-ul-Laduniya " Mein Jashn-e-Milad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
12 - imam Qutubudin Hanafi ( 988 Hijri ) Ne Apni Kitab " Al A'alam Be-A'alam-e-Baitillahil Haram " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manaane Ko Jaa'iz Farmaya
13 - imaam ibn-e-Hajar Makki ( 909 Hijri ) Ne Fatawa Haadisia Mein Jashn-e-Milad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
14 - Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi ( 958 Hijri ) Ne " Ma Sabat Minas Sunnah " Mein Jashn-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manaane Ko Jaa'iz Farmaya
15 - imam Zarqani (1055 Hijri ) Ne " Sharah Mawahib-ul-Laduniya " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
16 - Hazrat Shah Abdur Rahim Dehelwi Ne Apni Kitab " Al Dur rus Sameen " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
17 - Shah Waliullah Muhaddis Dehelwi ( 1174 Hijri ) Ne " Fuyuz-ul-Haramain " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
18 - Haji imdadullah Muhajir Makki ( 1233 Hijri ) Ne " Shamaim-e-imdadiya Aur Faisala-e-Haft Mas'ala " Mein Jashn-e-Milaad-Un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
19 - Maulana Abdul Hayi Lakhnawi ( 1264 Hijri ) Ne "Fatawa Abdul Hayi " Mein Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya
20 - Aala Hazrat Azeem-ul-Barkat imaam Ahmed Raza ( 1272 Hijri ) Ne Jashn-e-Eid Milad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Farmaya.
Aitraz No. 04
Tum Sunni Jis Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manaate Ho Us Din Fatima Radi Allahu Ta'ala Anha Ne Farmaya Tha Aaj Muhammed ﷺ Ki Beti Par Gham Ka Wo Pahad Tuta Hai Agar Suraj Par Toot Jata Toh Suraj Apni Roshni Ko Barbaad Kar Baith taa !
Tum Sunni Ashiq-e-Rasool ﷺ Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Umar Radi Allahu Ta'ala Anhu Apne Hosh-o-Hawaas Kho Baithe Teh
Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Hasnain Nana Nana Kartey Huwe Roh Rahe Teh
Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din K Baad Fatima Radi Allahu Ta'ala Anha K Chehre Par Kisi Aurat Ne Muskurahat Nahi Dekhi Thi
Tum Sunni Us Din Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Manate Ho Jis Din Muhammed ﷺ Ki Wafaat K Baad Rome K Badshaho'n Ne Keh Diya Tha Madine Shareef Ki Eint Se Eint Baja Do in Ka Sardar Faut Ho Gaya Hai
Tum Sunni Us Din Juloos Nikalte Ho Jis Din Sahaba Gham Se Nidhaal Teh
Tum Sunni Us Din Jalsa Aur Juloos Nikalte Ho Jis Din Ummat-ul-Momineen Hazrat Aisha Radi Allahu Ta'ala Anha Ka Suhaag Lut Gaya Tha !
Tum Sunni Us Din Jalsa-o-Juloos Nikalte Ho Jis Din Mere Muhammed ﷺ Ne Aisha Radi Allahu Ta'ala Anha K Godh Mein Apni Jaan Ko Rab K Hawale Kar Diya Tha !
Allah Ki Khasam Ye Mere Nabi Se Muhabbat Nahi Dushmani Hai !
Say No To Milad, Wake Up Ya ikhwaan
Jawaab No. 04
Pehli Baat To Yeh Hai K Yeh Sirf Fuzool Ki Jahalat Hai Jis Bad-Aqeedah Ne Yeh Aitraz Kiya Us Bad-Aqeedah Ne Nahi Koi Daleel Di Aur Na He Koi Mazmoon Par Baat Kiya, Bas Waqiyaat Ko Gol Mol Kar K Pesh Karta Raha, Baat Yeh Hai K Maiyat Par 3 Din Se Zayada Soog Yaani Ghum Ki Shari'at Mein ijazat Nahi Hai, Lehaza Koi Bhi Yeh Sabit Nahi Kar Sakta Hai K Aaqa-e-Kareem ﷺ K Parda Farmane K Baad Kisi Sahabi Ne 3 Din Se Zayada Zahiri Wafat K Baad Soog Yaani Ghum Kiya Ho, Yeh Jis Ney Bhi Jahilana Aitraz Banaya Hai is Ko Zahiri Wafat K Din K Waqiyaat Tou Yaad Hai'n, Peda'ish K Din K Waqiyaat Yaad Nahi, Agar Shetaan Ne Ankho'n Par Patti Bandh Di Hai Tou Us Patti Ko Kholo Aur Dhyan Se Dekho.
Ab in Ki Munafikat
Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabhi Apne Baap Dada Ka 3 Din Gham Manaya ( Teeja Kiya ) ?
Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabi Apne Baap Dada Ka 40 Din Gham Manaya ( 40 Wa Kiya ) ?
Kya is Bad-Aqeedah Ne Kabi Apne Baap Dada Ka 1 Saal Ka Gham Manaya ( Barsi Kiya ) ?
Nahi Na ?
Aur Chale Hume'n Gham Manao Bolne K Liye Aur Hum Sunniyo Ko Dushman Kehta Hai Rasool ﷺ Ka Kambakht Tum Gustakh-e-Rasool ﷺ Kabhi Nahi Sudhar Sakhte Apne Baap Dada Ka Gham Na Kiya Kabhi Aur Aaj 1400 Saal Bad Zinda Nabi ﷺ Ka Gham Manane Ki Yaad Aaraha Hai ?
Shari'at Ne Hume'n 3 Din Se Zayada Gham Banane Ki izazat Nahi Di. Deobandi, Tabligee, Wahabi, Nazdi, Ahle Khabees Tum Kis Ki Shari'at Par Amal Karte Ho ?
Hum Se Kehte Ho Ki Kis Sahabi Ne Milaad Manaya Batao. Hum To Daleel De De Kar Thak Gaye Magar Tum Sirf Ek Daleel Batao Ki
Kis Sahabi Ne Har Saal 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Gham Aur Youm-e-Wafaat Manaya Aur Kis Sahabi Ne 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Gham Banane Ka Hukm Diya ?
Qur'aan Aur Hadees Se Sabit Karo
Kis Muhaddis, Mufassir, Mufakkir, Wali, imaam Ne 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Har Saal Gham Manaya Aur Youm-e-Wafaat Manaya ?
Kisi Ek Kitab Ka Hawala De Do
Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Ki Surah Anbiya Ayat No. 107 Mein Huzoor ﷺ Ko Tamaam Jahano'n K Liye Rehmat Kaha Gaya. Aur Ek Jagah Qur'aan-e-Kareem wa Furqan-ul-Hameed Surah Younus Ki Ayat No. 58 Mein irshad Huwa: " Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Ki Ata Kurda Rehmato'n Ka Khub Charcha Karo"
To Huzoor ﷺ Se bedh Kar Hamare Liye Rehmat Konsi Hai ?
Allah Ki Rehmat Milne Par Ghum Manana Chahiye Ya Khushi Karni Chahiye ?
Mein To Khushi He Manaunga Meri Samjh Mein Yeh Hi Aata Hai Meri Samjh Mein Kya Har insaan Jis K Pass Dimaag Hoga Woh Khushi He Manayega Kyu'n K Aaqa-e-Kareem ﷺ Se Badi Nemat Koi Nahi Hai.
Ab Jis Bad Aqeedah Ne Yeh Sawaal Kiya Hai Us K Baare Mein Samjh Mein Toh Ye He Aata Hai K Woh Aala Darje Ka Jahil Hai. Na Ushe Deen Ka ilm Hai Aur Na He Duniya Ki Samajh
Allah Aise Bad Aqeedah Logo Se Hum Momino Ki Hifazat Farmaye. Ameen
Eid-e-Milad-Un-Nabi ﷺ Aimma Wa Muhaddiseen Ki Nazar Mein
01 - imaam Jalaaluddin Suyuti رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai " Mera Maukif Ye Hai Ki Rasool-e-Muazam ﷺ Ka Youm-e-Wiladat Asl Mein Khushi Aur Musarrat Ka Ek Aisa Mauqa Hai Jis Mein Log Jam'ah Ho Kar Ba-Qadr-e-Sahulat Qur'aan Khawani Karte Hai Aur Woh Un Riwayaat Ka Tazkira Karte Hai Jo Rasool'Allah ﷺ K Baare Mein Manqool Ho Aur Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat-e-Mubarak K Maujizaat Aur Khariq-ul-Aadat Waqiyaat K Bayaan Par Mushtamil Ho Phir Us K Baad Un Ki Ziyafat Un K Pasandidah Khano Se Ki Jaati Hai. Woh is Bid'at-e-Hasana Mein Kisi izaafa K Bagair Laut Jaate Hai Aur is Ahtamaam Karne Waale Ko Huzoor ﷺ Ki Tazeem Ki Badaulat Aur Rasool'Allah ﷺ K Milaad Par Farhat Aur Dili Musarrat Ka izhar Karne Ki Bina Par Sawaab Se Nawaza Jata Hai. "
( Husn-ul-Maqasad, Fi Amaleel Mawleed )
02 - Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Jo Fiqh-e-Hanafi Mein Mautabar Faqeeh Jinhe Deobandi Bhi Maante Hai. Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Ne Jashn-e-Milaad-un-Nabi ﷺ Par Kitaab Likhi Hai " Al-Morid-ul-Ruvi Fi Maulidin Nabi ﷺ " Jis Mein 12 Rabbi-ul-Awwal Ko Milaad-un-Nabi ﷺ Manane Par Jamae Guftugu Ki Hai Aur Eid Milad-un-Nabi ﷺ Manane Ko Jaa'iz Aur Sawaab Samajhte Hai. Aur Afsos Hanafi Fiqah K is imaam Ko Deobandi imaam To Maante Hai Magar Un K Milaad K Maukif Ko Nahi Maante !
Mulla Ali Qaari رحمۃ اللہ علیہ Ne is Kitaab Mein Milaad Manane Ka Zikr Kiya Hai Jis Mein 12 Wi Ko Majlees Qayam Karna, Naat Khawani Karna, Tarah Tarah K Khaane Pakana, Khushi Manana, Gareebo Ko Paise Dena, Aulma Ko Jam'ah Karna, Qariyo Ko Jama Kar K Qirat Ki Mehfil Sajana, Qism Qism Ki Naimato Ka Ahtamaam Karna , Khushbuye Lagana, Hazaaro Mishkaal Sona Kharch Karna, Aur Bohut Se Aamaal Jo Jaa'iz Aur Halaal Hai Ushe Karne Ka Zikr Farmaya Hai.Deobandi imaan K Saath Mulla Ali Qari رحمۃ اللہ علیہ Ki is Kitaab Ko Padhe Aur Hidayat Haseel Kare.
03 - Muhaddis imaam ibn-e-Jawzi رحمۃ اللہ علیہ ( Born 510 Hijri - Parda 579 Hijri ) Makkah Mukarrama, Madina-e-Munawwarah, Misr, Shaam, Yaman Garz Sharq Se Garb Tak Arab Shareef K Bashinde Milaad-un-Nabi ﷺ ِ Ki Mehfile Munaqid Karte Aaye Hai. Jab Rabi-ul-Awwal Ka Chaand Dekhte Hai To Un Ki Khushi Ki inteha Nahi Rehti Chunaanche Zikr-e-Milaad Padhne Aur Sunne Ka Khususi Ahtamaam Karte Hai Aur Be-Panah Ajr wa Qamyabi Haseel Karte Hai "
( ibn-e-Jawzi - Al Milaad-un-Nabi ﷺ Page No. 57 (
Wahabi Kya Fatwa Lagayege imaam ibn Jawzi Par Aur Ahle Arab Par ?
04 - imaam Shamsuddin Al Juzri ( 660 Hijri ) Phir Main Ne ( Suyuti ) imaam-ul-Qurra Hafiz Shamsuddin Al Juzri Ki Kitab " Urfut Tareef Fi Mawlid Ash Shareef " Mein Ye ibarat Dekhi. Abu Lahab Ko Marne K Baad Khawaab Mein Dekha Gaya. Us Se Pucha Gaya Ab Tera Kya Haal Hai ?
Kehne Laga Aag Mein Jal Raha Hu. Taaham Har Peer K Din Mere Azaab Mein Takhfeef Kar Di Jaati Hai. Ungli Se ishara Karte Huwe Kehne Laga Ki ( Har Peer Ko ) Meri in Dono Ungaliyo K Darmiyaan Se Paani Ka Chashma Nikalta Hai Jis Se Mein Pee Leta Hu Aur Ye Takhfeef-e-Azaab Mere Liye is Wajeh Se Hai Ki Mein Ne Sufiya Ko Aazaad Kiya Tha Jab Us Ne Mujhe Muhammad ﷺ Ki Wiladat Ki Khushkhabri Di Aur Us Ne Aap Ko Doodh Bhi Peelaya Tha. Jab Abu Lahab Jaise Kaafir Ka Ye Haal Hai Jis K Baare Mein Qur'aan-e-Majeed Mein Mazammat Nazil Huwi Ki Baawajood is K Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Mein Peer Ki Raat Us K Azaab Mein Takhfeef Kar Di Jaati Hai To Phir is Muhid ( Tauheed Parast ) Ummati Ka Kya Haal Hoga Jo Rasool'Allah ﷺ Ki Milaad Par Khushi wa Musarrat Ka izhaar Kare Aur Hasb-e-istedaad Rasool'Allah ﷺ Ki Muhabbat Ki Wajeh Se Kharch Kare. Mujhe Apni Umar Ki Qasam Beshak is Ki Jazaa Rab-e-Kareem Zaroor Dega Aur Apne Fazlo Karam Se Us Se Jannat Ki Nemato'n Mein Daakhil Karega.
( imaam Suyuti Ne Husn-ul-Maqasid Fi Amaleel Mawlid, Page No. 65 - 66 )
( Allama Yousuf Salahi Ne Subl-ul-Huda wal Rushad, Jild No. 01, Page No. 366 )
Hafidh ibn-e-Kathir Wrote That : There Was Once A King, Abu Sa’eed Malik Muzaffar - A Man Of Good Deeds. in His Kingdom, Wherever He Saw A Lack Of water, He Would Build A Well. He Also Established Many islamic Study Centers. Every Year, He Would Spend Half A Million Dinars On Hosting A Gathering Of His People To Celebrate The Birthday Of The Prophet. ( May Allah Bless Him And Grant Him Peace )
( Tareekh Ibn Kathir, See Story Of King Abu Sa’eed, Volume No. 13 )
Some People Have The Opinion That King Abu Sa’eed introduced The Celebrating Of This Occasion. This is Not True Because Hafidh ibn Kathir States That in The 5th Century Hijri, A King Named Malik Shah Celebrated it Also With A Gathering
( Tareekh ibn-e-Katheer Biography Of Malik Shah )
Yeh To itne Bade Munafiq ( Dogle ) Hai Ki Jis Ki Pairvi Karte Hai Us Ki He Baat Nahi Maante Bas Apni Apni Chalate Hai
01 - ibn-e-Taymiyya Likhte Hai
فتعظيم المولد، واتخاذه موسمًا، قد يفعله بعض الناس، ويكون له فيه أجر عظيم لحسن قصده، وتعظيمه لرسول الله صلى اللهعليه وسلم
is Din ( Milad-un-Nabi ﷺ ) Ko Ehtemam Se Manana Aur is K Tazeem Karna, Jaisa K Log Karte Hai, is Niyyat Se Huzoor ﷺ Ki Muhabbat Ki Wajah Se Ajr-e-Azeem Ka Baa'as Ho Sakta Hai "
( ibn-e-Taymiyya , iqtidah As Sirat Al Mustaqeem , Volume No. 02 , Page No. 621 - 622 )
02 - ibn Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi, in His Book, Writes “ Thuwaiba, Who Was The Freed Slave Of Abu Lahab Fed Rasool'Allah ﷺ Milk. Abu Lahab Freed Suwaiba At The Time When She informed Him That A Son Has Been Born At Your Brother’s House. After The Death Of Abu Lahab He Was Seen in A Dream, in Which He Said I Am in Severe Punishment But This is Lessened On Mondays, He Showed His Forefinger, And Said That He Would Suck From it. This is So Because it Was With This Finger That I Freed Suwaiba When She informed Of The Birth Of The Prophet, And She Also Fed The Prophet ﷺ Milk”
ibn-e-Jawzi States " Abu Lahab is That Kaafir Who Has Been Specially Referred To, in The Qur’aan. If Such A Person Can Be Rewarded For Celebrating The Milaad Of The Prophet ﷺ, Then imagine How Great The Reward Would Be For A Muslim When He Celebrates it.
( Mukhtassar Sirat-ur-Rasool, “Milaad-un-Nabi ﷺ”, By ibn Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi )