Post by Mohammed Aarif Waghoo on Jul 11, 2017 9:44:40 GMT 5.5
Shab-E-Meraj Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ALLAH Rabbul Aalameen Ne Apne Nabiyo Ko Koi Na
Koi Mozeza De Kar Duniya Me Bheja. Huzoor Sarware Qounain Sallallahu Alaihi Wasallam Ko ALLAH Rabbul
Aalameen Ne La Tadaad Mojezat Se Nawaza Hai. Usme Se Sabse Khaas Mozeza Hai Shab-E-Meraj
ALLAH Rabbul Aalameen Ne Quran-E-Kareem Mein Meraj Ka Zikr In Muqaddas Aayato Ke Zariye Farmaya
Hai
“Paaki Hai Use Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid-E-Haraam (Khana-E-Kaaba) Se Masjid-E-Aksa
(Baitul Mukaddas) Tak Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Use Apni Azeem Nishaniya Dikhayi
Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”
(Surah Bani Israel, Para 15, Ayat 01, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
"Aur Wah Aasmane Bari Ke Sabse Buland Kinare Par Tha. Fir Wah Jalwa Nazdik Hua. Fir Khoob Utar Aaya. To
Us Jalwe Aur Us Mehboob Me Do Hath Ka Fasla Raha Balqi Usse Bhi Kam. Ab "Wahi" Farmayi Apne Bande Ko
Jo "Wahi" Farmayi. Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha. To Kya Tum Unse Unke Dekhe Hue Par Jhagadte Ho. Aur
Unhone To Wah Jalwa Do Bar Dekha Sidratul Muntaha Ke Pas.
(Sure Al Najm, Para 27, Aayat 7-14, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
Rehmat-E-Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ek Raat Ke Kuch Hisse Me Masjid-E-Haraam Se Masjid-E-Aqsa Tak
Fir Sato Aasmano Se Sidratul Muntaha Se Laa Maqa Se Aapne ALLAH Ta'ala Ka Deedar Kiya Aur Aap Zameen
Par Jalwa Afroz Hue. Isi Safar-E-Meraj Me ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aapko Namaz Ka Tohfa Ata Farmaya. Aur
Isi Safar-E-Meraj Me Aapne Tamaam Ambiya
Alayhissalam Ki Imaamat Ki Aur Unse Mulaqat Ki. Aur Jab Aap Safar-E-Meraj Se Loute To Aapne Masjid-ENabwi Shareef Mein Bayan Farmaya. To Sabse Pehle Aapke Safar-E-Meraj Me Deedar-E-Ilahi Ki Shahadat
Denewale Hazrate Abu Bakar Siddiq Radiallahu Anhu The Aur Tab Hi Aapko Huzoor Sallallahu Alayhi
Wasallam Ne Siddiq Laqb Ata Farmaya.
SubhanALLAH
Aaj Ke Is Dour Me Kuch Bad Aqeeda Firqe Ke Log Meraj Ka Inkar Karte Hai. Mazallah. Aur Kai Log Sawalat Karte
Hai Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Meraj Roohani Hasil Hui Ya Jismani. Kya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Apne Rab Ka Deedar Kiya. Aise Tamaam Sawalat Ke Jawab Daleel Ke Sath Yaha Pesh Kar Raha Hu.
Hadees No: 1
Bis’aat Ke 11ve Saal Hizrat Se 2 Saal Pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif Ke Din Nabi-E-Karim Sallallahu
Alaihi Wasallam Namaze Isha Ada Karne Ke Baad Apni Chacha Jaad Behan Umme Hani Radiallahu Anha Ke
Ghar Aaram Farma Rahe The Ke Daulat Khana -E-Aqdas Ki Chhat Khuli Aur Hazrat Jibril Alaihissalam Ne Huzoor-
E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Umme Haani Radiallaho Anha Ke Ghar Se Masjid-E-Haram Me Laake
Hatim-E-Kaaba Me Leta Diya”
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham Vol : 02, Zikre Asra Wal
Meraj, Pg : 38)
(Futuhool Baari Shara-E-Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam , Vol :
07, Pg : 256, Hadees: 3887)
"Chumte Hai Jo Aa Kar Talwa Mere Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ka, Puchiye Jibril Se Rutba Mere Sarkar Sallallahu Alaihi
Wasallam Ka."
Hadees No: 2
Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Jab Safare Meraj Me Gujar Hazrate Moosa Alayhissalam Ki Qabr-E-Mubarak Ke Pass Se Jo Raith Ke Surkh Teele
Ke Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Qabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail-EMoosa Alayhissalam, Page : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai, Vol : 2, Page : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Alayhissalam
Hadees: 1630/1636)
Gair Mukallid Ke Idara Darusalam Ne Bhi Is Hadees Ko Sahi Likha Hai.
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis:
1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Ne : Al-Musnad, Vol : 03, Pg- 148, Hadees: 12526, 13618)
SubhanALLAH..
Ye Hadees Shareef Se Ye Saabit Hua Ki Ambiya Alayhissalam Sirf Apni Qabre Anwar Me Zinda Hi Nahi
Hai Balqi Apni Qabre Anwar Me Namaz Jaisi Ibadat Bhi Karte Hai.
Hadees No: 3
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyail Mursaleen Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aamad Baitul Mukkadas
Me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihissalam Ko Pehle Se Hi Jama Kiya Gaya Tha Sarakre Do Aalam Sallallahu Alaihi
Wasallam Ko Dekh Sabne Khushaamdeed Kaha Aur Namaz Ke Waqt Sabne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam
Ko Imamat Ke Liye Aage Hone Ko Kaha Aur Phir Jibrail E Ameen Alayhissalam Ne Sarware Qaynat Sallallahu
Alaihi Wasallam Ka Dasta Mubarak Pakad Kar Aage Badha Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Tamam Ambiya Alaihissalam Ki Imamat Farmayi”
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E
Salat Vol : 01, Page : 81, Hadees : 448)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Page : 160,
Hadees : 3879)
Imam Busairi Rehmatullah Alihi Farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya Jaise Makdoom Apne Khadimo Ke
Aage Hote Hai Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Radiallahu Anhu iski Tashreeh Karte Hai
"Namaz-E-Aksa Me Ye Tha Yehi Sirr, I’yaa Ho Maniye Awwal Aakhir Ki Dasta Basta Hai Pichhe Haazir,
Jo Saltanat Aage Kar Gaye The"
Hadees No: 4
Imaamul Ambiya Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Pehle Aasman Me Hazrat Aadam Alayhissalam Se
Mulakat Ki. Dusre Aasman Me Hazrat Yahya Alayhissalam Aur Isaa Alayhissalam Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf Alayhissalam Se Mulakat Ki Chauthe Aasman Me Hazrat Idrees Alayhissalam Se
Mulakat Ki Panchwe Aasman Me Hazrat Haroon Alayhissalam Se Mulakat Ki Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah Alayhissalam Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah Alayhissalam Se Mulakat Ki.
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)
SubhanALLAH Beshaq ! Tamaam Ambiya Alayhissalam Apne Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai Ye Sabit Hua.
Hadees No: 5
Habeeb-E-Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam SIDRATUL MUNTAHA Ke Pass Tashreef Laaye. Ye Ek BAIRI Ka PED
(Tree) Hai Jiski Jadd (Root) Chate Aasman Par Sur Shakein (Branches) Satwe Aasman Ke Upar Hai Iske FAL
(Fruits) Makam-E-Hazr Ke Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi Ke Kaano Ki Tarah Hai. Hazrat Jibril Alaihissalam
Ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yaha 4 Nahren Mulahiza
Farmayi Jo SIDRATUL MUNTAHA Ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme Se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi. Aap Nab-EKarim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Arz Kiya Aye Jibril Alayhissalam Ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya Ke Inme Se
Jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai Aur Jo Do Jahir Hai Wo Jahiri Nahrein NEEL Aur Furat Hai.

(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)
Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi Rehmatullah Alaihi Ne Yaha Jannati NEHRO Ke Muttalik Likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai Ya Kausar Aur Nahre Rehmat Hai “
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha Ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Jibreel-E-Ameen Jo Tamam Malaika
Farishto Ke Sardar Hai Wo Bhi Nahi Jaate Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran Me Likhte
Hai
“Meraj Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Raat Hazrat Jibril-E-Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye
Aur Farmaya Aye ALLAH Ke NABI Sallallahu Alayhi Wasallam Ab Iske Aage Mai Ek Ungli Ke Barabar Bhi
Aage Badhunga To ALLAH Ke Noor Se Mai Jal Jaunga.”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Farishto Ke Sardar Jibril-E-Ameen Jo Khud Noor Se Bane Hai Wo Bhi ALLAH Rabbul Aalameen Ke Noor Ko
Bardasht Nahi Kar Pate Hai.
"Jibril Ameen Bole Sidra Ke Makin Bole, Na Tumsa Haseen Dekha Lakho Me Hazaro Mein"
To Kya ALLAH Ta'ala Ko Dekna Mumkin Hai?
ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
"Aur Jo Moosa Humare Wade Par Hazir Hua Aur Usse Uske Rab Ne Kalaam Farmaya. Arz Ki Aye Mere Rab !
Muze Apna Deedar Dikha Ki Main Tuze Dekhu Farmaya Tu Muze Hargiz Na Dekh Sakega. Ha Is Pahad Ki Taraf
Dekh Yah Apni Jagah Par Thehra Raha To Unkarib Tu Muze Dekh Lega. Fir Jab Uske Rab Ne Pahad Par Apna
Noor Chamkaya Use Pash Pash Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Fir Jab Hosh Hua Bola Paaki Hai Tuze Main Teri
Taraf Rujoo Laya Aur Main Sabse Pehla Musalman Hu.
(Sure A'araf, Para 9, Aayat 143, Ruku 17 Tarzuma Kanzul Imaan)
Tafseer-E-Jalalayn Jisko Do Bade Muhaddis Mufasir Mujadid Ne Milke Mukammal Kiya
1) Imam Jalaludin Al Mahalli
(2)Imam Jalaludin As Suyuti Ash Shafai
Aap Iski Tafseer Me Likhte Hai
“Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega” Iska Matlab Hai Ke Tum Me Dekhne Ki Salahiyat Nahi Hai isliye ALLAH
Ta'ala Ne Yaha Quran Me Lafz ( LAN TARANI لللل ) يلل اللللIstemal Kiya Hai Naaki LAN URA Jiska
(Dekhna Na Mumkin Hai) Jisse Pata Chalta Hai Ke ALLAH Ta'ala Ko Dekhna Mumkin Hai Aur Aage
Farmaya Agar Pahad Apni Jagah Rahe To Bahot Jald Mujhe Dekh Lega”
(Tafseer-E-Jalalayn Vol : 01, Pg : 167, Under Surah Al Araf Ayat 143)
Is Aayat Se Ye Pata Chala Ke ALLAH Ta'ala Ko Dekhna Mahaal Nahi Hai Aur Ambiya Ki Ye Shaan Nahi Hai Ke
ALLAH Se Mahaal Chiz Ka Sawal Aur ilteza Bhi Kare Agar ALLAH Chahe To Deedar Karade ALLAH Ta'ala Ke
Liye Ye Namumkin Nahi Hai. Aur ALLAH Rabbul Aalameen Ne Quran-E-Kareem Me Irhsad Farmaya
“Kuch Muh (Faces) Us Din Taro Taaza Honge Apne Rab Ko Dekhte”
(Surah Qiyamah Ayat 22 - 23, Surah No 75, Para 29, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
SubhanALLAH..
Is Aayat Se Bhi Ye Pata Chala Ke ALLAH Ta'ala Ka Deedar Namumkin Nahi Hai.
Sidratul Muntaha Ke Baad Nabi-E-Kareen Sallallahu Alaihi Wasallam Aage Badhe ROOHUL AMIN JIBRIL Bhi
Jaane De Mazrat Khwah Hue Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Bulandi Ki Taraf Jaate Huwe Ek Makam Par
Pahuche Jisko MAKAM-E-MUSTAWA Kaha Jaata Hai Jaha Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne KALMO KI Awaaj Samat Farmayi Ye Wo Kalimat The Jinse FARISHTE Rozana Ke Ahkam-E-ILAHIYA Likhte Hai
Aur Lohe Mehfooz Se Ek Saal Ka Wakya Alag Alag SAHIFO Me Nakl Karte Hai Aur Ye Sahife Phir 15 Wi
Shaban Ki Shab Ko Mutallika Hukkam Farishto Ke Hawale Kar Diye Jaate Hai.
(Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara-E-Zurqani Vol : 02, Pg : 381)
Hadees No: 6
“Hazrat Adi ibn Hateem Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Tum Me Se Har Koi Anqareeb Apne Rab Se Kalam Karega Is Haal Me Koi Parda Na Hoga Tum Rab Se Kalam
Karoge Aur Be Hijaab Deedar Bhi Karoge”(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed,
Hadees :7443)
(Sunan ibn Majah, Kitabus Sunnah/Kitabul Mukaddamah, Hadees : 185)
(Musnad E Ahmad Vol : 04, Pg : 360)
Is Hadees-E-Pak Se Ye Sabit Hua Ke ALLAH Rabbul Aalameen Ka Deedar Mumkin Hai. ALLAH Jise Apne
Noor Ko Dekhne Ki Kuwwat Ataa Karde Wo Deedar Jaroor Kar Sakta Hai.
Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Unhone Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se
Pucha Kya Aap Ne Rab Ta’ala ko Dekha?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "Wo NOOR Hai ( , ) ننوننMaine Usse Dekha ( ىننننن )” نن انننن
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)
Word To Word Translation:
= ننوننWo Noor Hai (He Is Light)
= ىنننننMai, Mujhe, Mai Khud (I, Me, Myself)
= نن اننننDekha Usse (Saw Him)
Aaj Is Hadees Shareef Ka Galat Tarzuma Badmazhabo Ne Is Tarah Kiya Hai Ke Aam Log Gumrah Kiya Jaye.
" Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon" Aaiye Ab Ham Is Hadees Shareef Ki Agli Hadees Par
Roshni Dalte Hai. Jisse Ye Bilkul Saf Ho Jayega Ki Badmazhabo Ne Is Hadees Ka Galat Tarzuma Kiya Hai.
Hadees No: 7
Hazrat Abdullah Bin Shaqik Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Kaha
Agar Mai Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekhta To Mai Aap Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam
Se Puchta. Hazrat Abu Jarr Radialllahu Anhu Farmate Hai
"Aye Shaqik ! Tum Kya Puchte?"
Farmaya,
"Mai Puchta Aye ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Aapne ALLAH Ko Dekha Hai?"
Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Farmate Hai, "Aye Shakik ! Maine Pucha Tha"
Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"MAINE NOOR KO DEKHA”

(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)
Hadees No: 8
“Hazrat Masruq Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Unhone Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Se Suna Ke Unhone Farmaya "Jo Ye Kahe Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ko Dekha Hai
Wo Jhoota Hai ”
(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab No 97, Kitabut Tawheed, Hadees : 7380)
Isi Tarah Ki Hadees Ko Kuch Alfaz Ke Changes Ke Saath Imam Muslim Ne Likha Hai
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 177)
Badmazhab Is Hadees Ko Pesh Kar Qaum Ko Gumrah Karte Hai. Aaiye Ham Bukhari Sharee Ki Ek Aur Hadees
Par Roshni Dale.
Hadees No: 9
Hazrat Anas Radialllahu Anhu Se Rivayat Hai “Pura Meraj Ka Wakya Bayan kiya” Fir Kehte hai
“Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye Aur Izzatwala Jabbar (ALLAH) Yaha
Tak Ke Karib Huwa Aur Nazdik Aaya Ke Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)
Ab Aap Ye Soch Rahe Honge Ki Ham Kis Hadees Ko Follow Kare? To Aaiye Ham Aapko Samjhate Hai.
1. Sanad Pe Behas Hazrat Ayesha Siddika Radiallahu Anha Ka Qaul Bayan Huwa Hai
Hazrat Masruq Se Joke Ek Tabai Hai. To Yaha Sanad (Chain) Pahuchi Tabai Se Sahabiya Tak.
Chain :
Hazrat Masruq Radiallahu Anhu- > Ummol Momineen Ayesha Siddika Radiallaho Anha Yaani Tabai Se Sahabiya Tak.
2. Hazrat Anas bin Malik Radiallahu Anhu Joke Khud Jalilul Kadr Sahabi Hai Unki Rivayat Hai Direct
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Yaani Ki Sanad Sahabi Se Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tak
Pahuchi.
Chain :
Hazrat Anas Bin Malik Radialllahu Anhu - > Huzoor-EAkram Sallallahu Alaihi Wasallam Tak.
Sahabi Se Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tak.
Qanoon Ye Hai Ke Farmane Nabi Pe Tarjeeh De Kar Aqeeda Banaya Jaye Na Ki Qaul-E-Sahaba Pe.
Imam Ibn Hajar Al Asqalani Rahmatullah Alaihi Is Hadees Ki Shara Me Likhte Hai
“Hazrat Maruzi Radiallahu Anhu Ne Imam Ahmad Ibn Hambal Radiallahu Anhu Se Pucha Ke Log Kehte hai
Umool Momineen Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Ne Kaha Ke Jo Ye Kaha Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ka Deedar Kiya Wo Jhuta Hai iska Kya Jawab Hai?
Hazat Imam Ahmad Ibn Hambal Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne Khud Irshad Farmaya, “MAINE MERE RAB KO DEKHA”
Ye Jawab Umool Momineen Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Ke Qawl Ka Hai Kyuki Nabi-E-Kareem Sallallahu
Alaihi Wasallam Ka Farman Ummol Momineen Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Se Zyada BADA Hai”
(Fath Ul Baari Shara-E-Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 494)
Ab Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Ka Maqam Aur Martaba Dekhiye Taki Koi Badmazhab In
Hadeeso Ka Inkar Na Karde Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Farmate
Hai Ek Baar Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujhe Apne Sine (Chest) Se Lagaya Aur Dua Ki
"Aye ALLAH Abdullah ibn ABBAS Radiallahu Anhu Ko Quran Ka Ilm Aur Hikmat Ata Farma”
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 62 Fazail-E-Ashabun Nabi, Baab : Zikr Ibn Abbas, Hadees : 3756) (Jamai
Tirmizi, Vol : 03, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4195)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Us Sunnah, Hadees :171)
Ye Makam Hai Sahaba Me Jinke Haq Me Quran Ki Samajh Ki Dua Khud Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne Ki Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Khud Sahaba-E-Kiram Ki Jamaat Me
Sabse Pehle Muffasir Huwe Aapki Tafseer Ibn Abbas Ke Naam Se Mashoor Hai.
Hadees No: 10
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai
“Beshak ! Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Ka Deedar Kiya”.
(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko HASAN Kaha Hai.
Hadees No: 11
Imam Ahmad ibn Hambal Radiallahu Anhu Ne Apni Musnad Me Nakl Kiya Rivayat Hai Hazrat Abdullah ibn
Abbas Radiallahu Anhu Bayan Farmate Hai Ke RASOOL ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"MAINE MERE RAB KO DEKHA ”
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 285, Print : Al Maktab Al Islami, Beirut)
(Imam ibn Asim Vol : 01, Pg : 188, Hadees : 433)
(Imam Haythami Al Majmau Zawaid , Vol : 01, Pg : 178)
Imam Jalaludin Suyuti ne Khasais Al Kubra Vol : 01, Pg :161 Pe likha Ye Hadees Sahi Hai.
Imam Abdur Rauf Munadi Ne Tahsheer Shara Jama As Sageer Vol : 02, Pg : 25, Maktaba Riyadh Me Likhte Hai Ye Hadees Sahi Hai.
Imaam Tabrani Ka Aqeeda:
“Imam Tabrani Radiallahu Anhu Ne Likha Sayyidina Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Ne Farmaya
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH KO DEKHA.
Hazrat Ikrama Radiallahu Anhu , Ne Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Pucha,
"Kya ALLAH Ke Rasool Ne ALLAH KO DEKHA?"
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Ne Farmaya,
"HAA, ALLAH NE MOOSA Alayhissalam SE KALAM KIYA, HAZRAT IBRAHIM Alayhissalam KO DOST BANAYA AUR
RASOOL ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallm KO APNA DEEDAR KARAYA”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 9392, Print : Maktaba Maarif Riyadh)
Sayyidina Abdullah ibn Abbas Farmate Hai
Hakikat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Ko Do Baar Dekha, Ek Baar Apni Mathe Ki
Aankho Se (Physical Eyes) Aur Ek Baar Qalb Ki Aankho Se”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 06,Pg : 352, Hadees : 5757, Print : Maktaba Maarif Riyadh) (Imam
Qastalani Al Mawahib Al Laduniya Vol : 03, Pg : 104, Maktab Islami Berut)
Imam Jalaludin Suyuti, Imam Qastalani, Allama Shami Aur Allama Zarqaani Radiallahu Anho Azmain Ne Kaha
Ye Hadees Sahi Hai.
(Mawahib al-Ladunniya , Vol 3, Page 105 Print : Maktaba Islami - Berut)
(Sharha Zarqani ala al-Mawahib , Vol 6, Page 117, Print - Dar al Ma'arifah - Berut)
Imam Ibne Asakir Ash Shafai Radiallahu Anhu Ka Aqeeda:
Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya,
ALLAH RABBUL IZZAT Ne Mujh Se Farmaya, “Maine Apna Khalil Hazrat Ibrahim Ko Banaya Aur
Moosa Se Kalaam Kiya Aur Aye Mehboob ! Maine Tumse Mulakat Ki (Meeting In Meraj) Jaha Tumne Mujhe
Behizab Dekha”
(Tarikh E Damishq Al Kabir, Vol : 04, Pg : 424, Print : Daral Imaan Madina Munawwarah)
Imam Alai Rahmatullah Alaihi Ne Apni Tafseer Me Tehreer Farmaya Ki Meraj Me Huzoor Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne 4 Kism Ki Sawariyo’n Par Safar Farmaya
1. Baitul Muqaddas Se Aasman-E-Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par
2. Aasman-E-Awwal Se Satwe Aasman Tak Farishto Ke Baaju’nwo Par,
3. Saatwe Aasman Se Sidratul Muntaha Tak Jibril Alayhissalam Ke Baaju’nwo Par,
4. Sidratul Muntaha Se Makam-E-Kaaba Kausen Tak RAFRAF Par.
(Tafseere Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)
Baitul Muqaddas Se Kaaba Kausen Tak Pahuchne Me Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne 10 Manzilo Pe Kayam
Farmaya Aur Har Manzilo Pe Kuch Guftgu Huwi aur Bahotsi ALLAH Ki Nishaniyo Ko Mulahiza Farmaya,
(1)Aasman-E-Awwal
(2) Dursa Aasman
(3) Teesra Aasman
(4) Forth (Chautha) Aasman
(5) Paanhwa Aasman
(6) Chatta (Sixth) Aasman
(7) Saatwa Aasman
(8) Sidratul Muntaha
(9) Makam-E-Mustawa (Jahaan Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kalme Qudrat Ke Chalne Ki Aawaz
Suni)
(10) Arshe Aazam

Hadees No: 12
Hazrat Anas Bin Malik Radialllahu Anhu Se Meraj Ki Tavil Rivayat Hai Jab Ye Tohfa-E-NAMAZ Ummat Ke Liye Jo 50 Wakt Thi
Leke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Aa Rahe The To
“Aate Huwe Jab Aap Hazrat Moosa Alaihissalam Ke Pass Pahuche To Wo Arz Guzar Huwe Ke Aap Ke RAB
Ne Aapki Ummat Pe Kya Farz Farmaya?
RASOOLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "50 Namazein."
Is Par Moosa Alayhissalam Ne Arz Ki Ke Wapas Jaaye Aur Apne RAB Se Kami Ka Suwal Kare Kyuki Aapki
Ummat Se Ye Na Ho Sakega.
Maine Bani Israil Ko Aazma Kar Dekh Liya Hai Unka Tazurba Kar Liya Hai. Chunache Rasoolullah Sallallahu
Alaihi Wasallam RAB Ta’ala Ki Baargah Me Hazir Huwe Aur Arz Kiya
"Aye Mere Rab ! Meri Ummat Par TAKHFEEF Farma.
ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ne 5 Namaze Kam Kardi.
Aap Wapas Hazrat Moosa Alaihissalam Ke Pass Tahreef Laaye Aur Farmaya 5 Kam Kardi Hai.
Hazrat Moosa Ne Phir Wohi Arz Kiya Ke Aapki Ummat Se Ye Na Ho Sakega Apne RAB Ke Pass Wapas Jayiye
Aur Kami Ka Suwal Kijiye.
Ye Silsila Yuhi Chalta Raha Ke Aap Rab Ta'ala Ki Bargaah Me Hazir Hote Aur Rab Ta'ala Har Bar 5 Kam Kardeta.
Phir Hazrat Moosa Ke Pass Tashrif Laate Wo Aur Kami Ka Arz Kar Wapas RAB Ki Bargaah Me Bhej Dete. Hatta Ki ALLAH
Ne Farmaya
“Aye Muhammad ! Din Aur Raat Me Ye 5 Namaze’in Hai Har Namaz Ka Sawab Dus Gunah Hai Is Tarah Ye 50
Namazein Huwi.”
Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Baat Hazrat Moosa Ko Batayi Unhone Phir Wohi Arz Ki Ke
Jaaiye Aur Kami Ka Suwal Kijiye. Is Par Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Farmaya
"MAI APNE RAB KE PASS ITNI BAAR GAYA HOON KE AB MUJHE HAYA AATI HAI."
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 08 Kitab Us Salat, Baab : Kaifa Furuzati Salatal Isra, Hadees : 349)
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab Ut Tawheed, Hadees :7517)
(Sunan Nasai, Vol : 01, Kitabus Salat, Hadees : 448)
Badmazhab Aksar Logo Ko Behkate Hai Ke Shabe Meraj Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Jibrail
Alaihissalam Ka Deedar Kiya ALLAH Ta'ala Ka Deedar Na Kiya. Aye Kam Aqal Insano ! To Shabe Meraj Me
Namaz Ka Tohfa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jibrail Ameen Ne Diya? Kya Jibrail Alaihissalam Se
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Namaze Kam Karayi.
Mazallah Astagfirullah..
Kisi Shayer Ne Kya Khoob Likha Hai
“Jo ISHQ-E-NABI Chhodke Padhte Hai BUKHARI,
Aata Hai Bukhar Unko BUKHARI Nahi Aati.”
Is Hadeese Pak Se Hame In Chand Bato Ka Ilm Hota Hai Ke Ummate Musalman Tamaam Ummato Se Afzal Hai Ki
ALLAH Ta'ala Hume 5 Namaz Padhne Par 50 Namaze Padhne Ka Sawab Ata Farma Raha Hai. Is Hadees Ye
Khoob Saabit Hua Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Ta'ala Ka Deedar Kiya Aur Kalaam Bhi Farmaya.
Yaha Ye Bhi Saabit Hua Ke Ambiya Alaihissalam Apne Wisal Ke Baad Bhi Apne Jahiri Ke Sath Aa-Jaa Sakte Hai.
Ab Itni Daleel Pesh Karne Ke Bawjood Agar Kisi Ko Shabe Meraj Pe Imaan Na Ho To Afsos ! Hai. Asal Baat
To Unko Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Shaano Shaukat Se Aitraz Hai.
“Meraj Ki Subah Jab Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Wakya Logo Ko Sunaya To Aap Par
Imaan Laane Aur Aapki Tasdeek Karnewaale Baaj Afraad Murtad Ho Gaye”
(Imam Hakim Al Mustadrak , Vol : 04, Pg : 05, Kitab Marifatus Sahaba Baab : Zikr-E-Abu Baqr Siddiq , Hadees
: 4463)
Ab Aap Hi Sochiye Ki Log Murtad Kyu Hue? In Logo Ne Huzoor Ki Jismani Meraj Ka Inkar Kiya. Agar Huzoor
Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Ki Roohani Meraj Hui To Ye Is Baat Ko Taslim Kar Lete Kyunki Khwab Ki
Halat Me Ye Mumkin Hai Aisa Insan Ki Soch Hai. Par Jaha Insan Ki Aqal Aur Soch Ki Had Khatam Ho Jati Hai
Wahi Se Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki ShaanO-Shaukat Ki Shuruat Hoti Hai. Aap Sallallahu Alaihi
Wasallam Ka Martaba ALLAH Behtar Jaanta Hai.
Jaha Apne Kamzor Imaan Aur Aqeede Ke Badolat Kuch Log Murtad Hue. Wahi Kamil Ilaanwalo Ke Imaan Me
Izafa Hua.
“Iske Bar Aqs Kaamil Imaanwaalo Ke Imaan Me Izafa Hogaya ALLAH Ki Kudrat Par Imaan Rakhnewalo Ka
Imaan Aur Pukhta Hogaya Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sadakat Ka Yakin Aur Pukhta
Hogaya”
(Seerat-E-Nabuwat Lil Ibn Ishaq Vol :01, Pg : 281, Baab : Zikre Asr Wa Meraj)
Hadees No: 13
“Jab Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne WakyaE-Meraj Ka Bayan Kiya Log Daudte Huwe Ye Baat Ko
Leke Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anu Ke Pass Pahuche Aur Kahne Lage Kya Aap Is Baat Ki Tasdeek Kar Sakte
Hai Ke Aapke Dost Ne Ye Baat Kahi Ke Raato Raat Masjid-E-Haram Se Masjid-E-Aqsa Ka Safar Kar Liya?
Unka Gumaan Ye Tha Ke Shayad Ye Baat Se Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu, Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi
Wasallam Ka Saath Chod Denge.
Ye Wo Baat Thi Jisko Aqal Maanne Ko Tayyar Na Thi Par Hazrat Abu Baqr Radiallahu Anhu Ne Bila Jhijak
Tasdeek Kardi Rivayat Me Aaya Hai Abu Bakr Radiallahu Anhu Ne Logo Se Ye Baat Puchi Kya Wakayi Me Unhone
Aisa Kaha Hai?
JI HAA.
Hazrate Abu Baqr Radiallahu Anhu Ne Farmaya Agar Unhone Aisa Farmaya Hai To YAKINAN SACH
FARMAYA HAI.
Logo Ne Phir Pucha Kya Aap Is Baat Ki Tasdeek Karte Hai ?
Farmaya,
"YE TO KUCH NAHI MAI TO AAP SE AASMANO KI KHABRO KI BHI SUBAAH SHAM TASDEEK KARTA HU
AUR YAKINAN WO TO IS BAAT SE ZYADA TAZZUB KHEZ HAIRAN KUNN HAI ”
(AL Mustadrak Lil Hakim, Vol : 04, Pg : 20, Kitab AL Marifatu Sahaba, Baab : Zikr Abu Baqr , Hadees : 4010)
Us Din Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“AYE ABU BAQR ALLAH Ne Tumhe SIDDIQ Ka Lakab Diya Hai “ Iske Baad Aap Siddiq Ke Naam Se Mashoor
Hogaye.
(Imam Jalaludin Suyuti Al Khasaisul Kubra Vol : 01, Pg :294)
“EK Arabi Ke Kahne Ka Maine Kaha Maana Hai Bin Dekhe AYE RAB ! Maine Tujhe KHUDA Maana Hai
ALLAH Ka Ek Hona TUMNE Maan Liya Ke ALLAH Ek Hai
Bataya Kisne?
USI NABI Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Batane Pe Phir MERAJ Pe Sawal Kyu?'
Hadees No: 14
Shab-E-Meraj Ki Subah Hateem-E-Kaaba Ke Paas Khadey Ho Kar Hamare Pyaare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Logo Ke Saamne Is Suhaani Me’raj Ka Zikr Kiya Toh Ahle Imaan Ka Imaan Toh Aur Mazboot Ho Gaya Magar
Munafiqeen Wa Mushrikeen Ke Toh Goya Paaon Taley Se Zameen Nikal Gayi Ki Ek Raat Me Itna Taweel Safar
Kaise Tay Kar Liya. Chunanchey, Mushriqeen Daudtey Huwey Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq Radiallahu
Anhu Ke Paas Pahunchey Aur Kehne Lagey:
Kya Aap Is Baat Ki Tasdeeq Kar Sakte Hain Jo Aap Ke Dost Ne Kahi Hai Ki Unhone Raaton Raat Masjid-EHaram Se Masjid-E-Aqsa Ki Sayr Ki?
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya:
“Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Waqayi Yeh Bayan Farmaya Hai?”
Unhone Kaha: Ji Haan !
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya :
“Agar Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yeh Irshaad Farmaya Hai Toh Yaqeenan Sach Farmaya Hai.”
Unhone Kaha Ki Kya Aap Is Hairan Qoon Baat Ki Bhi Tasdeeq Karte Hain Ki Woh Aaj Raat Baitul Muqaddas
Gaye Aur Subah Hone Se Pehle Wapas Bhi Aa Gaye?
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya:
“Ji Haan ! Mein Toh Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aasmani Khabron Ki Bhi Subho Shaam
Tasdeeq Karta Hoon. Yaqeenan Woh Toh Is Se Bhi Zyada Hairan Qoon Aur Ta’ajjub Wali Baatein Hoti Hain.
Pas Is Waqiye Ke Baad Hazrate Abu Bakr Radiallahu Anhu “SIDDIQ” Se Mash’hoor Ho Gaye. Ba’az Ba Bateen
Logo Ne Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Is Azeem Mo’jizey Ko Jhootlane Ke Liye Tarah Tarah Ke
Suwalaat Karna Shuru Kar Diye Jaisa Ki, Hadees-E-Paak Me Hai ALLAH AZWAJAL Ke Mehboob Sallallahu Alaihi
Wasallam Ne Irshaad Farmaya :
“Quraish Mujh Se Mere Safar-E-Me’raj Ke Muta’lliq Suwalaat Kar Rahe The. Toh Unhone Mujh Se Baitul
Muqaddas Ki Aesi Cheezon Ke Muta’lliq Suwalat Kiye, Jinhein (Gayr Zaroori Hone Ki Wajah Se) Meine Yaad Na
Rakha Tha. Mujhe Is Baat Se Is Qadar Gham Huwa Ki Is Se Pehle Kabhi Itna Ghamgeen Na Huwa Tha, Toh
ALLAH AZWAJAL Ne Baitul Muqaddas Ko Meri Khatir Utha Liya Aur Mein Usey Dekhne Laga, Lihaza Quraish
Mujh Se Jis Jis Cheez Ke Baare Me Poochtey Gaye, Mein Unhein Batata Gaya.
Haqeemul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Rehmatullah Alaihi:
Mushriqeen-E-Makkah Ke Un Suwalat Ke Baare Me Farmate Hain Ki Woh Suwalat Bhi Laya’ni (Fuzool) The.
Maslan Yeh Ki Baitul Muqaddas Me Sutoon Kitne Hain? Seedhiyan Kitni Hai? Mimbar Kis Taraf Hai? Aur Zahir
Hai Ki Yeh Cheezein Toh Barabar Dekhne Par Bhi Yaad Nahi Rehti Toh Ek Baar Dekhne Par Kaise Yaad Rehti?
Kuffar Ne Kaha Ki Arsh Wa Kursi Ki Baatein Jo Aap Bayan Kar Rahe Hain, Un Ki Toh Hum Ko Khabar Nahi,
Baitul Muqaddas Hum Ne Dekha Huwa Hai, Wahan Ki Nishaniyaan Aap Hum Ko Batayein Isiliye ALLAH
AZWAJAL Ne Is Me’raj Ke Do Hissey Kiye. Ek Masjid-EHaram Se Baitul Muqaddas Tak Phir Doosra Wahan Se
Arsh Ke Aagey Tak Taaki Log Is (Pehle) Hissa-E-Me’raj Ko Bahot Dalaail Se Maloom Kar Lein. Lihaza Jab Baitul
Muqaddas Ki Kaifiyat Poochi Gayi Us Waqt ALLAH Ta’ala Ne Hazrate Jibareil Ameen Alaihissalam Ko Huqm
Farmaya Toh Unhone Apney Paron Par Baitul Muqaddas Ko Utha Liya Aur Makkah-E-Mukarramah Me Hazrate
Aqeel Radiallahu Anhu Ke Ghar Ke Paas Rakh Diya, Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Usey Dekhhte
Jaate Aur Un Ke Suwalon Ke Jawabat Dete Jaatey. Yaad Rahe Ki Baitul Muqaddas Ko Utha Kar Aap Sallallahu
Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aaliya Me Hazir Kiya Jaana Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Moujiza Hai, Jis
Tarah Bilkis Ka Takht (Utha Kar Darbar Me Hazir Kiya Jana) Hazrate Suleman Alaihissalam Ka Moji’za Hai.
(Sahih Muslim : Hadees 172, Book ref. : 1, Hadees 337, Eng ref. : Book 1, Hadees 328)
(Sahih Bukhari : Hadees 233, Eng ref. : Vol. 6, Book 60, Hadees 233, Arabic ref. : Book 65, Hadees 4710)
(Sahih Muslim : Hadees 170, Book ref. : 1, Hadees 335, Eng ref. : Book 1, Hadees 326)
(Jamia Tirmizi : Hadees 3133, English ref.: Vol. 5, Book 44, Hadees 3133, Arabic ref. : Book 47, Hadees 3425)
(Al'Mustadrak A’l As'sahi'heen : Hadees : 4515 , Jild 4 , Safha 25)
(Me’raj Ke Waqiyat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 20-22)
Shabe Meraj Ke Waqiye Par Tasdiq Karne Ke Badolat Hazrate Abu Bakr Radiallahu Anhu Siddiq Ban Gaye.
Aur Jinka Imaan Kamzor Pada Wo Murtad Hue. Jo Meraj-Un-Nabi Par Aitraz Kare Aur Hazrate Abu Bakr Ko
Siddiq Bhi Kahe Wo Munafiq Hai. Jo Shabe Meraj Ka Inkar Kare Wo Murtad Hai. ALLAH Hume Kamil Imaan
Aur Apni Aur Apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sachchi Wa Pakki Muhabbat Ata Farmaye
Aameen.