Post by Mohammed Aarif Waghoo on Nov 19, 2017 22:53:33 GMT 5.5
¤12 RABIUL AWWAL WAFAT KA DIN NAHI
BUKHARI AUR MUSLIM KI HADITH SE SABIT HAI KI 12 RABI UL AWWAL HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT KA DIN NAHI!
Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat PEER (monday) ke din aur Maahe Rabi ul Awwal mein huwi aur is par puri ummat ka ittefaaq o Ijma hai. Magar kya Wafat Rabi ul Awwal ki 12 taarikh ko huwi?
Tehqeeq se pata chalta hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat 12 taarikh ko NAHI huwi. 12 wi ko Wafat ka din manna ye bilkul galat hai aur Sahih Ahaadith ke khilaaf aur tareekh ke shumaar ke tehet Na- mumkin hai.
Sahih Bukhari wa Muslim ki Hadith mein hai ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Apna aakhri Hajj 10 hijri mein farmaya aur apna aakhri khutba Yawme Arafa ko 9 zil Hijaa JUMAH ko diya.
SAHIH HADITH:
Hazrat Umar bin Khattab رضي الله تعالى عنه farmate hai ki ek yahoodi ne Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه se kaha ki Aye Musalmaano ke Ameer! Aap ki kitab (Quran) mein ek aisi ayat hai jisko Aap log padhte hai. Agar woh ayat hum yahoodiyo ke baare mein nazil hoti to hum us ayat ke yaume nuzul ko eid bana lete. Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne farmaya: Woh kaunsi ayat hai?
Yahoodi ne kaha ki woh ayat:
“Aaj Maine tumhare liye tumhara deen mukamal kar diya hai…….”
To Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki hum uske nuzul ke din ko acchi tarah jaante hai aur uske maqam ko bhi. Jab yeh ayat nazil hui thi to Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ maidan e Arafat mein khade the aur JUMMAH (FRIDAY) ka din tha.
[● Sahih Bukhari, Kitab ul Imaan]
SAHIH BUKHARI KI HADITH SE PATA CHALA KI 10wi HIJRI MEIN, 9 ZIL HIJJA, JUMAH (FRIDAY) KA DIN THA.
Aur Sahih Bukhari wa Muslim ki dusri hadith se pata chalta hai ki Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat PEER (MONDAY) ko huwi.
SAHIH HADITH:
Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki maine Aakhri baar Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko PEER (MONDAY) ke din us waqt dekha jab Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Hujre ka parda utha kar dekha.
[● SAHIH MUSLIM, KITAB UL SALAH]
IS HADITH SE PATA CHALA KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT 11 HIJRI MEIN RABI UL AWWAL KE MAHINE MEIN, PEER (MONDAY) KE DIN HUWI.
Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne aakhri khutba 10 wi Hijri, JUMAH (FRIDAY) ke 9 zil hijja ko diya.
Zil hijja ke baad Moharram ka Mahina aata hai. Uske baad SAFAR ka mahina aur uske baad RABI UL AWWAL KA.
Yaani Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke aakhri khutbe se le kar Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wafat ke darmiyaan 3 Mahine aate hai:
ZIL HIJJAH
MOHARRAM
SAFAR
Ab 9 Zil Hijja se JUMAH ke din se Aap dino ka hisaab laga le.
9 ko Jumah, 10 ko Sanichar, 11 ko itwaar…..
Issi tarah Rabi ul Awwal ke Mahine tak hisaab lagaye aur PEER yaani MONDAY ka din dekhe.
Ab chuki Mahina ya 29 ka hota hai ya 30 ka to Aap Hisaab lagate waqt tamaam mumkin hisaab laga le.
Ab 4 mumkin tareeqe hai.
1. Agar bil farz teeno Mahine 30 ke maan liye jaaye to 9 zil hijja se 12 Rabi ul Awwal – ITWAAR YAANI SUNDAY ke din aayega.
2. Agar 2 mahine 30 ke shumaar kar le aur 1 mahina 29 ka to 12 Rabi ul Awwal ko HAFTE YAANI SATURDAY Ka din aayega.
3. Agar 1 mahina 30 ka aur 2 Mahine 29 ke shumaar kar liye jaaye to 12 Rabi ul Awaal ko JUMMAH YAANI FRIDAY Ka din aayega.
4. Aur agar teeno Mahine 29 ke shumaar kar liye jaaye to 12 Rabi ul Awwal ko JUMERAT YAANI THURSDAY ka din aayega.
ISKE ALAAWA KOI HISAAB NAHI BANTA.
PATA CHALA KI 12 RABI UL AWWAL (11 Hijri) KO PEER YAANI MONDAY KA DIN HARGIZ NAHI AATA HAI.
AUR BUKHARI WA MUSLIM KI MUTAFAQ ALAY HADITH SE YE SABIT HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِKI WAFAT PEER YAANI MONDAY KO HUWI.
JAB 11wi HIJRI MEIN RABI UL AWWAL KE MAHINE MEIN 12 TAEEKH KO PEER (MONDAY) KA DIN AANA MUMKIN HI NAHI TO 12 WI KO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT HONA KAISE MUMKIN HOGA?
AGAR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT 12wi KO HUWI TO BUKHARI AUR MUSLIM KI HADITH KA INKAAR KARNA HOGA AUR PEER KE DIN HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT KA INKAAR LAAZIM AAYEGA.
¤ ALLAMA IBNE HAJR ASQALANI KA AAKHRI FAISLA
Allama Ibn e Hajr Asqalani likhte hai:
“Bharose ke qabil to wahi baat hai jo Abu Mikhnaf ne kaha hain (Nabi e kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka wisal 2 Rabi ul Awwal ko hua) Aur dusre logo se is mamle mein galti isliye hui ki jin logo se 12 rabbiul awwal ki riwayat aayi hai us mein bhi dar asal 2 hi rabbiul awwal ka zikr tha. Kisi se naql karne mein galti hui aur “SANI RABI UL AWWAL” yaani 2 rabbiul awwal ke bajae “SANI ASHAR” yaani 12 rabiul awwal likha chala gaya. Phir dusre log bekhabri mein ye soch kar ki ye riwayat 12 Rabi ul Awwal hi ke silsile mein aayi hai naqal dar naqal karte rahe. Yahan tak ki darja e shohrat isi riwayat ko mil gayi.
[ ● FATH UL BAARI- SHARAH SAHIH BUKHARI : 8/106]
AIMAH E KIRAAM JINKE NAZDEEK 12 RABI UL AWWAL TAREEKH E WISAAL NAHI HAI
1. Abdur Rehman Suhaili
(● Al Rouzul Anaf, jild 7 pg 578)
2. Hafiz Shamsuddin Zahbi
(● Siyarul aalam al Nubla, jild 2, pg 74 73)
3. Allama Yafai’e
(● Maraatul Janan, jild 1, pg 17)
4. Ibn e Amaad Hanbali
(● Shazratul Zahab, jild 1, pg 14)
5 Yahya bin Abi Bakr Amiri Yamni
( ● Bagiyatul Amasil , jild 2, pg 133)
6. Muhammad bin Abu Bakr
(● Bihijjatul Muhafil, jild 2, pg 133)